Umm-e-Anwaar Raza Posted January 13, 2008 Report Share Posted January 13, 2008 faizan e niyyat jari hay pyaray aaqa k 4 yaron ridwan ullah alaihim ajmaeen ki nisbat se 4 mazeed niyyaten:. 1-apnay rishtay daron per infiradi koshish ker k unhain ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya ka mureed banwaoongi. 2-apnay ghar k maharim per infiradi koshish ker k unhain her mahinay 3 din madani qafilay men safar ki targheeb dilaoongi. 3- is ssal meray khandan men jo bhi taqreeb hoi infiradi koshish ker k wahan langar e rasail ki tarkeeb banwaoongi 4- riza e rabb ul anam k kaam ker k Attar madda zillu hul aali ki madani beti bannay ki koshish karoongi. INSHAALLAH Allah pyaray aaqa k ssadqay men ham sab ko in niyyaton ko ker k in per ikhlas k sath amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye. aaameeeeeeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madinah_Madinah Posted January 13, 2008 Report Share Posted January 13, 2008 buht achi achi niyyaten hain ALLAH hmen Daman E Attar sy wabasta rakh k istarha achi achi cheezen seekhny ki taufeeq dy...... ta dame aakhir Murshid k Faiz sy faizyab hoty rahen........ ATTAR k sadqy in tamaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaam niyyaton py amal krny ki taufeeq ata farmaey........ aur mazeeed khair o barakat dy.........amal mai taraqqi dy............ Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
ata_ho_ghame_madina Posted January 13, 2008 Report Share Posted January 13, 2008 4- riza e rabb ul anam k kaam ker k Attar madda zillu hul aali ki madani beti bann ay ki koshish karoongi.INSHAALLAH oper wale sentece ka kia matlab hay?????????? Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umm-e-Anwaar Raza Posted January 13, 2008 Report Share Posted January 13, 2008 oper wale sentece ka kia matlab hay?????????? meethi islami behan! ap ne yaqeenan madani inaamat k risalay ka mutala'a kiya hi hoga, akhir men jo riza e rabbul anam k kaam hain,(Attar maddazilluhul aali ki ajmeri,baghdadi,makki or madani beti walay),mera ishara un ki taraf tha. ummeed hay ab ap ko samajh agai hogi mazeed tafseel k liye ap madani inaamat wala topic parhain jazakillah wassalam ma'al ikram Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Faizan e Attar@Madani Inaamat Posted January 15, 2008 Report Share Posted January 15, 2008 Asslamo Alikum...............subhan Allah ........masha Allah..............jazakumullahu khiara ameem.................bht bht achey..................aik sawal ju k daily apney ap sey poochna hey................aik madani inaam........... KIYA AJJ AP NEY KUCH NA KUCH JAIZ KAAMOO SEY PEHLEY ACHI ACHI NIYYETEIN KIEN????????????????????? AYEE APNEY AP SEY POOCHEIN K HAM NEY ISS FAZIAN E NIYEET KO KISS HAD TAK APNAYA?????????????? Allah Azzawajal ki Ammeer e Ahlesunnat pr Rahmat hu aor unn key sadqey hamari maghfirat hu ameen bijahin Nabi saLLahu alihe wasallam. wasalam with request of dua e maghfirat. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
ata_ho_ghame_madina Posted January 16, 2008 Report Share Posted January 16, 2008 umme anwar api mein ne MADNI INATAMAT wali buk mein nahi perha ye sentence ya mujy nazar nahi aya ap page num bat dein and buk ka complte name bhi bta dein Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
سگِ عطار Posted January 16, 2008 Report Share Posted January 16, 2008 امیر اہلسنت کے 10 حروف کی نسبت سے کھجورکھانےکی10 مدنی نیتیں ?*بسم?اللہ شریف پڑھ کر کھاؤں گا/گی * میٹھا کھانا سنت ہے اسلئے کھاؤں گا/گی۔ * کھجور کھانا سنت ہے اس لئے کھاؤں گا/گی۔ * اس سے نظر تیز ہوتی ہے اسلئے کھاؤں گا/گی۔ * نظر اچھی ہوگی تو انشاء اللہ عزوجل کعبے شریف کا دیدار کروں گا/گی۔ * مدینے شریف کا دیدار کروں گا/گی۔ * اولیاء کرام کے مزارات کا دیدار کروں گا/گی۔ نیک لوگوں کا دیدار کروں گا/گی۔ *?مرشد کا دیدار کروں گا/گی * اسلامی کتب کا مطالعہ کروں گا/گی۔ Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umm-e-Anwaar Raza Posted January 16, 2008 Report Share Posted January 16, 2008 کھجور کھانے کی 10 مدنی نیتیں bohat achi niyyaten share kin , Allah ham sab ko amal ki tofeeq ata farmaye. aameeeeeen. umme anwar api mein ne MADNI INATAMAT wali buk mein nahi perha ye sentence ya mujy nazar nahi aya ap page num bat dein and buk ka complte name bhi bta dein pyari behan! riza e Rabbul anam k kaam madani inaamat men shamil nahi hain,ap madani ina'amat ka risala mutala'a karengi to pg no 18 se 22 tak riza e rab bul anam k kaam ap ko mil jaingay,inshaAllah Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab ko ikhlas k sath madani ina'amat ki amila banaye or Riza e rabbul anam k kaam kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaaaaameeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Faizan e Attar@Madani Inaamat Posted January 17, 2008 Report Share Posted January 17, 2008 jazakumullahu khaira ameen..............dear sis IQra..........bht achey................ager kissi key pass gar sey nikeltey waqet ki niyyetein hein tu baray Madina add ferma dein................wasalam with request of dua e maghfirat. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
SanaAli Posted January 17, 2008 Report Share Posted January 17, 2008 mashAlllah say itnee pyari pyari naitain hain kay hur hur nait pay dil jhoom utha hai Allah pak hum sab ko apna hur lamha inn hi niyaton pay guzarnay ki tufeeq aata furmaiey ameen Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
KARAM YA RASOOL ALLAH Posted January 27, 2008 Report Share Posted January 27, 2008 (edited) KARAM YA RASOOLALLAH K HAROOF KI NISBAT SE ISLAMI SISTERS K LIYE GHAR MAIN KAAM KI 13 MADANI NIYYATAIN HAR KAAM SE START KAROON GHI. KAAM KAAJ K DORAN DROOD SHAREEF KA WIRD KAROON GHI. KAAM K ZARYE WALIDA(or MOTHER IN LAW)KA HAATH BTA KER UN KI OR WAALID E MOHTARAM(or HUSBAND)KO KHUSH KAROON GHI OR IN K ZARYE ALLAH OR PYAARE HABIB KI RIZA HAASIL KAROON GHI. IN KAAMON KA IWAZ YA BADLA NAA CHAHOON GHI. KAAM K BAAD JTA KER YA BAYAN KER K SAWAB ZAYA NA KAROON GHI. SHAHZADI E KONAIN HAZRAT FATIMA KI SUNNAT E MUBARAKA PER AMAL KERTE HOYE KAAM MAIN AAAR MAHSOOS NAHI KAROON GHI. PARDAY KA KHAAS KHAYAL RAKHOON GHI OR GHER MAHAARIM K SAAMNE APNI ZEENAT ZAAHIR NAHI KAROON GHI. KAAM K DORAN IDHER UDHER DEKHNE SE HAT UL IMKAAN PERHEZ KAROON GHI. WAALIDEN(parents) KI FARMAN BARDARI KAROON GHI. AGAR KSY NE KAAM MAIN ISLAAH KI KOSHISH KI TO KHUSHDILI K SATH IS KO QABOOL KAROON GHI OR AGR NAJAAIZ DIL DUKHAYA TO SABAR KAROON GHI OR ISY MOAF KER K AZEEM AJR PAOON GHI. KAAM KO NAFASAT O KHOOBI SE SAR ANJAM DOON GHI OR GHAR WALON KI ZAROORIYAT KA KHAYAL KAROON GHI. AGAR GHAR MAIN KSY BEEMAR(PATIENT) KO HELP KI ZAROORAT HOI TO SUNNAT E MUBARIKA SAMAJHTE HOYE MADAD KAROON GHI. KAAM K DORAN TASSAWUR E MURSHID,TASAWUR E MADINA NEEZ FIKR E MADINA KAROON GHI. INSHA ALLAH AGAR KOI REPLY MAIN MAZEED NIYYATAIN SHAAMIL KERNA CHAHAIN TO KER SAKTE HAIN. DUAON KI MADANI ILTIJA HA TAALIB E ISHQ E RAOOL Edited January 27, 2008 by Umm-e-Anwaar Raza Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
ata_ho_ghame_madina Posted January 27, 2008 Report Share Posted January 27, 2008 MASHALLLAH BHUT ACHI HAY GOOD JOB 1. AGER KOI KAM ACHA HO JATA HAY TU OS KO APNI TERF MANSOOB KERNE KI BEJEY ALLLAH KA KAM AUR FAZAL SAMJHO GEE 2. KAAM ACHA KERNE PER DIL MEIN GAHROOR O TEKBUR SE BECHUN GE INSHALLAH Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madinah_Madinah Posted January 27, 2008 Report Share Posted January 27, 2008 2. KAAM ACHA KERNE PER DIL MEIN GAHROOR O TEKBUR SE BECHUN GE INSHALLAH 3. KAM ACHA KRNY PER AGR KISI NY TAREEF KI TO GHRUUR O TAKABBUR SY BACHUN GI..........!!! Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
fight with nafs Posted January 27, 2008 Report Share Posted January 27, 2008 bahut heeeee acha kam kia aisi niyyatain share keen ALLAH hamain in MADANI niyyaton pr amal ki toufeq aur istiqamat ata frmaay. aameen BIJAHIN NABIY YIL AMEEN Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umm-e-Anwaar Raza Posted January 27, 2008 Report Share Posted January 27, 2008 karam ya rasool Allah sister! good job!!! ummeed hay ap isi tarah achi achi madani niyyaten share ker k akhirat k liye behtereen khazana jama kernay men madad farmati rahaingi inshaAllah jazakillah pyari behan! Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab ko ye niyyaten ker k un per amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye or tamam behnon ko is k zariye apnay ghar walon/ waliden( saas susar,or shoher) ki riza hasil ker k Allah ki khushnoodi hasil kernay ki tofeeq ata farmaye. aaaaaaameeeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen wassalam ma'al ikram Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umm-e-Anwaar Raza Posted January 27, 2008 Report Share Posted January 27, 2008 0ne more niyyat ghar k kaam kaaj k doran pani k istimal men(bartan/kapray dhotay waqt) pani k be ja israf se bachoongi.inshaAllah wassalam ma'al ikram Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umm-e-Anwaar Raza Posted January 28, 2008 Report Share Posted January 28, 2008 Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madinah_Madinah Posted February 2, 2008 Report Share Posted February 2, 2008 Ameer e Ahlesunnat Damat barakatuhumul aaliya ki 26ween ki nisbat sy DUNIYAVI ILM HASIL KRNY K LIYE GHAR SY NIKALNY KI 26 MADANI NIYYATEN 1. ALLAH ki riza k liye 2. us k HABIB aur 3. Maan Baap ki khushnoodi k liye duniyavi ilm hasil kr rahi/raha hun. (q k maa baap ki ita'at me ALLAH aur us k Habib ki khushnooodi hy........agr unka hukm shariyat k mutabiq ho to.....) 4. deen ki sarbulandii k liye ilm e duniya hasil kr rahi/raha hun.....q k me "as a muslim representative" apny field me kaam kr rahi/raha hun....aur agr world level pr agr mujy koi honour mila to wo jst mery liye nhe.....sb muslims k liye honour hoga....us sy deeen e islam ka charcha hoga....(ye us soorat me durust hogi.......jb hum apny duniyavi ilm k field k bary me shar'ai knowledge b rakhen......aur shar'i taleemat ki roshni me jaiz ko ikhtiyar kren aur na jaiz cheezoon sy khud b mana hun.....aur apny fellows ko b aagah karen to madinah madinah) 5. hamesha parhai shuru krny sy pehly parhun gi/ga, 6. droood e pak sy parhai ki ibteda aur ikhtataam krun gi/ga, 7. hr baar kitab kholny sy pehly kitab kholny ki dua: اللھم افتح علینا حکمتک وانشر علینا رحمتک یا ذوالجلال والاکرام parhun gi/ga, (ye dua Ameer e ahlesunnat Damat barakatuhumul aaliya ki ataa krda hy) 8. asatza e karam ka ehtram krun gi/ ga, 9. asatza karam k hr us hukm ki baja awri krun gi/ga jo shariyat e mutahhara sy na takrata ho. 10. jb b koi natural phenomenon parha to ALLAH ki takhleeq pr ghor o fikr krun gi/ga, (eg. jistarha hydrogen bonding ekk natural phenomenon hy....agr is py ghor o fikr kren to pata chalta hy k hydrogen bonding b ALLAH ki buht barhi nemat hy......isi ki wja sy DNA ka structure hy.....aur DNA me hamary life processes ki saari instructions hain....n esi by-shumaaar baten jo hum jst lightly parh jaty hain.....agr ghor kren to un me buht sy ibrat k madani phool hoty hain...) 11. ALLAH k ehsanat ka tazkira parh k uska shukr ada krun gi/ga, 12. agar mujy koi cheez samaj na i to me apni/apny kisi fellow sy pooch lun gi/ga..... (isl.ss sirf isl.ss sy......aur isl.bro isl.bro sy poochen) 13. agar kisi fellow ko lecture me sy koi cheez samaj na i aur us ny muj sy question kia to 14. sirf ilm hony ki soorat me aur, 15. musilman ki khair khuahi ki niyyat sy usko explain krun gi/ga, 16. parh likh k apni aur doosroon ki zindagi sanwarny ki koshish karun gi/ga 17. agar ilm hasil kr k koi martaba mila to ghroor o takabbur me mubtala hony ki bajaey 18. usko ALLAH ki rahmat hi khayal karun gi/ga, aur 19. jis tarha bun parhi, dukhi insaniyat ki khidmat krun gi/ga, 20. ilm hasil kr k mehnat kr k RIZQ e halal kamaun ga aur 21. ghar walooon pr bojh bn'ny ki bajay 22. unko sukh dun ga (i thnk ye sirf islami bhaiyon k liye hi hy......mainly.... do guide me if im wrong) 23. hattal imkaan nigahoon ka QUFL E MADINAH lagaey rakhun gi/ga, 24. ghair mehramun sy baat krny sy avoid krun gi/ga.......(agr kabi bat krna b parhy to pardy me rehty huay.....minimun words use krty huay baat krun gi/ga) 25. doran e class Mobile Off / silent rakhun gi/ga..... ta k na meri parhai disturb ho na doosroon ki, 26. hattal imkan suwal sy bachny k liye apni zarooorat ki hr cheez apny pas rakhun gi/ga. ALLAH hamen hr hr kaam krny sy pehly achi achi niyyaten krny ki taufeeeq ata farmay...... aur agar niyyaten krty huay hamary dil me madani jazba ho to......asal kaam krty huay madani jazba mazeeeeeeeeeed barh jay............aur agar madani jazba nhe hy to Murshidi Attar k sad k ataa ho jay......aaameeeeeeeeeeeen..........ALLAH hamen khloooos e niyyat k sath dawateislami k madani kamoon ki dhoomen machany waliyan/waly banaey.........aameeeeeeeeen bijahin NABIYYIL AMEEEN (tamam isl behnon aur bhaiyoon sy arz hy k agr in niyyatoon me koi shar'ee ghalati paeen to FORAN SY PEHLY islah farma dain.......chun k me koi aalima nhe hun......so.........ghalati ka Qawwi imkaan hy ) Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madinah_Madinah Posted February 2, 2008 Report Share Posted February 2, 2008 oo'ooo........ i ws forgetting many things..... ub mai Student k madani phool (pamphlet by Ameer e Ahlesunnat) sy kuch niyyaten akhaz krny ki koshish krti hun: 27. asatza k sath khush akhlaqi ka muzahira karun gi/ga 28. homework waghera waqt py kr k teacherz ki/ka manzoor e nazar bun jaun gi/ga 29. apni/apny classfellows k sath husn e salook krun gi/ga, 30. class presentations me bharpooor hissa lun gi/ga aur apni class me numayan nazar aaun gi/ga, 31. bol chaal me english ka use ziada aur 32. sahi karun gi/ga 33. ta k parhy likhy logon ko dawateislami ki taraf ma'il krny me madad mily 34. akser sanjeeda rahun gi/ga, 35. ta k deeen ka kaam asan ho jay, 36. fuzul goi k bajay 37. apni guftugu me mazhabi rang rakhun gi 38. nai nai islami behnon ko..... 39. mahabbat k sath 40. aur hikmat e amali k sath hafta war ijtema me shirkat ki targheeeb dilaun gi (isl.bhai apny mutabiq changings kr lain) 41. madani inamat ki targheeb dilaun gi/ga. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madinah_Madinah Posted February 2, 2008 Report Share Posted February 2, 2008 aur b niyyaten ki ja skti hain Student k madani phool k 2sry hissy sy......filwqt me zara bzee hun....... agr koi aur ye kr dy to madinah madinah........ agr kisi k pas time nhe to me dobara aa k koshish krun gi INSHA ALLAH Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umm-e-Anwaar Raza Posted February 3, 2008 Report Share Posted February 3, 2008 good job! madinah madinah sister bohat achi niyyaten share kin ap ne jazakillah wassalam ma'al ikram Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madinah_Madinah Posted February 3, 2008 Report Share Posted February 3, 2008 madinah, me ny iska topic, Ameer e Ahlesunnat Damat barakatuhumul aaliya ki 26ween ki nisbat sy DUNIYAVI ILM HASIL KRNY K LIYE GHAR SY NIKALNY KI 26 MADANI NIYYATEN isliye rakha ta k ghr sy educational institute jaty tk Qadam Qadam pr sawab mily....... aur me type krty huay bhool gai k Ghar sy nikalny ki dua parhny ki niyyat b shamil kr lun..... so add here: * ghar sy nikalny ki dua b parhun gi/ga.... * aur suwari k thru jany ki surat me..... suwari pr suwar hony ki dua b parhun gi/ga * rasty me Drood e pak wird e zaban rakhun gi/ga. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madinah_Madinah Posted February 3, 2008 Report Share Posted February 3, 2008 n umme anwar aapi.... hosla afzai ka shukriya plzzzzzz koi mistake ho to zrooor point out kijiye.........tamam members sy request hy......!! Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madina.merijan Posted February 3, 2008 Report Share Posted February 3, 2008 jazakillah beggar of gham e murshid Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Qufl e Madinah Posted February 3, 2008 Report Share Posted February 3, 2008 Jazakillahu khaira 4 sharing Was'salam ma'alikram Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You can post now and register later. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.