Jump to content

Gulzar

اراکین
  • کل پوسٹس

    204
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Gulzar نے پوسٹ کیا

  1. Gulzar

    chota sa masla

    Maine yeh Darood Sharif 2 mukhtalif website pe parda hai, lekin mujhe janana hai in mein se sahi konsa hai. is darood ke akhri alfaaz mein thorda sa farq hai, zara dekhiye to: http://www.islamicacademy.org/html/Dorood/Dorood-70000.htm http://i37.tinypic.com/118ni91.jpg http://www.dawateislami.net/general/devoti...durood/html.asp
  2. koi wazeefa nahi hota is jaise masail keliye?
  3. achi link hai magar naat ki quality zyada behter nahi hai. mujhe download karne ke baad CD pe Burn karna hai to is liye
  4. Gulzar

    Naat Sharif

    kya koi link hai jahan high quality naat sharif download kar sakte hai?
  5. maine kuch hissa parda hai is ka''Tum Pey Karodoun Darood'', lekin is qabooliet ka kuch khaas ziker nahi hai.
  6. aur agar koi fajar ki namaaz pard 11 martaba pardney ke baad so jaye to theek hai?
  7. agar kissi ka dil is liye dukhta ya jalta hai ke main har roz itna khata hoon aur wo mujh se zyada khata hai. maslan hasid agar subha aur shaam ko 2, 2 roti khata hai, aur mahsood 2, 2 roti khane ke bawajood fruit bhi khata hai, doodh mein fruit mix karke peeta ho, to kya hasad hai? halnque ghar mein paissonki kami nahi hai, hasid aur mahsood donohi job karne waley hon. mahsood jo hai woh din mein kai baar khata peeta, aur thorda thorda nahi zayada zayada. aur hasidj ko yeh wehem rahey ke is ke khane peeney se cheezey khatam ho jayen gi( halank paisson ki kaminahi hai aur hasid janata hai ke us ke khane peeney se cheezey khatam nahi hon gi. hasid yeh bhi chahta hai ke us ke dil mein se yeh masla khatam ho jaye, lekin nahi, hasid jaisey hi mahsood ko kithcen mein dekhta hai bas wo samajh laita hai ke ho gya shuru, yeh kha raha ho ga, wo kha raha ho ga, bas dil ka dukhna aur jalna shuru ho jate hain. agar yeh Hassad hai, to please koi strong sa Illaj bataiey, aissa na ho ke marne ke baad pata chale ke tamam namaz, rozey aur naik amal to hassad ne jala diye aur sirf aur sirf gunahi reh jayen. agar ho sakey to kissi qareebi ulma-e-qaram se pooch kar bata dijiey ga! please!
  8. acha to agar ghar mein koi rishtey dar a kar rahe hamesha keliye , maslan koi bohat hi qareebi rishtey dar ho, aur Katha peeta bohat ho ghar mein. aur agar kissi ka dil dukhey ya dil jale iss liye ke yeh katha peeta bohat zayada aur mein nahi, (halanque kehna wala chahe to wo bhi kha pee sakta hai zayada lekin us ki adat nahi). bas agar soch kar ke wo kitchen mein gya hai, ya use kitchen mein dekh kar, ya wo yeh kha raha ho ga, wo kha raha ho ga ya use khate peetay dekh kar dil dukhey ya dil jale to kya yeh Hassad Hai?
  9. afzal drood aapne darood-e-ibrahimi kaha hai, maine aissey bhi darood paredey hain ke jiney ek bar parndey se 6 laakh darood pardney kasawaab milta hai. is ke barey mein app ka kya kehna hai. aur doosery sawaalon par agar koi roshni dal de to meherbani hogi,
  10. Gulzar

    Hasad kya hai?

    hasad kya hota hai? aur kaise iss se bacha jaye? aur kaisey patta chale ke main hasad karta hoon ya nahi?
  11. Gulzar

    shaitaan se bachao ka tariqa

    maine parda tha kahin pe ke falan ayet ko subah itni bar parda jaye to shaam tak pardney wala shaitaan se mehfooz rehta hai aur agar shaam ko parda jaye to subha tak shaitaan se mehfooz rehta hai, kya koi bata sakta hai ke wo konsi ayet ya konsi cheez hai jiska wird karne se insaan 24 gante shaitaan se mehfooz reh sakta hai?
  12. asalamoelekum! bohat shukrya jawaab ka! maine sunna hai ke jis gar mein Tasveerein hon us ghar mein rehmat ke farishtay dakhal nahi hotey, aur iss dunyia mein allah ke farishtay goomtey hai koi agar darood pardey to use uper le janey keliye. sawal yeh hai ke, agar koi ghar mein darood pardey aur us ghar ke taqreeban har qamray mein tasveerain lagi hon to kya us ka darood qabool hota hai ya nahi? aur maine yeh bhi parda hai ke agar koi ek bar darood pardey to allah tallah us darood se ek Farishta peda karta hai jo qayamat tak us darood ko pardney wale ke liye magfirat ki dua karta rehta hai. to kya kissi bhi darood se yeh farishta peda hota hai ya koi khaas darood hota hai is ke liye?
  13. Gulzar

    kalma & darood

    1-) Qalma-e-Shahat aur Darood-e-paak mein sab se afzal kya hai. agar koi hadees ke mutabiq jawab de de to zyada acha hoga, shukrya 2-) Sab se zyada Afzal darood konsa hai?
  14. Gulzar

    Quran Mei Chote Haroof

    Quran sharif ke ander ye jo chote chote harf hote hain kuch alfaaz ke agay, kuch uper aur kuch neeche, jaise ke chota sa toin hota hai, mad, shad, zer, zabar wagaira, in ka kya matlib hota hai, kya koi aisi link ya book hain online pe jahan se in ke matlib ka pata lagaya jasake? jawab keliye shukriya!
  15. are bhai saab mera sawal itna muskil to nahi tha, mujhe koi 2 lafzon mein bata sakta hai keh sanna se shuru karon ya alhumdulilla se? bohat shukrya jawab ga!
  16. kahan milegi yeh book'''Namaz Key Ahkam '''?
  17. jee han kuch kuch hal ho gya, ager main sahi samja hoon to youn hai ke, Fajar ki sunnatein agar reh bhi jayen to farz namaz pard kar ada kar sakte hain lekin makroo waqat shuru honey se pehle pehle, aur yahi baat asar ki hai, ke qazaa namazein asar ke baad bhi pard sakte hain lekin makroo waqat shuru honey se pehle pehle. agar main galith hoon to bata dijiey ga please! yeh Makroo waqat kab shuru hota hai?
  18. jawabat keliye shukriya, Ya Mohammadah ne likha hai ke darood-paak poora pard ka salaam pherna chahiey aur sag-e-attar ne likha hai namukamal darood mein hi salaam pher sakte hain, kuch baat bani nahi,
  19. maaf kijiey ga janab kuch theek se samajh nai ai, meherbani kuck asan alfaz mein samja dijiey. shukriya
  20. asalamo elekum! theek hai ayenda se sunnatein nahi choron ga, is mein likha hai ke, fajar ke baad aur asar ke baad sunnatein nahi pard sakte, 1-) agar fajar ki namaaz ada kar li ho, lekin sunnatein na pardi hon, aur abhi namaaz pardney ke baad abhi fajar ka waqat bhi ho to kya 2 sunnatein ada kar sakte hain jo phele nahi pard sake? 2-) fajar au asar ki namaaz ke baad qaza namaazein pard sakte hain? hamarey haan, fajar ki namaaz 04h00 baje hoti hai aur sunrise 05h00 ke baad shuru hota, jawab ke liye shukria!
  21. lekin sunnatein farz to nahi hain, farz to sirf farz namaaz hai, aur qayamat ke din to farz namaaz ke barey mein poocha jaey ga mere khial se, aur waisey bhi main to qaza namazon ki waja se sunnatein nahi pardta, kyo ke jahan sunattein pardni hain wahan main qaza pardta hoon, kyon ki qayamat ke din poocha jaey ga ke tum ne kya sari qaza namazein pardi thien. kya khial hai ap ka? agar mere uper qaza namazein na hoti to maine yaqeeqan sunnatein bhi pardni thein.
  22. Asalamo Elekum! Dekhiye merey is topic mein 2 Sawaal Hain, aur aap logon ke jawab thordey mukhtalif hain. mein sawaal repeat kar deta hoon aur agar kissi ko sahi maloom ho to Please jawab dijiey ga, aur agar koi kissi ulma-e-karam se pooch kar bata de to aur bhi acha hai, 1-) ek shaks ba wuzu hai, ab us ka wuzu toot gya, masaln, filmein dramein dekhnein se ya phir internet istimaal karne se. to jab wo dobara wuzu karega to usey wuzu shuru se karna hoga? yani ke, Isntanjey se, ya phir wo haat doney se shuru karega? halanke use washroom janey ki hajat nahi ai aur na hi reekh nikli ho, 2-) Namaz ke shuru mein jo sanna pard rahein hon, to imam agar surat fathiya shru karde aur aap ne abhi sanna pardna khatam na ki ho to kya ruk jaye ya phir mukamal karen? halanqe thordi si reh gai ho? 3-) isi tarah agar jamat qayam mein bethi ho, aur main abhi Darood hi pard raha hoon aur imam salaam pher de to main bhi kya salaam pher doon? ya mukamal karke salaam pheroon? Bohat shukriya jawab dene ka, agar koi sahi maloomat ke zariye jawab de.
×
×
  • Create New...