Mai tamam madani bhaiyoun se guzarish karonga ke tamam mazmoon ko bagaur badhein aur ye faisla kerain ke tv channel hona chahi ya nahi is liye ke jab hum ek islami channel ke khatir dish connection lete hain tu us connection ka maqsad tu neki ka hai lakin is ki wajah se dunyawi behaiy wale channel ghar me dakhil ho jate hai us se tu behtar tu ya hai ka ghar me us dunyawi fitne ko ghar me dakil hi na kare taake ghar ka mahool pak rahe aur ghar ka har fard is bala se mehfooz rahe aur islami malumat tu audio cassettes, cd aur dawat-e-islami ka audio connection hi kafi ho jata hai is bare me apna taussur pesh kare.
Janab sag-e-atter sahab aap ne tu TV aur movie pesh kar ke kha ke mere sawal aur kayi ek sawal hal ho jayeinge mere sawal tu hal nahi huwe haan albatta us resale ke padhne se 3,4 sawal zehen par ubher aaye agar aap us ka hal pesh kardein tu zahen ka khal jaan dour hojayega.
aap ki kitab me serve jo 99% pesh kiya gaya ye maloom nahi kis tarah ka serve hai ya phir Pakistan ma TV rakne walon ka shayad ye hal hai (allah tala fazl farmai aur hidayat de aur is bala se sab ko mehfooz rakhe ) kyunki hindustan mein itna bura haal nahi haan 70%TV wale ya bahut hojaye to 85% honge.
Aap jo Alahazrat ka qaul naqal kiye ke aa’ina saamne ho to namaaz hojati hai ye alag bahes hai us main batana ye maqsood hai ke agar tasveer saamne dayein bayein aur upper ho to namaaz nahi hogi isliye ke ye yani tasveer qaar hai aur ariya aine main jo hamara aks aata hai wo gair-e-qaar hai isliye namaaz hojaye gi. Tu is ibarat ke zariye ye sabot faraham karma ke tv main insaan ka aks aata hai tu jaiz ye sahi nahi maloom hota hai.
Aur ye har koi jaanta hai ke tv bahut bada shaitani fitna hai us ko kisi tarha jaiz kehkar Dawat-e-Islami ki maqbooliyat main kaami karma hai isliye ke kuch to wo musalmaan hai jo kabhi tv ghar main nahi rakhe aur kuch wo hain jo ghar main tv rakhey the lekin jab Aameer-e-Ahlesunnat Maulana Ilyas Attar Qadri Sahab ke asar andaaz bayanaat sune tu wo apni aqidat mandi ka muzahera kar kar Ameer-e-Ahlesunnat ke hukam par gharoun se tv nikaal pehnke aur wos par chapploun ki barish kiye.tu jab un hazraat ne suna hoga ke madani tv aane wala tu unke dilaun par kya guzri hogi ? aur ye kaha gaya ke hum tv ke zariya un pahunch rahe hein jin ke gharaun se TV nahi nikaal sakte tu hazrat AMEER-E-AHLESUNNAT se guzarish hai ke jis tarah aap aur aap ke muballigheen shaitani fitne TV ko nikaalne ki tahreek chalate the wohi hamare liye zayada mufeed aur kaargar sabit hogi aur saath hi saath Dr.Zakir Naik, Dr. Israr Ahmed, Dr. Tahir ul Qadri aur istarha ke deegar fitnoun main mubtela hone se bholi bhali awaam bhi bach jaye gi aur in se chutkara pajayegi aur saath hi is shaitaani fitne tv ko jad se ukhad penkna bhi hojayega.
Aap ka un ulama-e-Ikraam ka naam zikr karma jin ko pad kar awaam sakte main pad jaye gi munasib na tha yani ALLAMA MUFTI SHAREEFUL HAQ AMJADI alahirehma ,ALL AMA ABDUL HAKEEM SHARF QUQDRI alaihumar rahma AUR ALLAMA AKHTAR RAZA KHAN AZHARI ,ALLAMA ZIA UL MUSTAFA AMJADI ,ALLAMA SHAH TURABUL HAQ aur inke alawa kitab mai mazkoora ulama-e-ikraam wo hain jin ke tableegi dauraun hi ki badaulat hai ke bahut se countries me islaam aur sunniyat ka naam baaqi hai aur aaj jo DAWAT-E-ISLAMI ,Sunni DAwat-e-Islami Aur is jaisi kayi sunni tahreekaun ke kaam karne ke liye jo raah hamwaar huwi hai ye is tahreek ke baani qayid-e-ahl-e-sunnat Allama ARSHADUL Quadri Misbahi ,Allama BADRUL Quadri Misbahi ,Allama Qamrul hasan bastavi Misbahi ,Allama Ahmad ul Quadri Misbahi aur Allama Qamar Ruzzama Azmi Misbahi AUR is tarah ke kayi ek Ajillaye ke ulama-e-ikraam ke tableeqi safaraun ka natija hai…TV aurMOVIE kitaab me jin ulama ka naam zikr kiya hai Unke alawa bhi kayi ulama ka naam maine uphar zikr kiya lakin khaas kar wo ulama jin ka naam ki kitaab me mazkoor hai .unka zikr karke musannif ne awaam par ye zaher karne ki koshish ki ke ye hazraat bhi photo aur video se nahi bachte ....isse awaam ke zahnau ko confiuz karma hai …wo Ulama-e-Ikraam hamesha se photo,tv aur Vidio ke mukhalif rahe ..abhie pichle urs-e-rizvi Bareily me muhaddes-e-kabeer allama ZIA UL MUSTAFA sahab ye kaha ke photo aur video ke hum hamesha se mukhalif the ,hai aur raheinge …aur kahne ki wajah ye thi dist.kathihar state BIHAR INDIA munaazra huwa tha aur aap hi ki sadarat thi to waha par video ligayethi to aap ka bare mai kaha gaya tha aap bhi video liye to isi ki safayi mai urs-e-bareli mai aap ne kaha ke agar mai wahan video rukhwadeta to sunniyat ka bahut bada nuqsan hojata ye majboory thi .
Ye meri muqlisana guzarishat hai .