Bismillah Posted August 5, 2011 Report Share Posted August 5, 2011 (edited) Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou 1- kya rozay ki halat main hont khushak ho janay ki wajah say koi mard lipstick istimaal kar sakta hai? kyon keh baaz oqaat thooktay waqat zaban honton pe lag jati hai aur honton pe lagi hui lipstick zaban par. 2- kya rozay ki halat main koi sirf chehray par khushki ki wajah say Moisturizing cream ka istimaal kar sakta hai? kyon keh baaz oqaat cream ki kuch smell bhi hoti hai. 3- kiss tarah ki khushboo say roza tootata hai? Edited August 5, 2011 by Bismillah Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
unknown Posted August 17, 2011 Report Share Posted August 17, 2011 Rozay ki halat main lipstick: http://mufti.faizaneattar.net/Answer.php?Q=23315 Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast Posted August 22, 2011 Report Share Posted August 22, 2011 1- kya rozay ki halat main hont khushak ho janay ki wajah say koi mard lipstick istimaal kar sakta hai? kyon keh baaz oqaat thooktay waqat zaban honton pe lag jati hai aur honton pe lagi hui lipstick zaban par. Mard ko zeenat kay tor par lipstick ka istemal naheen karna chaheay...... han agar zroorat ho to kar saktay hain laikin agar zarrat andar chalay gaye to roza toot jaye ga. .............. (wesay chapstick bhi hoti hay.) 2- kya rozay ki halat main koi sirf chehray par khushki ki wajah say Moisturizing cream ka istimaal kar sakta hai? Ji Han 3- kiss tarah ki khushboo say roza tootata hai? Khushboo say roza naheen toot'ta ...... han agar jan bhooj kar dhuwan andar lay gaye to roza toot jaye ga. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Bismillah Posted September 4, 2011 Author Report Share Posted September 4, 2011 (wesay chapstick bhi hoti hay.) yeh kya cheez hoti hai? galiban pehli baar suna hai iskay baray main, Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdul Mustafa Posted September 5, 2011 Report Share Posted September 5, 2011 Chapstick ka istimaal us waqt kia jata hai jab hont khushk ho jayn,ye honton ko num(geela) rkhti hai. iski bnawat(shape) lipstick jesi he hoti hai. lekin yad rhay k ye mukhtalif zaiqon(flavors) mn milti hai(lemon,orange etc)...iska zaiqa(flavor) zubaan pe mehsoos honay se Roza par kya asar parta hai ye aap kisi Sunni Aalim ya Mufti Sahib se ma'loom kr lijiye. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You can post now and register later. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.