Jump to content

Sybarite

مدیر
  • کل پوسٹس

    628
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    46

سب کچھ Sybarite نے پوسٹ کیا

  1. Miya Thanvi ne martay waqt kya kaha kya nahi woh tu sabhi jantay hain hatta ke khud deobandi ulema bhi. Woh aur baat hai ke deobandiyo ki shariat apnay aur paraye ke liye alehda alehda hai. Khair abhi kuch din pehlay Ashraf Thanvi ka aik aur qabil-o-ghour hawala parhnay ko mila tu soocha ke apnay bhaiyo se share karta chalo. Deobandi hazrat, baray chootay, alim jahil sab se pehla aiteraaz jo Wasaya sharif per kartay hain woh ye ke Ala Hazrat nay "MERA DEEN-o-MAZHAB" kyu keh dya. Iss ka jawab mufassil tareeqay se mandarja`bala tasneef mein diya jaa chuka. "MERA DEEN-o-MAZHAB" ke baad askar deobandiyo ki taan aa kar tooti hai iss per baat ke Ala Hazrat nay apni kitaboo se sabit deen per qayam rehnay ki talqeen kyu ki. Quran-o-Hadiths per qayam rehnay ki talqeen kyu nahi ki. Iss ka bhi jawab iss tasneef mein mojoud hai lekin deobandi hazrat ko jab tak inkay apnay akabireen ki kutb se hawala nikaal kar munh per na mara jaye tab tak inko baat samajh nahi aati (samajh to inhay khair apnay hawalay dekhnay ke baad bhi nahi aati!). Kitab ka naam Tasheel Qasd-us-Sabeel, likhnay walay koi aur nahi balkay inn ke Rangeelay Ashraf Thanvi sahab! Iss kitab ke page 42 per Thanvi musoof apnay murideen ko talqeen kar rahay hain; Header: "Mureed ho kar ye kaam karnay paray gay" 1. Beheshti Zewar ke giyara (11) hissay awwal se aakhir tak aik aik hurf kar ke parhnay ya sunnay paray gay. 2. Apni sab halatein Beheshti Zewar ke muwafiq rakhna paray gi. 7. Apni biwi bacho ke huqooq ada karnay hon gay in ka ye bhi deeni haqq hai ke in ko hamesha Shrah ke ihkaam batalatay raho. Asaan tareeqa iss ka parhay howay ke liye hai ke raat din mein thora sa koi waqt muqarrar kar ke Beheshti Zewar awwal se aakhir tak apnay ghar walo ko parh kar suna way aur samjha way aur jab woh khatam ho jaway phir se shuru kar dein, jab tak inn ko masail khoob achi taraf yaad na ho jaway sunatay rahein..... Ye hai janab Miya Thanvi ki apnay murideen ko talqeen jo deeni talqeen kam balkay apni kitab Beheshti Zewar ka marketing plan zyada maloom hoti hai. Thori dair ke liye iss talqeen ko parhtay parhtay aankhein band kar ke takhaiyyul ki dunya mein jaye tu aap ko Khashkashi darhi, chiptay chehra wala aik bhudda sarak per chaadar bichaye awazein lagata nazar aye ga "Beheshti Zewar le loo, baray kaam ki cheez hai le loo, 2 khareedo teesri muft le lo!".... Khair... Yaha qabil-e-zikr baat ye ke jo deobandi Ala Hazrat per iss tarah ke be'tukkay ilzamat lagatay nahi thaktay ke Ala Hazrat nay apni kitabo ki hi baat ki, Quran-o-Hadith ki baat nahi ki, to unhay apni Thanvi ki kitabein kyu nazar nahi aatein? Mureed ko talqeen number 1 ke tour per apni hi likhi howi Beheshti Zewar parhnay ki talqeen ki jaa rahi hai aur woh bhi iss tarah ke "AIK AIK HURF KAR KE PARHNAY YA SUNNAY" paray gay! Usooli tour per agar kisi kitaab ko hurf ba'hurf parhnay ki talqeen karni hi thi tu Quran-e-Kareem parhnay ka hukum detay. Ab iss baat per aaj tak kisi deobandi ki ghairat nay josh nahi mara ke Thanvi ne Quran ke bajaye apni Beheshti Zewar ko parhnay ki talqeen kyu ki. Hatta ke namaz jaisay ehm fareezay ki talqeen bhi 4th number per hai aur apni kitab ki talqeen pehlay number per. Talqeen number 2 mein dobara Beheshti Zewar ki ehmiyatt ko ujagar kartay howay Thanvi miya keh rahay hain ke "APNI SAB HALATEIN BEHESHTI ZEWAR KE MUWAFIQ RAKHNI PAREIN GI". Maltab apnay taee Thanvi ne aik tarah se Beheshti Zewar koi aasmani kitaab aur khud masoom qaraar de dya, ke Beheshti Zewar ke mutabiq ho jao uss mein sab kuch theek hai aur ghalti ka koi shaiba tak nahi. Jo deobandi Wasaya Sharif per aiteraaz kartay hain unhay tu pehlay Thanvi ki qabar per jaa kar sawal karna chahiye ke miya ye kya likh gaye aap! Apni halat ap ki Beheshti Zewar ke mutabiq kyu kar kar li jaye, hamaray pass to Quran-o-Hadith mojoud hai. Hum apni halat Quran-o-Hadith ke muwafiq kyu na karein? Lekin aaj tak koi deobandi ye sawal karta nazar nahi aya. Aur ab to Thanvi ki qabar se sawal bhi mumkin nahi. Kuch arsay pehlay inkay "Hakeem-ul-Ummat" ki qabar se unn ki haddiya tak khood kar ghayab kar li gai aur uss ke jageh insaani fazla paya gaya. Na janay kaun tha jisay sari dunya choor kar Thanvi ki qabar hi mili thi istanja khanay ke tour per! Saatwee (7th) talqeen mein Thanvi phir se Beheshti Zewar ki dugdugi bajatay nazar aatay hain. Musoof keh rahay hain ke "raat din mein thora sa koi waqt muqarrar kar ke Beheshti Zewar awwal se aakhir tak apnay ghar walo ko parh kar suna way aur samjha way". Ab Koi tu inn Thanvi-ke-bando se poochay ki Waqt Muqararr kar ke Fatiha, Niyaz, Milad waghaira karnay per to jhatt se "Bidat" ka label laga dya jata hai. To phir ye Beheshti Zewar aakhir kya bala hai ke jis ke raat din mein waqt muqarrar karna theek ho gaya? Waisay agar ghour kiya jaye to Taiyyun-e-Din-o-Waqt ke mamlay mein Deobandiyo ko khaarish tabhi hoti hai ke jab koi mustahib ya naik amal kya jaye. Warna ye saray Deobandi shaadi bhi din aur waqt muqarrar kar ke kartay hain, 5 waqt ki namaz bhi waqt-e-muqararra per parhtay hain, roozay bhi 1 muqararr maheenay mein rakhtay hain, Itwaar (Sunday) ko din muqarrar kar ke chutti bhi manatay hain, hatta ke agar koi Deobandi Naee (Baber) ho to woh bhi Peer (Monday) ka din muqararr kar ke hi dukaan band rakhta hoga. Khair, Deobandi mazhab aaj tak khud deobandiyo ki samajh nahi aya tu mere aap ke kya aye ga!
  2. Assalam-o-Allaikum wa`Rehmatullahe wa`Barakatuhu Hamaray bhai ne bari mehnat se poori book scan kar ke upload kar di tu thora farz to mera bhi banta tha ke waqt ki bachat ke liye issay .CHM bana do takay aik aik kar ke sab ko images download na karnay paray. Image size reduce kya hai takay file size sab ke liye easily downloadable ho iss liye quality bhi thori reduced hai but still araam se parha ja sakta hai. 4 rar files: Part 1 = 4.16mb http://www.mediafire.com/?exy21obawns Part 2 = 4.16mb http://www.mediafire.com/?1y1gtr2yyau Part 3 = 4.16mb http://www.mediafire.com/?94fi0irxzho Part 4 = 275.26kb http://www.mediafire.com/?cxemic94ewt 1 Complete file .chm = 12.77mb http://www.mediafire.com/?7jxj49daymj Duaoo ka talabgaar, Ehmad Ghaxnavi
  3. Assalam-o-Allaikum wa`Rehmatullahe wa`Barakatuhu JazakAllah for sharing such a needy book! Lekin book ke title per likha hai "Hissa Doim" means "Part 2"... what about "Hissa Awwal"??
×
×
  • Create New...