Jump to content

Abdullah Yusuf

اراکین
  • کل پوسٹس

    266
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    4

سب کچھ Abdullah Yusuf نے پوسٹ کیا

  1. Imam Abu Hanifa k Shird Imam Muhammad K uper Wahabi Umar siddique ne jarah or Aitrazat kiye hain or un ko Kazzab tak sabit krne ki ghatiya koshish kee hai Jarah bohat se muhadiseen se kee hai yahyA ibn Muyeen Imam Zahabi Ibn Abul bar or bohaat se muhadiseen se jarah sabit kee hai or aitraz kiya hai Imam Muhammad Jamhoor k Nazdeek zaeef hai iska jawab chahiye
  2. Nabi Paak S.A.W.W ki taraf Gunah NOUZUBILLAH ZINB ki nisbat ki gaye hai quran ki surah Fatah Main surah 48 ayat 2 Christians ka aitraz hai k humare jesus ne koi gunah nai kiya jab k tumhare Nabi ka gunah Quran main hai NOUZUBILLAH iska tafseelan jawab chahiye kyunki mufasireen ne is ki jo taweelat keen hain woh aksar BATIL HAIN Nabi Masoom hote hain jab k wahabiyon ne aitraz kiya hai k un se gunah sagheera hote hain IS KA kya jawab hoga
  3. 1 Ayat k bare main Yahoodi Aitraz krte hain K Hazrat Adam ne Shirk kiya jis per woh quran ki tafseer bhi pesh krte hain Surah Al Araf Ayat 189-190 Tafseer Qurtubi main or Tafseer Ibn Kaseer main hai k Hazrat Adam ne Apne bete ka naam Abdul Haris Rakha Jo k Shaitan ka naam haior yeh baat unhon ne shaitan k kehne per kiya tau NOUZUBILLAH UN SE SHIRK HO GYA Is per thori rehnumai farmai den or isko Tafseel se bayan kr en kyunki aj kal is per yahoodi bohaat Aitraz kr rhe hain bohat se mufasireen or salaf khalaf ne bhi is ayat ki yehi tafseer kee k Hazrat Adam ne Shaitan ka kaha Mana NOUZUBILLAH Tafseer ibn kaseer
  4. Salam Toheedi bhai jaan yeh kis kitab ka scan hain kitab ka naam mil jaye tau bari meharbani hogi
  5. Sahih Bukhari ki is hadees per aitraz kr k aik Munkir e hadees ne aitraaz kiya k Nabi Pak ne Auraton ko kam aqal karar diya
  6. Khalid Mehmood deobandi ki kitab jo k 8 Jildon main hai Mujhe is kitab ka Mukammal Radd Chahiye Kuch kitaben is kitab k radd main likhi gayen lekin iska Mukammal radd nahi likha gaya
  7. Bhai jaan maine aik aitraz parha hai imam shatibi ka imam shatibi ki kitab al itisam k ander unhon ne tamaam bidat ki iqsam ka rad kiya hai or unhon ne bidat e hasna ka bhi rad kiya hai or likha hai k har bidat gumrahi hai chahe woh achi ho ya buri is k bare main wazahat kr den imam shatibi al itisam jild 2 hai
  8. Yeh hum ahnaf per aitrazat hain k Nabi kareem k ilm e ghaib ka inkar kiya hai hum ne
  9. surah 34 ayat 50 Say: "If (even) I go astray, I shall stray only to my own loss. But if I remain guided, it is because of the Inspiration of my Lord to me. Truly, He is All­Hearer, Ever Near (to all things)." Hilali & Khan Is ayat ki samajh nai aa rahi is per mufasireen k qol chahiyen Or surah fatah ki woh ayat bhi jis main nabi kareem ki tareef gunah hai us per bhi mufasireen k qol chahiyen
  10. Fitnah Khalq e Quran Mutazaliyon ne shuru kiya tha is k Bare Main Imam Abu hassan Al Ashari ki taraf aik baat mansoob hai k Musalmanon main is fitnah se Bohaaat laraiyan Paida ho gayen or Akhir main Abu hassan Al Ashari ne yeh hal nikala k Quran Allah ki Makhlooq hai us k jawab main unhon ne kaha Bil Aqaif Matlab Humain nai pata is baat ka k quran Allah ki makhlooq hai ya nai Is baat ko le kar Yahoodi aj kal bohaaat Wawela kr rahe hain or Musalmanon per ilzamat laga rahe hain k hum Allah k sath sath Quran ki bhi ibadat krte hain kyunki Quran Allah ka hi Hissa Hai Nouzubillah Is jahilana Aitraz ka jawab chahiye scan pages k sath jis main ulema karam ne tafseeli behas kee ho
  11. Asma bint abi bakar k bare main aik riwayat sunni kitabon main mojood hai k Asma bint abi bakar ne farmaya k hum Rasoolalah k zamane main muta krte they is riwayat ki kya haisiyat hai or woh konsi riwayaten hain jin se muta ka jawaz sabit hota hai kafi riwayaten or un per aitrazat mujhe pata hain lekin kuch riwayaton ka nai pata
  12. Bhai jaan maine apko facebook per request send kee thee Abdullah Yusuf k naam se woh accept kr len Bhai jaan ap theek keh rahe hain forum jaise dead sa lag raha hai koi post nai hoti koi active nai lag raha moderators bhi itni der der baad post krte hain Poore internet per yeh forum sab se acha forum hai poore internet pe aesa forum aj tak nai bana jahan per log aese dalail se baat kren meri un tamam logon se guzarish hai k is platform ko chor kr kahin or na jayen bal ke jo yahan maslah masail hain un ko hal kren Moderator banne ki tajweez maine sirf is liye pesh kee kyunki main 24 ghantey active hota hon or is forum ka har section k bare main pata hai mere pas islamimehfil poori site downloaded pari hai offline reading k liye is liye main chahta tha k main is forum pe active rahon tau kuch kr bhi sakon as a moderator Bhai jaan in maslah masail ko hal kren forum chor k jana koi hal nai hai meri guzarish hai sab se k koi forum mat chore
  13. Bhai jaan main is forum per taqreeban 16 ghantey hota hon or har roz hota hon or koi bhi moderator poori tarhan se active nai hota is liye meri ap se guzarish hai k mujhe is forum ka aik moderator bana den ta ke main monitoring kr sakon kyunki bohat sare moderator active nai hote or forum k kafi threads bikhre huwe hain kafi fazool open hain or bhi bohat sari cheezen hain tau agar meri is baat per kisi bhi member ko aitraz na ho tau mujhe moderator bana diya jaye yeh meri request hai ta ke main is forum ko dekh sakon agar apko mujh per yaqeen hai tau ap aesa kren main 16 ghantey online hi hota hon idher or subah 8 baje tak online rehta hon tau meri guzarish hai k main is forum ki bohat achi monitoring or dekh bhaal kr sakta hon
  14. Bhai jaan jo moudoodi lanati ne khilafat o malookiyat kitab likhi is main is ne hazrat Ameer Muawia k uper aitrazat kiye hain kya moudoodi ki kitab k radd main kitaben mojood hain woh kitaben yahan darj kr den kyunki mujhe is k radd main kitaben nai mil rahin
  15. Jazakallah bhai jaan Bhai jaan ibn abi dawud ki kitab jo k kitab al masahif k naam se mashoor hai jo quran e pak k bare main likhi gaye hai kya woh muatbar hai or kya us kitab main riwayaten sahih hain ya zaeef or mouzuh bhi hain KITAB AL MASAHIF IBN ABI DAWUD
  16. Is lanati insan per jitni lanat kee jaye utni hi kam hai Engineer Muhammad Ali Mirza ne Hazrat Ameer Muawiya k uper be shumar aitrazat kr raha hai is insan ka koi bhi rad nai kr raha poore youtube per is k clips hain hazrat Ameer Muawiya k khilaf or un per aitrazat pe aitrazat krta hai IS KI IN BATON KA RADD KREN koi bhi bhai jaan 1.Sahih muslim ki riwayat k hazrat Ameer Muawiya kehte they k logon ko na haq qatal kro (Nouzubillah) 2.Hazrat Ameer Muawiya Hazrat Ali per minbar per lanat krwane wali riwayat (NOUZUBILLAH) 3.Hazrat Ameer Muawiya ko Hadi or Mahdi bana Nabi Kareem ki hadees tirmizi shareef se (Us per aitraz kr raha hai k zaeef hai) 4.Ali Ibn Ul Juad jo Imam ahmad ibn hanbal k ustad hain un ki taraf aik baat mansoob kr k kehta hai k woh kehte they k agar Allah Hazrat AMeer muawiya ko qayamat k din azaab de tau mujhe is ka koi dukh nai hoga (NOUZUBILLAH) 5.Sharah Mani ul Asaar imam tahawi ki kitab se aitraz krta hai k hazrat abdullah ibn abbas ko jab pata chala k hazrat ameer muawiya 1 witr parhte hain tau unhon ne hazrat Ameer Muawiya k liye bohat bure alfaz istemaal kiye (NOUZUBILLAH) YEH IS LANATI INSAAN K AITRAZAT HAIN OR IN KA KOI BHI RAD NAI KR RAHA YOUTUBE PER JIS KI WAJAH SE LOG GUMRAH HO RAHE HAIN MERI ISLAMIMEHFIL K MEMBERS SE GUZARISH HAI K IN TAMAAM AITRAZAT KA RAD KIYA JAYE OR LOGON KI ISLAH KI JAYE TA KE LOG GUMRAH NA HON
  17. Pehle maine hazrat adam or hazrat moosa k beech main guftagu k uper aitrazat post kiye they Aqeel bhai jaan ne bohaat hi umda or kamaaal k jawabat diye Ab hazrat Adam or Hazrat Hawa k uper jahilana aitrazat kiye gaye hain kuch riwayat ko le kr It is narrated on the authority of Abu Huraira and Hudhaifa that the Messenger of Allah said: Allah, the Blessed and Exalted, would gather people. The believers would stand till the Paradise would be brought near them. They would come to Adam and say: O our father, open for us the Paradise. He would say: What turned you out from the Paradise WAS THE SIN OF YOUR FATHER ADAM. I am not in a position to do that; ... (Sahih Muslim, Book 001, Number 0380) Yeh sahih muslim ki hadees hai jis main Nabi Kareem ne farmaya k jab logon k pas jannat rakhi jaye ge tau woh apne gunahon ki mafi or shafat k liye nabiyon k pas jayen ge or jab woh hazrat Adam k pas jayen ge tau hazrat Adam kahen ge k meri gunah ki wajah se tum sab ko jannat se nikala gaya AB IS MAIN GUNAH KA ZIKAR HAI JAB K ANBIYA KARAM GUNAHON SE PAAK HAIN IS PER AITRAZ AYA HAI Doosra Aitraz Hazrat Hawa per hai jis ki riwayat yeh hai The Prophet said, "Were it not for Bani Israel, meat would not decay; and were it not FOR EVE, no woman would ever betray her husband." (Sahih al-Bukhari, Volume 4, Book 55, Number 611) Sahih bukhari ki riwayat hai k Hawa ki wajah se baki women bhi apne husband ko dhoka deti hain agar hawa aesa na krtin tau baki aurten bhi apne husband k sath mukhlis rehtin AB IS HADEES MAIN HAZRAT HAWA PER AITRAZ KIYA GAYA K TAMAM AURTON K GUNAH HAZRAT HAWA K SIR HAIN NOUZUBILLAH Or aik habil or kabil ki riwayat per bhi aitraz kiya jata hai k habil kabil ne pehla gunah kiya tau ab sare log jo gunah krte hain woh un k wajah se krte hain is liye sare gunah un k sir hain YEH TAMAM AITRAZAT MUNKIREEN E HADEES OR YAHOODIYON K HAIN IN K JAWABAT ZAROOR DEN JAZAKALLAH
  18. Bukhari shareef main aik riwayat milti hai jo main quote kr raha hon Sahih Bukhari, Volume 9, Book 87, Number 111 Narrated Aisha: the Prophet became so sad as we have heard that he intended several times to throw himself from the tops of high mountains and every time he went up the top of a mountain in order to throw himself down, Gabriel would appear before him and say, “O Muhammad! You are indeed Allah’s Apostle in truth” whereupon his heart would become quiet and he would calm down and would return home. And whenever the period of the coming of the inspiration used to become long, he would do as before, but when he used to reach the top of a mountain, Gabriel would appear before him and say to him what he had said before. Isi riwayat ki 2 isnad or hain 1 sanad ibn mardawaya se riwayat hai jo tafsir ibn kaseer main hai or doosri sanad tarikh tabari main mojood hai Is per munkireen e hadees ne aitrazat kiye hain k yeh kufar hai JAWAB INAYAT KREN
  19. Salam Aqeel bhai jaan bohaaaat hi umda jawab diya apne mujhe apke jawab ka hi intezaar tha bohaat hi kamaaal k dalail diye hain apne har baar ki tarhan apki yeh post bhi mere liye be had faida mand hai or baqi sab logon k liye bhi ab bohaat sare masail jo maine post kiye they jin per aqeel bhai jaan ne jawabat diye tamaam posts per woh sab ab google per show ho rahi hain ab google se bhi search kr k logon ko bohaat faida hoga apke dalail dekh kr Apka bohat shukriya bhai jaan ALLAH APKO HAMESHA KHUSH RAKHE
  20. Sister ap apna poora maslah btain apko taweez ki wajah se bechaini hai ya apko is baat ka dar hai k ap per koi asar na kr de ? apko kis baat ki ghabrahat hai or ap nikah khatam kyun krna chahti hain?
  21. However those who hold to this position would say that even though the righteous believers (not those sinful ones who would be punished temporarily) would enter hell, they shall not feel pain. This is because the fire would be cool and safe to them just as it was for Prophet Abraham (peace be upon him), for that is what the Prophet Muhammad said. (Al Bayhaqi said the isnad to this hadeeth is Hasan in hisShu'b Al-Eemaan, Volume 1, page 282; Al-Mundhiri said the men in the chain are trustworthy in his Al-Targheeb wal-Tarheeb, Volume 4, page 317; Ibn Katheer said the hadeeth is hasan in his Al-Bidaayah Wal-Nihaayah, Volume 2, page 93; Al-Haithami said the men in the chain are trustworthy in his Majma' Al-Zawaaid, Volume 10, no. 363; Al-Haithami Al-Makki in his Al-Zawaajir, Volume 2, page 247 said that the isnaad is Hasan) Aik or Riwayat jo Imam Bayhqi ki shub Al Emaan k ander mojood hai us main yeh bayan kiya gaya hai k jo momin dozakh main jayen ge un ko dozakh ki aag kuch nai kahe ge Ab uper wali riwayat se sabit hota hai pul sirat se momin guzren ge jab k is riwayat main yeh sabit hota hai k momin dozakh main jayen ge or dozakh ki aag kuch nai kahe ge IS AITRAZAT K JAWABAT ZAROOR DEN TA KE DOOSRE MUSLMAN BHAIYON KO BHI FAIDA HO SAKE
  22. Also narrated by Al-Awfi, narrated by Ibn Abbas who said, “‘Not one of you but will pass through (Waridu-ha) it’ (Q. 19:71), means that the righteous and the sinner (shall enter hell). For don’t you hear what Allah said to Pharaoh, ‘He will go before his people on the Day of Judgment, and lead them (Awrada-hum) into the fire’ (Q. 11:98), and also the verse, ‘And We shall drive the sinners to hell being lead (Wirdan)?’ (19:86). So he called, ‘passing through’ (Wird), AN ENTRY INTO HELL AND NOT AN EXIT OUT OF IT.” Tafsir Ibn Kathir, Surah 19 Ayat Number 71 Yeh tafsir ibn kasir main pul sirat k bare main btaya gaya hai k pul sirat se har aik insan momin or mushrik guzre ga or jo gir jaye ga dozakh main woh bahir nai nikal paye ga Narrated by Ibn Jarir, narrated by Atta who stated that Abu Rashid Al-Harury, who is called Nafi Ibn Al-Azraq, said, “They (the believers) will not hear hell’s roar.” So Ibn Abbas responded, “Woe to you! Are you insane? What of Allah’s verse, ‘He will go before his people on the Day of Judgment, and lead them (Awrada-hum) into the fire’ (Q. 11:98), and also the verse, ‘And We shall drive the sinners to hell being lead (Wirdan)?’ (Q. 19:86). And also the verse, ‘Not one of you but will pass (Waridu-ha) through it?’ (Q. 19:71). By Allah, the supplication of those who lived previously used to be, ‘O Allah TAKE ME OUT OF HELL FIRE peacefully and allow me to enter paradise victorious.’” Is doosri riwayat main Abdullah ibn Abbas Nafi Ibn AL Azraq se baat kr rahe hain jis main Nafi kehta hai koi momin dozakh main dakhil na hoga jab k Hazrat Abdullah ibn Abbas kehte hain Nafi un ayat ka kya hoga jis main mominon ko bhi dozakh main dala jaye ga or phir un ki yeh dua hogi k humain sahi salamat bahir nikal le YA ALLAH In 2 riwayaton ka kya matlab hai k momin dozakh main jayen ge ya nahi? JAB K AIK DOOSRI RIWAYAT MAIN AATA HAI K MOMIN K UPER DOZAKH KI AAG HARAAM HAI It is narrated on the authority of Sunabihi that he went to Ubada b. Samit when he was about to die. I burst into tears. Upon this he said to me: Allow me some time (so that I may talk with you). Why do you weep? By Allah, if I am asked to bear witness, I would certainly testify for you (that you are a believer). Should I be asked to intercede, I would certainly intercede for you, and if I have the power, I would certainly do good to you, and then observed: By Allah, never did I hear anything from the Messenger of Allah which could have been a source of benefit to you and then not conveyed it to you except this single hadith that I intend to narrate to you today, since I am going to breathe my last. I heard the Messenger of Allah say: He who testifies that there is no god but Allah and that Muhammad is the messenger of Allah, Allah would prohibit the fire of Hell for him. (Sahih Muslim, Book 001,Number 0045) IS RIWAYAT SE PATA CHALTA HAI MOMIN K UPER DOZAKH KI AAG HARAAM HAI In 2 Riwayaton ko kaise samjha jaye ga Kya Allah tala har aik ko pul sirat se guzare ga Phir Hazrat Abdullah ibn Abbas ki riwayat ka kya matlab hoga jis main yeh bayan huwa hai k hum dozakh main dakhil hon ge tau us ki aag thandi hogi woh aag humain kuch nai kahe ge Mufasireen ne bhi yehi bayan kiya hai k har aik insan dozakh se guzre ga matlab pul sirat se lekin Kuch log gir jayen ge or kuch log bach jayen ge Anbiya or Auliya ki shafat se lekin Hazrat Abdullah Ibn Abbas ki riwayat ka matlab samajh nai aa raha k Dozakh ki aag kuch nai kahe ge or dozakh se nikal k jannat main dala jaye ga? KYA SAHABA BHI DOZAKH MAIN DAKHIL HON GE?
  23. M Afzal Razvi Bhai jaan apka bohaaat bohaaat shukriya is main mufasireen k ikhtalafat parh kr samajh nai aa rahi thee Apne sara confusion clear kr diya apka bohaat bohaat shukriya Bhai jaan aksar jab tafaseer ka mutaliya krte hain tau bohaat sari tafaseer main apas main hi ikhtalaf hota hai or aksar aesi manghadant or be sanad mouzoh riwayaton se istadlal kiya hota hai or mufasireen ka apas main ikhtalaf hota hai aesa kyun hai kya koi bhi tafseer mufasir ki sahaw se paak nai maine kaafi tafaseer main ikhtalaf dekha hai or mouzouh riwayat se result nikala huwa hai jaise tafseer tabari or tafseer qurtubi main aik riwayat jo Hazrat Zaynab bint jahash R.A or Nabi Kareem k bare main hai k ap ki nazar hazrat Zaynab per pari tau Zayd per Un ki biwi haraam ho gayen Nouzubillah or is tarhan ki riwayaten hain jin se result nikala gaya hai bakaida Plz is ki kuch wazahat kr den tafseel se
  24. Harut or Marut Allah tala k 2 farishte the jinhen zameen per bheja gaya ta ke woh jadoo dikhayen logon ko or burai ko khatam kr saken lekin mufasireen ne bohaat si tafaseer main yeh bayan kiya hai k yeh farishton k pas aik aurat aye jis ka naam zuhra tha us aurat ki khoobsoorati dekh kr yeh dono farishte gunah main mubtala ho gaye or us aurat k husband ko maar diya AITRAZ YEH HAI KYA FARISHTE BHI GUNAH KR SAKTE HAIN NOUZUBILLAH Agar farishte gunah kr sakte hain tau hazrat Adam ko sab farishton ne sajda kiya siwaye iblees k tau kya iblees jin tha ya farishta In Aitrazat k jawabat chahiyen Yeh aurat wala qissa mufasireen ki kitabon main mukhtalif tafaseeron main mojood hai or shadeed ikhtalaf hai Yeh waqia ki tafseer Sura Baqarah Surah 2 Ayat Number 102 k neeche darj hai
×
×
  • Create New...