Jump to content

Gulzar

اراکین
  • کل پوسٹس

    204
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Gulzar نے پوسٹ کیا

  1. yeh jo aap ne wuzu ke barey mein kitaab ki image send ki hai is ko download karneki link konsi hai?
  2. Aslamo Elekum! Ok is baat ki samjh agaiyi hai keh jo mujh se zohar qaza hoti hai, agar mein usko asar pardney se pehle pardon ya baad mein to sirf farz ada karne ho gey nake sunnatein & nafal. dossra sawal, ab jaisey ke mujh par saalon ki namazein qaza baqi hain, aur main har farz namaz pardney se pehle ya baad mein main kuch na kuch qaza namazein pard laita hoon, sawal ye hai ke, jo farz namazein jo ke main un ke waqat par pardta hoon, un ki jo sunnatein hoti hain, jaise ke magrib ki 2 sunnatein hain. to magrib ki farz namaaz ada karne ke baad mujhe sunnatein bhi pardni hon gi ya behter hai ke sunnaton ki bajaey koi qaza namaz pard loon? maaf kijiey ga agar main kuch zyada hi sawaal pooch raha hoon!
  3. meine parda hai yeh rasala, lekin us mein yeh nahi likha ke sanna se shuru karein ya alhamdullila se. main pardney ke baad hi yeh sawaal kar raha hoon.
  4. Gulzar

    Qaza namaaz

    Qaza namaz pardtey waqat Sanna se shuru karte hain ya Alhumdulila se?
  5. Gulzar

    Namaaz ki Sunatein

    jiski kai saalon ki qaza namazein baqi hon aur uper se har roz namaze-e-zohar Asar ke waqat qaza karke pardta ho to, to aisey shakhs ko baqi namazon ki sunatein pardna lazmi hain ya nahi? jaise ke fajar ki 2 etccc jawab ke liye shukriya
  6. Bohat Bohat Shukriya Qaisar Mustafa A. Sahib. kaisey shukriya karon aap ka? chalein likh kar kar deta hoon, Bohat bohat shukriya! allah aap ko khush rakhey, ameen
  7. bhot skukrya aap ke jawab ka! chalein yeh baat to hadees ke zariey teh ho gaiy ke kandhey se kandha mila hona chahiey, lekin do namazion ke darmiyan 4 unglion ka fasla rakhney ki waja se jo do namazion ke paaon ke darmian fasla pedta hota hai, to us jaga par shaitaan nahi ata kay?
  8. phele to yeh pata chalaiye ke aisa karna jaiz bhi hai ya nahi!
  9. Asalamo Elekum to all! Mujhe nahi lagta ke wo aisa shaks hai, jo shaks nabi s.a.w par darood behjata ho, nabi paak s.a.w ki natein pardta ho, khud bhi girdgirata ho aur auron ko bhi allah ke samne girgiradany ka hukam deta, woh shaks aisa nahi ho sakta. mein ne unhein tv par dekha tha Hazarat Umar farooq razi allah talah anho ke barey mein baat karte hooey, aur baaton se aisa lag raha tha keh shaks ek sacha musulman hai. aapko zaroor koi na koi galith fehmi houiy ho gi, ya phir amir liaqat ke kehne ka matlib kuch aur ho ga aur aap ne jaldi mein kuch aur hi samajh liya ho ga. ya phir Dr.Amir liaqat ne josh mein ah kar aisa kuch jane anjaney keh diya ho ga. mera kehney ka maqsid sirf itna hi hai ke, bina kisi THOOOS SABOOT ke kisi ki peeth peechey aisi baat nahi karni chahiye. mujhe poora yaqeen hai ke Dr.Amir liaqat Kalma-e-Shahadat pardney walon mein se hain aur nabi s.a.w ke sache ashiq hain. La ila ha il al la hoo Muhammadar rasool allah, s.a.w
  10. Gulzar

    Wuzu ke masail

    aapki bohat meherbani ho gi agar aap merey in sawalon ke jawab hadees aur sunnat ki roshni mein dedein to! agar aap ko waqiye mein yaqeen ho ke aap jo likhne ja rahe hain woh ahelesunnat ke mutabiq sahi hai. bohat skukriya ap ka! 1-) Wuzu se pehle jo instanja karte hain, istanja karte waqat aksar kuch pechab ke qatrey jooton par gir jatey hain, to kya wuzu ke doran jab paaon dhote hain to jootey bhi dhoney chahiey? 2-) Agar kuch chote chote qatrey, pechab karte waqat kaprdon par gir jayen to kya namaaz ho jaye gi? kyon ki beroone-e-mumalik mein instanja nahaney wale Tab ke andher kiya jata hai jis mein yaqaqeen zyada jaga nahi hoti. 3-) jab wuzu mukamal ho gya, to aap masjid ki taraf rawana hooey, agar shalwar ke neechey kuch bhi na pehna ho to chalte waqat (nali) kabhi kaprdon se takrati hai aur kabhi jism se, jis ki waja se insaan ko mehssoss hota hai ke kuch qatrey nickle kar us ke kaprdon par lag rahey hain, aur jab wo masjid mein ja kar washroom mein ja kar dekhta hai to shalwar sookhi hoti hai, kyon ki mumkin hai ke masjid mein ate waqat qatra ya qatrey sookh gaye hon ya phir girey hi na hon. to kya un kaprdon se namaaz ho jati hai. agar nahi, to agar kaprdey badal bhi diyen jayen to naye kaprdon ke saath bhi aisa hi ho to, to un kaprdon se namaaz pard saktey hain. 4-) kaprdey kitni had tak gandey hon ke un se namaaz padi ja sakti ho? (chote pechab ke katron se). 5-) aap ne wuzu kiya namaz pardi aur ghar aye, aur doosri namaaz tak aap washrom nahi gaye, aur doosri namaaz ke wuzu karte waqat bhi aap ko koi hajat na ho to jab doosri namaaz keliye wuzu karein gey to kya wuzu shuru se karna ho ga( yani istanaja se) ya haat, quli se? 6-)koi shakhs bawuzu hai, to kya filmein daramein dekhne ya internet istimaal karne se us ka wuzu toot jaye ga? 7-) aap masjid mein phonchey aur dekha ke magrib ki namaz ki pelhe rakat ki qiraat ho rahi to aap kis waqat sana pardey gey. agar doosri rakat ki qiraat hor rahi ho to kis waqat aur agar imam 2 rakatein poori kar chuka ho to teesri rakat mein aap usey kardey hooey paen to kab sana pardey gey? Aur aisey hi aur namazon ke liye bhi kya hukam hai kis waqat sana pardni chahiey agar aap masjid mein lait phonchey?
  11. 1-) theek hai lekin aap mujhe koi is barey mein hadess bata saktey hain please? 2-) ek shaks ba wuzu hai, ab us ka wuzu toot gya, masaln, filmein dramein dekhnein se ya phir internet istimaal karne se. to jab wo dobara wuzu karega to usey wuzu shuru se karna hoga? yani ke, Isntanjey se, ya phir wo haat doney se shuru karega? halanke use washroom janey ki hajat nahi ai aur na hi reekh nikli ho, namaz ke shuru mein ja sana pard rahen ho to imam agar surat fathiya shru karde aur aap ne abhi sana pardna khatam na ki ho to kya ruk jaye ya phir mukamal karen? halanqe thordi si reh gai ho,
  12. aisey hi, kitna waqat lage ga jawab aney mein?
  13. Gulzar

    Namaaz mein...

    namaz ke doran jab hum chothi raqat mein, Qayam mein bhetehy hotey hai, aur abhi hum darood sharif hi pard rahey hon to Imam salam pher de, to kya hum daroon aur dua mukamal karke salam pheren ya usi waqat pher den?
  14. aur jis shakhs ka signal hamara wc receive kar raha hai, pata nahi wo musulman hai bhi ya nahi. beher haal aap mujhe kisi mufti ki website ya link bataiey take mein ye swaal unhe bhejh sakoon. shukriya
  15. sagg-e-atar bhai aap ne farmaiya kisi mufti ko likh kar behjoon, konse mufti ko konsi website par likh kar behjoon?
  16. Lekin yeh kaam chori ki categorie mein nahi ata, ke bina kisi ki ijazat ke baghair kisi ki cheez ko istimaal karna. Jis shakhs ke paas internet severice hai use to bata bhi nahi hoga ke us ka internet koi aur WC ke zariey istimaal kar raha hai. halanqe har maheeney bill to wahi deta hai na. please is topic pe thordi mazeed guftago kijiye! mujey thordi jard tak jana hai! Aap ki replies ka bohat bohat shukriya
  17. islam ek hai to sab imam yaqeeqan ek hi rastey par chalte hongey. is tarah se to Hazrat Gauss-al-Azam razi allah talah anho ka darja bhi bohat buland hai aur wo bhi Nabi s.a.w ke wisaal ke kuch arsey baad peda hooey they. aur taqyamat tak sab se zayada mureed un ke hi hon gey, to phir hum un ki rah par kyon nahi chalte?
  18. geo tv par ek program hota hai Alime Online, aur us mein shia alime deen bhi hotey hain. aur Dr.AMir Liaqat to bohat ache insaan hain to phir agar woh jante hain ke shia log theek nai hotey (yaqeenan wo yeh baat jante hon gey). to phir wo kyon shia alime deen ke zariey logon ke jawabat detey hain. merey khial se shia log allah ko mantey hain, us ke rasool s.a.w ko bhi mante hain to phir agar wo (shia) gustaakh hain to wo kya samjate nai ke 1 Allah, 1Rasoo s.a.w. 1 quran aur ek Deen (Islam) hi sahihain? to phir wo kyon quran par amal nahi karte? bohat ajeeb 7 jawab diye apne! mere ilm mein yeh baat har giz na tha,
  19. Gulzar

    Ek Sawal

    Aslamo Elekum! mera sawal zara section se hat kar hai, Kuch log Wireless Card ke zariey muft mein internet istimal karte hain. yani ke wo Wireless Card apne computer mein lagate hain aur un ke ghar ke nazdeeq ya door jin ke ghar intenet hota hai to yeh log wireless card ke zariey auron ka connection apne computer mein khinch kar istimaal karte hai. is tarah dono hi internet ka istmall kar saktey hain. to aisa karna jaiz hai ja nahi. kyon ke is ke zariey har maheeney kuch bhi pay nahi karna pardta.
  20. bohat skukriya jawab ka janab! mein kuck parda ja-al-haq ka volum one, lekin kuch khaas samajh nahi ayi, agar aap ke paas thorda sa waqAT ho to apne alfaaz mein beaan kar dijiye,
  21. Ok bohat shukriya janab! mujhe mere swal ka jawab mil gya, bohat shukriya. ek baat batai tafseel se agar mumkin ho sakey to, jitne bhi imam hain is duniya mein, sab hee ache aur sache hain, jaise ke imab abu hanifa, imam hanbal, imam hasan basri , Hazrat Ghauss-al-Azam. aur humsab musulman in sab imamon ko mante hain, to phir koi imam abu hanifa ko manta hai aur koi imam hanbal ko, Aisa kyon? kya difference hai?
  22. lekin jis masjad mein main jata hoon, wahan pe Morroco ke log namaaz pardney atey hai aur kabhi kabhi imamat bhi karate hai. aur jab namaz pardtey hain to doran-e-namaaz koshish karte hain ke un ke paaon doosrey namazi ke paaon se mile hon, aur jab woh paaon milatey hain to un ke dono paaon mein taqreeban 15 se 20 unglion ka fasla ho ja ta hai. balqe jab wo sajde se farigh ho ka stand hotey hain to khardey ho kar paaon ki taraf dekhtey hain, shaid doosrey namazi se paaon milane ke liye. to aisa karna daroosat hai kya? aur woh to ache khaasey namazi parezi aur bohat neik insaan lagtey hain aur dardi bhi hai. to main thorda confus hoon ke mujhe un ki tarah karna chahiey ya nahi? waisey to aap ne sawal ka jawab de diya hai, phir bhi agar koi aap mein se achi tarah is masley ko janta hai to please thordi aur roshni daal dijiye. aap ka bohat shukriya ho ga.
  23. Gulzar

    Sunni & Shia

    sunni aur shia mein kya farq hota hai?
  24. 2-2 feet se aap ka kya murad hai? aur 4 unglion ka fasla rakhna chahiey ya nahi?
  25. mujhe ager hadees mili to zaroor share karon ga keh, apne dono paon ke darmian 4 unglion ka fasla hona chahiye. na ke 2 -2 feet.
×
×
  • Create New...