Jump to content

Qufl e Madinah

اراکین
  • کل پوسٹس

    2,216
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    5

سب کچھ Qufl e Madinah نے پوسٹ کیا

  1. LAFZ "YA" SAY SHAIR Yaad e Nabi e Pak main Roye jo Umr Bhar Mola mujhe Talash usi Chashm e Tar ki hai
  2. Warahamtullahi Wabarkatuhu Wamagfiratuhu Ibless k Hazrat Adam ko Lagzish Dainay ka Waqia Tafseer e Naeemi main Aayat # 36 ki Tafseer main kuch is Tarhan say Bayan kia gaya hai: K Shaitan k Dil main Hazrat Adam ki taraf say Sakht Hasad paida ho chuka tha.Isliye wo in ki fikr main rehta tha. 1 din moqa pa kar ya to jannat main khud puhncha Ya isliye k agarchay wo jannat say nikala ja chuka tha magar ab tak us ka wahan aana jana band na huwa tha. Aur ya istarhan gaya k Jannat main Mor aur Sanp nihayat khubsurat janwar thay aur ye dono Hazrat Adam ki khidmat kartay thay,Shaitan Jannat k Darwazay k Bahir puhncha aur udhar Mor b Darwaza e Jannat per Aaya tha. Shaitan Aur Mor ny aapas main mashwara kiya k kisi surat say Aadam o Hawa Aliahmussalam ko Darwaza e Jannat tak ly aana chaheye.udhar shaitan ny Sanp say mashwara kiya k to mujh ko mun main ly kar jannat ki deewar per uswaqt puhncha daina jab k Aadam Darwazay per aaye huwe hun. Ye Tajweez tay honay k baad Mor ny Hazrat Adam o Hawa Alaihmussalam k samnay nachna shuru kar dia ye dono Hazraat Raqs k daikhany main masgul huwe.Mor nachtay nachtay peechay hatnay laga ye dono sahab iski taraf barhnay lagay yahan tak k mor nachta huwa Darwaza e Jannat per aa gaya jis k sath he sath ye dono Sahab b wahin puhnch gaye. Udhar sanp b tayyar khara tha,Shaitan ko foran mun main ly kar jannat ki deewar main puhnch gaya is Tarkeeb say Shaitan Hazrat Adam k samnay aa gaya aur us ko kuch un say guftagu karnay ka moqa mil gaya. Lehaza Shaitan to Jannat say Bahir Raha,Aadam andar,yun unki Guftagu ho gai......... (Tafseer e Naeemi jild Awal Para Alif Laam Meem Surah Al-Baqara Aayat # 36 ki Tafseer)
  3. LAFZ "ALIF" SAY SHAIR Afsos Buhat Dur Hun Gulzar e Nabi Say Kash Aaye Bulwa Mujhe Darbar e Nabi Say
  4. Meethay Meethay Aaqa Madinay Walay Mustafa ka Farman e Khushbudar hai k "Auratoon ka Apnay Ghar k Andar Namaz parna,Sehan main Namaz parnay say Behtar hai aur unka Tehkhanay main Namaz parna Ghar k andar parnay say Behtar hai"(Abu Dawud)
  5. Hazrat e Syeduna Ibn e Amro Radi Allaho Anhu say Riwayat hai k Aaqa ny Farmaya:"Har Amal ka aik Josh Aur har Josh ki aik inteha hai to jis ki inteha meri sunnat per ho gee wo Hidayat yafta ho ga aur jis ki inteha meri Sunnat k khilaf ho gee wo halakat main mubtila ho ga.(Almasnad al imam Ahmad Bin Hanbal,Raqam 6976,jild 2,page 661)
  6. LAFZ "KAAF" SAY SHAIR Kyunkar Na Mere Dil main HO Ulfat Rasool ki Jannat main ly k jaye gee Chahat Rasool ki
  7. Warhamatullahi wabarkatuhu wamagfiratuhu , Buhat Achi tips Share kin Aap ny.......
  8. warahmatullahi wabarakatuhu wamagfiratuhu Aap ny Bohat Achi aur informative book share ki hai sister. Allah Azzawajal Pyary Aaqa k sadqay amal karnay ki tofeeq ata farmaye.......Aameeeeen
  9. Hazrat e Syeduna Abudarda Radi Allahu Anhu Riwayat karte hain k Noor k Paikar,tamam Nabiyun k Sarwar,2 jahan k Tajwar,Sultan e Bahr o Bar ny Irshad Farmaya: "MEEZAN E AMAL MAIN HUSN E AKHLAQ SAY WAZNI KOI AUR AMAL NAHIN" (Aladab ul mufrid,Bab e Husn al khulq,Alhadees 273,page 91,Madina tul ooliya Multan)
  10. Meethay Aaqa ny Farmaya:"jo Mujh Per Din main 100 martaba Darood e Pak parhay ga Allah Azzawajal us ki 100 Hajat puri farmaye ga,in main say 30 Duniya ki hain aur 70 Aakhirat ki"
  11. Wa rahmatullahi Wa Barakatuhu Wa magfiratuhu Mujhe Ahle Quran walun k baray main information chahye k In k Aaqaid kya hain,aur in ka Bani kon hai Aur in ka Radd b chahye IN k mutaliq kuch information Book ANWAR UL HADEES main mojud hai.Mazeed in k Radd aur Aaqaid k baray main information agar koi share kar day to Madinah Madinah
  12. Warahmatullahi Wabarakatuhu Wamagfiratuhu Yani Jab Female(islami Behn) k liye Use karain gay to Kaaf k nichay Zair Use karain gay Yani Kahain gay Jazakillah Aur jab Male(islami Bhai) k liye use karain gay to kaaf k OOper zabar use karain gay yani kahain gay Jazak Allah Talabgar e Dua
  13. As salam o alaikum Buhat informative sharing ki Aap ny.........Jazak Allah
  14. Hazrat e Syyeduna Abu Huraira Radi Allahu Anhu say Riwayat hai k Noor k Paikar,Tmam Naibyun k Sarwar,2 jahan k Tajwar Sultan e Bahr o Bar Alahi Salat o wassalam ny Farmaya: "Jo Koi Allah Azzawajal k Faraiz say Mutaliq aik ya do ya teen ya char ya panch kalimat seekhay aur isay achi tarhan say yaad kar lay aur phir logon ko sikhaye to wo JANNAT MAIN ZARUR Dakhil ho ga" Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu farmate hain k "Main Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wassalam say ye baat sunnay k baad koi Hadees nahi Bhula" (Altargeeb waltehreeb,kitab ul ilm,Altargeeb fil ilm alakh raqam 20,jild 1 page 54)
  15. As salam o alaikum SUBHAN ALLAH AZZAWAJAL...........SUBHAN ALLAH AZZAWAJAL YE NEWS READ KAR K TO DIL BAG E ATTAR HO GAYA JAZAK ALLAHU KHAIRA
  16. As salam o alaikum Subhan Allah Azzawajal......nice sharing jazakillah
  17. As salam o alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu wa magfiratuhu i am an islami sister.I want 2 join islami sis corner. How can i join....?? Jazakillahu khaira Wassalam
×
×
  • Create New...