
fikar_e_akhirat
اراکین-
کل پوسٹس
42 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
About fikar_e_akhirat

Previous Fields
-
فقہ
Shia
Profile Information
-
مقام
karachi
fikar_e_akhirat's Achievements
-
asalamalekum abdullah bin masood ra say marvee hay.rasoolallah saw nay farmaya...main tom ko ziyarat e quboor say man keya kerta tha ab tum un ki ziyarat ker saktay ho . q k yeh dunya main insan ko zahid banate hain or akhirat ki yad dilatee hain. ibn e maja or muslim k alfaz yeh hain k eyh mauth ki yad dilatee hain. mauth yad dilanay k leya aulia allah or naik logo ki qabrain makhsoos hain. rasoolallah saw nay bhi apni walda ki maghfirat talab ki the jis sau quran main mana keya gaya. or rasoolallah saw nay ziyarta e quboor ki ijazat marhamat farmaee.or is ki waja akhirat ko yad dilana bayan keya. akhirat ki yad dihani k leya kisi marnay walay ka walee hona zahid hona momin hona koi shart nahee.is leya rasoolallah saw nay sab say pehlay apni walda ki ziyarat ki . is leya imam nisaee or ibn e maja nay is per surkhe qaim ki or "ziyarat qabar al mushrik" or yahan yeh waqea zikar keya or yahan nabi saw ko apni walda ki ki maghfirat mangnay ki ijazat nahee de gae. or qabar per nabi saw nay irshad farmaya k qabroo ki ziyarat kero q k who mauth ki yad dilatee hain (nisaee) isk leya mozon jaga gor e ghareeban hay .murdoo k nam say shandar koothay or imartain nahee. in tameerat karnay walo ko inti bhi ghairat nahee ate k yeh muqamat rasoolallah saw ki nazar main kis yad dihanee k leya hain.
-
Kharay Hokay Peeshab Karnay ka Hukam
fikar_e_akhirat replied to fikar_e_akhirat's topic in گفتگو فورم
Asalamalekum janab Kitab k pichlay hisay say to yeh mukamal sabit hay k rasoolallah saw nay is amal ko jifa or badabi qarar deya To phi rap saw say yeh amal sabit hi nahee or yeh khilaf e fitrat amal hay karaheeyat ka amal hay or phir rasoolallah saw khulq e azeem hain un say is amal ki tawaqoo kisi hal main bhi mumkin nahee musanif farmatay hain k Bb aisha ra ka mushahida daimi mushahida hay or hazrat huzefa ra ka mushahida ek waqti mushahida hay ……………..janab yeh bat to bilkul hi achanbay ki hay . Thore c gustakhi karunga janab Ap in musanif say zara yeh jakar poochain k in k walid e mohataram ko in ki walda nay kitni bar peshab kertay hoay dekha hay ?????? Don’t mind please ……PAIGHAMBAR SAW …ka mamla koi sada mamla nahee hay ap k musanif or ahadees nay to sab ko naozubillah suma naozubillah bay-amal or bay parda sabit kernay ki koshish ki hay . Musanif ko saharam ani cahyea k usay rasoolallah saw ki missal denay say pehlay apnay walid walda ko bator missal samnay rakh ker un ki zindagee k baray main kuch bat kerni hogee us k bad usay agay bolnay ki ijazat hay . Ek taraf inkar kertay ho dosree taraf iqrar kertay ho ajeeb log ho tom log . Ek taraf ahadees pesh kertay hain k hazrat abu hurera ra farmaty hai k zano main zakham tha phir kehtay hai hadees zaeef hay or musanif nay hadees to likh de magar ba-hawala. Qayas yeh bhi keya jasakta hay k kya poora ghoora hi najis theen. Imam abdul azeem zaki ud din famrtaay hain SHAYAD……QAYAS ARAEE SAB SAY ACHA HATEEYAR HAY . BHAI MERAY YEH SAB MAJOOSEYON KI DASTANIN HAIN INHAIN AP NA HI SHAMIL KERAIN TO BEHTAR HAY OR TAQLEED ACHEE CHEEZE HAY LEKIN US MAIN ALLAH KI DI HOE AQAL KA ISTEMAL BHI EK ACHA AMAL HAY . IS AHADEES KA IQRAR DITHAEE KA AMAL HAY . Itni azeem haste say esa amal munsalik kerna bhi gunah hay . Allah hafiz -
SALAM FAISAL BHAI PLEASE CONTACT ME ON EMAIL ITS URGENT ....******************** thanx allah hafiz.
-
asalalamalkeum bhayeeo or behnoo kya kharay hokay peeshab kerna bhi sunnat amal hay ? agar nahee to phir bukhari shareef volume 1 kitab ul wuzoo main HAZRAT HUZEFA RA SAY EK HADEES MANQOOL HAY K AP RA FARMATAY HAIN K EK DAFA EK QAUM K GHOORAY(KINARAY,RASTAY) PER RASOOL ALLAH SAW NAY KHARAY HOKAY PEESHAB KEYA OR PHIR WAZUU K LEYA PANI MANGAWAYA. MAIN JANNA CHATA HUN K KYA YEH AMAL BHI JAIZ HAY ??? ALLAH HAFIZ
-
bhai jan ap to kha maka garam horahay hain bhai decompostion is it self a chemical process and is a part of chemsitry. or janab jahan tak apnay bat i hay k anbeeya k jism ko mati nahee khatee to sab say pehlay agar who hadees sahee hay to apka mufti anbeeya main shumar nahe ap nay jo hadees paish keri hay is ka hawal or detail sath zaroor dain shukreeya . wasalm
-
salam chalian ab mujhay kya who ahadess or rivayat bhej dr shab ap say to hamari ab dosti hogaee hay inshallah ilm main izafa hoga meray . copy paste kernay say perhaiz kejyea ga apni tehqeeq bina taqleed say sabit kejeya ga yani jo kuch ap samjhay hain jo ap ka apna zati view hay us tareekay say batlaee ga us main asani zayda rahay ge . han quran ko ap copy past kersaktay hain lekin mujhay kisi buzrug ki kitab ka hawala mat dejeya ga sirf quran or rasoolallah ki nisbat say bayan kejeya ga . wasalm.
-
asalamalekum to all janab yeh larae yeh fasad q ? jo behas ap logon nay cheri hay us ka faida nikalnay wala nahee. na inkaree iqrar keray ga . na iqraeee inkar keray ga . behar hal main bhi haq rakhat hu k apna view ap logon k samnay rakh dun . k naat perhana ek tareekay say ap saw ki seerat ki yad taza kerna hay jo ultimately khuda say nisbat jortee hay . jo naat perta hay sunta hay who acha kerta hay . jo nahee perta nahee sunta who bhi kuch na kuch kisi na ksi tareekay say rasoolallah ki seerat ko perta hoga . milad ek acha amal hay apnay mehboob saw say nisbat un say muhabat barhanay k din hay . lekin bhaeeyon khuda k leya is achay amal main koi esi cheeze shamil na kero jis say fasad mach janay k andehsa hu ...jis amal say ksisi ko takleef ho who allah k nazdeek fasad hay . for example milad jo am tor per dekha gaya hay k galee mohaloon ko sajaya jata hay , agar is main bijlee choree ki istemal horahee hay yeh bilkul ghalat amal . agar is say road blockage horahee hay or logon ko takleef ho rahee hay to yeh ghalat hay ap ko koi or rasta nikalna chayea ya phir jaga change ker deni chayea. agar jo loud speakers istemal hotay hain jo echo chambers use hotay hain is say kisi ki neend main khalal wakeea hota hay ya phir kisi bemar ko takleef hoti hay to is say bhi perhaiz kerna chayeea. or late night milad say bhi perhaiz keya jaee. waqt bohat qeemti hay bohat say logo ki namaz bhi is say ja saktii hay . umeed hay k ap log meri bat ko postive lain gay . or allah nay hamain aqal o sahoor deya hay k ham in tamam batoon ka lehaz rakhain . akhri bat main apnay mehboob saw ki hadees say ikhtetam kerta hun .jis ka mafhoom kuch u hay k who shaks momin nahee jab tak us ki zaban or hath say dosra musalman mehfooze na ho wassalam.
-
walekumasalm dr bhai yeh waqaee allah ka nizam hay k murda decompose hota hay or nae hota due to some condition yeh bhi allah k nizam hay .is dunya main har cheeze allah ki nishanee hay even ap ka apna wajood even yeh letter jo main type ker raha hun yeh bhi allah ki nishanee hay . ap to apni bat meray moon main dal rahay hain kher anyways ghulam pervaiz sahab ki fikar bohat achee hay lekin who itnay baghee hoay k siray say hi hadees e mubarika ka inkar ker deya . apnay lagat hay pervezi lafz hi paraha hay kabhee un ki dastan peri bhi lain . insan jab baghee hota hay to phir es ahi amal samnay ata hay . kher main pervaizi nahee hun menay ap say kaha na k mujhay kisi bhi maktab e fikar say nahee jorain khuda janata hay main musalman hun or allah keray main musalman maru (ek kamzoor or bayamal insan ...apki dua ka talabgar hun) nabi saw nay koi bi bat farmaee j haq hay who apni marzee say kabhee nahe famaree yeh bat apki bilkul baja hay . lekin ap nay bhi kabhee yeh janay ki koshis nahee ki k is deen main milawat kitni hoe . yeh fitna abhe say nahee hay yeh ap k wisal k foran bad shuru hoagaya tha. menay seperate topic banaya hua hay jis main sar saree sa note likha hay isi forum k ander azba e qabar k nam say ap meri post perh to leya kerian yeh menay ap ko pehlay bhi mention keya tha. meri ap say guzarish hay k ap mera sath dain or haq bat janay main meri madad famareen. allah hafiz
-
walekuasalm jazakallah for ur positive response janab ap nay yeh kaha k menay ab natrual preservative ka topic start kerdeya to arz yeh hay k yeh main pehlay bhi k eh chuka hun or ab bhi yehi keh raha hun k jo bhi ap k mufti sahab k sath hua us ki wujoohat main say koi bhi ek waja hosaktee hay . menay natural preservation ki jo post ap ko likhi the us ki detail bhi da deta hun isleya main bar bar keh raha hun k ap meri posts pertay hi nahee. AB BOHAT IMPORTANT POINT ARAHA HAY IS KO NOTE DOWN KERLAIN . The time for the reduction of an embalmed body to be reduced to a skeleton varies greatly. An unembalmed adult body buried six feet deep in ordinary soil without a coffin normally takes ten to twelve years to decompose fully to a skeleton, given a temperate climate. AB AP YEH MAT KAHEEYA GA KHUDA K WASTAY K YEH JHOOT HAY. THIS IS PURE CHEMSITRY BHAI .YEH ALLAH KA NIZAM HAY . yeh meri 2nd post hay but topic ki 3rd post hay zara phir say ek bar dekh lejeya ga. kher bhai agar ap ka yeh aqeeda hay k ap alam e barzakh k baray mains ab jantay hain or yeh usi k tehat hoa hay to yeh sab batil aqeeda hay . murday ko qabar main na azab deya jata hay na hi sawab yeh tamam faisaly roz e mehsher k din hi paish aengay . mujh is bat ka andaza us waqt hua jab ap nay puri koshih ki defend ki or akhir main yeh keh deya k mufti sahab ka chera qibla rukh hi tha . main ap ko daleel k sath keh sakta hun quran say sabit kerskta hun jo ahadees hain un k batil honay k bhi suboot day sakta hun . c u later inshallah allah hafiz
-
walekumaslam dr sahab ab business ka bahan q banatay saf saf keh deya kerain k research work ke rahay hain no 1 k ap mujhay copy paste kernay say mana kertay hain or khud usi formulay pay atal ahin or copy paste kertay hoay fonts ko bhi badalnay ki taufeeq nahee hoti . main phir ap say kahunga apnay koi nae bat nahee kahe yeh sab puranee batain hain jo main pehlay posts main likh chuka hun menay har angle say ap per bat wazeh kernay ki koishish kerdi lekin wahan bhi ap nay aqeedatmandee ka muzahira keya na k ilm o fikar ka. yeh jitni bar am i right likh hay to yeh to sab mujhay maloom hay or ap bhi jantay hain . http://www.chemicalland21.com/lifescience/...20SYNTHETIC.htm http://www.chemicalland21.com/lifescience/phar/THYMOL.htm ab ap yeh keh rahay hain k website kuch bhi likhay ap nay (main na manu wala formula apna leya hay ) inshallah fikar na kerain ab main bilzaroor ap ko kisi authentic source say sabit kerdunga k yeh sab kya q or kesay hoa afsoos yeh hay k na kisi movie main na real main main mufti sahab ki dead body ko dekh saka . or afsoos is bat ka hay k ap nay bhi us event ko nahee dekha phir bhi ap aqeedatmandee main itnay goom hain k ap per bat asar nahe ker rahee hay . puterfaction kitna arsa tak stay ker sakti hay to iska jawab main bhi a ko kae bar day chuka hun k main ap per bat khali putrefaction ko base bana ker nahee ker raha main naturally preserve body ki bat ker raha hun . putrefaction may help but menay kae bar yeh bhi likh k bat ap per wazeh hojae k putrefaction hi cause nahe hosakta. jab main likhta hun natural body prerve hoe hay to ap kehtay hain imama ka color jo gree tha who q nahee badla.. ap khud faisal nahee ker parahay kahee pay iqrar kahee pa inkar ajeeb dastan hay . An unembalmed adult body buried six feet deep in ordinary soil without a coffin normally takes ten to twelve years to decompose fully to a skeleton. ap nay jo example di hay who total qayas per mabnee hay na k haqeeqat per . esay kae cases hain jis main body lasts for a long period of time and mind iy k yeh main phiclee post main kae dafa likh chuka hua shayd is bar ap isko dekhnay ki zhemat farma lain . jab yeh scientifically prooved hay to ap imamy ko lay k beth jatay hain k imamay k color nahee badla. ap keh rahay hain video k mutabik ek bhi process start nahee hua .....khalii mukbhir k bayan per . mint family n. A large family of aromatic herbs, the Labiatae (or Lamiaceae), including lavender, mint, rosemary, sage, and thyme and characterized by opposite leaves, square stems, bilaterally symmetrical flowers with united petals, and a four-lobed ovary that produces four one-seeded nutlets.http://www.thefreedictionary.com/mint+family yeh sab mint family hay ap ko samhajnay may mistake hoe hay dr sahab . Peppermint oil is derived from Mint and has many uses, chiefly as a flavourant but also in complementary and alternative medications for allergy (1). Menthol (also known as Mint camphor or Peppermint camphor) is a white, crystalline http://www.immunocapinvitrosight.com/dia_t...n____28384.aspx http://en.wikipedia.org/wiki/Mentha is ki details perh lain . inshallah ab is wakee ki pure rresearch hoge takay main logon k gumrah or batil aqeeday ko tor sakoo sirf or sirf allah ki raza k leya na k apni kam ilmi jharanay kleya . allah hafiz
-
asalamalekum http://www.youtube.com/watch?v=zI--vfObH_Q is k response main yeh dekhain SUN LEY AEY NAJDIYA, TU JUDA MAIN JUDA TU JAHANNUM CHALA MAIN MADINEY CHALA allah k nabi kya esa keh saktay hain ??????? who to saray alim k leya sarapa rehmat ban ke ae unhon nay farma deya k hazir ghaib tak phoncha dain . (kya yehi phonchanay k hukum deya tha) yad rakho jo shaks ksi dosray k leya acha nahee soch sakta who kabhee zindagee main kamyab honay wala nahee) is this the thing that rasool allah taught us thorugh quran . ap logon ko kya hogaya hay q friqa wareeyat mainpar gaeen hay allah k nazdeek har insan ki keemat ekjesi hay allah k nabi to jang k darmeeyan dushmanoo ko aman day kerun tak deen ki dawat detay apnay iikhlaq say . us k bad un ko agar qubool hota to apnay sath shamil ker letay or manzoor na hota to rawana kerdetay . baree hi ajeeb hay aj ki muslim ummat jo ek dosra ki tangoon ko khenchnay mainlagee hue hay . khuda k leya is jang ko khatam kerdain or logon ko jornay ki koshish kerain . isi man hamaree bhalee hay . yehi allah k matloob deen hay . who din bohat kareeb hay jis din kisi ki koi bat chupe na hogee . abhe sab k pas zaban hay ankh hay tamam naimat hay ..aj hamray pas bolnay k leya bohat kuch hay lekin allah ki raza k leya chup rehna nahee hay . yeh fasad hay is say roka jae . islah ki jae ...aqeedon ki jangbandee ki jaee . jo ek dosray ko sahe lagat hay who bat agay phonchaee jae jo ek dosray ko galat lagta hay us say roka jaee ...jabar say baree hokay . kya hay koi jo sirf allah ki raza k leya khamoshee ikhteyar ke lay ?
-
salam allah barkat ata farmaee ameen. dr sahab kya wakee yeh mamla itna sangeen hay kya yeh itna zaroore hay kya is ko deen bana bhi zaroore hay ?
-
salam mashallah kya pur noor batain kertay hain ap lekin beghair daleel k bat achee nahee lagtee . kabhee buzurgooon say hath ker allah ki kitab say daleel dain ya phir nabi saw ki koi hadees hi bayan kerdain jis main ap saw nay unhi qurani daleel ki taraf ishara ker k yeh bataya ho k aulya qabar main zinda hain .