
Gulzar
اراکین-
کل پوسٹس
204 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
سب کچھ Gulzar نے پوسٹ کیا
-
Asalamo alekum qasimattari saab! main kafi mutasir hua aap ki baat sun kar, allah mujhe, aapko aur tamam musalmano ko jo hain aur jo ayenda ayengey, alla tallah hum sab ko har wo naik amal karne aur doosron ke saath bantenay ki tofeeq ata farmaey jis se allah aur hamarey Aqa Muhammad mustafa (sal lal ho alehe wasalam) hush hotey hain. Ameen, summa ameen. dar'Asal main is hadees ki waja se thoda confus tha, lekin ab 2 admion ne 1 baat par itefaaq kya hai to main bhi aap se razi hoon aur itefaaq karta hoon. is website ke zariey mujhe bohat kuch seekhnay ko mila aur merey bohat sarey masail hal ho gaye, allah aap sab ko jazaey khair de, Ameen, summa ameen.
-
asalamo alekum! maine hadees mein pada tha ke, qayamat ke din ek shaks ko jahanam ke andher phenka jayega aur us ki intestine bahir nikal ayengi aur wo un ke ird gird ghoomey ga, to us ke ird gird ke jahanami poochey gey k bhai aap to dunyia mein balahi(neki)ka hukam detey they, naik amal karne ki batein karte they to aap kyon jahanam mein hain, to wo shaks jawab dega, han main logon ko naik amal karne ke liey kehta tha lekin KHUD US PAR AMAL NAHIN KARTA THA, bas isi liey main aaj jahanam mein hoon. yeh us hadees ka mehfoom hai. aur issi waja se maine sawaal kya hai. agar koi aur bhai confirm kardey to mujhe zayada yaqeen ho jaeyga, asalamo alekum!
-
maine net par TV ke khilaaf yeh video dekhi aur sunni hai, ALLAH TALLAH KI KHUFIA TABEER, jis ka ek hi maqsad hai ke TV ko ghar se bahir nikalna, main is video ko dekh kar kafi mutasir hua, maine socha ke main ayenda tv ko nahin dekhon ga, kuch dinon tak is baat ka mujh par asar raha lekin ab halat pehle jaissey ho gaye hain, yani ke TV ko phir se dekhna shuru kar diya hai, halan k meri niyat yahi hai ke main TV ko ghar se bahir phenk doon lekin merey ghar waley TV ke haq main hain. is video ka maqasad hai ke tv ko ghar se bahir nikalna jo k main nahi kar paya aur na hi dekhna choota, Sawal yeh hey k, kya mein is video ko net par share kar sakta hoon torrent ke zariey? sawal is liey kiya ke, kyon k maine ek hadees padi thi ke qayamat ke din us shakhs ko jahanam k andher phenka jaye ga jo k khud to amal nahi karta tha lekin auron ko us amal ki dawat deta tha, to main yeh confirm karna chahta hoon ke mera is video ko ya aissi aur video jo k neki ki taraf bulati un ko net par share karna theek hai ya nahi. kyon k bohat sari aissi video'S hain jin par main amal nahi kar pa raha, aap k jawab ka aur aapki duaoon ka muntazir, Gulzar
-
aap apne ghar walon yeh wali video poori dikhaayen: Allah tallah ki Khufia Tabeer: http://dawateislami.net/XP/Services/Speech...mp;speechType=1 mujhe umeed hai ke wo bohat mutasir hongey,
-
yeh book net par kahan miley gi?
-
sar ka masah kyon kartey hain? is se na to poori tarah sar ke baal gilley hotey hain aur na hi sar ki jild, main janta hoon ke yeh sunnat-e-rasool (sal lal laho alehey wasalm) hain.
-
kya kissi ko pata hai ke, kaissey pata chaley k konsa khawab ki tabeer hoti hai? waissey to sab khawab allah hi ki taraf se hotey hain, lekin kabhi kabhi dravney khawab bhi atey hain, to kaissey pata chaley k konsa khawab shaitaani waswasa to nahi?
-
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------- INNA LILLA HEY WA INNA ALEHI RAJEOON, MUJHE NAHI PATA AAP KAISSEY UN K LIEY QAZAEY UMRI KAR SAKTI HAIN, LEKIN MAINE BHI KAHIN PADA THA KE JO INSAAN IS DUNYA SE CHALEY JATEY HAIN, UN K GHAR WALEY YA KOI AUR MUSULMAN UN K LIEY QAZAEY UMRI KAR K BAKHASH SAKTA HAI, MUJHE UMEED HAI BOHAT HI JALAD IS FORUM PAR AAP KO AAP K SAWAAL KA JAWAB HADEES-O-SUNNAT K MUTABIQ MIL JAEY GA, INSHALLAH, ALLAH TALLAH AAP KO AUR UN KE TAMAM GHAR WALON KO SABAR ATA FARMAEY AUR HAMESHA APNE AMNON AMAN MEIN RAKHAY, Ameen BEHEN BOHAT DUKH HUA AAP KE MANGETAR K BAREY MEIN AISSA SUN KAR, ALLAH UNHE AZAAB-E-QABAR SE MEHFOOZ RAKHEY AUR QAYAMAT KE DIN NABI PAAK (sal lala ho alehey wasalm) KI SHIFAAT NASEEB FARMA KAR JANNAT AL FARDOS MEIN AALA MAQAAM ATA FARMAEY, Ameen, summa ameen
-
issi section mein merey aur bhi sawaal majood, jo ke abhi tak hal nahi hooey, agar aap un ka jawab deden to meherbani ho gi. shukrya!
-
dooseray mein main galey ka masah nahi karta bal k sirf galey ki Hadi ka jo upper ka hissa hai, jahan pe dhadi khatam hoti hai, yani ke jahan jahan par dhadi ke baal hotey hain wahan par masah karta hoon, na k galey ki hadi se neeche, kyon k meri dhadhi nahi hai, yeh sahi hai kya?
-
ok bohat shukrya, mein kya karta hoon, masah karte waqat jab 6 unlgian peeche le kar jata hoon us ke baad hatheli kaanon ke paas se guzartey hooey samne ki taraf lata hoon, na k peeshani par, jaissey ke is cercle ke ander hai, : http://i37.tinypic.com/259k5yb.jpg phir kaanon ko saaf karne ke baad jab haath ke ultey side se gardan ka masah karta hoon to main gardan ki side ka masah bhi karta hoon aur karte karte zubaan ke neech ka hissa jo hota wahan bhi karta hoon, jaissey ke is mein hai: http://i35.tinypic.com/epgp7a.jpg yani ke jo hissa in cercle ke andher andher hain wahan pe masah karta hoon, bataiey ke sahi hain ke nahi!
-
yeh sawaal abhi bhi adoora hai, jee han aur bhi masley hain bohat, aur maine issi section mein aur bhi sawaal kiye hain agar koi un par bhi roshni daal de, meherbani hogi
-
sunnat ke mutabiq sar ka masah 3/3 unglion se kiya jata ha, yani ke 3/3 unglian peeche le kar jana aur wapsi par sirf dono hathon ki hathelian hi sar par lagni chahiey, lekin yahan par(video mein) wo 3/3 unglian peeche lekar jata hai aur wapsi par bhi unglian hi lekar ata hai.
-
is mein hai ke tamam sar ka masah karna, http://i33.tinypic.com/9ut3c4.jpg, tamam sar ka masah karne ke liey to pancho unglian sar par pherni parden gi aur sunnat ke mutabiq to masah sirf dono hatho ki 3/3 unglion se karna chahiey,
-
ok ek aur sawal, maine masjid mein kissi se sunna hai ke asar ke baad app nafal nahi pard saktey, agar nafal nahi pard saktey to yaqeeqan koi kissi ki qaza namaaz rehti ho to wo bhi nahi pard saktey, kya yeh sahi hai?
-
yani ke jaissey hi asar ka waqat shuru hota hai waissey hi zuhar ka waqat khatam ho ja ta hai, right?
-
can u post the exact title of naat pleasen or other few lines of this naat
-
Sayyida Fatima! aap ne merey bohat masley hal kiye, allah aap ko is ka ajar-e-azeem de aur auron ko bhi jheeno ne merey sawalon ka jawab diya
-
lekin is mein yeh to nahi likha na ke ghar mein padney se bhi utna hi sawaab milta hai jitna masjid mein, kya koi confirm kar sakta hai ke dono mein padney ka sawaab barabar hi milta hai? aik aur baat ka izafa, maine shahid sunna tha kabhi ke nabi s.a.w ne farmaya jo ghar mein namaz padta hai, mera jee chahta hai us ke ghar ko aag laga doo, is par bhi thori roshni daal dijiey please! jis ghar mein tasveerein hon us ghar mein namaaz padney se namaz ho jati hai?
-
farz namaaz masjid mein padey to zyada sawaab milta hai aur ghar mein padey to kam sawaab, issi tara se jo namaazein qaza hui hain wo bhi to akhir farz hi thee, to iss liey maine poocha ke ghar mein padney se sawaab kam to nahi milta warna agar aap kehti hain ke masjid mein hi padney se zayada sawaaab mile ga to main masjid mein hi pad liya karonga. kya kehti hain aap?
-
kya koi bata sakta hai aissi koi link jis ke zariey online Khawabon ki Tabeer poochi ja sake?
-
qaza namaz ghar mein padni chahiey ya masjid mein?