Abdul Mustafa 1 Posted November 5, 2011 Report Share Posted November 5, 2011 salam, in ash'aar ka matlab smajh ni aya,plz koi Islami bhai explain ferma den,JazakALLAH. 1- Kis ko dekha ye Moosa(AS) se poochay koi Aankh waalon ki himmat py lakhon salam 2- Pusht par dhalka Sar-e-Aqdas se shimla noor ka dekhen Moosa(AS) Toor se utra saheefa noor ka Quote Link to post Share on other sites
alSaifiya 6 Posted November 5, 2011 Report Share Posted November 5, 2011 (edited) 1- Kis ko dekha ye Moosa(AS) se poochay koi Aankh waalon ki himmat py lakhon salam bhai jaan yeh to bohot simple hai is mein Aala Hazrat ne Hazrat Musa Alyehi Salam ka Koh e Toor ka Waqiya aur Nabi Kareem Salalaho Alyehi Wasalam Ke Shab e Miraaj mein Allah Azwajal ke Didaar ki taraf ishara kiya hai . Hazrat Musa Alyehi Salam ne Jab Allah Azzwajal se Arz ki ke Maula Mujhay apna Didaar Ataa farma to Allah Azwajal ne Farmaya ke Musa Alyehi Salam Aap mujhay nahin dekh saktay aur phir farmaya ke us pahar ki taraf dekhiye Phir Allah Azwajal ne Apni Tajali Pahar par farmyi to woh Pash Pash ho geya aur Hazrat Musa Alyehi Salam Behosh ho gaye . Ulama ne Farmaya hai ke Yeh Allah Azwajal ki Sifati Tajali ka Asar tha jis ki Taab Hazrat Musa Alyehi Salam na la sakay aur Behosh ho gaye . Jabkeh Humaray Pyare Aaqa Kareem Salalaho Alyehi Wasalam ko Allah ne woh Shaan Ata farmayi ke Aapko Arsh pe Bulwa ke Apnay Didar ka Sharaf Bakhsha aur Humaray Aaqa Kareem Salalaho Alyehi Wasalam ne Apni Ankhon Mubarik se Allah Azwajal ka Deedar kiya . Isi Liye Aala Hazrat Rehmatullah Alyeh ne Farmaya Kisko dekha yeh Musa Alyehi Salam se Poochay koi Ankh Walon ki Himat pe Lakhon Salam. Doosray ka Mujhay nahin maloom . Wallah o Taala Aalam Wa Rasuloh Aalam Azzwajal Wa Salalaho Alyehi Wasalam . Edited November 5, 2011 by alSaifiya Quote Link to post Share on other sites
Attaria786 3 Posted November 5, 2011 Report Share Posted November 5, 2011 salam......... pori hadaiq e bakhseh ke sharah par lain click hearsharah hadaiq e bakhseh or book hadiq e bakhsheh Quote Link to post Share on other sites
Abdul Mustafa 1 Posted November 6, 2011 Author Report Share Posted November 6, 2011 A'la Hazrat ki poetry to Madina Madina.. Quote Link to post Share on other sites
Recommended Posts
Join the conversation
You can post now and register later. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.