Jump to content

Ek Sawal


Gulzar

تجویز کردہ جواب

Aslamo Elekum!

mera sawal zara section se hat kar hai, Kuch log Wireless Card ke zariey muft mein internet istimal karte hain. yani ke wo Wireless Card apne computer mein lagate hain aur un ke ghar ke nazdeeq ya door jin ke ghar intenet hota hai to yeh log wireless card ke zariey auron ka connection apne computer mein khinch kar istimaal karte hai. is tarah dono hi internet ka istmall kar saktey hain.

to aisa karna jaiz hai ja nahi. kyon ke is ke zariey har maheeney kuch bhi pay nahi karna pardta.

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

Maira khayal hai kay ugar jis shaks ka internet hai us nay usay secure nahe kia aur dosray shaks ko signals receive ho rahay hain tu wo use kar sakta hai kyu kay aaj kal specially london waghaira mai samghain kay organization hai jo apnay broadband connectivity share kartay hain har aik say ab aain mumkin hai us shaks nay jan bojh kay usay open rakkha ho aur ugar nahee rakha jab bhe us shaks nay ahtamam nahe kia aur jo cheaz baghair ahtamam kay aisay he bila hifazat chor de jaiay us ko lay laina ya uska istamal karna i dont think kay chori ya saraqa kahlata hai..

 

albatta agar wo connection protected hai phir us mai kisi tareekay say break in karna ya us ki passcode key (ugar us kay computer mai access hai) churanay ya hack karnay ki koshish karna sahee nahe hoga..

 

Allah azzawajal say dua hai kay koi ghalati ho tu maaf farmaiay amin aur jo aalim hain wo mairi islah kar dain

 

wasslam

Edited by Saif ul Islam
Link to comment
Share on other sites

Lekin yeh kaam chori ki categorie mein nahi ata, ke bina kisi ki ijazat ke baghair kisi ki cheez ko istimaal karna.

Jis shakhs ke paas internet severice hai use to bata bhi nahi hoga ke us ka internet koi aur WC ke zariey istimaal kar raha hai. halanqe har maheeney bill to wahi deta hai na.

please is topic pe thordi mazeed guftago kijiye! mujey thordi jard tak jana hai!

Aap ki replies ka bohat bohat shukriya

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

kisi ki pemission k baghair kisi ki cheez use karna najaiz hai.Jahari baat hai ye chori mein aa jata hai.

Saif ul islam bai ap ne farmaya k "jis shaks ka internet hai us nay usay secure nahe kia aur dosray shaks ko signals receive ho rahay hain tu wo use kar sakta hai"

kyoun kar skta hai?Nahi use kar sakta ye najaiz hai.

Koi bhe aisa qaam jis se Musalman bhai ko taqleef pohnche Islam karne se mana Farmata hai.

Correct me if im wrong!

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Aap Yeh Suwal Dar-ul-Ifta AhleSunnat Per Likh Ker Bhej Dein.. Wahan Sey Fatwa Aapko Jald Hi Mosol Ho Jaye Ga...

 

Baghair Ijazat Dosrey Ki Cheez Istimal Kerna Jaiz Nhin... Aur Phir Is Mein Us User Ko Malom Perney Per Zillat Ka Andesha Bhi Hai... Key Zahir Hai Uski Chez Bila Ijazat Use Ker Raha Hai.. Aur Ager Uski Bandwidth Limit Hoo Aur Zyada Downloading Ki Wajah Sey Usko Heavy Bill Pay Kerna Perta Ho Tu Dosrey Countries Mein Maybe Is Per Report Bhi Ho Sakti Hoo...

 

Behter Yeh Hai Key Muftiyaan Karaam Sey Fatwa Hasil Ker Lein..

Wassalam Ma'Al Ikram

Link to comment
Share on other sites

  • 2 years later...

Aslamo Elekum!

mera sawal zara section se hat kar hai, Kuch log Wireless Card ke zariey muft mein internet istimal karte hain. yani ke wo Wireless Card apne computer mein lagate hain aur un ke ghar ke nazdeeq ya door jin ke ghar intenet hota hai to yeh log wireless card ke zariey auron ka connection apne computer mein khinch kar istimaal karte hai. is tarah dono hi internet ka istmall kar saktey hain.

to aisa karna jaiz hai ja nahi. kyon ke is ke zariey har maheeney kuch bhi pay nahi karna pardta.

 

(wasalam)

 

istrah doosray ka internet connection chura kr istemal krna jaiz naheen hay.

 

http://mufti.faizaneattar.net/Answer.php?Q=29498

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...