
Mudasir Yaseen
اراکین-
کل پوسٹس
930 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
5
سب کچھ Mudasir Yaseen نے پوسٹ کیا
-
Nikah se Pehlay Aurat main Sifaat ka daikhna
Mudasir Yaseen replied to Raza's topic in دیگر اسلامی مواد
Mere khayal men in baton ki hikmat ye hay. Mard se taqwa men is liye ziyadah ho ke "Bachon" ki parwarish maan hee karti hay. Aur aksar jo b Auliya-e-Kiraam ho kar guzry hain, un ki parwarish b un ki maan ne hee ki thee Jaisy Huzoor Ghous-e-A'azam , Hadrat Nizam-mud-din Auliya Wagherah, Aur Hamary Ameer-e-Ahl-e-Sunnat Damat Barkatumhul-Aaliya). Dolat men is liye kam ho ke jhgiry wagherah to aksar hoty hee rahty hain, lihaza kabhi biwi ye us ko gharib hony ka ta'ana na dy. Ya phir shohar ko kabhi biwi k aagy haath na phelana pary. Brother aur baaten to samajh men aage hain, Lakin ye aap ne umr ka kiyoun likh diya hay. Agar bura na maanen to ye bataden w'ssalam -
Nikah Mein Larki Ki Marzi
Mudasir Yaseen replied to Umm-e-Anwaar Raza's topic in اسلام میں عورتوں کے حقوق
4 Sharing. Ye b hamary Mazhab Islam ki khoubi hay, ke ye dunya ka waahid mazhab hay ke jis ne "Aurat" ko itna akhtiyaar diya hay. Lakin ye b na ho ke "Larki" is baat ka fa'ida utha kar khud jaa kar apna nikaah kary (Jaisaa ke aaj kal Court-Marraige hoti hay). Ye Nikaah ho to jaata hay, lakin amouman aisee shaadiyan kaamiyaab nahin hoteen (Kiyoun ke ye waaliden ko naraaz kar ke ki jaati hain). W'ssalam -
Some Pictures Wahabiyon Ki Karastaniyan
Mudasir Yaseen replied to Madani Munna's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Madani Munna bhai aap ne abhi tak us mistake ko theek nahin kiya hay. Ko'ee Admin ya Moderator hee us ko corrct kardy. W'ssalam -
Parh kar buhat khushi hu'ee ke aap ka kaam hony wala hay. Allah se duaa hay ke aap ko jald se jald "Kanz-ul-Emaan" shareef wagherah mil jaaye. Aue Shafeeq Bhai ko Allah is kaam ka dhron sawaab atta kary Aameen. 5 sept ya'ane taqreeban Ramdan Shareef se aik hafta pahiuly aap ko mil jaaye ga. W'ssalam
-
4 haring Aik maqaam mein b batata hoon: Sorah-e-Fatiha ka start Alhamd-o-Lillah, Agar hum ne yahaan par "Hamd" men "Halwy" waali "ha" se nahin parha (Balike "Hamd" men "haathi" waali "ha" se parha) to ye b kufr hay. "Hamd" (with "Halway" wali "ha") = Praise (Ta'areef) "Hamd" (with "haathi" waali "ha") = Fasaad, Fitna Ab aap khus sochen k meaning kaisee baatil ho ga'ee? Mein yahaan par likh b nahin sakta. W'ssalam
-
Sister jahaan tak meri knowledge hay to yahaan par har 100 gharon men sy taqreban 60 ghar to aise hain jahaan par aisaa hee hotta hay. Aur mery khayaal men hamari sindh se "Punjaab" men ziyadah hotta hay (Punjaab waaly hazraat: naraaz mat ho'iye ga ). Anyway "Aurat" jab zindagi ki start karti hay to Aik beti ki sourat men, aur aik bahin ki sourat men. Is stage men aurat wo apny fara'iz wagherah buhat achhi tarah se adda karti hay (Ya'ane apny maan baap aur bhai bahin wagherah se is ka barta'o achha hotta hay). Phir jab us ki shaadi ho jaati hay to phir b wo apny fara'iz achhi tarah se adda karti hay. Phir jab wo maan ban jaati hay, Yahaan tak b wo theek hoti hay. Lakin aagy chal kar jab wo saas ki stage par aa jaati hay, to ab wo apny fara'iz achhi tarah se nahin nibhati. Haalanke us waqt b wo aik achhi maan hoti hay, achhi biwi hoti hay, Achhi beti hoti hay, aur achhi bahin hoti hay. Lakin patta nahin wo as a "Saas" kiyoun aisa karti hay. ? Ab ye ko'ee Psychatrist hee bata sakta hay . Wssalam
-
Aah sister bilkul hamara haal buhat hee badtareen hay. Aik baat apny experience ki mein b batata hoon. Aaj se taqreeban 3 & 1/2 years pahily (feb 2004 men) jab university mera first year tha, to aik teacher ne hum se poochha tha ke ye batao ke "Eid-ul-Ud'ha" hum kab manaty hain. Aap ye baat sun kar hairaan ho jaayen gi ke class men bethy huye 35 students men se ko'ee b nahin bata sakka. Aakhir men mein ne hee teacher ko bataya thaa. To baat batany ka maqsad ye hay ke Hum ko Valentines day (14th feb) ka to patta hay, Pakistan day (23rd March) ka to patta hay, Yom-e-Takbeer (28th May) ka to patta hay. Indepence day (14th august) ka to patta hay. Defence day (6th (Sept) ka to patta hay, Iqbal day (9th Nov) ka to patta hay, Death day of Quaid-e-A'azam (11th sept) ka to patta hay, Birth date of Quaid-e-A'azam (25t h Dec) ka to patta hay, Birth date of Iqbal (21st April) ka to patta hay, Aur b buhat kuchh patta hay, Lakin afsos ke hum Eidain wagherah ka patta nahin hay. W'ssalam
-
Haqqaneyat-e-Hassam-ul-Harmain
Mudasir Yaseen replied to Mudasir Yaseen's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
-
-
Some Pictures Wahabiyon Ki Karastaniyan
Mudasir Yaseen replied to Madani Munna's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Brother aik mistake ki correction karden. Sahabi ka naam Mas'ab bin Umair hay naa ke Umair bin Mas'ab. Aap ne ulta likha hay, Lihaaz is ko jaldi se correct karden. Kuchh Hadrat Mas'ab Bin Umair ke baary men b batata chaloon. Ye Sahabi Islam ki da'awat qabool karny se pahle apny Qabeely ke sardaar thy. Aap ne jab Islam qabool kiya to Aap ki maan aur bary bhai ne Aap ki saari ja'idaad chheen lee thee, yahan tak ke Aap ke badan k kapry b utaar liye gaye thy. Aap ki biwi ne b is ka saath chhor diya tha. Tab Aap ne apny jism par aik nihaayat hee motta kapira (Bakiri ki khaal ka banna huwa aik blanket, jis men Aap ka camel ghans khata thaa.) poahina, aur issi haalat men Madina-e-Munawara gaye. Ghaza-w-Uhud men Musalimanon ki Army ke "Alambardaar" (Jhanda uthany wala) thy. Aur aap ne ye fard nibhaty huye Jaam-e-Shahadat nosh kiya tha, aur Aap ne jab Shahadat pa'ee thee, to us waqt b aap ke badan par wohi "Kapira" tha. Piyary Aaqa jab jang khatam hony ke ba'ad Hadrat Mas'ab ki laash par aaye to farmaya : "Ae Mas'ab mery paas tum taqreeban 1 saal se b ziyadah rahy, lakin tumhary pass itne paise nahin thy ke tum ko'ee aur kapira lo. Aaj mery pas b ko'ee aur kapira nahin hay, Lihaza mein tum ko issi "Kpiry" men dafan karta hoon." W'ssalam -
Brother "Qaseem" Aap ko IM (islamimehfil) par aany par Welcome karta. Insha Allah yahaan se hum aur aap buhat kuchh seekhen gy. Aur umeed hay ke aap b yahaan buhat hee achha izafa saabit hongy. W'ssalam
-
wahbiun ka Sarkar Sallallaho Alhe Wasallam say Bughz
Mudasir Yaseen replied to ghulam-e-raza's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Allah se du'aa hay ke "Ya Allah n khabeeson ko sufha-e-hasti se mita dy" Aameen Aameen aameen, W'ssalam -
Alhamd-o-Lilah ye mein ne khud tehreer kiya hay, Unicode men is liye nahin likha ke is men kaafi time lagita, aur mere pass itna time nahin hay, jabhi to aap se rquest ki hay ke aap is ko unicode men tehreer farmayen. Aur doosiri wajah ye b hay ke yahan par buhat saare users aise b hain jo ke urdu (unicode) men likha huwa nahin parh sakty. Aap ya Raza Bhai is ko unicode men tehreer karden. W'ssalam
-
Bhai ye na'at to mein ne nahin sunni. Albatta mujhy itna zaroor patta hay ke y "Qari Waheed Zafar Qasimi" ka ta'aluq Deobandi Dharam se hay. Is ne khud aik inerview men kaha tha ke mein deo ki bandi hoon, Aur mein peshawar na'at khuwaan hoon (Ya'ane naatkhuwani mera pesha hay). Aur mujhy ye bhee patta chala hay ke haal hee men is men gulbarg "Lahore" men 13 crore ka aik bunglow b liya hay . W'ssalam
-
Hadrat Qibla Sadr-ul-Ulama Allama Mufti Tehseen raza Khan Radi Allah Anhu
اس ٹاپک میں نے Mudasir Yaseen میں پوسٹ کیا شخصیات اسلام
Hadrat Sadr-ul-Ulama Mufti Tehseen Raza Khan By: Mudasir Yaseen Hadrat Sadr-ul-Ulama Mufti Tehseen Raza Khan 1930 A.D (Sarkaar Mujadid-e-A’azam Shah Imam Ahmed Raza Khan -
Mazar E Mubarik Hazrat Bibi Amina Razi Allah Anha
Mudasir Yaseen replied to Khalil Rana's topic in مضامین
In Najdiyon par Allah ki la'anat ho, aur in ka jald se jald khatima ho ! Aamen Aameen Aameen. W'ssalam -
Ab us roza-e-Anwar ko bhee dekh len jis ke saamuny Chaand tary b sharma jaaty hain. G ye rahy Khuwaja-e-Khuwajigaan, Hind-ul-Wali, Hadrat khuwaja Syed Mu'een-nud-din "Hassan" Chishri Sanjri Ajmeri ke roza-e-Mubarak ki kuchh tasaweer. Ye hay "Main enterance gate" jo ke " greatest Khilji Ruler Ala-ud-din Khilji
-
Rana Sahab. Subhan Allah aap ne buhat hee achhee knowledge share ki hay. Ye Question aksar mujh se b wahabi najdi poochha karty thy, lakin mein un ko jawaab nahin de sakta tha, Lakin ab un ko aasani se jawaab de sakoon ga. W'ssalam
-
brother 4 sharing. W'ssalam