Jump to content

Sirf "la Illaha Illallahu" Kahne Par Ungali Uthana Aur Kahne Ke Baad Rakh Dena Kisi Riwayat Se Saabit Nahi Hai


Smart Ali

تجویز کردہ جواب

(salam)

 

Hazrat aik ahle hadith nay objection uthaya hay kay sirf "la illaha illallahu" kahne par ungali uthana aur kahne ke baad rakh dena kisi riwayat se saabit nahi hai

 

 

Barai Madinah is ka jawab inayat ferma dien

 

(ja)

 

 

 

 

 

 

 

AHLE HADITH KAY DALAIL TASHAHUD MAY UNGLI KO HILANA

 

 

Bismillahirrahmanirraheem

 

 



MASLA RAFA-SABAABA( TASHAHHUD ME UNGLI UTHA KAR ISHAARA KARNA)



Tashahhud me ungli ka uthana aap(sws) ki badi barkat wali sunnat hai, iska suboot sunnat rasoollullah(sws) se dekhen



hz ibne umar ra riwayat karte hain ki aap(sws) jab namaz (ke qaayde) me baithte to apne dono haath apne dono ghutne par rakhte aur apni daayi(right) ungli jo anguthe ke paas hai utha lete, to uske saath dua maangte"


(sahih muslim 850)



hz abdullah bin zubair ra riwayat karte hain ki aap(sws) jab (namaz me) tashhahud padhne baithte to apna daayan haath daayin aur baayan(left) haath baayin raan par rakhte aur shahadat ki ungali ke saath ishaara karte aur apna angutha apni beech ki ungli par rakhte"


(sahih muslim 579)


" nabi(sws) daayen haath ki tamam ungaliyon ko band kar lete, anguthe ke saath wali ungali ko qibla rukh karke uske saath ishaara karte"


(sahih muslim 580)




Hz wail bin hajar ra riwayat karte hain ki aap(sws) (dusre sazde se uthkar qaayda me) baithe, do anguliyon ko band kiya, (anguthe aur beech ki badi ungaliyon se halka banaya) aur angusht shahadat(qalme ki ungali) se ishaara kiya"

(abu dawood 726, ise imam ibne habban 485, aur ibne khuzaima 713-714, ne sahih kaha hai, tashahhud me daayen haanth se halka banaane ki yah dusri masnoon kaifiyat hai)


"hz wail bin hajar ra farmate hain ki aap (sws) ne ungali uthayi aur use hilaate they"


(nisaai 990, ise ibne hibban 485 aur ibne khuzaima 714 ne sahih kaha hai,)

NOTE: sirf "la illaha illallahu" kahne par ungali uthana aur kahne ke baad rakh dena kisi riwayat se saabit nahi hai


" tashhud me shahadat ki ungali me thoda sa kham hona chahiye"


(abu dawood 991, ise ibne khuzaima 716, aur ibne hibban 199 ne sahih kaha hai)

 

Link to comment
Share on other sites

khud

gair muqalideen ka is masla

main apas main itifaq nahin

he sadiq sialkoti apni kitab

salat urusool main likha he

ke tashahud main ungli ka

harkat daina b sabit he aur

na daina b sabit he, is waja

se ye dono amal sunnat

hain yani hilana b aur na

hilana b sadiq sahib farmaty

hain.

Mishkaat shareef main

abudawood aur darmi

shareef ke hawala se Hazrat

Wayal r.a ke hadees main

yaharka b aaya he yani

Rasool ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ

ungli hilaty thy aur Hazrat

Abdullah bin zubair r.a ke

hadees main aaya he ke

ungli nahin hilaty thy, is se

maloom hua ke hilana b

durust he aur na hilana b

durust he is lye kabi hilana

b chahye aur kabi na hilana

b chahye ta ke dono

sunatun pr amal hota rahe

(page 308)

Link to comment
Share on other sites

Dilchasp baat to ye he ke

sadiq sahib ko pata he na

chala ke ye hadees

abudawood main nahin he

chunk e mishkaat waly se

ghalati ho gaye to sadiq

sahib ne b abu dawood ka

sahib mishkaat pr bharosa

kr ke hawala de dya. Gair

muqalidon ka ilm bas isi

qadar hota he aur is pr b in

ko ijtihad ka shoq preishaan

kye rehta he ye hadees

sunnan e nisai aur darmi

main he abu dawood main

nahin.(daikho salat e rasool

ka mohaqiq edition)

Aur phir salat e rasool ke

mohaqiq ne sheikh albani ke

hawaly se likha he ke la

yaharka wali hadees shaaz o

munkir he. Sahi yoharka wali

he yani hilana he sabit he

na hilana sabit nahin he

yani na hilane ka jo amal

sadiq sahib ke yahan sunnat

tha doosry gair muqalidoon

ne is ko najayez aur gair

sunnat bataya he aur jo

hadees sadiq sahib ke yahan

sabit thi doosry gair

muqalidun ne is ko gair

sabit batlaya ab gair

muqalideen dono hadeesun

pr kaisy amal krein ge gair

muqalidun ke konsi baat

tahqeeqi thi sadiq sahib

wali ya albani o mohaqiq

wali. Is ka faisla gair

muqalideen ke awam kr ke

sahi rehnmai farmayen agr

sadiq sahib wali baat sahi

he to is ka aailaan krein

warna ye ailaan kren ke

salat e rasool ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ

ﻭﺳﻠﻢ kitab main namaz ke

ghalat misayal b darj kye

gaye hain.

Link to comment
Share on other sites

muslim shareef ke pehli

riwayat main he Abdullah

Bin Zubair r.a ke he is main

he

ﻭﺿﻊ ﯾﺪﮦ ﺍﻟﯿﺴﺮﯼ ﻋﻠﯽ ﺭﮐﯿﺘﮧ

ﺍﻟﯿﺴﺮﯼ ﻭﻭﺻﻊ ﯾﺪﮦ ﺍﻟﯿﻤﻨﯽ ﻋﻠﯽ

ﻓﺨﺬﮦ ﺍﻟﯿﻤﻨﯽ ﻭﺍﺷﺎﺭ ﺑﺎﺻﯿﺤﮫ ۔

Yani ap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ

tashahud main dahna hath

khutne pr aur bayan hath

bayen ghutne pr rakha

krty thy aur apni ungali se

ishara krty thy.

Abdullah bin zubair r.a he

ke muslim shareef main yahi

riwayat aik doosri sanad se

he ke is ke ilfaz is trha hain

ﻭﺍﺷﺎﺭﮦ ﺑﺎﺻﺒﻌﮧ ﺍﻟﺴﺒﺎﺑﮧ yani ap

ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ sababa

se ishara krty thy sababa

beech ke ungli aur angothy

ke darmyan wali ungli ko

kehty hain jisy hum log

shahadat ke ungli kehty

hain.

Muslim shareef ke teesri

riwayat Hazrat Abdullah bin

umer r.a ke is ke alfaz ye

hian

ﺍﻥ ﺍﻟﻨﺒﯽ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ

ﮐﺎﻥ ﺍﺫﺍ ﺟﻠﺲ ﻓﯽ ﺍﻟﺼﻠﻮﺓ ﻭﺿﻊ

ﯾﺪﯾﮫ ﻋﻠﯽ ﺭﮐﺒﺘﯿﮫ ﻭﺭﻓﻊ ﺍﺻﺒﻌﮫ

ﺍﻟﯿﻤﻨﯽ ﺍﻟﺘﯽ ﺗﻠﯽ ﺍﻻ ﺑﮭﺎﻡ ﻓﺪ

ﻋﺎﺑﮭﺎ۔

Yani Allah ke Rasool ﺻﻠﯽ

ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ jab namaz

main baithty to apne dono

hath ghutnun pr rakhty

aur apni is ungli ko uthaty

jo angothy se mili hui he

aur is se dua krty

Aur hazrat ibn e umer r.a ke

muslim shareef main yehi

riwayat aik doosri sanad se

he is main he kea p ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ

ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ shahadat ke ungli

se ishara krty

Muslim shareef main hazrat

ibn e umer r.a he ke aik aur

riwayat main ye alfaz hain

ke Ap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ

apne sari unglyun ko samait

laity aur angoothy se mili

ungli se ishara krty.

Muslim shareef main

tashahud ke silsila ke ye kul

5 riwayatein hain aur ap

daikh rahe hain ke in

panchun riwayatun main se

kisi aik riwayat main b ungli

ko shuru tashahud se le kr

aakhar tak ungli hilane ka

zikar tak nahin balky

mutlaqan ungli ko harkat

daine he ka zikar he.

Link to comment
Share on other sites

Ab abu dawood shareef

main tashadud ke riwayatun

ko mulahiza farmayen

1.hazrat wail bin hujjar r.a

farmaty hain ke main ne

apne gee main kaha ke main

rasool ullah ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ

ﻭﺳﻠﻢ ke namaz ko daikhun

ga ke aap kaise namaz prhty

hain to main ne daikha ke

ﻭﻭﺿﻊ ﯾﺪﮦ ﺍﻟﯿﺴﺮﯼ ﻋﻠﯽ ﻓﺨﺬﯼ

ﺍﻟﯿﺴﺮﯼ ﻓﻘﮫ ﺍﻻﯾﻤﻦ ﻋﻠﯽ ﻓﺨﺬﮦ

ﺍﻟﯿﻤﻨﯽ ﻭﻗﺒﺾ ﺛﻨﺘﯿﻦ ﻭ ﺣﻠﻖ

ﻣﻠﻘﮫ ﺭٲﯾﺘﮫ ﯾﻘﻮﻝ ﮬﮑﺬﺍ ﻭﺣﻠﻖ

ﺑﺸﺮ ﺍﻻ ﺑﮭﺎ ﻭﺍﻟﻮﺳﻄﯽ ﻭ ﺍﺷﺎﺭﮦ

ﺑﺎ ﺍﻟﺴﺒﺎﺑﺔ۔

Yani main ne Rasool ullah

ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ko

daikha ke anghootha aur

beech ke ungli ka halqa

banaya aur sababa se

ishara kya.

Abu dawood ne b hazrat

Abdullah bin umer r.a ke

riwayat ka zikar ke he is

main b sirf ishara ka zikar

he

ﺍﺫﺍ ﺟﻠﺲ ﻓﯽ ﺍﻟﺼﻠﻮﺓ ﻭﺿﻊ ﮐﻔﮫ

ﺍﻟﯿﻤﻨﯽ ﻋﻠﯽ ﻓﺨﺬﮦ ﺍﻟﯿﻤﻨﯽ ﻭ

ﻗﺒﺾ ﺍﺻﺎﺑﻌﮫ ﮐﻠﮭﺎ ﻭ ﺍﺷﺎﺭﮦ ﺑﺎ

ﺻﻌﺒﮫ ﺍﻟﺘﯽ ﺗﻠﯽ ﺍﻻﺑﮭﺎﻡ۔

Yani Ap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ

jab tashahud main baithty

to sari ungliyun ko samait

laity aur shahadat ke ungli

se ishara krty.

Abu dawood ne hazrat

Abdullah bin zubair r.a

wali riwayat b zikar ke he

abudawood ke sanad ke jo

riwayat he is main b sirf

ishara he ka zikar he

ﻭﺍﺷﺎﺭﮦ ﺑﺎ ﺻﺒﻌﮫ

Abu dawood ne ibn e

zubair r.a ke ye riwayat b

zikar ke he jis main ungli

ko harkat na daine ka saaf

zikar he.

ﻋﻦ ﻋﺎﻣﺮ ﺑﻦ ﻋﺒﺪﺍﻟﻠﮫ ﻋﻦ

ﻋﺒﺪﺍﻟﻠﮫ ﺑﻦ ﺯﺑﯿﺮ ﺍﻧﮫ ﺫﮐﺮ ﺍﻥ

ﺍﻟﻨﺒﯽ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮫ ﻋﻠﯿﮫ ﻭﺳﻠﻢ

ﮐﺎﻥ ﯾﺸﯿﺮ ﺑﺎﺻﺒﻌﮫ ﺍﺫﺍ ﺩﻋﺎ ﻭﻻ ﯾﺤﺮ

ﮐﮭﺎ

Hazrat aamir r.a apne

walid abdullh bin zubair

r.a se naqal krty hain ke

Rasool Allah ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ

ﻭﺳﻠﻢ jab tashahud ke lye

baithty to apni ungli se

ishara krty aur us ko

harkat nahin daity thy

Abu dawood main aik

riwayat malik b numair

alkhazai ke he wo apne

walid se riwayat krty hain

main ne Rasool ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ

ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ko daikha

ﻭﺍﺿﻌﺎ ﺫﺭﺍﻋﮫ ﺍﻟﯿﻤﻨﯽ ﻋﻠﯽ

ﻓﺨﺬﮦ ﺍﻟﯿﻤﻨﯽ ﺭﺍﻓﻌﺎ ﺍﺻﺒﻌﮫ

ﺍﺳﺒﺎﺑﺔ ﻗﺪ ﺣﻨﺎ ﺷﯿﺎ

Yani ap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ

ne apna dahna hath apni

dahni raan pr rakha tha

aur ap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ

ne apni shahdat ke ungli

ko utha rakha tha aur is

ko jhuka rakha tha

Abudawood ke tashahud ke

silsily ke in tmam riwayatun

main kahein b ungli ko

harkat daine ka zikar nahin

he balky zikar he to ye he

kea p ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ

ungli ko harkat nahin daity

thy jaisa ke hazrat ibn e

zubair r.a ke riwayat main

ap ne daikha

Link to comment
Share on other sites

Hazrat abu humaid r.a

farmaty hain ke main tm

logun main sab se zayada

nabi ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ke

namaz ko jan’ne wala hoon

phir unhun ne apne sathyun

ko namaz prh kr dikhai to

riwayat main ye he ke

unhun ne shahadat ke ungli

se ishara kya.

Yahan zira se murad kalai

wala hisa he yani hath ka wo

hisa jo ghutne pr rakah jata

he is se maloom hua ke

kahein zira bol kr sirf kalai

se pehly ka hisa murad hota

he yahein se bukhari

shareef ke is hadees ka

matlab b wazeh ho jata he

jis main ye he ke ap ﺻﻠﯽ

ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ apne dayen

zira ko bayen zira pr namaz

main bandhty thy yani apni

dayen kalai ke hisa se bayen

kalai ka hisa pakarty thy

baaz gair muqalideen ne

bukhari shareef ke hadees

se namaz main seena pr

hath bandhne pr istadlal kya

he ke chun k kuhni zira

kohni tak ke hath ko kehty

hain is waja se hadees ka

matlab ye he ke ap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ

ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ aik kohni tak ka

poora hisa doosri kohni tak

ke poory hisa pr rakhty thy

aur ye is waqt ho ga jab ke

seena pr hath bandha jaye

mgr abu dawood ke is

riwayat ne mamla saaf kr

dya ke zira ka itlaq arbi

zuban main hath ke aik juz

aur aik hisa pr b hota he is

waja se bukhari shareef ke

hadees ka matlab b ye ho ga

ke ap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ

aik kalai ko doosri kalai pr

bandhty thy agr gair

muqalideen is ko tasleem na

krein to abudawood ke is

hadees ke roshni main halat

e tashahud main kohni tak

hisa in ko apni raan pr

rakhna ho ga.

2.tirmizi ne hazrat ibn e

umer r.a wali hadees b zikar

ke he jis main ye alfaz hain

ﻭﺭﻓﻊ ﺍﺻﺒﻌﮫ ﺍﻟﺘﯽ ﺗﻠﯽ ﺍﻻ ﺑﮭﺎﻡ

ﻋﺪﻋﻮ ﺑﮭﺎ yani ALLAH ke

Rasool ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ

shahadat ke ungli utha kr

dua farmaty imam tirmizi

r.a is hadees ko zikar kr ke

farmaty hain.

ﻭﺍﻟﻌﻤﻞ ﻋﻠﯿﮫ ﻋﻨﺪ ﺑﻌﺾ ﺍﮬﻞ

ﺍﻟﻌﻠﻢ ﻣﻦ ﺍﺻﺤﺎﺏ ﺍﻟﻨﺒﯽ ﺻﻠﯽ

ﺍﻟﻠﮫ ﻋﻠﯿﮫ ﻭﺳﻠﻢ ﻭ ﺍﻟﺘﺎﺑﻌﯿﻦ

ﯾﺨﺘﺎﺭﻭﻥ ﺍﻻ ﺷﺎﺭﺓ ﻓﯽ ﺍﻟﺘﺸﮭﺪ

ﻭﮬﻮ ﻗﻮﻝ ﺍﺻﺤﺎﺑﻨﺎ۔

Yani sahaba o tabyeen

main se kuch logun ka

yahi mukhtar mazhab he

ke tashahud main ishara

krna he aur yehi humry

ashab ka b mazhab he

(yani tmam mohadseen ka

b yehi mazhab he)

Gair muqalideen aalim

mubarik puri imam tirmizi

ke is kalam ke sharah main

farmaty hain

ﺍﻟﻤﺮﺩ ﯾﻘﻮﻟﮫ ﺍﺻﺤﺎﺑﻨﺎ ﮬﻢ

ﺍﮬﻠﺤﺪﯾﺚ ﮐﻤﺎ ﺣﻘﻘﻨﺎﮦ ﻓﯽ

ﺍﻟﻤﻘﺪﻣﺔ ﻭﮐﺎﻥ ﻟﻠﺘﺮﻣﺬﯼ ﺍﻥ ﯾﻘﻮﻝ

ﻭﺍﻟﻌﻤﻞ ﻋﻠﯿﮫ ﻋﻨﺪ ﺍﮬﻞ ﺍﻟﻌﻠﻢ

ﻓﺎﻧﮫ ﻻ ﯾﻌﺮﻑ ﻓﯽ ﮬﺬﺍ ﺧﻼ ﻑ

ﺍﻟﺴﻠﻒ ﺝ ١ ﺹ ۲۴۲ ﺗﺤﻔﮫ

Yani tirmizi ke is qool

ashabana se murad

ahlhades hain jaisa ke

hum ne muqadma main is

ko batahqeeq bayan kya

he aur tirmizi ko ye kehna

chahye tha ke is pr ahl ilm

ya aam ahl ilm ka amal he

islye ke is masala main

kisi salaf se ikhtilaaf

maloom nahin he.

mubarik puri ke is kalam se

maloom hua ke aslaaf main

ungli se ishara krna aam tha

mgr ungli ko hilana in ka

mazhab nahin tha, yak am

az kam aam toor pr in ka ye

mazhab nahin tha tirmizi

shareef ke ahdees ap ne

mulahiza kr lei nab sunnan

e nisai.

aik riwayat to hazrat

ibn e umer r.a ke he

jis main ungli se ishara

ka zikar he ye hadees

guzar chuki

2. 2. doosri wayal bin

hujjar r.a ke he jis

main ye he ke

ﺛﻢ ﻗﺒﺾ ﺍﺛﻨﺘﯿﻦ ﻣﻦ ﺍﺻﺎﺑﻌﮫ

ﻭﺣﻠﻖ ﺣﻠﻘﮫ ﺛﻢ ﺭﻓﻊ ﺍﺻﻌﺒﻌﮫ ﻓﺮ

ٲﯾﺘﮫ ﯾﺤﺮﮐﮭﺎ ﯾﺪﻋﻮﺑﮭﺎ

Yani main ne huzoor ﺻﻠﯽ

ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ko daikha ke

ap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ne

apni dono unglyun ko

samait kr halqa banaya

phir apni ungli ko uthaya

pas main ne daikha ke ap

is ko harkat de rahe hain

aur is ke zarye se dua kr

rahe hain.

1. teesri hadees wohi

hazrat ibn e umer r.a

ke he is main sirf

shahadat ke ungli

uthane ka zikar he

2. chothi hadees hazrat

ibn e zubair r.a wali he

jis main is ke sarahat

he ke ap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ

ﻭﺳﻠﻢ ungli se ishara

farmaty thy aur is ko

hilaty nahin thy

3. hadees ibn numair

khizai wali he jis main

sirf ishara ka zikar he

ab ap ibn e maja ko b

daikh lain ibn e maja

ne bab qayam kya he

ﺍﻻﺷﺎﺭﺓ ﻓﯽ ﺍﻟﺘﺸﮭﺪ yani

ye bab is baat ke

bayan main he ke

tashahud main ishara

krna he aur is bab ke

tehet ibn e maja ne

teen hadeesain zikar

ke hain malik bin

numair khizai r.a ke

hadees jo guzar chuki

he hazrat wayal ke

hadees ye b guzar

chuki he ibn e umer

r.a ke hadees ye b

guzar chuki he aur

teeno ahdees main se

kisi aik hadees main b

ungli ko harkat daine

ka zikar nahin he.

Link to comment
Share on other sites

jin gair muqalidun ne

apna mazhab banaya he ke

namaz ke sunnat ye he ke

tashahud ke lye jab se

baitha jaye isi waqt se

tashahud ke khatam tak

ungli hilaty raha jaye in ke

pas nisai ke aik hadees ke

elawa siha e sitta se koi

daleel nahin he main ne

muslim abudawood timrmizi

nisai aur ibn e maja ke jo

hadeesain naqal ke hain ap

in ka shumar krein to

muslim ke 5 hain aur

abudawood ke b 5 hain aur

tirmizi 2 nisai ke 5 ibn e

maja ke 3 riwayatein hain

kul mila kr 21 ho gayen in

21 riwaytun main se sirf

nisai ke aik riwayat main

ungli ke harkat daine ka

zikar he baqya 20 riwaytun

main is amal ka kahein ata

pata nahin he is se maloom

hua ke namaz main ungli

hilana ALLAH ke Rasool ﺻﻠﯽ

ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ke sunnat

nahin he agr ye amal sunnat

hota to 20 riwaytun main se

2 4 main to is ka zikar hota,

is lye sunnat wo amal he jis

pr ALLAH ke Rasool ka aam

toor pr amal raha ho aur

phir is amal ko sahaba

kiram ne b apni zindagi

main dakhil kya ho aur phir

wo amal ummat main in

hazrat ke wasta se naqal dar

naqal amlan baad amal

pohncha ho.

Agr ap sahaba aur tabyeen

aur aaima e deen ke halat

maloom krein to ap ko unki

namazun main is hilane waly

amal ke hikyat nahin mily

ge, aaima arba ke mazahib

main is ka nishan nahin mily

ga phir daikhain ke wayal

bin hujjar r.a ke hadees abu

dawood main b he aur ye

hadees ibn e maja main be

he laykin in dono kitabun ke

rowaytoon main ungli hilane

ka zikar nahin he sirf ishara

krne ka zikar he hilane ka

zikar sirf nisai ke riwyat

main he, is se maloom hua

ke hazrat wayal r.a ne kabi

nabi e paak ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ

ﻭﺳﻠﻢ ko namaz main ungli

hilaty hue daikha ho ga bas

isi ko zikar kr dya ya unhun

ne ap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ke

ishara krne ko daikha to isi

ishara ko baaz dafa harkat

se tabeer kr dya, chunacha

isi baat ko gair muqlidun ke

mashoor aalim tirmizi

shareef ke shareeh molana

mubarik puri sahib likhty

hain.

Tashahud main ishar ke

waqt ungli ke hilane ke

bary main do hadeesain

aai hain aur ye dono

hadeesain alag alag hain

abu dawood aur nisai main

ibn e zubair r.a se ye

riwayat he ke nabi ﺻﻠﯽ

ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ jab tashahud

prhty to ungli se ishara

krty aur is ko hilaty nahin

thy imam nawavi r.a

farmaty hain ke is ke

sanad sahi he aur ye

hadees sarahtan dalalat

krti he ke ungli ka hilana

nahin he aur yehi imam

abu hanifa r.a ka qool he.

Aur doosri hadees hazrat

wayal r.a ke he jo ungli

hilane ke bary main he ye

hazrat imam malik r.a ka

mazhab he

Imam behqi r.a farmaty

hain ke hilane se murad

ho sakta he ke ishara krna

ho na ke bar bar aur

musalsil harkat daina aur

wo mani murad laina is lye

behtr he ke ye hazrat ibn

e zubair r.a ke hadees se

takraye nahin jis ko imam

ahmed nisai aur ibn e

hiban r.a ne in alfaz main

naqal kya he ke nabi ﺻﻠﯽ

ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ jis waqt ungli

se ishara krty to ap ﺻﻠﯽ

ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ungli hilaty

nahin thy aur ap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ

ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ke nigah ishara

se hatti nahin thi.aur

shokani ne nail ul ootar

main ye likha he ke jo

baat imam behqi r.a

farmaty hain is ke trf

wayal r.a ke wo hadees

rehnumai krti he jo abu

dawood main he ke ap

ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ sababa

se ishara krty ( ﺝ ١ ﺹ ۲۴۲

ﺗﺤﻔﮫ ﺍﻻﺣﻮﺍﺫﯼ )

Molana mubarik puri ka b is

se rujhaan maloom ho gaya

ke wo b sirf ungli se ishara

krne ko sahi samjhty hain

ungli ka tashahud main

hilana un ke nazdeek sunat

nahin he is lye unhun ne

behqi aur shokani ka kalam

zikar kr ke us ka rad nahin

kya he balky dono mukhtalif

hadeesun ke baham tatbeeq

ko isi trha oola qarar dya he

ke hazrat wayal r.a ke jis

hadees main ungli ke hilane

ka zikar he is se murad

ishara krty waqt ungli ka

hilana murad he hilane wali

hadees aur na hilane wali

hadees ke ma bain jo taruz

aur ikhtilaaf he wo khatam

ho aur gair muqalideen ke

doosri kitab oon al mabood

main he ke

ﻭﺟﻤﮭﻮﺭ ﻋﻠﯽ ﺍﻥ ﻟﻤﺮﺍﺩ ﺑﺎﻟﺘﺤﺮﯾﮏ

ﮬﻨﺎ ﮬﻮ ﺍﻟﺮﻓﻊ ﻻ ﻏﯿﺮﮦ ﴿ﺝ ١ ﺹ

۳۷۵﴾

Yani hamhoor ka qool ye

he ke jis hadees main

harkat daine se murad sirf

ungli ka uthana he koi

doosra mana nahin

1 khoob yaad rah eke gair

muqalideen shuru tashahud

se ungli hilaty hain aur ye

imam malik ka mazhab

nahin he imam malik ka

mazhab kalma shahadat ke

waqt ishara kr ke ungli ko

harkat daity rehna he.

Aik baat jo yahan aur b qabil

e ghoor he wo ye he ke

hazrat wayal r.a madeena ke

bashindy nahin thy na

huzoor ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ

ke 5 waqta namaz ka unhein

hr roz ka mushahida hasil

tha balky yaman se saal

main kabi kabar ap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ

ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ke khidmat ke lye

tashreef laty jab ke hazrat

ibn e zubair madina main

rehty thy aur ap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ

ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ke 5 waqta namaz

ka mushahida farmaty thy is

waja se huzoor ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ

ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ke namaz ke jo

kaifyat hazrat ibn e zubair

r.a bayan farmayen ge wo

zayada qabil e qabool ho ge

is waja se b ibn e zubair ke

hadees ko hazrat wayal r.a

ke hadees pr tarjeeh hasil

he.

Aur hazrat Abdullah bin

zubair r.a ke hadees ke aur

doosri tarjeeh ye he ke in se

sirf aik baat adam e tehreek

ke manqool he, jab ke

hazrat wayal ke kisi hadees

main ishara ka zikar he aur

kisi main shara ke sath ungli

ke harkat daine ka b.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...