Jump to content

Ghulam e Azhari

Translating Team (M)
  • کل پوسٹس

    349
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    4

سب کچھ Ghulam e Azhari نے پوسٹ کیا

  1. Assalamu'alaiyah! Agar yeh sirf Farooi ikhtilafat hote to main zaroor aap ki baat manta aur apka bhai kehlwane main fakhr mehsoos karta, lekin yeh Rasool ki nisbat aur muhabbat hi hai keh jiski waja se aap ke aqaaid main ikhtilaf hone par main apka bhai nahi ho sakta. baharhaal, aqaaid par to ham ne koi baat nahi ki, aur agar is topic par ki to phir se topic kahin aur ko murh jaega. Lekin main apko suggest zaroor karunga keh Aqaaid par bhi baat karain keh Aqaaid-e-Ahle Sunnat main kia kia ghalat hain, taake is par bhi aap ki islaah ho sakke lekin woh kisi aur topic par kariye ga. Theek hai, aap ne maan lia yeh baat woh nahi jo aap ne kahi balke jo wazahat aapko bataai gai wohi theek hai. Ab InshaAllah baat aegi keh yeh tehreef hai ya nahi imamat ki sharait main. Maine to sirf yeh kaha tha keh aapne jo mafhoom bayan kia usse Ullama par bohtaan badha hai. Kia wakai yeh bohtaan nahi keh jo baat Ullama ne kahi hi nahi woh baat Ullama ki taraf mansoob karna? Iska jawab zaroor di jiye ga. Aap nahi samjhe, phir meri aik aur baat sach sabit hogaee aap ne kaha sirf yeh 5 masaail hain aap sahih sabit karke mere ameer ban jaen, phir aap ne baaton hi baaton main mazeed masale barha diye. ab aap janaze aur taraweeh waghera ko le aen hain. Tabhi to maine kaha tha aap se keh bunyadi baatain taake aik hi waar main saare masale khatam hojae lekin aap masaail laate rahenge laate hi rahenge jisse apki woh baat ghalat sabit hojaegi keh janab 5 bayan karo aur ameer banjao. ab banda itna bhi ghair hazir dimagh na ho! Aik baat par rahain, aap ne masaail pooche us ka jawab to mil hi jaega aapko InshaAllah. Chalain maani apki baat keh pehle apko pata nahi tha, aur zabardast aapne hi kaha keh apke liye Durr-e-Mukhtar Hujjat nahi. Theek theek! Janab maine beshumar masalon ka mutalba nahi kia tha, balke sirf us masale par multalba karraha tha jo aap ne bayan kia keh "Imamat woh karaae jiska sar barha aur sharamgah choti ho". Maine yeh mutalbat kiun kiye? Jawab yeh hai keh maine yeh mutalbat is liye kiye keh mamla aap yahan tak le aae the keh jo bhi ho akhir yeh Muslim Sharif ki 4 sharait wali Hadees ke khilaf hai. Maine kaha theek hai agar is baat ka jawab diya hai to phir aap yeh sab se pehle maanain jo mafhoom aap Qazi sahib ne bayan kia woh ghalat tha waghera waghera. aur woh mutalbat ese bhi nahi hain keh masala Kashmir ban jaen, bohot hi saade se mutalbat hain. Aur shuru main hi aap ne kaha tha keh aap Qazi sahib Islah ki niyat se aae hain, to manie aapki Islaah ki niyat se hi yeh multalbat kiye hain, agar aap isko apni ana ka masla bana lenge to shayad ap apni Islaah kabhi na kar paenge. To aap maan rahe keh namazain jama karna, sharab se bana sirka aap ne nahi poocha? Chalain aapki marzi agar aap un par baat nahi karna chahte... Ab yeh mujhe ikhtiyar hai main jawab doon ya na dun kiunkeh aap jawab nahi chahte. InshaAllah waqt ne ijazat di to in par bhi baat karunga. Chaliye mamla aage barhate hain. Aap is baat ka jawab dain keh aapko kis ne bataya keh Durr-e-Mukhtar ki 21 ibaraat dar-haqeeqat imamat ki sharaait hain? Iska jawab dain taake mazeed baat aage barhe. Main apni hifazat pehle hi kardun keh maine to nahi kaha keh woh 21 ibaraat imamat ki sharaait hain.
  2. Yaqeen karain aap ki meethi zuban se main mutassir hua. lekin main bhi ese nahi chorh sakta bhai majboor hun, jab tak poori baat na ajae nahi chorh sakta . Aap ki post parh kar kafi raste saamne khulte hue nazar arahe hain mustaqbil main. Baharhaal, mere yeh chand mutalbat hain jo moqa ke mutabik bilkul durust hain. 1. Aap sab se pehle yeh maanain keh aap ne ibarat ka ghalat mafhoom bayan kia ya chalain yeh maan lain keh aapko ghalat mafhoom bataya gaya. 2. phir yeh maanain keh yeh Ullama-o-Awam-e-Ahnaaf par aik bohtaan bandha tha. 3. Phir aap yeh bhi maanain keh Shamsheer bhai ne kabhi yeh nahi kaha keh Durr-e-Mukhtar Ghair-e-Hanafi ki kitab hai aur yeh bhi kabhi nahi kaha keh Durr-e-Mukhtar ki koi hujjat nahi balke maine hi zabardast un par yeh baat chaspa ki. 4. Phir aap in bohtan aur ghalat bayani se alal ailaania taubah karain aur kahain aainda is masale ko bunyad bana kar kabhi Fiqah Hanafi ki mukhalfat na karunga balke apne hi Ghair Muqallidon ko bhi yeh samjhaunga. Agar aap yeh baatain qabool karte hain, phir InshaAllah discussion forward karne main main bohot bohot khushi mehsoos karunga. Phir InshaAllah imamat ki 4 sharait wali Hadis ka bhi jawab main aap ki khidmat main paish kar dunga. Agli post main hi agar cheh aap ne oopar wale mamlat tasleem karliye. Yeh to hui aaj ki nai baat, phir aap ne wazahat poochi to bhai ibarat ka mafhoom yehi hai keh sar mubarak baqi jism ki nisbat barha hona intelligence ki nishani hai. A person is considered to be intelligent whose head is bigger as compared with his body. Umeed hai ab kafi wazeh hogaya hoga, Durr-e-Mukhtar ki ibarat no. 14 ka bhi jawab InshaAllah aap ko dunga. aapka mamlat tabdeel karlena ho sakta hai durust ho, lekin aap agar meri jagha hote to kia aap bohtaan lagta hua dekh kar khamosh rehte agar cheh aap main uska jawab dene ki taqat ho? zahir hai nahi, lehaza maine is masale ko pehle jawab dena munasib samjha. Phir aap ne yeh bhi maan lia keh mamlat aap hi ne tabdeel kiye, to ab yeh bhi maanain keh aap ne jo pehle kaha tha "maine to 5 kahe aap ne apni marzi se khud barha liye" yaqeen karain bohot hi na-qabil e Hazam baat hai. Bhai akhir maine kab aur kahan khud se mamlat tabdeel kiye jab aap khud maan rahe hain keh haan maine kiye. Aur Rafayadain ke jawaz aur adam jawaz par to hamari koi behes hi nahi hui aur aap ne direct usko bhi shamil kardia. Maine to sirf yeh poocha tha keh isko aaj bunyad kiun na banaya gaya, uska jawab baharhaal doosre topic par hi decide hoga. Phir main aap ko batata hun aap ne to pehle 5 sawal qabool karliye, phir 6th 7th aur 8th main batata hun woh nahi jo aap ne pichli post main likhe balke yeh hain: 6. kya Rasoolullah sallallaho allehe wassalam ne hukum diya ki imamat ki sharayat me sab barabar ho to imamat wo karey jo jiska sar bada ho aaur sharmgah choti ho. 7. Namazain Jama karna sunnat hai. (yeh maine apne alfaz main likha) 8. Sharab se bana hua Sirka Haram ya Halal? (yeh maine apne alfaz main likha) Phir aik aur baat kehna chahunga keh aap ne chalaki ka muzahira karte hue aik masala aur dakhil kardia yaani naaf ke neeche hath bandhna aur woh bhi masala no.3 main likha taake main direct no. 5 k baad se parhna shuru karun to woh main na parh sakunga. Akhri baat yehi hai bhai us topic ki itni lambi discussion ho hi issi liye thi keh aaj aap 8 masaail laae, baton hi baton main 3 aur dakhil kar diye... phir kal ko 10 mazeed le aenge is tarha aap laate jaenge aur jawab ka mutalba karte rahenge jesa aap ne khud kaha keh hazaron masaail hain? Is tarha to kaam nahi chale ga na bhai. Woh topic tha hi issi liye keh decide hojae Imam-e-Azam ke akhaz kiye hue masaail ki sharai hesiat kia hai aur Hadis qabool karne ka sha'oor un main kitna tha waghera waghera taake yeh pata chal jae keh Imam-e-Azam ne Deen main sahih masaail bayan kar ke Din ki barhi khidmat ki hai. Is se bunyadi mamlat hi pata chal jaate hamain. lekin bad-qismati se woh na-chal saki aur baat wohi atak rahi thi keh mere masalon ka jawab do mere masalo ka jawab do. Ab dekhain, yeh to aik choti si discussion thi, oopar diye hue mutalbat ko na bhooliye ga kiunke main nahi chahta agle post main main aap ko kahun keh bhai uska kia hua? ab to main yaad dilwa dilwa kar thak gaya hun yaqin karain! Mumtaz Hussain Akhtar ul Qaadiri.
  3. Janab Peer aur Azan sahib, bardasht nahi hua na? Wakai andaza lagaen keh kis qadr khurafat thien un molvi hazraat ke andar keh zikr karne se saamne wale ki full-time hatt jae. Khair yeh to aik sample tha, chalain jesa keh aap ne kaha ab esi koi baat nahi laani to nahi lata, aur aap ne kaha keh topic par baat karain...... janab aap ankhain khol kar parhain topic par baat maine 98% ki aur baqi 2% ap ke molvi sahib ki baat. to usko itni jaldi kese khaa gae? Sab kuch chorh ke deobandi molvi sahiban ki ibaraat paish karne se mana kar dia woh topic par discuss kon karega?
  4. Maine kab kaha keh Sahib-e-Durr-e-Mukhtar Hanafi nahi the? Bostan hai...! maine kaha yeh hukm jo aap ne bataya hai yeh kisi Hanafi Aalim ne nahi dia keh sharamgah choti ho. aur aap kehte hain maine Sahib-e-Durr e Mukhtar ko ghair-e-Hanafi keh dia...? Maine kab kaha Durr-e-Mukhtar kisi Hanafi ki nahi likhi hui? doosra bohtan! Ab main wazahat karta hai. Jo masala aap ne bayan kia hai "Imamat woh karae jiska sarr barha aur sharamgah choti ho" yeh masala kisi Hanafi Aalim ne nahi diya. Yaani ibarat ka jo ghalat mafhoom aap ne akhaz kia hai woh kisi Hanafi Alim ka mafhoom aur masala nahi hai. Umeed hai ab aqal main baat agai hogi. Is ki wazahat main kar chuke hain ghor se parhain: Shamsheer-e-Ala Hazrat: Is baare main aap mazeed baat karain, phir InshaAllah aik aur masala aap ko bataunga imamat k baare main. Astaghfirullah! barhi umar ke aadmi, ap ki hi post main quote ki hai is topic ki pehli post main aap dekh sakte hain us post main aap ne 7 masaail cherhe ab mukar rahe hain aur keh rahe hain keh maine to sirf 5 kahe the baqi aap ne apni marzi se barha liye. yeh teesra aur ghatiya tareen bohtaan hai. Aainda se thorha hazir dimaghi ka muzahira ki jiye ga, yeh tanz nahi suggestion hai.
  5. Assalamu'alaiyah! Barhi umar ke aadmi, aap hi ne kaha tha keh mere jawab par tabsara karenge phir bhool gae? Ab tak to woh tabsara aap kar chuke hote. Chalain ab aap jawab dain taake yeh discussion continue rahe. Baqi masaail bhi chalte rahainge aap yeh to poora karain. Baqi raha Rabi un Noor sharif ka masala is par kafi topics open ho chuke hain kahin bhi jaa kar Deobandio ki haan main haan wahan jaa kar milaen.
  6. Arre main to samjha tha aap ko asan zuban samajh main aati hai lekin hadharmi ki hadd hai. Ab main kis zubaan main aapko bataun keh aurat ka TV par Naat parhna Haraam Haraam Haraam hai? Chahe woh kisi bhi maslak se talluq rakhe, yeh Haram fe'el hai. Aur fatwa lene ki jahan tak baat hai to fatawa to bohot katheer tadaad main aapko mil jaege is baare main aur Kisi mustanad Sunni Alim ka naam batao jis ne TV par auraton ka Naatain parhna jaiz qarar dia ho! Phir awam ke fe'el ko aap Ullama par kiun chaspa karrahe hain? Awam to awam hai. Agar woh Haram fe'el kare is ka matlab yeh nahi keh Ullama ka bhi yehi tareeka hai. itni choti si baat bhi aap ko samjhani parh rahi hai, sharm ka maqam hai. Yaqinan Ullama is fe'el se mana karte hain, to jo auratain Ullama ka hukm nahi maanti unke fe'el ki kia hesiat rahi phir maslak main? Allah hamain un logon ke shar se bacha jin ke barhe molvi hazraat khud to ab "mar kar mitti main mil chuke hain" aur apni zindagi main to yeh hesiat thi keh randi-khaane main aik randi bhi nafrat main keh gaee "tere to mounh par to main paishab bhi na karun". Herat hain aap logon ki bunyad kia hai aur ab mozu kia. Aur Parde ka lehaaz ka aap ne poocha, to aap ki kam-aqali hai keh aap ne samjha keh mehfil ussi ko kehte hain keh jo TV par aae aur woh khawatin munaqid karain. Parde ka lehaaz matlab mard hazrat munaqid karain, parhne wale mard hon aur mehfil main bethne walon main se khawatin ki alag jagha ho aur mardon ki alag keh mixing hargiz na ho. Ab umeed hai mera point bilkul clear hogaya hoga.
  7. Arre! Bhai RadiatingAli par attack ki niyat se ghalati se aap ne to apni hi tareef bayan kar dali...lol Zara apne pichle posts parhain time nikal kar, yeh baat aap par 100% fit hoti hai. Bila waja ki behes jaari rakhna woh bhi na-sar ki na-pair ki... aur akhri post apka ho taake yeh ghalat fehmi zahir hojae keh Deobandi ghalib hain is topic par... lol, yehi aap ki niyat hai.
  8. MashaAllah barha hi Sahih mutalba hai Mudasir bhai ka. Is qadr bakwasat aur khurafat e Ghair Muqallidiyat par aaj tak kiun kisi Wahabi Mufti ko ghairat na aae aur un khabeeson par Jahannumi hone ka fatwa na dia? Agar dia hai to paish karain, agar nahi to kisi barhe mufti se likhwa lain. Hujjat ke baare main to maine kia kuch likh dia tha post main lekin phir sharm ke maare post na kar saka aur delete kar dia. Ishara de deta hun keh main aap ke Nikah Khwan Hazraat ke baare main likh raha tha keh woh bonge bhi baghair hujjat wale hain.
  9. Mazrat chahunga takheer ki, aap ke aik barhe bhai Ghair Muqallid ko bhi thikaane lagana tha to kuch dehaan wahan chala gaya, Jawab hazir hai. Jee janab aurat ka be-parda mard ke saamne ana jaiz nahi, na hi TV par ana jaiz hai. Aurat ka TV par ana hi Haram hai to uska TV par Naatain parhna to ziyad barha jurm hai. Choonkeh aurat TV par aakar Naat parhti hai, aur yeh choonkeh us mehfil ka juzz hai keh zahir hai aurat parh rahi hai Naat to us mehfil ka juzz ban chuka hai keh yeh mehfil hi khaas issi k liye hai keh aurat aakar Naat parhe taake yeh mehfil dar haqeeqat "khawatin special" bann jaae. aur agar aurat na parhegi to zahir hai woh baat hi na hogi jis se Haram ho. Kisi paak mehfil ko paak rakhne ke liye in na-jaiz kaamon ko door rakhna chahiye, albatta un na-jaiz kaamon se woh mehfil Haraam nahi hojati agarcheh woh Haram kaam us mehfil ka juzz na bane jesa keh Article main wazeh hai. Agar ghor se article parha hota to yeh baat kabhi na cherhte aap. Aap in chakkaron main parh rahe hain, janab agar koi mehfil ho jis main Quran, Ahadeeth, Naatain, Seerat-e-Nabawi, parde ka lehaaz, Paak Saaf Sunnaton bhari Mehfil ho wohi aap ko na-gawar guzre gi us par bhi aap la'an ta'an karainge, jesa keh doosri post main aap ne ishara kar dia hai. Nisar teri chehel pehel peh hazaron Eidain Rabi ul Awwal, Siwae Iblees aur Deo-k-bandon ke jahan main sabhi to khushian mana rahe hain. Aap ki baqi posts bhi maine parhien, lekin woh mujh se kaee oonche darje rakhne wale bhaiyon se aap ne sawal kiye to un ke zabardast jawab aane ki khatir sabr karunga.
  10. Rabi un Noor sharif main masroofiyat aur safar ki waja se jawab main takheer hone par mazrat chahta hun. Jee nahi, Piyare Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne yeh hukm nahi diya. naa hi Ullama-e-Ahnaaf ne yeh kaha hai. Jesa keh main pehle soch chuka tha keh ibaarat ka ghalat matlab Qazi sahib ne bayan kia hai lijiye jawab hazir hai. Durr-e-Mukhtar, V2, P252 par Matin ne Uzwan likha hai, jiske hashia par Allama Shami ne likha keh baz log is se zakar (yaani sharamgah) muraad lete hain jo durust nahi. Balke a'za ka sadol hona murad hai. Sar baqi tamam jism ki nisbat barha hona aqal-mandi ki daleel hai, uzoo ka ma'na Sharamgah wohi karega jis ke zehen main woh cheez ho. Aur jis ke zehen main yeh cheez ho woh yeh masaail bhi apne barhon k par amal karega: "Gaae ka gobar peshab paak aur halaal hai. (Fatawa Ahle Hadith, V2, P566) "Mani paak hai." (Fatawa Ahle Hadith, V1, P240) InshaAllah is masale par mazeed behes ki zaroorat paish nahi aegi. haan albatta ullama par jo tohmat lagaai gaee hai us par taubah zaroor karni chahiye! InshaAllah mazeed jawabat jald hazir karunga.
  11. aap ko bataya tha na keh is discussion ko continue rakhne ke liye aap ke woh 5 se ziyada (jin ko ab aap sirf 5 tak mehdood karrahe hain apni hifazat ki khatir) doosre topic par muntakil kar diye hain aur us par main baat bhi karraha hun lekin apki himmat nahi hui udhar kuch likhne ki? phir se note karlain yeh hai woh topic: http://www.islamimehfil.info/index.php?showtopic=7364 Aap ka kehna ghalat hai, ap usko hujjat maante hain jisko Imam Bukhari Radi Allahu Anh ne apni Sahih main likha. Aap ke mutabik Hadeeth wohi hai jo Imam Bukhari ne kahi, baqi to... Allah muaf karre aap kia kia kehte hain. Aur Imam ka qoul wohi hai jo Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne kiya. Nabi ne alag alag a'maal kiye to har Mujtahid ke apne ilm ke mutabiq konsa amal chalna chahiye, us par wohi daleel paish karte hain. Mana keh shuru main woh Hanbali tha, lekin apki tarha usne bhi Ibn e Taimiya ki taqleed ikhtiyar karli thi. Agar agli post me 5 sawalo key jawab de sake to theek warna rahne de. agar aap de denge to main aap se phir kuch nahi poochunga aaur aap 1000 sawal bhi karenge to inshallaha sab key jawab doonga. Qazi: jhoot bolte hue aap ko sharam nahi aati... Astaghfirullah! Aap ne in ka jawab nahi diye jo keh main pooch chuka tha third last post main: Yeh to pehle hisse ka jawab hua, shukar hai kuch to kaha. Phir doosre hissa ka jawab nahi diya keh "Agar naa to Hanafi Fiqah hi ko topic par kiun nishana banaya gaya? Seedha keh dete keh Fiqah aur chaaron mazahib hain hi Sahih Ahadeeth k khilaaf." Iska jawab bhi irshaad farma dain. Phir akhir main aap yeh bhi keh dain keh chaaron aaimah ne Quran aur Sahih Ahadeeth se ikhtilaf kar ke Deen main phoot paida kardi hai ya phir bhi Sahih hain? Akhir aap bhi sochain, keh kia yeh bohot barha jurm hai Deen main phoot paida kardena? In ke jawab nahi diye! Ab dobara yeh ratt na lagaiye ga keh "mere 5 sawal mere 5 sawal", 8 pooch kar 5 tak mehdood karne ki munafiqat aapki to nazar agaee hai. aur Deobandi to hai hi Ghair Muqallid ka chota bhai, to agar woh promote ho kar barha bhai ke darje tak agaya to is main ajeeb baat kia hai? Aap ka woh masaail doosre topic kar discuss ho chuke hain aur apko maloom hi nahi.
  12. Acha, aap ne akhir jaan lia keh aap phaste chale jaa rahe hain to ab un masaail ki aarh main idhar udhar jaa rahe hain. Aap ki yeh chik chik band karne ke liye maine aik alehda topic bana diya hai: http://www.islamimehfil.info/index.php?showtopic=7364 Chalain, ab aap sharafat se yeh discussion continue karain aur meri pichli post ke sawalat ka jawab dain.
  13. Qazi sahib, aap chand masaail pooch kar keh rahe the keh sirf 5 ke jawab do, lekin maine apki woh poori post yahan paste kardi hai. Ab yeh masaail yahan discuss honge. Sab se pehle maine Masala no. 6 par baat ki thi, to ab zara continue karain, main quotations main chorh raha hun jo is topic se liye gae hain. http://www.islamimehfil.info/index.php?sho...c=7273&st=0 Qazi: Qazi: Shamsheer-e-Ala Hazrat: Is ke baad aap ne jawab nahi diya tha, chalain ab continue karain.
  14. Jo Qur'an aur Hadeeth ke ilawa bhi kisi ko hujjat maane woh kia Musalman hai ya Kafir? Unki khidmaat ka kisi ko inkaar nahi. Bass To seedha seedha likh daalain keh jo Imam Bukhari Radi Allahu Anh ko Muqallid maane woh Kafir hai. Yeh to sarasar Jamhoor-e-Ghair Muqallidiyat se ikhtilaf hua. Ap khud kia Mujtahid hain jo jamhoor-e-Ghair Muqallidiat se ikhtilaaf farma rahe hain? Phir choonkeh aap ke nazdeek aapka apna qoul hi hujjat nahi, to ham apka qoul kiunkar maanain keh aap ne apne hi jamhoor-e-Ghair Muqallidiyat ke khilaf bayan diya? Agar Ibn Abdul Wahab Najdi is waqt mojud hote to apka itna kamzor "imaan" dekh kar ap par Wajib ul Qatl ka hukm de dete...lol Yeh to pehle hisse ka jawab hua, shukar hai kuch to kaha. Phir doosre hissa ka jawab nahi diya keh "Agar naa to Hanafi Fiqah hi ko topic par kiun nishana banaya gaya? Seedha keh dete keh Fiqah aur chaaron mazahib hain hi Sahih Ahadeeth k khilaaf." Iska jawab bhi irshaad farma dain. Phir akhir main aap yeh bhi keh dain keh chaaron aaimah ne Quran aur Sahih Ahadeeth se ikhtilaf kar ke Deen main phoot paida kardi hai ya phir bhi Sahih hain? Akhir aap bhi sochain, keh kia yeh bohot barha jurm hai Deen main phoot paida kardena? no. 6 ke liye yeh keh abhi bhi yeh jawab nahi hai uncle keh akhir aaj is masail ko Fiqah ka inkaar karne ke liye kiun bunyad na banaya gaya balke kuch aur hi masaail batae gae? no. 7 k liye yeh keh is ka jawab kahin nahi hai, sawal mera dobara parhain aur ussi ke mutabiq jawab dain. Aap masala no. 6 kiun khaa gae jabkeh main us masala par baat kar chuka hun?
  15. Janaab aap bhool rahe hain, is topic ki bunyad ap k 6 masalon par nahi, balke main apki maloomaat main izafa kardun keh yeh topic kuch is tarha shuru hua tha: First post of the topic by Qazi: To kia khayal hai apka, ab tak jitni main aap ki class li kia woh is baat key jawab main na thi? Aap ko pata nahi chala keh main Hanafiyat ki numaindagi karraha hun? Janab aap ko kuch hosh nahi keh topic shuru kese hua hai ab aap kahan le ja rahe hain. maine aap se sawalat kiye the unke jawabat di jiye jin main kuch sawalat aap k 6 masalon k baare main bhi hain. Main aap ki madad kar deta hun, yeh hai woh sawalat jo main pehle pooch chuka hun aur aap ne jawab inayat nahi kia: 1. Deen main kia kia hujjat hai? 2. Agar Imam Bukhari Radi Allahu Anh Muqallid nahi the to kia the? Mujtahid the? 3. Jo Imam-e-Azam ko Mujtahid na maane us ke baare main aap keh chuke keh woh Musalman hi nahi, ab Imam Bukhari ko Mujtahid na manne wala kia Musalman hai? 4. Aam Ghair Muqallid kehte hain keh Imam Bukhari Radi Allahu Anh hi Mujtahid-e-Mutlaq ke darje tak pohche aur in ke ilawa koi bhi Mujtahid-e-Mutlaq na bann saka, aap ka kia manna hai? 5. Aap k nazdeek Shafi'i, Maliki aur Manbali Fiqah kia Sahih Ahadeeth key muwafiq hain? Agar haan to kiun aur kese kia tamam masaail Sahih Ahadeeth se sabit hain unke? Agar naa to Hanafi Fiqah hi ko topic par kiun nishana banaya gaya? Seedha keh dete keh Fiqah aur chaaron mazahib hain hi Sahih Ahadeeth k khilaaf. 6. Fatiha Khalfal Imam, Rafayadain waghera masaail ko Hanafi Fiqah ka inkaar karne k liye aaj kiun bunyad na banaya gaya keh yeh to maroof masaail hain Ghair Muqallideen ke liye? 7. Aapne kiun kaha keh yeh masaail Fatiha Khalfal Imam Rafayadain waghera utney important nahi hain, esa kiun kaha? Kia hamari namazain zaya hote dekh kar aap ko kuch bura nahi laga keh aap ke mutabiq Fatiha Khalfal Imam Farz hai aur jo na parhe uski namaz hi batil hai, to akhir yeh is qadr aham mamla aap ke nazdeek utna important kiun nahi?
  16. Mu'azAllah, Maine akhir kab kaha keh yeh wala masala khud Nabi ne bayan kia ya un ki taraf mansoob kia? Lahaulawalakuwat. Ilzaam lagane se pehle zara peeche ki posts parh lia karain. Yeh to aap ne kaha tha keh yeh masala Sahih Hadeeth k khilaf hai, maine to sirf woh Sahih Hadeeth maangi hai jis main is masale ki sarasar nafi ki hai aur is k bar'aks hukm hua. Lekin aap baat kahin aur le gae, dar haqeeqat aitaraz mere oopar nahi, aap ke oopar aega kiunke baat aap ne cherhi aur maine sirf aap ko apka aina dikhaya to sara kuch mujh par undel dia. Lehaza ab Sahih Hadeeth paish karain. Quran, Ahadeeth, Aqwal-e-Sahabah, Fiqah, Ijma, Qiyas, motabar Mufassireen-o-Muhaditheen, Motabar Shariheen, motabar Fuqaha, Mujtahideen, Mujaddideen wagheraham. Ab aap bataen Deen main kia kia hujjat hai? Sirf Nabi ya sirf ummati ya donon? ya kuch aur? yeh aapki purani chalaaki se main ba-khoobi wakif hun keh pehle aik masala discuss karo, us main garh-barh hojae to doosra masala laad kar rakh do. Abhi rafayadain mamla discuss hi nahi hua, abhi to sirf yeh poocha gaya hai keh aaj is ko kiun bunyaad na banaya gaya? Har woh Hadith jo ghair muqallidon ko achi nahi lagti, Zaeef hai. Yehi inka asal dharam hai. Khuda is fitne se bachae. Thanks for the appreciation. theek hi to kia janab, jo sawalat aap ne kiye un main se maine aik ko chun kar aap k saamne rakha aur aap to ghussa hi ho gae. ab kia aap key diye hue masaail ki wazahat bhi main talab nahi kar sakta? aur phir jo sawalat maine kiye woh to bunyadi sawalat the taakeh ussi hisaab se main jawab dun. farz karain agar kisi cheez ko aap hujjat nahi mante aur main ussi se daleel deta rahun to meri mehnat zaya jaegi.
  17. Haraam, bid'at, kufr, shirk... aur na-jaane kia kia........ yeh fatwe ab kahan gae?
  18. Haan to abhi tak aap ne nahi bataya keh Deen main kia kia hujjat hai, taake phir Fatiha aur Rafayadain wala masala aage barhe keh aaj unko kiun bunyad na banaya gaya? Sab se pehle to yeh sabit karian keh yeh masala Hanafi Fiqah ka hai bhi ya keh ilzaam hai ya phir ibarat ka ghalat mana bayan kia hai, phir choonkeh aap maan chuke keh yeh masala Sahih Hadeeth k khilaaf hai, lehaza ab aap Sahih Hadeeth paish karain jis main likha ho keh imamat woh karae jis ka sar chota aur sharamgah barhi ho. Taake yeh masala Sahih Hadeeth k sarasar khilaaf sabit hojae. Imam Bukhari agar Muqallid nahi the to kia the? jo unko Muqallid maane woh kia sacha musalman hai? Aam Ghair Muqallid maante hain keh sirf Imam Bukhari ji Mujtahid-e-Mutlaq hain, in k ilawa aur koi bhi is darje tak na pohch saka, aap ka kia kehna hai? InshaAllah Imam Bukhari ka Shafi'i hona bhi sabit karainge. woh Muqallid the. Kia Mutajid-e-Mutlaq Mustaqil hone k liye itna ilm aur itna fann hi kafi hai? Kia Imam-e-Azam k yehi sirf aik kamaal hai jis ki waja se unko Mutahid-e-Mutlaq Mustaqil maana jata hai? bilkul ghalat aur be-bunyad baat hai. jawab issi topic k pehle page main mojud hai pages ki shaql main.
×
×
  • Create New...