Jump to content

Din aur Raat ki Tareef


Gulzar

تجویز کردہ جواب

(bis)

(salam)

maine yeh sawal phele bhi is section mein kya tha lekin mujhe wo topic nahi mila aur us ka jawab de diya gya tha, beherhaal, dobara karta hoon

 

Din aur raat ki kya tareef hai?

 

in hadees mein kuch wazaif hai jo k din aur raat ko pardney chahiey, lekin mein to Din raat k masley mein hi phassa hua hoon.

 

-) http://i36.tinypic.com/jshvt0.jpg

 

merey liey din wo hota hai jab suraj nazar aaney lagta hai to wo din hai, aur fajar ke waqat se lekar suraj k poora nikalney tak Subah hai.

aur shaam wo hai, jab Magrib ki namaaz ka waqat shuru ho jata hai ya us se kuch minut pheley.

aur raat wo hai jab isha ka waqat shuru ho jata hai,

kya aissa hi hai?

 

bataiey ke, jo in link men likha hu hai wo kiss waqat pardna chahiey!

 

filhaal mein in ko fajar ki namaaz pard kar inhey pardta hoon aur baqi magrib ki namaaz pard kar,

Edited by Sag-e-Attar
Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

Bhai subha , doophar , saipahar , sham , shab yei sab istalah ham istamal kartay hain hai magar Asal mai aaik pooray 24 ghantay mai sirf 2 cheazain hai yani Andhairay wala Hissa aur Ujalay Wala hissa

 

Islami lahaz say

Sooraj nikalnay say Sooraj Doobnay Tak Din hai.

 

Aur Sooraj Dobnay say Agli Sooraj Nikalnay Tak Raat hai.

 

Bas baki sari jo Istilahat hain yani sham , doopahar , sapahar wo hamari aasani kay leay hain. is leay jaha bhee aap koi wazaif waghaira daikhain tu din aur raat say wohi murad hai jo ooper guzr albatta ugar baaz wazaif mai subha ya sham likha howa hai tu us say Din ka shroo wala hissa aur aakhri hissa murad lain gai.

 

Din kay aaghaz mai mai jo thanda waqt hota hai us ko Subha aur darmiyani hissa mai jab Sooraj bilkul apni garmi pay hota hai usay doopahar kahtay hai aur phir aahista aahista jab dhoop kam honay lagay wo waqt Sai pahar ka kahlata hai aur sooraj guroob honay say pahlay jo sooraj thanda hota hai wo Sham aur Phir Shab

 

Yani Subha, Doophar, Saiphar aur Sham yei Sab asal mai Din ka Hissa hai

Aur Shab aur Raat aik he hai.

 

Islami lahaz say Raat pahlay aati hai aur Din baad mai aur Isa'ee , Ungraizi ya aaj kal jo dunyawi tarteeb hai us kay lahaz say din pahlay aur raat baad mai...

 

isi leay angraizi zuban aur tarteeb mai Jummay ki raat wo ho gee jo Jummay aur Haftay kay darmiyan wali raat hai jab kay Islami lahaz say Jummay ki raat Jumma'rat aur Jummay ki Darmiyani Shab ko kahtay hain ... isi tarah islami maheenay bhe raat say shroo hotay hai isi leay Ramzan ki pahli raat pahlay aati hai aur pahla din baad mai..

 

 

Wallaho wa Rasuluho Aalam

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(salam)

 

Saif ul islam bhai aap ne bahut hi detail se jawab diya hai jazakallahu khaira magar jab wazaif main subha o shaam ka zikr aata hai tu subah yani aadhi raat dhalne se suraj ki kiran chamak ne tak subha hai. Aur dopaher dhalne se guroob-e-aaftaf tak sham hai.

 

Agar is main kisi ko ghalt laga tu muje ko batayega.

Link to comment
Share on other sites

1-) agar main aapki baat sahi samja hoon to phele wali link k wazaif ko suraj k poora nikalne ke baad pardna hai aur doosri martaba suraj jab mukamal tor par gharoob ho jaye, na k fajar aur magrib pardney k baad, kya main sahi samja hoon?

 

2-) aur doosri link k wazaif ko subha ka suraj nikalne k baad aur doosri martaba suraj gharoob honey se phele phele, kya main yeh bhi sahi samja hoon?

 

3-) aur teesri link k wazaif ko subha ka suraj nikalne k baad pardna hai na k fajar ki namaaz pard kar, kya yeh bhi main sahi samja hoon?

agar nahi to meri islah kara dijiey please!

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(salam)

 

Saif ul islam bhai aap ne bahut hi detail se jawab diya hai jazakallahu khaira magar jab wazaif main subha o shaam ka zikr aata hai tu subah yani aadhi raat dhalne se suraj ki kiran chamak ne tak subha hai. Aur dopaher dhalne se guroob-e-aaftaf tak sham hai.

 

Agar is main kisi ko ghalt laga tu muje ko batayega.

mashaAllah aap theak farmata hain mai nay kisi muzakray mai bhee suna tha wo mai dhondho ga mil jaiy tu yaha attach kar du ga inshaAllah ..

 

jazakAllaho khair

 

1-) agar main aapki baat sahi samja hoon to phele wali link k wazaif ko suraj k poora nikalne ke baad pardna hai aur doosri martaba suraj jab mukamal tor par gharoob ho jaye, na k fajar aur magrib pardney k baad, kya main sahi samja hoon?

 

2-) aur doosri link k wazaif ko subha ka suraj nikalne k baad aur doosri martaba suraj gharoob honey se phele phele, kya main yeh bhi sahi samja hoon?

 

3-) aur teesri link k wazaif ko subha ka suraj nikalne k baad pardna hai na k fajar ki namaaz pard kar, kya yeh bhi main sahi samja hoon?

agar nahi to meri islah kara dijiey please!

1. Sahee

2. Sahee , Fajar kay foran baad parh lain ya Fajar say thora pahlay bhee parh lain wo bhee subha mai shumar hoga inshaAllah

3. Yei bhee Fajar say pahlay ya baad dono parh saktay hai ..

 

mashaAllah aap theak samghay,

 

wasslam

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

bohat shukrya saif-ul-islam saab, aap ne bohat ache jawab dieye,

ek choti si confusion peda ho rahi hai, subah ka waqat to din mein shumar hota hai jaissa k aap ne uper jawab mein farmaya'' Yani Subha, Doophar, Saiphar aur Sham yei Sab asal mai Din ka Hissa hai''

aur fajar k waqat to acha khassa andhera hota hota hai,

 

aur Shaam kis waqat se lekar kiss waqat tak hoti hai, magrib ki namaaz ko sham ki namaz bhi kaha jata hai aur yeh yaqeeqan is liye kyon k shaam ka waqat gya hai merey khial se,

Edited by Gulzar
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...