Jump to content

Wahabi Deo Bandi


Mutlaashi

تجویز کردہ جواب

(bis)

 

 

(saw)

(salam)

 

 

Piyary Islami bhiyon or Behnoon main aap ki khidmat main apni aik email pesh ker raha hoon or aap say rai lay na chah ta hoon k main nay is Deobandi Wahabi Gustakh-e-Rasool ko us k Aitirazat ka sahi jawab dia ya nahi

 

 

 

Tariq bahi kia haal hain omeed ker ta hoon k aap khairiyat say hoon gain, aap ki email mili parh ker khushi hoi k aap nay mujh say kuch aitrazat kiey hain or meri pori koshish hay k main aap k tamam aitirazat ka jawab doon or aap ki soch ko badal doon, aap ki mail parh li hay or main nay socha k main aap ki is mail main sirf un batoon ka jawab doon ga jo k aap k lea or mery lea Important hain or rahi baki batain to wo hum baad main bhi discuss ker lain gain laikin phelay jo important hain us per baat ho jai, to dear tariq bhai aap ka phela Aitras yeh k Ashraf Ali Thanvi & Ahmed Raza Barailvi both completed his islamic education from DaioBand

 

 

 

Aap ki is baat k aitiraaz main main app ko jawab day ta hoon aap is ko ghor say parhain or aap confirm karain

 

 

 

Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Brailvi (Rehma-Tul-Allah Ahlaihi) ki wiladat ba sadat 10 Shawwal-ul-Mukkram 1272 Hijri Mutabiq 14 June 1856 Braili Shareef (UP Bharat) main hoi. Ala Hazart Imam Ahmed (Rehma-Tul-Allah Ahlaihi) nay tamam Uloom say fraghat k baad 13 saal ki umar yani 14 Shuban-ul-Muazzam bmatabiq 1869 main phela Fatwa jari fermaya or yeh Fatwa (Rza-at) ky topic per tha,

 

 

 

Dar-ul-Uloom Deoband 1880 main tameer hoa, jis ki daleel bhi mojood hay 1980 main Darul-Uloom Deoband ka So-Sala (100 Century) Jashan banaya gaya, jis ka gawah Jung Akhbaar bhi hay, ab aap khud hisaab lagain k Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Brailvi (Rehma-Tul-Allah Ahlaihi) tamam Uloom say farigh ho chukay thay is k 11 saal baad Darul-Uloom Deoband ki bunyaad rakhi gai,

 

 

 

Is k baad naja nay kab Molvi Ashraf Ali Thanvi nay Darul-Uloom main admission lay ker kitnay saloom main yeh education complete ki,

 

 

 

Algharz tariq bahi aap nay jaan lia k is baat main zara c bhi sadaqt nahi hay k Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Brailvi (Rehma-Tul-Allah Ahlaihi) Darul-Uloom Deoband say parh tay thay,

 

 

 

Ab main aap k dosray atiraaz ka jawab doon ga jis main aap nay kaha Mai janta hoon mufti Rafi Usmani, Shafi Usmani, Ashraf Ali Thanvi etc. In ke talimat mai kaheen bhee aap ko mis guidance nahee milai gi. In ki likhi huee koee book mai tum nai kuch oolta sidha parha hai to mujh ko sirf reference send karo.

 

 

 

To dear main aap k is aitiraaz k jawab main apni is mail k sath aik 4 pages (PDF viersion) ki file attached ker raha hoon aap is file ko parh lain is file main aap k tamam Akabir Ulma ki gustakhana Tehreerain with Book Name reference k sath hain, jab aap is ko parhain gain to aap ko khud ba khud aap k is aitraaz ka jawab mil jai ga, or agar aap k dil main zara c bhi Allah Azzwajal, Aga Sallaho Alhai Wasslaam or deegar Sahaba Kiram Ajmaeen ki mohabbat hay to aap zaroor in batoon ki reaserch karain gain or Haq-o-Batil ko pehchannay ki koshish karain gain,

 

 

 

Is k ilawa main aap say yeh baat bhi keh na chah hoon k jo batain aap k Akabir Ulma nay hamary lee a shirk or bidat or Haram likhi hain wo sab batain aap k yeh Akabir Ulma khud ker tay hain main aap k in batoon ka bhi saboot day sakta hoon

 

 

 

 

 

Or sab say akhir main aap ki aik or baat ka reply doon ga jis main aap nay kaha k,

 

woh log jo Allah ki ibadat kartai hain yaad rakhai kai Allah hamesha sai hain aur hamesha rahaingai

 

 

 

Aap nay yeh sahi baat likhi hay laikin aap nay is main aik bohat hi bari mistake ker di hay or sab say phelay to main aap ko bata doon k jab sirf aik fard-e-Wahid ka zikar ho to keh tay hain k (HAY) or jab aik j say bohat say logoon ya cheezoon k baray main keh jata hay to keh tay hain k (HAIN) ab aap apni is baat k ghor say parhain k Allah Aik HAY (not HAIN) ab jay say main kahoon k Nabi Akaram Sallaho Alahi Waslaam Hayat (HAIN) kion k Hum Barailvi Sunniyon k ka Imaan hay k Tamam Ambiyaa Kiram apni apni Qabroon main Zinda HAIN or phir main aik jaga yeh kahon k Allah Azawajal Wada ho La-Sahrik HAY ab aap khud faisla karain k aap kia keh rahay hain or kia likh rahay hain

 

 

 

Or sab say akhir main aap say aik baat or keh na chah ta hoon k aap nay shahyed aik Kitaab parhi ho gi jis ka naam hay Hassa-ul-Haramain jo k Alaha Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Fazil-e-Brailvi ki likhi hoi hay ager yeh book aap ko market main ya aap k kissi dost ya kaheen say bhi available ho to aap parh lain aap jab is kitaab ko parhain gain to aap maloom hoga k aap k Akabir Ulma Kiraam per Saudia-Arabia k taqreeban 250 Ulma-e-Haq n Kufar ka fatwa dia hay ager aap ko yeh book kaheen say bhi available na ho to main aap ko yeh book email ker sakta hoon, main nay aap k jo bhi jawab dia hay her baat ka mery pass saboot ho or aap ki demand per main aap ko send bhi ker sakta hoon

 

 

 

Omeed ker ta hoon k aap k aap k tamam aitiraazat ka jawab mil gaya hoga,

 

 

 

Main aap ki mail k reply ka shidat say wait karon ga

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(salam)

 

 

Assalaam-o-Alaikum

 

 

 

Aap ka reply mila laikin reply parh ker mujhay khushi honay afsoos hoa k aap nay aitrazat per aitrazat ker rahay hain bajai is k k aap Haq or Batil ko phechanain, khair is main aap ka bhi kasoor nahi hay jo main aap ko bataon k jin k Dillon per Allaha Azzawjal Mohar laga day ta hay to phir wo log chartay suraj ki terhaan say ayaan ho nay walay HAQ ko bhi jhutlaa day tay hain, or lagta hay k aap nay meri jo PDF version file ko shahyed parha nahi hay ya ager parh lia hay to aap ko itni himmat nahi hay k aap apnay din Kafir Mulllaon k pass ja ker is k baray main theqeeq ker sakain jo k aap k lea aik karwa such hay, any way aap ko samjha na mera kaam hay or Hadyat day na Allah Azzwajal ka kaam hay aap ki bataoon ka jawab main one bye one day ta hoon aap k mail main paragraph by paragraph jawab day raha hoon

 

 

 

Phela paragrapfh

 

 

 

Main nay jo aap ko file send ki hay us main deobaniyon ka naam nah use kia hay gaya hay balkay deobandion ki kitaabon say wo Tehreerain li gai hain or sath main us book k writer ka naam bhi hay aap nay sirf dekh ker hi faisla or andaza ker lia k yeh jhoot hay or deobandion ka naam use kia hay kia aap nay is file main jo kuch likha tha wo aap nay kissi deobandi say wo books maang ker ya dhoond ker yeh ghustakhana or kufria tehreer parh nay ya dhond nay ki koshish kareen, yaqeenan nahi ki hoon geen kion k yeh aik karwa such hay jo k aap ko passand nahi hay, or aap ki tableeghi jaman ki taleemaat, or aap k molviyoon k ghustakhana or Kafrana soch ka pata chalta hay,

 

 

 

Aap yeh batain k aap ko sabz emamah per etiraaz hai ya dawat e islami per, or jo cheez samnay na ho ya dekhaye na day to kya uss kay wajood ka inkar daina chahiye? Kia tableegi jamaat firqa hai ya deobandioon ki jamaat? makalatus sadrain parho iss firqa tableegi jamaat kay bani ko ye firqa chalanay kay lia angrezoon say rasheed ahmed kay zarye paisa miltay thay, kia kisi naik kaam kay lia koi tanzeem ya movement chalana buri baat hai ya biddat hai ya haram hai kya hai? Ager yeh biddat hai to tumhari almi majlis tehreekh khatam e nabuwat bhi 40 saal pehlay bani hai ye bhi biddat hoye, Amama sharif sunnat hai sabz ho ya koi bhe rang aur sabz bazat e khud Nabi pak alaislam say sabit hai jo aap alaislam ka Amama sharif jis ki photo aksar aap nay daikhe hogee wo bhee sabz hai yei wo shaks bhee manay ga 1992 say pahlay aksar loag is sunnat pay amal nahe kartay thay yei aap nay maan lia .. Dawate islami kay paigham Ameer e ahlesunat ki mahnat say loago nay Sunnat pay amal karna shroo kar dia tu wahabi kyu jal raha hai ..

 

 

 

Paragraph Hazrat Abu-Bakkar (RadiAllah Tala Anho)

 

 

 

Ab aap k ulma nay app ko itni bhi taleem nahi di kissi k naam k sath us k jo bhi Alqkabat hotay hain wo poray likhay jatay hain sirf R ya SAW likha naja-aiz balkay Haram hay ager aap ko is ka saboot chahyeh to main aap ko day sakta hoon or aap nay yeh baat kahee k aap nay roman urdu ki waja say HAIN likha tha to dear zaban per or kalam per wo kuch ata hay jo dil or dimaagh main ata hay jo dil main or dimaagh j c soch hogi way c hi wo haqeeqat ka roop dhaar ti hay, or yeh sir app nay hi nahi likha balkay aap apnay kisi bhi movli or alim ki taqreer sun lo wo Allah hay k bajai Allah HAIN keh ta hay

 

 

Paragaraph Kuloo nafsin zaiqa til maut

 

 

 

Is paragarm ko parh ker mujhay andaza ho raha hay k aap yeh keh na chah rahay hain k hum Ya-Rasool Allah (Sallaho Alaihi Waslaam) kion pukaar tay hain or dosra yeh k Nabi Akram Noor-e-Mujjassam (Sallaho Alaihi Waslaam) Noor nahi hain balkay Bashar hain, main aap ko is ka bhi jawab doon ga Insha Allah (Azzawajal)

 

 

 

Sab say phelay main aap ko aik Quraan ki ayat likh raha hoon QAD JAA-KUM MINILLAHI NOOR-ON-WA-KITAA-BUNN MUBEEN Para 6, Sora Al-Ma-aida Ayat No. 15 (Tarjuma : Bay Shak Tumhary Pass Allah ki taraf say Aik Noor aya or Aik Roshan Kitaab (Tarjuma Kanzul Emaan) Mufassir-e-Islaam Hazrat Abbas (Radi Allah Tala Anho) is ayat ki tafseer k tehat farmatay hain k noor say muraad Huzoor Sallaho Alahi Wasllam hain or Kitab-e-Mubeen say murad Quran-e-Majeed hay, ab main app ko aik Hadees bata ta hoon (Aazrat Jabir Radi Allah Tala Anaho say rawayat hay k main nay sawal kia Ya-Rasool-Allah Sallaho Alahi Wasllam mery maan baap aap Sallaho Alahi Wasllam aap Sallaho Alahi Wasllam mujhay khabar dejiey sab say phelay Allah Azzwajal nay kiss ko paida kia, Aap Sallaho Alahi Wasllam nay fermaya Allah Azzwajal nay sab say phelay tery Nabhi Sallaho Alahi Wasllam k NOOR ko (apnay Noor k faiz say) paida kia phir wo noor Qudarat-e-Ilahiya say jahan Allah Azzwajal ko manzoor tha sair ker ta raha, us waqt na Loh thi na Qalam tha, na Jannat na Doozakh, na Farashta na Aasmaan, na Soraj na Chaand, na sitara na Insaan

 

 

 

Ab kuch Aqal k Undhay or wo log jo Quraan ki Ayat ko apna Hatyaar bana ker Ahl-e-Sunnat Waljamat (Sunni Brailvi) kal bidatati or shirk sabit ker nay per tulay hoe hain yeh badbakht Gustaakh jo Qurani Ayat Butoon k lea nazil hoi hain wo Olia Allah or Ambiya-e-Kiram per paste ker tay hain or in Gustakhoon or badmazhaboon ka kaam sirf or sirf Ambiya-e-Kiram or Olia-e-Kiram ki Shaan-o-Azmat ko ghatnay ko apna mission or apna Maslak samjhtay hain or yehaan bhi Aqa Sallaho Alahi Wasllam ki Noorani Azmat-o-Shaan ko ghatanay k lea Quran-e-Kareem ki aik ayat jisa tarja Kanzul Emaan say kuch is terhaan hay (Keh do Main tumhari terhaan Bashar hoon) or phir yeh nasamajh Gushaakh log is ko parh ker Aqa Sallaho Alahi Wasllam ki bashriyat ko uchaaltay hain halanakay hum Ahle-e-Sunnat (Hanfi Brailvi) ka yeh yeh aqeeda hay k Aap Sallaho Alahi Wasllam Noori Bashar hain or Hazoor Sallaho Alahi Wasllam ki Noora-Niyat per bhi Emaan rakh na zaroori hay or Huzoor Sallaho Alahi Wasllam ki bashriyat per bhi Emaan rakh na zaroori hay werna Qurani Ayat ka inkaar hoga ab Aqa Sallaho Alahi Wasllam Bashriyat k liabday main is dunya main tashreef lai k bandoon ko jahalat k undheray say nikaal ker Noor ki taraf laya jai Aqa Sallaho Alahi Wasllam ko apni terhaan samjh na srasar bay waqoofi hay kion k hum sirf or sirf bashar hain or Aqa Sallaho Alahi Wasllam or apni Nooraniyat say Allah Azzwajal ka Deedar bhi ker tay hain

 

 

 

Phir aap nay Ayat ka tarjuma dia k Her nafs ko Mot ka maza chakh na hay to aap ka aqeeda hay k Na-Aazo-Billah Ambiyaan Kiraam or Oliya Allah Zinda nahi hain or na wo kissi ki sun saktay hain na kissi k madad ko asaktay hain

 

 

 

To dear main aap aap ki is baat ka jawab bhi Quraan-o-Hadees say sabit ker ta hoon or aap yeh baat jan lo or samjh lo k Ahl-e-Sunnat Wal-Jamant (Hanfi Brailvi) ka koi bhi kaam Quraan-e-Hadees say hat ker nahi hay or nahi Shari-At say takra ta hay but tum log hi hum logon per Shirk Bidat k Ilazamat laga tay ho or sirf Ilzamat laga tay ho Sabit nahi ker saktay kion hum jo kuch bhi sahi samjh ker k ker tay hain tumhary Akabir Ulma bhi yeh sab kuch ker tay hain or tum aqal k undhoon ko apnay logoon per shirk or biddat ka fatawa nahi lagtay ho saboot k lea main aap ko aap ki books say wo sab kuch sabit ker sakta hoon k hum jo kuch Quran-e-Hadees k mutabiq ker tay hain wo tumary Akabir Ulma bhi ker tay hain ab lagao un per Shirt or Bidat ka Fatwa

 

 

 

Ab main aap ko aap k sab say baray mullah Ashraf Ali Thanvi ka aqeeda bata ta hoon is ko parh ker aap is per bhi Shirk or bidat ka fatwa lagao Ashraf Ali Thanvi apni aik kitaab Shukr-e-Nema Bizkr-e-Rehamt-e-Rehma Page 18 (apni kitab main likh ta hay k Dil to yoon chah ta hay Darood Shareef ziada parhoon or wo bhi in alfaaz main wo alfaaz yeh hain Assalata-o-Waslaam Alaika Ya-Rasool Allah (Sallaho Alahi Wasllam) ab lagao fatwa apnay is Molvi per k wo Ya-Rasool Allah (Sallaho Alahi Wasllam) kion pukaar raha hay, Yaad rakho Ambiyaan Kiram apni qabroon main zinda hain aap ko aik Hadees ka hawal day ta hoon Hazrat Abu Darda (Razi Allah Tala Anho) say rawayat hay k Hazoor Sallaho Alahi Wasllam nay Irshad fermaya Bay shak Allah Azzwajal nay Zameen per Haram ker dia hay k wo Ambiyaa Alheh-Salam k jismoon ko khai pas Allah Azzwajal k Nabi Zinda hain or Rizq diey jatay hain (Bahawala Ibn-e-Maja)

 

 

or ab main aap ko aap ki is baat ka jawab dia jis main aap nay Aqa Sallaho Alahi Wasllam k Ilm-e-Ghaib ka inkaar kia

 

 

 

Sab say phelay to aap hamara yani k Ahl-e-Sunnat Waljamat (Hanfi Brailvi) ka Aqeeda sun lain k Hazoor Sallaho Alahi Wasllam Allah Azwajal ki Ata say Ilm-e-Ghaib rakh tay hain, ab main aap ko aik Quraan ki aik Ayat ka tarjuma bata ta hoon (Ghaib ka jannay wala apnay ghaib par kissi ko mussallat nahi ker ta, siwa-e apnay pasandeeda Rasoloon k, in k agay peechay pehra muqrar hay (Tarjum Kanzul Eman) or phir Aqa Sallaho Alahi Wasllam k Ilm-e-Ghaib per yeh Hadees bhi sun lain (Hazrat Umer Razi Allah Tala Anho say aik taveel hadees rivayat hay k Hazoor Sallaho Alahi Wasllam Mimber per jalwa Afrooz hoe or is Khutbay main Hazoor Sallaho Alahi Wasllam nay humain is dunya main jo kuch ho chuka or jo ainda hoga humain sab ki khabar di to hum main sab say bara alim hay jisay Sarkar Sallaho Alahi Wasllam ki batain ziyada yaad hoon, Whabi deobandi Aqa Sallaho Alahi Wasllam k Ghaib k munkir hain laikin phir in hi ki kitaaboon say main aap ko saboot doon k yeh gustakh-e-Rasool Sallaho Alahi Wasllam khud apni jhoti kitaboon main apnay jhotay waqat likh tay hain or apna Ilm-e-Ghaib Sabit ker tay hain (saboot chah hay to lay lo) or phir lagao fatwa apnay Deoband k Akabir Ulma per

 

 

 

Aqa Sallaho Alahi Wasllam apni Azwaj-e-Mutaharat main jo Adal or Isnaaf or jo Aitidaal fer matay is ki nazeer dunya k kissi shakhs main nahi militi, yehaan tak k safar main jatay waqt ager kissi Zoja Muhterma ko sath lay janay ka irada fermatay to Adl-o-Insaaf k taqazay k tehat qura-Andazi ferma tay or jis Zoja Muhterma k naam qura nikal ta unhain safar main hum rakabi ka sharf bakhshtay

 

 

 

Yeh waqia kafi bara hay is lee a main aap ko is k jawab main aik link send ke raha hoon jo k Asmat-e-Aisha Razi Allah Tala Anha main Hikmat-e- Khudwandi is ko parh lain or apnay aqeeday ko sahi ker lain aap ko aap k aitiraaz ka jawab mil jai ga

 

 

 

 

 

Wo link yeh hay http://www.razanw.org/modules/sunnibooks/item.php?itemid=50

 

 

 

 

 

Ab main aap ki is baat ka jawab doon jis main aap nay kaha k Hai Ya Alas Salah per namaz kai lia kharai honai ko lazmi samajhna ghalat hai.

 

 

 

Tariq bhai main aap ko Haya Alal Falah per kharay honay ki saboot main Hazaroon saboot day sakta hoon laikin aik baat yeh bhi janta hoon k aap ko ager manna hoga to aik hi saboot per maan jain gain or na manain gain to 1000 reference bhi aap ko bata na fazool hay

 

 

 

Ab main aap ko sirf aik Hadees or bataon ga or Hadees say barh ker is baat ka koi saboot nahi ho sakta

 

 

 

Imam Bazar apnay (Masnad) main Imam Abul-Qasim Al-Tibrani apnay Majam, Behqi apnay Sunan-Kubra or Muhaddis Semoya apni kitaab main Syed-Tuna Abdullah Bin Abi Ofa Sabhi Razi Allah Tala Anho say rawyat ker tay hain k Aap Razia Allah Tala Anho nay fermaya k JAB BILAL RAZI ALLAH TALA ANHO AQAMAT MAIN QAD-QAMAT-I-SALA KEH NAY LAGTAY TO RASOOL-UL-ALLAH (SALLAHO ALAHI WASSLAM) UTH KHARAY HOTAY PHIR ALLAH AKBAR KEH TAY

 

 

 

Ab aap is hadees per apnay Deoband Ulma Molvi Ashraf Alhi Thanvi or in k Khalifa Mufti Zafar Ahmed Usmani nay saaf saf likh dia k IS HADEES KI ASNAAD HASAN HAIN ab lagao fatwa apnay Deobandi Molvi per k wo kion is baat ko is Hades ko Ahsan likh raha hay

 

 

 

Is k Ilawa Namaz k lea Aqamat shoro hotay hi kharay ho jana na Sunnat hay na Mustahib balk-e-Makroh or Khilaf-e-Sunnat hay jab k Imam-o-Muqtadi masjid main hoon or ager Imam kharij-e-Masjid ho to muqtadi us waqt tak na khary hoon jab tak Imam na ajai, phir ager Imam safoon k samnay say dakhil ho to jab muaqtadi Imam ko dekh lain to khary hoon is lea k jab Imam Masjid main dakhil hogaya to Imamat ki jaga per pohanch gaya or ager Imam safoon k peechay dakhil ho to yeh sahi hay jis saf k ya is say guzray is saf k log kharay ho jain or Imam or Muqtadi k dono k Masjid main honay ki sorat main Hai-ya Alal Falah per Qiyaam ker na Mustahib hay jab k shoro takbeer k khara ho na makroh or mana hay

 

 

 

Fatwa Alam-Giri jo Fiqh-e-Hanfi main mustand or Mttafiq Alai Fatawa hain main likha hay k Aqamat main kharay ho ker Intizaar ker na makroh hay, beth jai or jab Moazzan ji Hai-ya Alal Falah per phonchay, issi terhaan Ilama Shami Rehmat-Allah bhi fermatay hain k khary ho ker intizaar ker na Makroh hay lehaza beth jai or jab Moazzan ji Hai-ya Alal Falah kahay to uthay Ajla Sahaba Kiram or Ta-Baeen Razi Allah Tala Anho k amal say bhi Hai-ya Alal Falah tak bethay reh na or is say pehlay khara ho na Makroh hownay k baraber hay, Hazrat Imam Muhammad Rehmatulla Alahi fermatay hain k jab Takbeer keh nay wala Hai-ya Alal Falah per phonchay to muqtadiyon ko chahyeh k namaz k lea kharay hoon or phir saf bandi ker tay hoi Safoon ko durast Karain,

 

 

 

Ager aap ko or bhi Haya Alal Falah ki saboot main Ahadees ka saboot chahyeh to main hazir hoon aap ki request per paish ker doon ga

 

 

 

Ab akhri baat jis main aap nay Ghair-rullah ko pukar nay ka Inkaar kia hay main aap ko is k jawab main aap ko Ahadees or Quraan say saboot day sakta hoon

 

 

 

Sab say phelay yeh baat samjh lain k Ambiyaa Alhai-Salaam or Aolia Allah Alhai-Rehma apnay chah nay waloon ki madat ker tay hain or madad maang na jaiz hay

 

 

 

Ab main aap ko Quraan ka hawala doon Allah Azzwajal Quran-e-Kareem main Sorah Tehreem Ayat number 4 main kuch isterhaan say Irshad fermata hay (Bay Shak Allah in ka madad gaar hay or Jibrail Alhai-Salam or Naik Iman Walay or is k baad farishtay madad ker tay hain (Tarjuma Kanzul Eman)

 

 

 

Aik jaga phir Allah Azzwajal apnay Piyary Mehboobs Aqa-e-Do jahan ki Shaan-o-Azmat ko biyaan ker tay hoe farma ta hay (Tumhara Madad gaar Allah or Rasool) (Tarjuma Kanzul Eman) ab tum aitiraz karo kion k jis kaam ko Allah nay Quraan main jaiz fer ma dia tum kon log hotay ho is ko najaiz, Shirk Bidat keh nay walay, tum kon hotay ho jo seedhay sadhay Sunni or Muslmano ko werghala ker un ko seedhay rastay say hata rahay ho, aik baat or kahoon k ager tum keh tay ho her cheez Allah Azzwajal say direct mango to tum log bohat buri terhaan say phans jao gay or apni baat ka jawab tumhary pass nahi hoga main yeh poch ta hoon k batao Allah na kitni namaz farz ki theen 50 ki theen na ager wo Nabi Sallaho Alahi Wasalaam or Hazrat Moosa Alhai Salaam k waseelay say 5 na ho teen to phir tum kaan khol ker sun lo kissi k baap ki majaal nahi thi jo 50 manazay ada ker ta Allah say direct mangnay ka dawa ker nay waloon tum ab 50 namzain parho kion k Allah nay 50 namazain farz ki theen laikin Aqa Sallaho Alahi Waslaam or Hazar Mosa Alhai Salaam k waseelay say Waseelay k mannay waloon k lee a 5 keen theen

 

 

 

Mr. Tariq jahan tak main samjh ta hoon k main nay aap ki tamam bataoon ka jawab day dia hay or aap ko ab samjh lay na chahey k hum Ahl-e-Sunnat Barailvi apna koi kaam Quraan, Hadees or Sunnat say hat ker nah ker tay

 

 

 

Ab tum mujhay is mail ka reply do or ager aap ko phir koi atiraaz ho to mujhay likhain Insh Allah Azzwajal main aap k us ka jawab Quran-o-Sunnat say doon ga

 

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(salam)

 

Islami Bhiyoon main nay jo deobandi ko mail ki thi wo bhi main nay post ker di hay or us nay jo reply dia ha wo bhi post ker raha hoon aap log mujhay is ka reply dain k main us deobandi ko post karoon

 

fi-aman:

 

sab sai pehlai to tum ko yeh bata doon kai mai R ya SAW likh raha hoon lakin jab bhe mai R ya SAW likhta hoon to dil mai complete read karta hoon aur tum ko chahia kai tum bhee complete parho na kai yeh samjho kai yeh R or SAW likha hua hai. R or SAW kai likhnai ka maqsad yeh hai kai parhnai walai ko ilm rahai kai yeh nabi or sahabi ka zikr ho raha hai. Alhamdulillah ham log Rasool(SAW) and Sahaba karam kai name kai sath Durood & Raziallah tala anh zaroor parhtai hain.

 

1- Very good, tum nai bohat jaga Quran ke ayaton ko un kai tarjumai kai sath code kia hai. but tum nai sirf apnai ulma ke likhai huai tarjumo ka refrence dia hai.

 

 

2- Quran mai aik jaga likha hai kai "musalmano masjid kee taraf mat jao", ab agar tum sirf yeh parho gai to tum samajho gai kai quran masjid kee taraf janai sai mana karta hai, but agar tum ayat kai agai aur peechai nazar dalo gai to milaiga " musalmano masjid kee taraf mat jao jab tum nashai mai ho". yeh ek example dai raha hoon. Quran ki ayat per iman lanai kai lia zaroori hai kai aap oos ko apnai sai ziada ilm rakhnai walai sai discuss zaroor karain aur pehlay oos ko batain kai aap nai is ayat ka kia matlab lia hai.

 

3- Tum ko pata hai kai Hazrat Khadija ® aur Hazrat Hamza ® ki nama-z-janaaz nahee parhee gai thi. Bcs jab in ka intiqal hua tha to oos waqt Namaz-e-janaza ka hukm nahi tha.

 

 

4- Hazrat Muhammad (saw) nai jaisa din ham ko mukamal kar kai dia hai ham oos mai 1% bhe + or - nahi karsaktai. mujh ko 100% yaqeen tha kai tum marai R & SAW likhnai par aiteraz karo gai.

 

5- Surah Ikhlas ka tarjuma hai " Kaho Allah ek hai. Allah bai niaz hai. Na woh kisi ka baap hai & na hi kise ka beta aur koi oos ka ham sar nahi." Jo hadis tum nai code ke hai Hazrat Muhammad (saw) kai hawalai sai to oos kai sirf Words per hee tum nai ghaur kia oos kai mafhoom ko nahi samjha. arabi kai tarjumai mai agar Bracket () mai koee cheez likhi ho ti hai to woh izafi hoti hai translation nahi hoti. Hazrat Muhammad (saw) Allah kai bai shumar noor aur inamat mai sai afzal tareen noor hain, but woh Allah kai noor sai hain yeh tum log () mai kion likhrahai ho, bcz tum log yeh samjhtai ho is lia likh rahai ho.

 

 

kia kabhi 2nd kalima ka translation read kia hai jis mai ham gawahi daitai hain kai Muhammad(SAW) Allah kai bandai aur rasool hain.

 

 

1st of all tum Allah ka shukr ada karo kai oos nai tum ko aik Muslim family mai paida kia. Ab tumhara farz hai kai tum apnai aap ko sahi rastai ke taraf chalanai kee koshish kar. Mai 3rd time tum ko phir advice doon ga kai aik dafa raat ko sonai say pehlai 2 rakat nafil namaz parh kar Allah sai dua karo kai woh tum ko Islam par sahi tareeqai sai amal karnai kee taufeeq ata karai, aur phir koee sa bhee khayal kia baghair so jana, Insha Allah nafa hoga.

 

 

tum 50 namaz kee baat kartai ho, abay bhai Allah tala nai yeh kainat banai hee Hazrat Muhammad (saw) ke waja sai hai. Yeh mairee khushkismati hai kai Allah nai mujh ko 1st-Insan 2nd-Muslim & 3rd-Hazrat Imam Abu Hanifa kai maslak mai paida kia.

 

 

Mera khayal hai kai tum baat baat per kufr ka fatwa laganai mai dilchaspi rakhtai ho, mai nai ek dafa bhi yeh nahi likha kai haree pagree (barelvi maslak) kafir hai or gustakh. Sahi Muslim mai aik hadees hai, Mafhoom ( agar koe shakhs khauf sai bhi LA ILAHA ILLALAHO parh ta hai tab bhi woh Allah & Muhammad (saw) ke zimadari mai ajata hai aur oos ko kafir kahna ghalat hai ).

 

 

Hazrat Aisha ® sai mutaliq waqai ka mujh ko achee tarh ilm hai. Tum hai mujhko batanai kee zaroorat nahi hai.

 

 

Mukhtasaran yeh kai, tum Hazrat Muhammad (saw) sai or deegar aulia karam sai hee mango.

 

Mai to Allah sai waisa mangoonga jaisa Hazrat Muhammad (saw) nai mangnai kai lia kaha hai. Kia tum nai Hazrat Umar ® ka river neel ka waqia parha hai, agar nahi to pehlay kisi aalim sai maloom karo phir mujh ko likhna.

Edited by Mutlaashi
Link to comment
Share on other sites

(salam)

Sarfaraz bhai puri Taqwiya-tul-Iman tu Internet per available nahi but lijiye iss ki chand KUFRIYA ibarat meine attach kar di hain umeed karta hon app Haq-o-Batil ko pechano gai.

 

fi-aman:

 

(salam)

main ny yeh sary page pary hain mujhy page no 77 k elawa koi our baat ghalat nehin lagi.

Aap log yeh nehin samjho k main aik wahabi hoon is liay yeh keh raha hoon.

main to yeh chahta hoon ham muslims aik ho jayin.

ho sakta hai k main ghalat hoon(ALLAH BEHTAR JANTA HAI).

Aap logoon sy aik guzarish hai k meri aik baat man lo. Agar hamry ulmah karam kisi bat par itfaq nehin karty to aap khud socho k  kia sahi hai kia ghalat our jo aap ko sahi lagy os par aamal karo. yeh mat soocho k main is firqy sy hoon lehaza

mujhy is firqy ki sununi chahiay.

Aap sab KHUDA k liay apis ka yeh jagra band karo.

 

agar aap logoon ko kuch aitraz hai to plz let me know.

agar meri koi baat aap ko bury lagi to plz mujhy maaf kar dijiay ga beshak ALLAH maaf karny waloon ko maaf kara hai.

our agar aap yeh samjhty ho k main kisi jagah par wrong hoon to plz meri islah karo.

kyion k main aik gunagar banda hoon. ALLAH ham sab ko sidhi rah dikhay

AMEEN

Link to comment
Share on other sites

(salam)

main ny yeh sary page pary hain mujhy page no 77 k elawa koi our baat ghalat nehin lagi.

Aap log yeh nehin samjho k main aik wahabi hoon is liay yeh keh raha hoon.

main to yeh chahta hoon ham muslims aik ho jayin.

ho sakta hai k main ghalat hoon(ALLAH BEHTAR JANTA HAI).

Aap logoon sy aik guzarish hai k meri aik baat man lo. Agar hamry ulmah karam kisi bat par itfaq nehin karty to aap khud socho k kia sahi hai kia ghalat our jo aap ko sahi lagy os par aamal karo. yeh mat soocho k main is firqy sy hoon lehaza

mujhy is firqy ki sununi chahiay.

Aap sab KHUDA k liay apis ka yeh jagra band karo.

 

agar aap logoon ko kuch aitraz hai to plz let me know.

our agar aap yeh samjhty ho k main kisi jagah par wrong ho to plz meri islah karo.

kyion k main aik gunagar banda hoon. ALLAH ham sab ko sidhi rah dikhay

AMEEN

 

shami me nahin janta aap kis maslak se talluq rakhty hain...par aapny ye likh kar..

 

main ny yeh sary page pary hain mujhy page no 77 k elawa koi our baat ghalat nehin lagi.

 

kufriya ibarat par apni raza ka izhar kiya hai or kufr apny upar lazim kiya hai....upar jitni bhi ibartein highlighted hain sari ki sari kufriya ibartein hain....is liye aap sachchy dil se touba karein..or la lilmi ki wajah se kabhi bhi is tarah ke alfaaz apni zuban ya kalam se na nikalein or na hi in par razi hon....Allah Hidayat de...AMEEN

 

yaad rakhiyega insaan islam me dakhil bhi ek choty se kailmy se hota hai or kharij bhi cohoty se kalimy se.....imaan sab se bari dolat hai is liye hamesha iska tehffuz kijye kahin aisa na ho be deeno or gumraho ke waqalat karty karty imaaan se hath dho bethein... fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

Shami Sahib...

Aapki Ager Waqayi Islah Ki Niyat Hai Tu Abhi Main Jo Likh Raha Hoon.. Aap Tawajo Sey Perhye Ga.. Beyshak Allah (azw) Hidayat Deney Wala Hai...

 

Aap Ka Koi Na Koi Qareebi Rishteydar tu Yaqeenan Is Jahan e Faani Sey Rukhsat Howa Hoga...

 

Aik Aadmi Hai Zaid... Woh Aapkey Marhoom Dada Naana Ya Kisi Aur Qareebi Rishtadar Key Barey Mein Kehta Hai... Aap Key Dada Tu Mar Ker Mitti Mein Mil Gaya Hai... Kabhi Qabristan Chaker Laga Liya Kero...

 

Underline Alfaaz Per Ghour Kerein.. Zaid Ki Baat Aapko Buri Lagey Gi Ya Nhin.. In Alfaaz Mien Aap Key Dada Key Liye Haqarat Hai Ya Nhin...?

 

Hadees-e-Pak Mein Hai... Qabar Jannat Key Baghoon Mein Sey Aik Bagh Hai Ya Jahanam Key Garhoon Mein Sey Aik Garha...

 

Tu Hamarey Jesay Gunahgar Insano Key Liye Ager Koi yeh Bat Kahey Tu Humein Ghussa Aajaye Key Tum Ney Merey Baap Daada Key barey Mein Aisey Kaha...

 

Aur Page Number 44 Per Dekhye... Us Ney Kiya Likha Hai Allah Key Nabi (saw) Key Barey Mein... Fiqah Ki Kutub Mein Hai Key Ager Sarkar (saw) Key Barey mein koi Aisey Alfaaz Istimal Kiye Gaye Jin Mein Haqarat Payi Jaye.. Agerchey Kehney Waley Ki Muraad Tehqeer Ki Na Hoo.. Phir Bhi Woh Kafir Ho Jaye Ga... Maslan Sarkar (saw) Ki Nalain Mubarak Ko Koi Haqarat Sey Jutri Keh Dey.. Tu Woh Kafir Ho Jaye Ga... Ya Kahey Aap (saw) Key Paseena-e-Mubarak Sey Badboo Aati Thi.. Woh Kafir Ho Jaye Ga... Aur Is Bat Ka Saboot Aapko Deobandi Fatawa Ki Kutub Sey Bhi Mil Jaye Ga.. Fatawa Imadadiya, Al-Mohnid, Ash-Shahab-us-Saqib.. In Sab Kutub Mein Yeh Bat Mojod Hai Key Ager Kehney Waley Ki Niyat Haqarat Ki Na Ho.. Mager Alfaaz Mein Toheen Payi Jati Ho Tu Woh Shakhs Kafir Ho jaye Ga...

 

Aur Aap Kehtey Hain 77 Key Ilawah Koi Aur Bat Ghalat Nhin Lagi... Hairat Hai Aap Key Samjhney Per...

 

Chalein jis Ney Yeh Kitab Likhi.. Molvi Ismail Dehlavi... Us Key Barey mein Wahabi Deobandi Yeh Khitabaat Istimal Kertey Hain...

 

Hazrat Maulana Shah Ismail Shaheed Dehlavi Aleha ma Aleha... Main Kehta Hoon.. Deobandi Apni In Shakhsiyat Ko Kitney Khitabaat Detey Hain.. Halankey yeh Sab Mar Ker Mitti Mein Mil Gaye... Dehlavi Mer Ker Mitti Mein Mil Gaya... Inka Nanotavi Mar Ker Mitti Mein Mil Gaya... Thanvi Mar Ker Mitti Mein Mil Gaya.. Gangohi Mar Ker Mitti Mein Mil Gaya.. Anbethavi Mar Ker Mitti Mein Mil Gaya...

 

Kiya In Jumlo Mein In Deobandi Ulema Ki Tazleel Hai Ya Nhin? Ager Nhin Hai.. Tu Aik Kam Kerein.. Yahi Alfaaz Kisi Deobandi Forum Per Copy Paste Ker Dein... Ager Aapki Post Salamat Rahey.. Tu Is Forum Per Aaker Bataye Ga... Albata Yeh Aur Bat Hai Key Wahan Ban Honey Ya Warning Milney Key Chances Hain...

 

Ager Ismail Dehlavi Ki Aur Ibaraat Ko Aisey Khool Ker Bayan Kiya Jaye tu Buhut Time Lagey Ga.. Umeed Hai Sirf Isi Aik Ibarat Per Aapko Samajh Aajaye Gi.. Ager Aap Key Seeney Mein Kuch Iman Ka Noor Baqi Hai Tu...

 

Baqi Ibaraat Ko Bhi Perh Lein Key Kiya Yeh Batein Aap Apney Maan Bap key Barey Mein Qabool Kertey Hain Jo Allah Key Habib (saw) Key Liye Ker Rahey Hain???

 

Ager Aapko Samajh Aagayi Hai.. Tu Tauba Zaror Kejiye... Aur Ager Nhin Aayi Tu Allah (azw) Aapko Hidayat Ata Fermaye... Aameen

 

Meri Koi Bat Buri Lagi Ho Tu Muazrat... Mager Yeh Aapko Samjhaney Key Liye Tha...

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...