Jump to content

Eccedentesiast

مدیرِ اعلیٰ
  • کل پوسٹس

    3,046
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    86

سب کچھ Eccedentesiast نے پوسٹ کیا

  1. Urdu Main Jwab: http://www.ja-alhaq.com/imam-ahmad-raza-aur-hadaaiq-e-bakhshish-hissa-3/ English Translation:http://www.ja-alhaq.com/imam-ahmad-raza-and-hadaaiq-e-bakhshish-part-3/ ............ Molana Hasan Ali Razawi ki aik ,2 kutub say madad lay kar Roman urdu main bhi jwab likha rha hon: Is Ilzam Kay Mutadid jwab hain : Awal to yeh keh ''Hadaiq-e-Bakhshish'' hissa 3 Na Alahazrat ki apni tasneef hay na aapki Hayat-e-Mubarika main shaya hui na aapkay sahibzadgaan Hujjat-Ul-Islam Hazrat Molana Shah Muhammad Hamid Raza Khan Sahib ya Mufti-e-Azam Molana Shah Mustafa Raza Khan sahib main say kisi kay zair-e-ihtemam Chapi na yeh Ash'aar Alahazrat kay Ash'aar Na Alahazrat-o-Shezadgaan-O-Ulama-e-Ahl-e-Sunnat par iski zimmadari hay. ''Hadaiq-e-Bakhshish'' kay sirf 2 hissay hain jo Alazharat Ki hayat-e-mubarika main sha'ya huay . Hissa 3 Molana Mufti Qari Mahboob Ali Khan Sahib Marhoom Khateeb Bombay nay Alahzrat kay 32 saal B'ad idhar udhar say Alahazrat ka Natiya kalam ikatha kar kay is main doosray Shu'ara ka kalam mila kar ghaliban 1372 hijri main Sha'ya kiya tha . inki ghalati yeh hui keh aik wahabi press nabhah steam press nabhah kay malikan say Muamla kiya . unhon nay kitabat ka muamla bhi apnay zimma liya aor is shart par chapnay ka wada kiya. inki ghalati yeh hui keh unhon nay badmazhabon par Taba'at-o-Kitabat kay muamla main etebar kiya , lihaza inki ghalati say yeh Ash'aar Syedah Siddiqah Bint Siddique RadiAllaho Anha ki Madah main bay tarteeb sha'ya ho gaye . ''Hadaiq'' hissa 3 kay ghair zimmadar-o-naqabil-e-etemad honay ki aik daleel yeh bhi hay keh yeh pata hi naheen keh kon si nazam kis ki hay. Aksar mqamat par likha hay Maq'ta dastyab na hua , Mulahiza ho Page 30, 31, 32, 35, 36, 37 Khud is nazam ka bhi Maq'ta naheen jis say sahib-e-kalam ka pta naheen chalta. Neez ''Hadaiq'' hissa 3 main pehli nazam say number shumar baqaida likha ja raha hay laikin page 36 par nazam ka number 19 hay iskay baad page 37 par jahan yeh nazam hay Surkhi main likha hay ''Elahida'' na iska number shumar hay . is say sabit hua yeh sayedah Siddiqua Radi Allaho Anha kay mutaliq ashaar naheen hain Elahida hain . Press walon nay ghair zimmadarana tor par sayedah Siddiqua Radi Allaho Anha ki madah kay ash'aar kay baad yeh kitabat kara deay aor chap kar shaya ho gaye. Halankeh wahan page 37 par is nazam ki surkhi hay Elahida aor is ka number shumar bhi naheen. Aor phir deobandion kay to wehm-o-guman main bhi yeh baat naheen thi keh ''Hadaiq-e-Bakhshish'' hissa 3 main yeh Yeh shair hain. Jab hissa 3 shaya hua Khud ahl-e-sunnat hi kay aik aalim khateeb-e-mashriq Molana Allamah Mushtaq Ahmad Nizami Editor ''Paasban'' Alahbad Bharat nay molana Mahboob ALi Khan Sahib ko is ghalati par mutnabah kiya aor unkay khilaf sab say pehlay Molana Mushtaq Ahmad Nizami (Sunni Barelwi) hi nay bombay kay aik haft roza Akhbar ki 9 ZeeQadah 1374 Hijri ki Isha'at main mazmoon diya aor Molana Mahboob Ali Khan Sahib nay qubool-e-haq ki aik misal qaim akrtay huay apna ghair mashroot toba nama shaya farma diya aor mahnama ''Sunni'' Lakhnow kay elawa Akhabr ''Inqelab'' Bombay main bhi yeh toba nama 10 July 1955 ko shaya hua halankeh inki ghalati sirf itni thi keh unhon nay Nabhah press kay wahabion par etmad kiya aor kitabat ki tas'heeh Saheeh taor par na kar sakay, Btaeay AlalElan toba aor akhbarat aor rasail kay zareea Taobah ki isha'at kay baad Molana Mahboob Ali Khan sahib par shar'an kaya ilzam hay? Tajub hay keh Diyabanah aajtak is ''Hadaiq'' hissa 3 ko apnay liay dhokah ka aik zareea bnaye phirtay hain aor deedah danistah awam ko mughaltah detay hain. Yeh Ulama-e-Ahl-e-Sunnat hi thay jinhon nay khud hadaiq-e-bakhshish hissa 3 kay in ash'aar paer etraz kiya aor ghalati par taobah ki misal qaim karnay walay bhi ahl-e-sunnat hi thay warna koi aor hota to nanotwi gangohi thanwi waghera ki tarah zid kar kay baith jata aor is gustakhi ko ain eeman sabait karnay kay chakar chalata. Maolana Mahboob Ali Khan sahib marhoom ki taobah kay Ba'ad aapko Quran-o-Hadees ki roshni main Bari-Uz-Zimmah qarar diya gaya. Hadaiq-e-Bakhshish hissa 3 Na Alahazrat ki tasneef na naqal kardah Ash''r Alahazrat kay , agar hadaiq-e-bakhshish hissa 3 Alazhrat ki tanseef hoti ya naqal kardah ash'aar Alahazrat kay hotay to deobandi munazreen zroor apnay munazron aor kitabon main in gustakhan ash'aar ka hwala detay laikin aesa naheen hua , Ham tmam deobandion ko challeng kartay hain keh apnay akabir Ulama-o-Munazreen ki koi 1372 hijri say pehlay ki chapi hui aesi tahreer dikha day jis say sabit ho keh akbir deoband nay in Ash'ar par etraz kiya tha. Hadaiq-e-Bakhshish hissa 3 ka is waqt wujood hi na tha to koi etraz kesay karta. Deobandion ko to tab maloom hua jab Molana Mahboob Ali Khan Sahib ko Aastan-e-Aalia Razawia aor Editor Pasban Alahbad (Sunni Barelwi) nay is ghalati par tawajuh dilayi aor unhon nay mulk bhar main apna taobah namah shaya kiya. Bat darasal yeh hay keh deobandi wahabi in Ash'aar ko paish kar kay awam ki tawajuh apni gustakhion say hatana chahtay hain. Halankeh Sayedah Aayishah RadiAllah Anha ki shan main khud inkay Hakeem-Ul-Ummat Molvi Ashraf Ali Thanvi nay sareeh gustakhi ki hay, Mulahiza ho Risalah Al-Imdad Mutabiq Mah Safar 1335 Hijri deobandi hakeem-Ul-Ummat likhtay hain ''Aik Zakir Saleh ko makshoof hua keh ahqar ashraf ali thanvi kay ghar Hazrat Aayeshah aanay wali hain . Unhon nay mujh say kaha Mera (Ashraf Ali Thanvi ka ) zehn Ma'an is taraf muntaqil hua keh kam sin aorat haath aayegi. In munasibat say keh jab Huzoor nay hazrat Aayeshah say nikah kiya Huzoor ka san shareef pachas say zaid na tha aor Hazrat Aayeshah bahut kam umar thin Wuhi Qissah Yahan Hay'' Syedah Ayeshah RadiAllah Anha kay is gustakhi par pardah dalnay kay leay Deobandi ''Hadaiq-e-Bakhshish'' hissa 3 kay wo Ash'ar paish kartay hain jis par Molana Mahboob Ali Khan sahib Marhoom bar-ha zubani-o-Tahreeri taobah farma chukay hain.
  2. Aqeeda-e-Toheed Kay Tahaffuz Main Molana Ahmad Raza Khan Ki Khidmat.pdf
  3. Altejani sahib say guzarish hay keh aik , 2 paragraph likh kar ''JAARI HAY'' Likhnay ki bjaye aik hi bar apna mukammal article likha krain , takeh us kay bad aap ka moqif wazih ho skay aor tabsra nigar aik hi bar mukammal tabsra kar skay aap ki aik post hoti hay , phir 10 posts aor kisi ki hoti hain , phir aap ka paragraph dobara start hota hay jis say tasalsul barqrar naheen rehta aap chahay jitna marzi waqt lay lea krain magar aik hi bar apna mukammal article likha krain. filhal yeh topic close kea ja rha hay , jab aapka yeh article mukammal ho jaye ga us waqt mujhay message kijiay ga main yeh topic open kar doon ga aap post kar dijiay ga.
  4. Eccedentesiast

    Book : Halal-O-Haram Janwar

    Halal-o-Haram Janwar.pdf
  5. Bhai Yeh kitab downlaod kar lijiay , is main Halal-o-Haram janwaron ki fehrist di gayi hay, neez usool bhi btaye gaye hain. Downlaod Link: http://www.islamimehfil.com/index.php?app=core&module=attach&section=attach&attach_id=46210 Read Online: http://www.islamimeh...hand-wzahatain/
  6. Monkey haram hay , monkey khana jaiz naheen.
  7. Bhai bahut hi umda point uthaya hay aap nay .. Bahut hi khoob.
  8. Bhai Rahmani Qaida With Audio download kar kay suneay: http://library.faizaneattar.net/download.php?id=265 neez tyajweed ki mazeed books bhi parh saktay hain: http://library.faizaneattar.net/Type.php?id=20
  9. Imam-e-Ahl-e-Sunnnat Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan ko na sirf angrezi hukoomat balkeh angrezi badshahon say bhi nafrat thi , chunancheh a'eni shahidon ka bayan hay keh wo lifafay oar ticket bhi ulta lgaya kartay thay, Syed Altaf Ali Barelwi likhtay hain : ''Baqol Syed Alhaj Ayyub Ali Razawi Marhoom : Hazrat Molana (Ahmad Raza) Dak kay ticket lifafay par hamesha ulta lgaya kartay thay , yani Malka Victoria , Edward Haftam Aor George Panjum kay sar neechay'' (Akhabr Jang ,Karachi , Shumara 25 January 1979, Page.6 , K 5) (Gunah Bay Gunahi , Az Professor Doctor Masood Ahmad , Page 37) Yeh Esat India Company ka jaari karda aik pesa wala post card hay , jis par malka victoria ki tasweer bani hay , yeh card Youm-Alrfa 1313 hijir , 24 may 1896 ko madrassa-e-tayiba , Ahmad Aabad (Bhaarat) Kay Mudarris Molana Nazeer Ahmad Ram poori ) (Wfat. 1323 Hijri / 1905 Eesvi) Kay Naam arsal farmaya jo 27 may 1896 ko Ahmad Aabad Phuncha.
  10. Etraz: Molvi Ahmad Raza khan sahib shia khandan say thay jesa keh in kay nasab naamay sy zahir hay : ''Ahmad raza wald naqi ali wald raza ali wald kazim ali'' Jwab : Yeh etraz aesa hi hay keh jesay koi baywuqoof keh day , Bhayi yeh ahl-e-sunnat barelwi maslak walon ki aik nayi tahreef aor izafa dekho , pehlay to molana ahmad raza khan kay naam kay saath sirf barelwi likhtay thay ab unhon nay saath qadiri bhi eejad kar lea hay , bas inka aqeeda hi aesa hay , yeh to halway maanday khanay walay biddati hain waghera waghera - Haqeeqatan inkay etrazat aesay hi hotay hain. Hazrat Molana Ahmad Raza khan qadiri barelwi ka khandani nasab naama istarah hay : ''Ahmad Raza Khan Ibn-e-Hazrat Molana Naqi Ali Khan Bin Hazrat Molana Raza Ali Khan Bin Hazrat Molana Hafiz Muhammad Kazim Ali Khan Bin Hazrat Molana Shah Muhammad A'zam Khan Bin Hazrat Muhammad Saa'dat Yar Khan bin Hazrat Muhammad SaeedUllah Khan Rahmatullah-e-Ta'la Alaihum Ajmaeen'' (Hayat-e-Alahazrat , Jild Awwal , Matbooa Maktaba-e-Razawia Aaram Baagh Karachi Page.2) Shayad yahan koi parha likha jahil yeh etraz bhi kar day keh jnab is pathan khandan kay nasab naamay main aik nam ''Shah Muhammad Azam Khan'' bhi hay , yeh pathan aor sayed yakja kesay? kiyonkeh is main naam kay saath ''Shah'' bhi likha hua hay. Ab aesay etraz karnay walay kay ilmi yateem honay par afsos hi kia ja sakta hay keh jis becharay ko itna bhi naheen pata keh lafz ''Shah'' izzat kay tor par bola aor likha jata hay , Jesay lafz ''Hazrat'' aor ''Khan'' waghera izzat kay tor pa rbolay jatay hain , istarah aor bhi bahut saray alfaz hain , Aal-e-Rasool kay leay bhi yeh lafz ezat-o-buzurgi kay leay bolaa jata hay , isi tarah lafz ''Sayyed'' bhi izzat-o-buzurgi kay taor par bola jata hay , baaz ghair aal-e-rasool buzurgon kay naam kay saath ''Sayyadi'' ka lafz bhi bola jata hay , Arabi main Aal-e-Rasool Saadat kay leay lafz ''Alshareef'' bola jata hay. Molana Ahmad Raza khan Rahmatullah-e-Ta'la alih kay nasab naamay say kea shi'at zahir ho rhay hai, kuch pata naheen , bas ji naam shion walay hain , kia imam ZainulAabedeen , Imam Jafar Sadiq , Imam Musa Kazim , Imam Ali Raza , Imam Naqi Rahmatullah-e-T'ala alaihum Ajmaeen Shia thay? yeh naam amooman shia kay hotay hain? La Haola Wa La Quwwta Ila Billah Yeh hay tahqeeq Juhala-e-Najdiat ki, in baycharon ko itna khial bhi naheen aata keh ahl-e-ilm hmaray is istidlal ko parh kar kia kahain gay? Ab aaeay in kay ulama-e-Akabir kay naamon ki traf , Shaikh-Ul-Kul Molvi Nazeer HUSSAIN muhaddis-e-dehlvi (Ghair Muqalid) , Molvi Nwab Siddique HASAN khan Bhopali (Ghair Muqalid) , Molvi Muhamamd HUSAIN Batalwi (Ghair Muqalid) , Molvi sayed shareef HUSSAIN , molvi Deputy sayed Ahmad HASAN , Molvi sayed Ameer HASAN Shswani , Molvi SIBT AHMAD , Molvi Hakeem MAZHAR ALI , Molvi Muhammad TAQI , Molvi Syed ALI , Molvi Syed AOLAD-E-HASN , Molvi Nwab Sayed ALI HASAN Bhopali , Molvi Sayed HAIDAR ALI , Molvi KHURRAM ALI Balhori , Molvi Mirza HASAN ALI Lakhnawi- (Tarajum Ulama-e-Hadees Hind, Az Abu Yahya Imam Khan Nosherwi , Matbooa Maktab-e-Ahl-e-Hadees Trust , Karachi , Page.3 To 13) Yeh Naam shia bhi rakhtay hain lihaza kea yeh ghair Muqalid Molvi Shia thay? Agar naheen to Kion? Sihah-e-SItta ki mashhoor kitab ''Sunan Ibn-e-Majah'' kay muqadama main hadees number 65 kay taht darj hay '' حدثنا علی بن موسیٰ الرضا عن ابیہ عن جعفر ابن محمد عن ابیہ عن علی ابن الحسین عن ابیہ عن ابی طالب '' (Kutub-e-SItta (Ibn-e-Maja) , Matbooa Dar-Ul-Salam , RIyad , Saudi Arab) Yeh naam Khandan-e-Ahl-e-Bait-e-Rasool ﷺ kay hain , yeh buzurg Ahl-e-Sunnat kay imam hain , Shiat say inka kia Taluq? Ibn-e-Majah kay dada Ustad Abu Salt nay kaha ''Is Sanad ko agar kisi majnoon par parha jaaye to uska junoon door ho jaye'' (Kutub-e-SItta (Ibn-e-Maja) , Matbooa Dar-Ul-Salam , RIyad , Saudi Arab) SubhanAllah Laikin kia kijiay , in juhala-e-wahabiat ki bad bakhti kla keh wo in babarkat naamon ko daikhain to inka pagal pan aor ziada ho jata hay.
  11. Aik bar phir aap apni bat ka suboto denay main nakam hain. apni is bat ka keh ''thanvi sahib nay apni ebarat ko kufria maan kar is sa ruju kar lea tha '' KA SUBOOT DIJIAY warna Jhooton par Allah ki Lanat ho.
  12. Nanotwi Aor Gangohi Kay Bahmi Taluq Ka Madar , Misl-e-Zojain , Qurb-e-Jismani Par Tha?
  13. Q1. Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main Azan say phaly ya baad main Salat-o-Salam parhnay say manna kea gaya ho? Q2.Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main apnay Ghar Nabi Pak ﷺ ka meelad mnanay say manna kea gaya ho? Q3.Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main Buzurgon ko eesal-e-swab karnay aor khatam dilwanay say manna kea gya ho? Q4.Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main buzurgan-e-deen ka urs mnanay say manna kea gya ho? Q5.Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main Nabi Pak ﷺ kay Meelad ki khushi main juloos nikalnay say manna kea gaya ho? Q6. Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main Buzurgan-e-deen ki Quboor par chadar charhanay say manna kea gaya ho? Q7.Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main Kisi mehfil main jhanda lehranay say manna kea gaya ho? Q8.Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main Sabz rang ka emama bhandhnay say roka gya ho? Q9. Quran-e-Majeed ki koi AIK Aayat Ya Nabi Pak ﷺ ki koi AIK Hadees Shareef Ya kisi Sihabi , Tab'i , Taba Tab'i ka koi AIK qaol dikha dijiay jis main Eesal-e-Swab karnay aor Qul ya fatiha dilwanay say manna kea gaya ho?
  14. jwabat k leay yeh topic visit krain : http://www.islamimehfil.com/topic/20241-miladursmazar-per-10-sawalat-ke-jawab/ ............... Main apni traf say bhi kuch jwabat denay ki koshish krta hoon : Ans1 :Ham to murawija qwali ko jaiz hi naheen samajhtay : http://www.razanw.or....php?itemid=181 lihaza yeh suwal aap unsay poochain jo Ghara bja kar music kay sath taali ki thap par qwali gatay hain . Kia aap jaantay hain wo kon hain? Naheen? To yeh link visit kijiay apnay suwal ka jwab bhi dijiay. : http://www.ja-alhaq....-aik-nazar.html Ans 2: Aap nay suwal main azan say PEHLAY ki takhsees ki hay? kion? zra btana pasand farmain ge? kea aap maantay hain keh Kisi sihabi nay Azan kay BAD salat parha hay? aap ka is par kea fatwa hay? agar azan kay bad salat-o-salam parhnay main aap koi harj naheen samjhtay to azan say pehlay salat-o-salam par etraz kion? Behrhaal Azan say qabl-o-baad Durood Shareef parhnay ko jaiz kis nay kaha? jannay kay leay neechay dea gya link visit kijiay phir apnay suwal ka jwab bhi dijiay: http://www.islamimeh...BE%D9%86%D8%A7/ Ans 3: Kea aap bata saktay hain wo konsay Sihabi thay jinhon nay sab say pehlay Seerat ka jalsa nikala? Behrhaal ham Meelad shareef mnanay ko deen ka juzw ya farz ya wajib likha ho to ham say yeh suwal poocheay .. ham Meelad shareef ko Mustahab maantay hain. Kea aap jantay hain Meelad mnanay ko wajib kehnay walay kon hain? Naheen? to yeh link visit kijiay aor apnay suwal ka jwab bhi dijiay. http://www.islamimeh...raf-ali-thanvi/ Ans : 4 , 5 , 11 :Jnab Fatiha kis nay parhi, Urs kis mnanay walon main kon kon shamil hain yeh jannay kay leay link visit kijiay aor apnay suwal ka jwab bhi dijiy: http://www.islamimeh...86%D8%AF%DB%8C/ Ans 6 : Meelad shareef kay moqa par Seerat kay naam par jalsay kon karta hay ?? kia wo Seerat ka jalsa krain to jaiz hay? Apnay Ulama Ka Youm-e-Wfat kon mnata hay? Yeh jannay kay leay neechay dea gya link visit krain. phir apnay suwal ka jwab bhi dain. http://www.islamimeh...alaihe-wasallam Ans 7 : Kea Hmaray Piayray Nabi Pak ki Qabr-e-Athar par chadar naheen hay? Anmbia-e-Kiram ki Quboor ki ziarat kar kay dekh lo keh Kin Anmbia-e-Kiram ki Qabar MUbarak par chadar hay. Qabar par chadar charhaanay ko ham farz ya wajib naheen jaantay. Ans 8 : Qabar par dea jlana to hmaray nazdeek jaiz hi naheen hay , agar koi qabar par dea jalata hay to us say ja kar yeh suwal krain. Ans 9 : yahan SABZ ko mukhtas kion kea aap nay? kea aap kay nazdeek kisi moqa par Nabi Pak nay kisi aor rang ka jhanda lehraya tha? agar haan to phir sabz say khaar kion??? kea mehfil kay doran jhanda lehrana manna hay? agar naheen to phir is par etraz kion? Ans 10 : Jnab sabz emama bhandhnay walon main kon kon shamil hay , yeh jannay kay leay zail main dea gya link visit krain aor phir apnay suwal ka jwab bhi dijiay: http://www.islamimeh...amah-kahan-nai/
  15. اذان سے قبل اور بعد درود شریف پڑھنے پر مخالفین دیوبندیوں کو بہت اعتراض ہے۔ ناظرین کی خدمت میں دو نایاب دیوبندی فتوے پیش کرتے ہیں جن میں سے ایک فتویٰ مولوی عبدالرحمن دیوبندی (جامعہ اشرفیہ لاہور) کا ہے جو کہ روزنامہ جنگ سنڈے میگزین 2 فروری 1983 میں شائع ہوا۔ دوسرا فتویٰ دیوبندی مدرسہ قاسم العلوم ، ملتان کے مفتی کا ہے، مفتی محمود دیوبندی اسی مدرسہ کا مہتمم رہا۔ یہ فتویٰ اب بھی مولانا محمد حنیف فردوسی صاحب کے پاس بمقام پیرووال ضلع خانیوال (پنجاب پاکستان) میں محفوظ ہے۔ اس کا عکس آپ زوم ان کرکے بھی پڑھ سکتے ہیں۔
  16. Muhtram Dr.Sahib aap say ham nay aapkay kuch numlon ka suboot maanga tha jiskay jwab main aap sirf deobandion ki chand kutub ka naam lay skay to arz yeh hay keh deobandion ki in kutab ka radd-e-baleegh kayi ulama-e-ahl-e-sunnat kar chukay hain ... lihaza aap say guzarish hay keh aap khud apni baton ka suboot dain .. yeh keh dena keh fulan kitab say khud dhoondh lo , yeh suboot kay leay kafi naheen hay.
  17. Acha jnab aap dawat-e-islami say is leay nalan hain keh jnab kay nazdeek chand sabz pagri pehnnay walon nay Ulama-e-Ahl-e-Sunnat say jhagra kea. Jnab arz yeh hay keh Main Alhamdulillah Huzoor Tajushariah Mufti Akhtar Raza Khan ka mureed hoon , kal main 5 , 6 peer bhai ikathay kar kay kisi sunni aalim ki pitayi kar doon to kia aap Mufti Akhtar Raza Khan ki mukhalifat shuroo kar dain ge??? Muhtram bhai har sabz pagri pehnnay wala dawat-e-islami say taluq naheen rakhta aor na hi har koi apnay aapko dawateislami wala kehnay wala dawateislami wala hota hay aor na hi dawat-e-islami apnay har rukan k zaati aamal ki zimmadar hay. aor agar to dawateislami k zimmdaram sunni ulama ki pitayi ka kehtay hain to aap suboot dijiay?? wesay agar waqeaye aesa hota to pakistan-o-hindustan main maar khaa khaa kar sunni ulama kay doctors say kafi taluqat ban chukay hotay kionkeh dawateislami walay laakhon naheen Karoron hain . lihza behtar hay keh aap apni ghalat fehmiyan door krain aor ulama kay ikhtelaf ko ulama tak hi rehnay dain ...
  18. Muhtram Aap nay likha keh Jnab Thanvi sahib nay apni ebarat ko kufria tasleem kar lea tha aor jumla tabdeel kar kay naya jumla likh dea hay ....... Muhtram is bat ka suboot dijiay. wesay aap ka kea khial hay keh hmara dimagh kharab hay keh thanvi sahib ki toba kay bawjood bhi unhain kafir kehtay hain??? Muhtram ham kisi bhi delusion ka shikar naheen hain , haq to yeh hay keh thanvi nay apni ebarat ko kufar mana hi naheen. Qasim nanotwi sahib nay bhi apni ebarat ko Kufar naheen maana aor na hi is say rujoo kea .......... Agar kea hay to suboot dijiay. Aor agar aap qasim nanotwi ki ebarat ko kufar naheen maantay to mazeed maloomat kay leay is topic ka mutala kijiay: http://www.islamimehfil.com/topic/11184-tahzeer-un-nas-kay-radd-par-chand-kutub-o-mqalajaat-o-tahreerat/ phir bhi aap kay zehn main agar koi suwal ho to forum par post kar sktay hain aor agar munazra karnay ka shaqo rakhtay hain to insha Allah Saeedi sahib bhi yahan isi forum par mojood hain.
  19. Muhtram aap bay fikar raheay , Jab tak aap forum rules obey krtay rhain ge aap ko ban naheen kia jaye ga. Jnab aap nay kuch points uthaye hain . 1 : Sab say pehlay to aap nay Jnab Qasim Nanotwi , Jnab Ashar feli Thanvi, Jnab Rasheed Ahmad Gangohi Aor Jnab Khaleel Ahmad Anbethwi ki kufria ebarat ki bina par mazkoora ulama par kufr kay fatwa par apni rzamandi zahir ki , yani keh yeh ulama apni gustakhana ebaraat ki wja say kafir hain. phir aap ka main point hay keh: yani keh ''yeh Molvi sahiban mar kar matti main mil gaye hain , lihaza ab hmain mojooda deobandi hazrat say ittehad kar lena chaheay'' To muhtram arz yeh hay keh hmaray nazdeek sirf wohi log deobandi hain jo keh in ebarat ko jannay kay bad bhi in ebarat ko saheeh sabit karnay ki koshish karain aor jo in ebarat ko janany kay bad bhi inko gustakhana na smjhain ya mazkoora ulama ko kafir na maanain , Sirf whi deobandi hay aor sirf whi kafir hay. Aap yahan bhi dekh saktay hain keh main nay sab say pehlay aapsay suwal hi ebarat kay baray main kea. Umeed hay smjh aagaye hogi. Aap ki baqi tmam baton ka khulasa hay keh tablighi ijtemat waghera main yeh kutab naheen dikhayi jati..... To muhtram arz yeh hay keh agar tablighi ijtema'at main yeh kutab dikhayi jain to deobandion kay qareeb kon jaaye?? jesa keh aap 1995 say laykar 2010 tak bay khabar rhay , laikin ab jesay hi aapko kufria ebarat ka ilm hua aap nay in ebarat ko kufria maan lea ........ isitrah har kisi ko pta chal jaye to wo deobandi tablighi jammat chor na day??? yehi to deobandion ki munafqat hay keh asal ebarat say logon ko baykhabar rakhtay hain. Baqi aapnay farmaya keh har madrasay main yeh books naheen hoti , neez har city main naheen hoti, to bhai arz yeh hay keh hmain is bat say gharz naheen keh yeh publish kahan say hoti hain , hmain to book k content say gharz hay , agar kufria ebarat chahay kisi bhi kitab main ho chahay kaheen say bhi publish ho , wo kufria hi hay.
  20. Eccedentesiast

    Book : Mahabbat Ki Nishani

    Mahabbat Ki Nishani.pdf
  21. Kia aap deobandion ki kufria ebarat par mutla honay kay bawjood bhi in ebarat ko saheeh smjhtay hain? Dr.Sahib aapnay itni Study kar li hay keh HifzulEeman, Taqweyat-Ul-Eeman etc k kufriat aapko kufriat hi nazar naheen aarhay? Aap apni study ki roshni main Akabir Ulama-e-Deoband Ki Kufria ebarat ko kufr say pak sabit karnay kay leay topic star krain. Phir insha Allah dhoodh ka dhoodh aor paani ka pani ho jaye ga. Bahut Shukria
  22. Meray Muhram bhai daleel ya suboot uskay zimmay hota hay jo Dawa karta hay. lihaza jab dawa uska hay keh Molana Ilyas Qadri sahib nay wahabi k peechay nmaz parhi , to daleel bhi uskay zimmay hay , sabit bhi usakarna hay , aap ko nahen. farz karain keh wo aap par ilzam lgata hay keh aap nay shia kay peechay nmaz parhi hay , to aap kia jwab dain ge?? zahir hay aap yehi kahain ge keh agar tum sachay ho to suboot laao. farz krain keh kal wo kahay keh aap nay fulan ko qatal kea hay , aapnay sharab pi hay , aap nay yeh kea woh kea , to aap kia har bat kay NA KARNAY PAR SUBOOT DAIN GE?????? kia wo bakta hi jaye ga??? suboot to wo day jo bakwas kar rha hay , aap par kisi cheez ka suboot lazim naheen hay. us say kahain keh wo sabit karay keh Molana Ilyas Qadri nay wahabi kay peechay nmaz parhi hay ya bad mazhab kay peechay nmaz parhnay ko jaiz kaha hay. agar wo sabit naheen kar sakta to wo yaqeenan jhoota hay.
  23. Bhai yeh ilzam sarasar jhoot par mabni hay , jisnay yeh buhtan bhandha hay aap us say iska suboot maangain .. aor zahir hay wo suboot to day nahen sakay ga , lihaza khud hi zaleel ho jaye ga. aesay logon say behs ki zroorat naheen hay. inkay nazdeek sunniat sirf dawat-e-islami ki mukhalifat hay. aor chunkeh inki apni hesiat machar kay brabar bhi nahen hoti lihaza jab awam inki baton par kaan naheen dhartay to yeh log Muqtadir Shakhsiat-e-Ahl-e-Sunnat ka naam apni jhooti baton ko taqwiat denay k leay istemal kartay hain. lihaza aesay logon say hoshiyar rahnay ki zroorat hay. behrhaal inki tadad aatay main namak k brabar bhi naheen hay , bas chand khabtion ka tola hay jin say door rehna hi behtar hay. Muhtram Saifi bhai , Dr.TahirulQadri sahib ahl-e-sunnat say kharij aor Gumrah hain aor Dr.Sahib idara-e-MinhajulQuran Ka Ahm Hissa hain .
  24. bhai agar tmam mods apnay apnay section main saheeh kaam krain to spam walay topics foran delete ho saktay hain. lihaza mods ko active hona pray ga , neez global moderators ki tadad main izafa karna hoga. jo active member hain unmain say kisi ko golbal moderator bnain takeh yeh spam topic chahay kisi bhi section main hon inhain delete kia ja sakay.
  25. Doorsay sya bhi istekhara krwaya ja sakta hay. istekhara ka tareeqa : http://library.faizaneattar.net/Books/index.php?id=357
×
×
  • Create New...