Jump to content

Fitna-e-Najad wali Hadees ka Misdaq kon?


Talinenoor

تجویز کردہ جواب

اسلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالی و برکاتہ و مغفرہ

 

نجد کی تحقیق

 

امام بخاری نے اپنی صحیح میں امام ترمذی نے اپنی جامع میں سیدنا عبد اللہ بن عمر رضی اللہ تعالی عنہما سے روایت کی کہ رسول اللہ صلی اللہ تعالی علیہ و سلم نے یہ دعا فرمائی : ـ

 

اے اللہ ہمارے لئے ہمارے شام میں برکت دے ، اے اللہ ہمارے لئے ہمارے یمن میں برکت دے ـ کچہ لوگوں نے عرض کیا اور ہمارے نجد میں بہی ـ اس پر پھر فرمایا اے اللہ ہمارے شام میں ہمارے لئے برکت دے اے اللہ ہمارے یمن میں ہمارے لئے برکت دے ان لوگوں نے عرض کیا اور ہمارے نجد میں یارسول اللہ ( راوی نے کہا ) میں گمان کرتا ہوں کہ تیسری بار یہ فرمایا رہاں زلزلے اور فتنے ہیں وہاں سے شیطان کے پیرو نکلیں گے ـ

 

اس حدیث میں نجد سے مراد سر زمین عرب کا مشرقی صوبہ ہے جسکی تھوڑی شمال مشرقی سرحد عراق سے متصل ہے ـ یہ علاقہ حضور اقدس صلی اللہ تعالی علیہ وسلم کے عہد مبارک میں بھی نجد کہلاتا تھا ـ آج بھی نجد ہی کہلاتا ہے ـ نجد کے لغوی معنی اونچی زمین کے ہیں چونکہ یہ حصہ بہ نسبت مغربی حصے کے جسے تہامہ کہتے ہیں اونچا ہے اس لئے اس کا نام نجد پڑا ـ عہد رسالت سے لے کر آجتک کبھی بھی نجد بول کر عراق نہیں مراد لیا گیا ـ

 

نجد عہد رسالت میں بھی عرب کے اس مخصوص خطے کا نام تھا، اس پر جغرافیہ اور حدیثوں و سیر کی کتابیں دلیل ہیں ـ سریہ بیر معونہ کے واقعہ میں مذکور ہے کہ ابو براء عامر بن مالک بن جعفر نے جب یہ عرض کیا کہ آپ اپنے اصحاب میں سے کچھ لوگوں کو اہل نجد کی ہدایت کے لئے بھیجدیں تو مجھے امید ہے کہ آپ کی دعوت قبول کر لیں گے ـ اس پر حضور صلی اللہ تعالی علیہ وسلم نے فرمایا کہ مجھے اہل نجد سے اندیشہ ہے ـ

 

طلیحہ بن حویلد اسدی قطن میں رہتا تھا اس بارے میں ہے ـ

 

ابن اسحاق نے کہا قطن نجد کے چشموں میں سے ایک چشمہ ہے ـ

 

غزوہ ذات الرقاع کے بارے میں ہے : ـ

 

نخل نجد میں بنی غطفان کی آراضی میں سے ہے ـ

 

اسی وادی کے بارے میں ہے ـ

 

اسی وادی میں بنی فزارہ کی شاخ قیس کے کـچھ گروہ رہتے تھے ـ پھر ابو قتادہ کا سریہ ہے کہ جو خدرہ کی طرف بھیجا گیا تھا یہ نجد میں محارب کی زمین غطفان کی طرف جو ارض محارب میں رہتے تھے ـ

 

یہ سب تصیلات زرقانی علی المواہب علی المواہب اللدنیہ سے لی گئ ہیں

 

نجد اور عراق اس میں دو الگ الگ تھے ـ اسی لئے نجد کی میقات اور ہے اور عراق کی اور ـ نجد کی میقات " قرن المنازل " ہے اور عراق کی " ذات عرق " ہے ـ حب عہد رسالت میں نجد عرب کے ایک مخصوص خطے کا نام تھا اور عراق جس میں کوفہ و بصرہ ، بغداد ہیں یہ الگ ملک تھا تو نجد بول کر عراق مراد لینا کسی طرح درست نہیں ـ

 

دوم ـ اسی طرح نجد بول کر اس کا لغوی معنی بھی مراد لینا صحیح نہیں ـ اس لئے کہ قرآن و احادیث میں ان کے الفاظ کریمہ کے وہی معنی ہوتے ہیں جو عرف میں شائع ضائع ہوں ـ جب نجد عرب کے ایک مخصوص خطہ کا نام تھا اور یہ معنی سب کو معلوم تھا تو یہی معنی مراد ہوگا ـ دوسرا کوئی اور معنی مراد لینا تحریف معنوی ہے ـ

 

سوم ـ اس حدیث میں بالاتفاق شام اور یمن سے مخصوص ملک مراد ہیں ـ ان کے لغوی معنی نہیں یہ اس پر قرینہ قوزیہ ہے کہ نجد سے بھی وہ مخصوص ملک مراد ہوگا نہ کہ لغوی معنی ـ

 

چہارم ـ نجد کے لغوی معنی بھی مراد لیں تو ملک نجد ہی متعین ہے ـ اس لئے کہ ملک نجد بہ نسبت تہامہ کے بلند ہے ـ اور عراق کے بہ نسبت بھی جیسا کہ ابھی آرہا ہے ـ

 

پنجم ـ اس حدیث میں قالوا فی نجدنا یا رسول اللہ ـ اس کی دلیل ہے کہ یہ عرض کرنے والے مسلمان صحابی تھے جو نجد کے باشندے تھے ـ عہد رسالت میں عراق کا کوئی باشندہ ایمان سے مشرف نہیں ہوا تھا ـ البتہ نجد کے کچھ خوشبخت انسان ضرور مشرف باسلام ہو چکے تھے ـ یہ بھی اس کی دلیل ہے کہ نجد سے مراد عراق نہیں بلکہ عرب کا یہ مشرقی صوبہ ہے ـ جس کے کچھ باشندے مشرف بہ اسلام ہو چکے تھے ـ

 

چھٹا ـ اس حدیث میں یہ فرمایا گیا ـ ھناک الزلازل و الفتن ـ اس کا ترجمہ کچھ لوگ یہ کرتے ہیں ـ کہ وہاں زلزلے اور فتنے ہوں گے ـ کیا عرض کروں ان لوگوں کو یہ بھی پتہ نہیں کہ یہ مبتداء اور خبر کی ترکیب ہے جیسے زید قائم ـ اسکا صحیح ترجمہ یہ ہے کہ زید کھڑا ہے ـ اسی طرح ھناک الزلازل و الفتن ـ کا صحیح ترجمہ کہ ہے کہ " وہاں زلزلے اور فتنے ہیں " ـ اس کا مطلب یہ ہوا کہ حضور اقدس صلی اللہ تعالی علیہ و سلم ارشاد فرما رہے ہیں کہ اس وقت وہاں زلزلے اور فتنے ہیں ـ اس زلزلے اور فتنے سے مجوسیت ، نصرانیت وغیرہ مراد نہیں ہو سکتے ـ اس لئے کہ اس وقت پورا ملک شام نصرانی تھا اس کے باوجود وہاں برکت کے لئے دعا فرمائی ـ اس سے مراد وہ سوزشیں ہیں جو حضور اقدس صلی اللہ تعالی علیہ و سلم اور اسلام کے خلاف اہل نجد نے مچا رکھی تھی حدیث و سیرت کی کتابیں پڑھنے والوں پر مخفی نہیں کہ بدوی قبائل میں اسلام کے خلاف اور مسلمانوں کے خلاف سب سے زیادہ جن لوگوں نے بار بار سازشیں کیں اور نت نئے طریقوں سے اسلام کو ختم کرنے کی کوششیں کیں وہ اہل نجد ہی تھے ـ دوسرے قبائل میں یہ بات نہیں تھی ـ

 

سریہ رجیع اور بیر معونہ کے وہ ہو شربا واقعات کی کس طرح دھوکے سے اسلام کی دعوت کے بہانے سے لیگئے اور ان سب کو کس بے دردی کیساتھ قتل کر ڈالا کہ جس سے رحمت عالم صلی اللہ تعالی علیہ و سلم کا بھی پیمانہ صبر لبریز ہوگیا اور اتنا جلال آیا کہ مسلسل ایک مہینہ تک نماز میں قنوت نازلہ پڑھ کر ان ظاموں کے لئے ہلاکت کی دعائیں کیں اور اسلام کے مخالف جن قبیلوں کا نام آتا ہے ان میں غطفان ، بنی اسد ، بنی سلیم ، غضل قارہ ، ذکوان، بنی فزارہ وغیرہ یہ سب نجد کے باشندے تھے ـ طلیحہ بن خویلد اسدی نجد کے علاقہ قطن میں رہتا تھا ـ یہی وہ شخص ہے جس نے پہلے مدینہ پر حملہ کیلئے فوجیں تیار کیں پھر مسلمان ہوا ـ اور حضور اقدس صلی اللہ تعالی علیہ و سلم کے وصال کے بعد مرتد ہوگیا ـ نبوت کا دعوی کیا ـ یہ قطن نجد کے علاقہ میں رہتا تھا ـ مضر ، یہ نجد کا باشندہ تھا ـ جن کی اسلام دشمنی سب کو معلوم ہے ـ عبدالقیس کا وفد جب خدمت اقدس میں حاضر ہوا تو اس نے عرض کیا کہ ہم سوائے شہر حرام کے اور دنوں میں خدمت اقدس میں حاضر نہیں ہو سکتے ہمارے اور آپ کے درمیان کفار مضر حائل ہیں ـ مدینے اور بحرین کے راستے میں یہی سعودیوں کا علاقہ ہے ـ اسی علاقے میں قبائل مضر آباد تھے ـ

 

مسلیمہ کذاب نجد کے علاقے عینیہ میں رہتا تھا ، یہیں پیدا ہوا تھا ـ یہی وہ منحوس مقام ہے ـ جو نجدی مذہب کے بانی نجدیوں کے شیخ الکل ابن عبدالوہاب کی بھی جائے پیدائش ہے ـ اس لئے یہ ارشاد " ھناک الزلازل و الفتن " بھی اس کی دلیل ہے کہ اس سے مراد ملک نجد ہی ہے نہ کہ عراق ـ

Link to comment
Share on other sites

Imam Bukhari aur Imam Tirmidhi Hazrat Syedna Abdullah bin Umer (Radi Allahu Anhu) se riwayat ki ke Rasool (saw) ne dua ki;

 

"Aye Allah! Hamaray liye Shaam mein barkat day. Aye Allah! Hamaray liye Yemen mein barkat day. Kuch logo ne arzz kya 'aur hamaray najd mein bhi'. Iss per phir farmaya, aye Allah! Hamaray liye Shaam mein barkat day. Aye Allah! Hamaray liye Yemen mein barkat day. Inn logo ne arzz kya 'aur hamaray Najd mein Ya Rasool Allah (Sallallahu Allaihe Wasallam)?' (rawi ne kaha) mein gumaan karta hon ke teesri baar ye farmaya (Najd ke liye kaisay dua karo?) Waha zalzalay aur fitnay hain, waha se shaitaan ke pairoo niklay gay.

(Sahih Bukhari, Vol. 1, pg. 141

Tirmidhi, Vol. 2, Pg. 234)

 

Ab aiye un dalail per ke jin se Najd se wohi Najd sabit hota hai ke jaha se Mardood Muhammad ibn Abdul Wahab nikla.

 

Pehli Daleel:

 

Najd ka lughwi maani "Onchi Zameen" hai, lekin Quran-o-Ahadiths mein alfaaz ke wohi maani muraad hotay hain jo urf mein shaya hon, matlab ke jo most common aur general hon. Jab "Najd" Arab ke aik makhsoos ilaqay ka naam hai (abhi se nahi, Zamana-e-Risalat (saw) se) aur ye sab ko maloom bhi tha to yaha "Najd" se yehi ilaqa muraad hai na ke iss ke lughwi maani. "Najd" Zamana-e-Risalat mein bhi "Najd" hi kehlata tha aur "Iraq" zamana-e-Risalat mein bhi "Iraq" hi kehlata iss ke gawah Bukhari-o-Muslim hain!

 

Doosri Daleel:

 

Iss hadiths mein, baghair kisi shakk-o-shubeh ke "Shaam" aur "Yemen" se muraad makhsoos mumalik hi hain, na ke lafz "Shaam" se dopeher ke baad wali "Shaam" muraad hai. Agar lughwi maani mein lakeer ka fakeer ban kar hi hi istimaal karna hai to phir in dono naamo ke saath bhi aap hazrat ko aisa hi khail khailna chahiye.

 

So qareena-e-qawiyya yehi hai ke yaha "Najd" se muraad Arab ka khitta "Najd" hi murad hai.

 

Ab aaiye deegar aqwaal ki taraf.

 

"Najd iss choori zameen ka naam hai jis ke ooper Tahama aur Yemen hai aur neechay Iraq aur Shaam."

(Muajjam-al`baldan, Vol. 5, Pg. 262, by Yaqoot bin Abdullah al`Hamwi)

 

Geography ki kitaaboo mein intihai mustandd kitab hai ye.

 

"Suno! Bey`rehmi, sangdili.. kaashtkaaro aur auntoo ki dumoo ki jaroo ke paas hai, Rab`eya aur Mizr mein jaha se shaitan ke 2 pairoo niklaye gay."

(Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 466)

Baaz riwayato mein ye bhi hai ke Umm-ul Momineen Hazrat Ayesha Siddiuqua (Radi Allahu Anha) ke hujra-e-mubarak ke paas kharay ho kar Mashriq ki taraf ishara kar ke farmaya ke fitna idher hai, jaha se shaitan ke pairo niklay gay.

 

Atlas uthaiye, Minbar-e-Aqdas se Hujra-e-Ayesha (Radi Allahu Anha) ki taraf khatt khainchiye Mashriq ki taraf, bilkul Najd ke beech se guzray ga.

 

Yaha se pehla fitna baramadd howa Musalyma Kazzab aur doosra issi Najd ke ilaqay Ainiya jaha Musalyma Kazzab paida howa wahi se nikla Muhammad ibn Abdul Wahab Najdi.

 

"Mashriq ki janib se kuch loog niklay gay jo Quran parhay gay magar unn ke halaq say agay nahi barhay ga. Deen se iss tarah nikal jaye gay jaisay teer nishaana paar kar ke nikal jata hai. Iss ke baad deen mein lootay gay nahi, yaha tak ke teer apnay chalay ki taraf lootay. Poocha gaya inn ki alamat kya deen hai? Farmaya, in ki alamat sarr mundana ya tasbeed (payshaani ka ghatta)."

(Sahih Bukhari, vol. 2, Pg. 1128)

 

Wahabiyo se pehlay jitnay bad`mazhab aye kisi mein ye nishani nahi thi. Albatta najdi wahabiyo ne zaroor sarr mundanay ko apna tareeqa banaye rakha.

 

Sheikh Allama Syed Zaini Dahlan likhtay hain:

 

"Ye hadiths najdiyo ke baray mein sareeh hai........

 

Ibn Abdul Wahab in auratoo ko bhi sarr mundanay ka hukum deta jo uss ke mazhab mein dakhil hotien. Aik baar aik aurat nay iss per hujjat qayam kar di, ye aurat bil`jabr iss ke deen mein dakhil ki gai aur najdi ke za`m ke mutabiq iss ne tajdeed-e-islam kya.

 

To najdi ne iss ka sarr mundana ka hukum dya. Iss aurat ne kaha agar apnay mardo ki daarhiya mundanay ka hukum de to tujhay jayaz hoga? Ke auratoo ke sarr mundanay ka hukum de. Iss liye ke auratoo ke sarr ka baal, mardoo ke darhiyoo ke ba`manzil hai. Iss per woh kafir mabhoot ho gaya aur uss se koi jawab na ban para."

(Ad`darr` al`sunniya, Pg. 42)

 

Wahabi Najdiyo se jab kuch nahi ban parta tu iss hadith se "Iraq" muraad lete hain aur uss per apni bay'sar-o-paa dalail de de kar jaan halkaan kartay hain. Aiye ab zara Iraq ke baray mein bhi parh letay hain.

 

Kanz-ul-Aamaal mein ba`hawala Masnad Imam Ahmed aur Ibn Asaakar issi qism ki hadiths mojoud hai jo kaafi tafseeli hai. Uss mein “wa` fi Najdna” ke bajaye “wa` fi Mashriqna” hai. Issi mein Hazrat Ibn Umer (Radi Allahu Anhu) ki hadiths mein “wa` al-Iraq” hai. Issi tarah Jame-al`Amkana mein Imam Hassan Basri (Radi Allahu Anhu) mein aisa hi hai.

 

Inhi riwayat ki bina per aap ghair`muqallideen apni poori quwwat se Iraq ko Najd sabit karnay ki na`kaam koshish kartay hain. Lekin apnay tamaam usoolo ko bhool jatay hain ke jin per aap ki iss Ghair`Muqallidi ki bunyaad qayam hai.

 

Ghair`Muqallideen ke mazhab ki bunyaad iss per qayam hai ke “Bukhair aur Muslim” ko choor kar Abu`Daud ki hadiths bhi ghair`mutabirr, to phir Bukhair aur Tirmidhi ki maariz, Ibn Asaakar ki hadith aap ke nazdeek kaisay mutabirr ho gai??

 

Khud Shah Waliullah (Rehmatullahe Allaihe) ne Abu Daud ko “Tabqa-e-Sania” mein aur Ibn Asaakar ko “Tabqa-e-Raabiya” mein rakha hai.

 

To ghair`muqallideen jin ke mazhab mein Bukhari-o-Muslim ke maariz Abu`Daud (Tabqa-e-Sania) ke hadiths ghair`mutabirr, jis ka darja-e-sehat Bukhari-o-Muslim ke baad baqiya Sihah`Sitta se muqaddam hai to Iraq ki baat per Bukhari-o-Tirmidhi ki Sahih Hadiths ko choor Ibn Asaakar (Tabqa-e-Rabiya) ki hadiths ko daleel banana to seedha seedha loota`pana hai janab.

 

Ghair`muqallideen ka iss baat per ijmaa hai ke Hadiths-e-Munqataa, Mursil, laik-e-istinaad nahi. Hazrat Imam Hassan Basri se marwi jo hadiths hai woh “Mursil Munqataa” hai, kyu ke Hassan Basri ki mulaqaat Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) say nahi howi. Iraq se dushmani mein apnay banaye howay usoolo ko aap khud hi toortay hain.

 

Iraq ka naam Iraq iss liye para ke who Najd se neechay samandar se kareeb hai.

(Muajjam-al`baldan, Vol. 4, Pg. 95 by Yaqoot bin Abdullah al-Hamwi)

 

Muajjam-al`baldan, qadeem Geography ki intihai mustanadd kitaab hai, aur saaf gawahi de rahi hai ke Iraq, Najd se neechay hai. So agar lughwi maani bhi istimaal kiye jaye tab bhi “Najd” se muraad Iraq nahi balkay “Najd” hi sabit hota hai.

 

Her tareeqay se yehi sabit hota hai ke Ehd-e-Risalat (saw) se le kar aaj tak “Najd”, jazera-e-Arab ka aik Khitta hai jo iss ke Mashriq mein moujoud hai aaj kal Saudi Arabia ka hissa hai. Ab issay lughwi maani ka labada pehnana tehreef-e-maanwi hai aur kuch nahi. Aur hadiths mein tehreef karnay ka kya matlab iss se aap bakhoobi waqif hongay.

 

Ab aaiye aap ko mazeed ahadiths dikha don.

 

Imam Bukhari, Imam Muslim aur Imam Ahmed nay mukhtalif alfaazo mein Hazrat Abdullah bin Umer (Radi Allahu Anhu) se riwayat kiya:

 

“Mein ne Rasool (Sallallahu Allaihe Wasallam) ko dekha ke mashriq ki janib ishara kar ke farmaya ke fitna waha hai, be`shakk fitna waha hai, waha se shaitan ke pairoo niklay gay.

(Sahih Muslim, Vol. 4, Pg. 2228-2229, Beirut

Masnad Imam Ahmed, Vol. 2, Pg. 18-40-91-111-121-140-143, Qurtuba, Misr.

Masnad Imam Ahmed, Vol. 2, Pg. 73

Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 463)

 

Imam Bukhari ne Sayedna Abu Huraira (Radi Allahu Anhu) se riwayat kiya:

 

Kufr ki jarr mashriq ki taraf hai. Takabburr aur ghamandd, ghooray aur aunt waloo kasht'karoo aur khaimay walo mein hai.

(Sahih Bukhari, Vol. 3, Pg. 202, Dar` Ibn Kathir, Beirut

Sahih Muslim, Vol. 1, Pg. 72-73, Darul`Ihya at`Tiras al`Arabi, Beirut

Masnad Imam Ahmed, Vol. 2, Pg. 202-418-506, Darul`Harmain, Qahira)

 

Imam Bukhari nay Hazrat Uqba bin Aamir aur Hazrat abu Masud Ansaari (Ridwan Allahe Allaihe Ajmain) se riwayat kiya ke Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne farmaya:

 

"Suno! Bey`rehmi, sangdili.. kaasht'kaaro aur auntoo ki dumoo ki jaroo ke paas hai, Rab'ia aur Mudar mein jaha se shaitan ke 2 pairoo niklaye gay."

(Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 466

Sahih Bukhari, Kitab Bid`al`Khalq, Hadith 3057

Sahih Muslim, Kitab-ul-Imaan, Hadith 72) Ab aiye dalail ki taraf.

 

1. Medina Tayyaba se Mashriq Najd hai na ke Iraq. Iraq Shumal ki taraf hata howa Mashriq aur Shumal ke koonay per hai, matlab ke Shumal Mashriq.

 

2. Jaisay ke peechay bhi likh chuka, baaz riwayato mein ye bhi hai ke Umm-ul Momineen Hazrat Ayesha Siddiuqua (Radi Allahu Anha) ke hujra-e-mubarak ke paas kharay ho kar Mashriq ki taraf ishara kar ke farmaya ke fitna idher hai, jaha se shaitan ke pairo niklay gay.

 

Atlas uthaiye, Minbar-e-Aqdas se Hujra-e-Ayesha (Radi Allahu Anha) ki taraf khatt khainchiye Mashriq ki taraf, seedha Najd per guzray gay.

 

3. Hazrat Uqba aur Hazrat Abu Masud (Ridwan Allahe Allaihe Ajmain) ki hadiths meiun “Rab'ia aur Mudar” ka zikr hai jo uss Ehd mein “Najd” mein thay na ke Iraq mein. Rab'ia ke baray mein Najdi ki gawahi sun lijiye:

 

Rab'ia bin Nazaar, Najd se Yemen tak ke baadshah thay…..

 

Issi ki hashiye mein likha hai;

 

Rab'ia ki shaakho ki bastiya Najd-o-Tahama, Yamama, Bahrain mein theen, Iraq TAK.

(al`Wajd fi`nisaab, Mulook Najd, Pg. 31 by Rashid bin Musheer)

 

4. Hazrat Uqba aur Hazrat Abu Masud (Ridwan Allahe Allaihe Ajmain) ki hadiths mein “Shaitan ke 2 pairoo” ka zikr howa. Pehla to sari ummat jaanti hai ke Musaylma Kazzab, doosra uss ka hum'watan Ibn Abdul Wahab Najdi Maloon. Musaylma Kazzab bhi Mizr se tha aur Ibn Abdul Wahab bhi.

 

Aur sab se bari daleel jo qayamat tak tamaam Wahabi ke sarr per mandalati rahay gi.

 

Bukhari mein Syedna Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) se marwi hai ke Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne farmaya:

 

Mashriq ki janib se kuch loog niklay gay jo Quran parhay gay magar unn ke halaq se aagay nahi barhay ga. Deen se iss tarah nikal jaye gay jaisay teer nishana paar kar ke nikal jata hai. Iss ke baad deen mein lootay gay nahi, yaha tak ke teer apnay chalay ki taraf lootay.

 

Poocha gaya inn ki alamaat (nishani) kya deen hai? Farmaya, “Inn ke alamaat (nishani) sarr mundana (ganja hona) hai ya tasbeed (payshaani ka ghatta)

(Sahih Bukhari, Vol. 2, Pg. 1128

Sahih Bukhar, Vol. 2, Pg. 2784, Dar Ibn Kathir, Beirut

Masnad Imam Ahmed, Vol. 3, Pg. 64/464, Qurtaba, Misr

Sunan Ibn Majah, Vol. 1, Pg. 62, Darul`Fikr, Beirut)

 

Iss hadiths mein 2 batein wazeh hoti hain. Aik to mashriq se iss fitnay ka zahoor aur doosra inn ki sarr mundanay ki alamat. Wahabiyo se pehlay koi aik bad`mazhab firqa bata dijiye jis ki nishani sarr`mundana ho.

 

So in tamaam ahadiths aur aqwaal ko madd-e-nazar rakhtay howay to Wahabiyoo ki Najdiyatt sarr se paoo tak tapak rahi hai. Ab aaiye aap ko Iraq ki haisiyatt bhi dikhata chalo.

 

Syedna Zaid bin Sabit (Radi Allahu Anhu) se marwi hai ke;

 

Rasool (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne Yemen ki taraf deka aur ye dua farmai, Aye Allah! Inn ke dilo ko meri taraf mayal farma aur Iraq ki taraf dekha aur ye dua farmai, Aye Allah! Inn ke dilo mein meri taraf mayal farma, aur Shaam ki taraf dekha aur ye dua farmai, Aye Allah! Inn ke dilo mein meri taraf mayal farma, Aye Allah! Hamaray liye sa`aa aur hamaray madd mein barkat ataa farma.

(Kanzul-ul-Aamaal, Vol. 9, Pg. 136

Muajjam-ul-Sagheer, Vol. 1, Pg. 173, al`Maktabt-ul-Islami, Beirut

Muajjam-ul-Kabeer, Vol. 5, Pg. 116, Maktabat-ul-Uloom wa`Hikm, Mousal)

 

Iss mein lafz “Iraq” nazar aaraha hoga aap ko yaqeenan.

 

“Nabi (Salllallahu Allaihe Wasallam) ne Shaam ki taraf nazar ki aur ye dua ki, Aye Allah! Inn ke dilo ko apni ataa'at ki taraf mayal farma aur inn ke ird`girdd apni rehmat ghair de. Phir Yemen ki taraf nazar ki aur iss ki misl dua farmai, phir Iraq ki taraf nazar ki aur waisay hi dua farmai.

(Majmoa`-al`Zawaid, Vol. 3, Pg. 304, Darul Riyan-ul-Tiraas, Qahira, Darul Kitab al`Arabi, Beirut

al`Adb-ul-Mufarrid, Vol. 1, Pg. 169, Darul Bashair-ul-Islamiya, Beirut)

 

Umm-ul-Momineen Hazrat Umm-e-Salma (Radi Allahu Anha) nay farmaya;

 

Imam Mahdi ki khidmat mein Shaam ke abdaal aur Iraq ke loog giroh`dar`giroh hazir ho kar bayt karein gay.

(Sunan Abu Duad, Vol. 4, Pg. 107, Darul`Fikr, Beirut

Sahih Ibn Hibban, Vol. 10, Pg. 59, Beirut)

 

Ab ye Iraqi saray ke saray kaun hon gay? Khawarij, Rawafiz, Mutazilla ya Ghair Muqallid??

 

Ghair'muqallideen ki aik aur chaal iss mouqay per ye bhi hoti hai ke Najd ke Banu Tamim ki tareef mein ahadith paish kartay hain. Abhi kuch arsay pehlay hi aik ghair'muqallid ne ye ahadith paish ki;

 

=============================================================

Sahih Bukhari:

 

I have loved the people of the tribe of Banu Tamim, ever since I heard three things the Messenger of Allaah , sallallaahu alayhi wa sallam, said about them. I heard him saying, 'these people (of the tribe of Banu Tamim) would stand firm against the Dajjaal.' When the Saddaqat from that tribe came, the Messenger of Allaah , sallallaahu alayhi wa sallam, said, "these are the Saddaqat (charitable gifts) of our folk." Aa'ishah had a slave girl from that tribe, and the Prophet , sallallaahu alayhi wa sallam, said to Aa'ishah, 'manumit her as she is a descendant of Ismaa'eel, alayhis salaam.'

 

Musnad Ahmad ibn Hanbal:

 

"do not say of Bani Tameem anything but good, for indeed they are the severest of people in attacking the Dajjaal."

=============================================================

 

Iss ka bhi paishgi jawab hazir hai;

 

Imam Bukhari nay Hazrat Imran bin Hassain (Radi Allahu Anhu) se riwayat ki hai ke;

 

Bani Tamim ke kuch loog Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ki khidmat mein aye to Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne inn se farmaya, Aye Bani Tamim, tumhay basharat ho. Unho ne kaha, Aap basharat to de chukay kuch (maal) dijiye. Iss per Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ka chehra badal gaya. Iss ke baad Ihl-e-Yemen hazir howay to farmaya, Aye Ihl-e-Yemen! Basharat qubool karo jab ke Bani Tamim nay issay qubool nahi kya. Unho ne arz kya, Hum ne qubool kya.

(Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 453

Sahih Bukhari, Vol 3/4, Pg. 1165/1594, Daar Ibn Kathir, Yamama

Sunan Tirmidhi, Vol. 5, Pg. 732, Darul`Ihya al`Tiraas al`Aarabi, Beirut

Masnad Ahmed, Vol. 4, Pg. 432-433, Qurtaba, Qahira.)

 

Chaliye, ab saaf sabit hai ke Basharat to be'shakk Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne Banu Tamim ko di, lekin inn bad'bakhtoo ne ussay qubool na kya. Mazeed ye ke gustakh-e-Rasool (Sallallahu Allaihe Wasallam) Zul`Khuwaisra bhi Banu Tamim se hi tha.

 

Hazrat Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) farmayta hain ke;

 

Hum Rasool Allah (Sallallahu Allaihe Wasallam) ke khidmat mein hazir thay, aur Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) (juraana mein maal-e-ghaneemat) taqsem farma rahay thay. Itnay mein Zul`Khuwaisraa aaya aur ye Bani Tamim ka aik shakhs tha aur ye kaha, Ya Rasool Allah (Sallallahu Allaihe Wasallam) Insaaf karo.

 

Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) nay farmaya, agar mein insaaf na karo to kaun insaaf karay ga. Agar mein insaaf na karo to too khaib-o-khasir ho gaya.

 

Iss per Hazrat Umer (Radi Allahu Anhu) nay arz kya, Ijazat dijiye, mein iss ki gardan uraa don. Farmaya issay choor do, ke iss ki peeth say aik qoum paida hogi ke tum loog apni namazoo ko inn ki namazoo se aur apnay roozo ko inn ke roozo se haqeer janoo gay. Quran parhay gay magar halaq se agay na barhay ga. Deen say aisay nikal jaye gay jaisay teer nishanay se nikal jata hai.

(Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 509)

 

Underlined farmaan-e-Rasool (Sallallahu Allaihe Wasallam) per ghour kijiye. Yehi alfaaz "Najd" wali hadiths mein Najdiyo ke liye bhi irshaad howay.

 

Mazeed iss zaman mein doosri ahadith, mukhtalif alfaaz ke saath Sahih Bukhari, Vol. 2, Pg. 624, Masnad Ahmed Vol. 4, Pg. 25-424 aur Sunan Nisaee, Vol. 2, Pg. 73-172 mein bhi mill jaye gi aap ko.

 

Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ki khidmat mein Zul`Khuwaisra aaya jo Bani Tamim ka fard tha, jis ke baray mein ye Ayat nazil howi. Munafiqeen mein se kuch woh hain jo sadqaat ke mamlay per Aap (Sallallahu Allaihe Wasallam) per taan kartay hain.

(Marqaat-ul-Mufateh, Vol. 5, Pg. 456 by Ali bin Sultan Muhammad Qari)

 

Inn sab se zyada sareeh ye hai ke ye maghroor Muhammad bin Abdul Wahab Banu Tamim se hai, to ho sakta hai ye Zul`Khuwaisra Tamimi ki nasl se ho, jis ke baray mein hadiths aiee hai ke iss ki nasl se aik qoum paida hogi.

(Ad`daar` al`sunniya, Pg. 51)

 

Chaliye janab, Banu Tamim ki bhi asliyatt tamaam howi. Mere khayal itna kaafi hai... hai ya nahi?

Link to comment
Share on other sites

salam.gif

Wahabiyoon kay saath doh TEHREERI DEBATES, jis meh un ko intihahi zillat amez shakast ka samna kerna pera:

...........................

Pehli debate ka kuch hissa dosri debate meh repeat heh, is ko ignore ker dee jeeyeh ga:

........................................

Wahabiyoon ko bot jootay peray donoon baag gahay thay.

fi_aman_allah.gif

Link to comment
Share on other sites

 

 

salam.gif

Wahabiyoon kay saath doh TEHREERI DEBATES, jis meh un ko intihahi zillat amez shakast ka samna kerna pera:

...................................
Pehli debate ka kuch hissa dosri debate meh repeat heh, is ko ignore ker dee jeeyeh ga:

.....................................

Wahabiyoon ko bot jootay peray donoon baag gahay thay.

fi_aman_allah.gif


YEH TAMAM AHADITH ABDUL WAHAB NAJDI (MARDOOD) WAHABION/AHL-E-HADISION K BAAP K BARAY MAIN HEE HAIN USS NE BUHAT FITNA FASAD PHLEYA MEINE AIK MAZMOON NIKALA HAI NAJDI KI FULL BIOGRAPHY KA INSAHALLAH BUHAT JALD YAHAN POST KAROON GA WOH ANGREEZ KA AGENT THA.
Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

 

Fitna Najad wali hadees ka misdaq Iraq hai. Kion k Sahaba Ikram R.A. ne iss se Iraq hi muraad li hai. Bal k kai aik rawaiaat main Najad ki bajae Iraq ka naam hi lia gaya hai. Issi liye inn sareeh dalael ko chorr ker koi aur matlab lena galat aur baatil hai.

post-1317-1204001479.jpg

Link to comment
Share on other sites

اسلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالی و برکاتہ و مغفرہ

نجد کے بارے میں علامہ ابو عبداللہ یاقوت بن عبداللہ الحموی نے لکھا ہے : ـ

 

نجد اس چوڑی زمین کا نام ہے جسکے اوپر تہامہ اور یمن ہے اور نیچے عراق اور شام ـ حجاز کی طرف سے نجد کی حد ذات عرق ہے جیسے جیسے پہاڑ مدینے کی طرف گھومتا جاتا ہے ـ

 

( معجم البلدان ، جلد خامس ، ص 262 )

 

اسی میں عراق کے بارے میں ہے : ـ

 

عراق کا نام عراق اسلئے پڑا کہ وہ نجد سے نیچے اور سمندر سے قریب ہے ـ

 

( معجم البلدان ، جلد رابع ، ص 95 )

 

معجم البلدان قدیم جغرافیہ کی انتہائی مستند کتاب ہے ـ اس میں صاف اس کی تصریح ہے کہ نجد اس سر زمین کا نام ہے جو تہامہ اور عراق کے مابین ہے ـ نیز یہ بھی تصریح ہے کہ نجدن کا علاقہ حجاز سے شروع ہوتا ہے ـ نیز عراق نجد کے علاوہ دوسرا ملک ہے جو نجد کے نیچے ہے اس لئے اس کی کوئی گنجائش نہیں کہ نجد سے عراق مراد لیا جائے ـ

 

مزید لیجئے نجدی شہنشاہوں کے ایک ریزہ خوار راشد بن علی لکھتے ہیں : ـ

 

ربیعہ بن نزار ملک نجد و ما و الاہ الی الیمن ـ

 

ربیعہ بہ نزار نجد سے یمن تک کے بادشاہ تھے ـ

 

( مثیر الوجد فی النساب ملوک نجد ، ص 31 )

 

اس کے حاشئے میں ہے : ـ

 

کانت دیار شعب ربیعہ بلاد نجد ر تھامہ و الیمامۃ و البحرین الی العراق ـ

 

ربیعہ کے شاخوں کی بستیاں نجد ، تہامہ ، ریمایہ ، بحرین ، میں تھیں عراق تک ـ

 

اس عبارت میں نجد کے ساتھ ـــــــ الی العراق ــــــــ اس کی دلیل ہے کہ نجد الگ ملک ہے اور عراق الگ ـ نیز ما و الاہ الی یمن ــ بھی اس کی دلیل ہے کہ یہاں نجد سے مراد سعودی مملکت کا علاقہ ہے نہ کہ عراق اسلئے کہ سعودی مملکت ہی کی سرحد یمن سے ملتی ہے ـ عراق کی کوئی سرحد یمن سے نہیں ملتی ـ نیچے دیئے گئے نقشہ میں بھی دیکھ سکتے ہیں کہ سعودی مملکت ہی کی سرحد یمن سے ملتی ہے ـ

 

علامہ احمدخطیب قسطلانی رحمۃ اللہ علیہ لکھتے ہیں : ـ

 

کل و ارتفع من ارض تھامۃ الی العراق فھو نجد ـ

 

سر زمین تہامہ سے لے کر عراق تک جو بلند ہے وہ نجد ہے ـ

 

( ارشاد الساری ، جلد ثانی ، ص 212 )

post-1051-1204047256.jpg

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(salam)

Bhai jaan aap sahib e mutallea or sahib e tehqeeq lagte hain magar barah e karam tehqeeq mukammal kar ke paish kya karein.....

Ye Google Earth ki Pics hain khud dekh lein ke Iraq kaha hai or Najd kaha zameen o aasmaan ka farq hai...!!

post-1133-1204065118.jpg

post-1133-1204065133.jpg

post-1133-1204065140.jpg

post-1133-1204067468.jpg

post-1133-1204067486.jpg

Edited by Aashique-Mustafa
Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Asslamoalaikum 2 all muslims,

 

Mere dosto, Madinah se mashriq ki jaanib bohat se Najad hain kia woh sab iss hadees ka misdaq hain? hergiz nahin. Ahadees main iss baat ka wazeh saboot hai

k poore mashriq ki taraf Nabi s.a.w. ne ishara nahin kia bal'k mashriq main Iraq ki tarf ishara kia tha. Abb najad ki tashreeh woh qabool hai jo main ya aap karen ge

ya woh qabool hai jo Nabi S.A.W ne ki hai. Jab ahadees main hi iss baat ka ziker mojood hai k fitne wale najad se muraad Iraq hai phir naqshon ki madad se apna mann-pasand matlab nikalna ahadees ki maanvi tehreef ke baraber nahin to aur kia hai. Phir Sahaba Ikramm R.A. ne bhi uss najad se muraad Iraq hi lia hai. Allah hamen deen ko apnei raae ki bajae Quran-o-Hadess se samajhne ki tofeeq de. Aameen

Edited by talinenoor
Link to comment
Share on other sites

Sahih Muslim

 

Abu Sa'id al-Khudri said that the Apostle of Allah (may peace be upon him) made a mention of a sect that would be among his Ummah which would emerge out of the dissension of the people. Their distinctive mark would be shaven heads. They would be the worst creatures or the worst of the creatures. The group who would be nearer to the truth out of the two would kill them. The Apostle of Allah (may peace be upon him) gave an example (to give their description) or he said: A man throws an arrow at the prey (or he said at the target), and sees at its iron head, but finds no sign (of blood there), or he sees at the lowest end, but would not see or find any sign (of blood there). He would then see into the grip but would not find (anything) sticking to it. Abu Sai'd then said: People of iraq. it is you who have killed them. (Book #005, Hadith #2324)

 

Iraqi ke log to khud unhy qatl karny waly hongy....or talinoor sahab is shaven head ka kya kariyega jo Mohammad bin Abdul Wahab ka Trade Mark raha hai ??

Link to comment
Share on other sites

(bis)

آپ نے سب سے پہلے جو ہیڈنگ دی ہے اُس میں لکھا ہے فتنے مشرق سے ظاہر ہونگے۔

 

عاشق مصطفیٰ بھائی نے جو نقشے دیے ہیں اُس میں نجد مشرق میں ہے اور عراق شمال میں۔۔

 

تو اس پر آپ کیا کہتے ہیں؟

Link to comment
Share on other sites

<div dir="rtl">

اہل بدعت نے احادیث مذکورہ کا مفہوم بگاڑ کو انہیں محمد بن عبدالوہاب جیسے عظیم مصلح (reformer) پر چسپاں کرنا شروع کر دیا۔

</div>

<div dir="rtl">

ٹیلی نار صاحب کی پہلی پوسٹ کے پہلے امیج کی آخری لائن سے مذکورہ الفاظ کو میں نے کوٹ (Quote) کیا ہے۔

 

آپ تھوڑا سا انتظار فرمائیے۔۔ آپکو عبدالوہاب نجدی کےحقائق بہت جلد پیش کرنے کی سعی کروں گا۔ ریپلائی ضرور کیجئے گا۔ مگر مجھے پتہ ہے کہ آپ لکھیں گے کہ ہم اس کو عظیم مصلح تو کیا عبد وہاب بھی نہیں مانتے۔

</div>

Link to comment
Share on other sites

Bhai Telenor........ yaar aap 1 dafa naqsho ko GHOR SE DEKHEIN...... aap ko mashriq ke AAS PAAS bhi Iraq Nazar aata hai.... mein aap ko Sach bataoooon.. meri Eye sight alhumdulillah theek hai or muje Glassess bhi nahi lage hue ATLEAST muje to Iraq Madina se Mashriq ki taraf ke aas paas bhi nazar nahi aata.... 1 hi najd nazar aata hai or wo riyadhh ka ilaqa chalein aap iraq ko chorein..... aap ko najd e ibne abdul wahab ke alawa KOI BHI KOI BHI najd madine se mashriq ki taraf aata hai to hamein bata kar hamari maloomat mein izafa farmayen.....

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

 

Nahayaet haret angez baat hai k Ahadees main wazeh lafez Iraq ko chor ker mashriq ki mann maani taveel ki jaa rahi hai. Halan k Iraq bhi Mukamal shumaal ki jaanib nahin bal k mashriq ki jaanib bhi hai.

 

Doosra yeh k jab Nabi s.a.w ki ahadees main saaf wazahet mojood hai k Mashriq ki uss taraf Ishara kia jahan Iraq hai to phir aam alfaaz ka aitbaar kion...?

 

Musamima asool hai k Khaas muqaddam hota hai aam per. Allah tasub se apni pnah main rakhe aur Ahadees ko mann maane matlab dene ki bajae unn per Emaan rakhne ki tofeeq de. Aameen.

Link to comment
Share on other sites

Talinenoor sahib... Aap Haqaiq ko Masakh Ker Rahay Hain...

Aap Ney Mashriq Mein Iraq Ka Kuch Hisa Kaha Hai... Aap Hamarey Pesh Kerdah Naqshon Ko Chorein Koi Naqsha Nikalein Jis Mein Iraq Mashriq Mein Hoo...

 

Aapko Sybrite Bhayi, Jadd ul Mukhtar Bhayi Ney Itni Details Sey Wazahat Ki Hai.. Kiya Aap Ney Woh Perhi Hai? Ager Perhi Hai Tu Unki Baton Ka Rad Kerien, Wazahat Talab Kerein...

 

Aap Loug (Wahabi) Kehtey Hain Key Barelavi Quran o Hadees Ki Bajaye Qisey Kahaniya Sunatey Hain... Tu Kiya Oper Qisey Kahaniyan Aapko Lag Rahi Hain???

 

Aap Aik Hadees Mein Lafz Iraq Ko Ley Ker Tamam Haqaiq Masakh Kerna Chah Rahay Hain.. Yahi Farq Hai Muqalideen Aur Ghair Muqalideen Mein.. Ager Aik Masley Per Mukhtalif Aahadees Aajayen Tu Hum Sub Ko Dekhtey Hain Key Unkey Barey Mein Aima-o-Muhadiseen-o-Mujtahideen Kiya Fermatey Hain... Mager Aap Lougon Ko Rafa Yadain Wali Tu Chand Hadeesein Nazer Aati Hain Jab Key Rafa Yadain Sey Mana Wali Saheeh Aahadees Nazer Nhin Aati..

 

Chalye Oper Waley Mazeed Dalail Ko Chorye...

 

Asif Bhayi Ney Sahih Muslim Shareef Ki Yeh Hadees Likhi Hai... Iskey Barey Mein Aap Kiya Kehtey Hain... Key Iraqi Tu Khud Unko Qatal Kerney Waley Hongey??

 

Sahih Muslim

 

Abu Sa'id al-Khudri said that the Apostle of Allah (may peace be upon him) made a mention of a sect that would be among his Ummah which would emerge out of the dissension of the people. Their distinctive mark would be shaven heads. They would be the worst creatures or the worst of the creatures. The group who would be nearer to the truth out of the two would kill them. The Apostle of Allah (may peace be upon him) gave an example (to give their description) or he said: A man throws an arrow at the prey (or he said at the target), and sees at its iron head, but finds no sign (of blood there), or he sees at the lowest end, but would not see or find any sign (of blood there). He would then see into the grip but would not find (anything) sticking to it. Abu Sai'd then said: People of iraq. it is you who have killed them. (Book #005, Hadith #2324)

 

Iraqi ke log to khud unhy qatl karny waly hongy....or talinoor sahab is shaven head ka kya kariyega jo Mohammad bin Abdul Wahab ka Trade Mark raha hai ??

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

 

Haqaeq ko aap masakh ker rahe hain. Aap log siref mashriq ke lafaz ko le ker baith gaye hain aur doosri ahadees ko koi ahmiyet nahin de rahe jis main mashriq ki wazahet Iraq keh ker ker di gai hai. Aap log shayed yeh kehna chahte hai k Nabi s.a.w. ko to na pata chal saka k Iraq mashriq main nahin aur na Sahaba Ikraam R.A. ko yeh ilem ho saka k Iraq to mashriq main hai hi nahin jo woh sab to Iraq ko hi Fitne wali hadees ka misdaq kahen aur aap sab yeh jawab den k Iraq mashriq main nahin.

Doosra aap ka yeh kehna k Iraqi to un ko qatal kerne wale hon ge to iss se yeh kahan se aa gaya k fitna iraq se nahin nikle ga. Zahir hai Iraq main sab logon ko hi fitne ka shikaar nahin kaha gaya bal k jo log sahih-ul-aqeedah hon ge woh un logon k khilaaf laren ge.

Aap logon ki bechargi ka iss se barra saboot aur kia ho sakta hai k main to apne maoqaf per k fitne wali hadees main mashriq ka misdaq Iraq hai Hadess aur Sahaba Ikraam ka fehem pesh ker chukka hoon aur aap log apni mann maani taveel ke liye naqshe paish ker rahe hain. Allah samajhne ko tofeeq de, Aameen.

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

 

Haqaeq ko aap masakh ker rahe hain. Aap log siref mashriq ke lafaz ko le ker baith gaye hain aur doosri ahadees ko koi ahmiyet nahin de rahe jis main mashriq ki wazahet Iraq keh ker ker di gai hai. Aap log shayed yeh kehna chahte hai k Nabi s.a.w. ko to na pata chal saka k Iraq mashriq main nahin aur na Sahaba Ikraam R.A. ko yeh ilem ho saka k Iraq to mashriq main hai hi nahin jo woh sab to Iraq ko hi Fitne wali hadees ka misdaq kahen aur aap sab yeh jawab den k Iraq mashriq main nahin.

Doosra aap ka yeh kehna k Iraqi to un ko qatal kerne wale hon ge to iss se yeh kahan se aa gaya k fitna iraq se nahin nikle ga. Zahir hai Iraq main sab logon ko hi fitne ka shikaar nahin kaha gaya bal k jo log sahih-ul-aqeedah hon ge woh un logon k khilaaf laren ge.

Aap logon ki bechargi ka iss se barra saboot aur kia ho sakta hai k main to apne maoqaf per k fitne wali hadees main mashriq ka misdaq Iraq hai Hadess aur Sahaba Ikraam ka fehem pesh ker chukka hoon aur aap log apni mann maani taveel ke liye naqshe paish ker rahe hain. Allah samajhne ko tofeeq de, Aameen.

 

Aray aqal kay anday, Mashrik Najd kee tarif heh, aur Iraq Shamaal {North} kee taraf heh, kabi naqsha dekha heh joh moon utha ker baat ker raha heh.

 

RasoolAllah {SAW} nay farmaya heh:

 

Sahih Al Bukhari: Volume 9, Book 88, Number 213:

Narrated Ibn 'Umar: I heard Allah's Apostle while he was facing the East, saying, "Verily! Afflictions are there, from where the side of the head of Satan comes out."

 

Sahih Al Bukhari:Volume 9, Book 88, Number 214:

Narrated Ibn 'Umar: The Prophet said, "O Allah! Bestow Your blessings on our Sham! O Allah! Bestow Your blessings on our Yemen." The People said, "And also on our Najd."He said, "O Allah! Bestow Your blessings on our Sham (north)! O Allah! Bestow Your blessings on our Yemen." The people said, "O Allah's Apostle! And also on our Najd." I think the third time the Prophet said, "There (in Najd) is the place of earthquakes and afflictions and from there comes out the side of the head of Satan."

 

Pehli hadith meh heh kay RasoolAllah {SAW} nay farmaya heh kay Mashrik say Qarn e Shaytaan ahay ga, dosri meh heh kay Najd say Qarn e Shaytaan ahay ga. Sabit huwa kay Qarn e Shaytaan Mashrik kee Janab joh Najd heh us taraf say ahay ga.

 

Abh joh aap nay IRAQ IRAQ shor machaya huwa heh, us HADITH KA JAWAB BE LEH LENH:

 

Sahih Al-Bukhari: Vol 9, Book 84, Number 68:

"I asked Sahl bin Hunaif, "Did you hear the Prophet (saw) saying anything about Al-Khawarij?" He said, "I heard him saying while pointing his hand towards IRAQ. "There will appear in it {Iraq} some people who will recite the Quran but it will not go beyond their throats, and they will go out from (leave) Islam as an arrow darts through the game's body.'"

 

Uper wali hadith ko us darust tareeqeh say samajnay kay leyeh, meh ek aur hadith pesh kerta hoon, aur bold parts per tawajjoh kerna:

 

Sahih Bukhari, Volume 9, Book 84, Number 67:

Narrated Abu Sa'id: "While the Prophet was distributing something, 'Abdullah bin Dhil Khawaisira At-Tamimi came and said, "Be just, O Allah's Apostle!" The Prophet said, "Woe to you ! Who would be just if I were not?" 'Umar bin Al-Khattab said, "Allow me to cut off his neck ! "The Prophet said, " Leave him, for he has companions, and if you compare your prayers with their prayers and your fasting with theirs, you will look down upon your prayers and fasting, in comparison to theirs. Yet they will go out of the religion as an arrow darts through the game's body in which case, if the Qudhadh of the arrow is examined, nothing will be found on it, and when its Nasl is examined, nothing will be found on it; and then its Nadiyi is examined, nothing will be found on it. The arrow has been too fast to be smeared by dung and blood. The sign by which these people will be recognized will be a man whose one hand (or breast) will be like the breast of a woman. These people will appear when there will be differences among the people (Muslims)." Abu Sa'id added: I testify that I heard this from the Prophet and also testify that 'Ali killed those people while I was with him. The man with the description given by the Prophet was brought to 'Ali. The following Verses were revealed in connection with that very person. (i.e., 'Abdullah bin Dhil-Khawaisira At-Tarnimi): 'And among them are men who accuse you (O Muhammad) in the matter of (the distribution of) the alms.' (9.58)"

 

Note keren fallowing points ko, ek Abdullah Bin Dhil Khawaisirah At Tamimi had companions {Khawarijites}, they apeard at the time of when there was difference between Hazrat Ali {RA} and Hazrat Muawiyah {RA}, Ali {RA} killed them in battles, Zul Khawaisirah was one of those whom Hazrat Ali {RA} killed, and the verse quoted was revealed about the mentioned person.

 

Acha ab details to meh nay pesh ker deenh kuch connection be bana doon, Zul Khawaisirah At Tamimi, Bani Tamim say talluq rakhta thah, aur aaj be BANI TAMIM KAY LOGH RIYAADH, SAUDI CAPITAL MEH REHTAY HEN, ABDUL WAHAB NAJDI AUR TAMIMI THAH, IS'SI LEYEH US KO SEIKH AN NAJD BE KAHA JATA HEH. Aur Zul Khawaisirah Najd meh rehta thah, us kay companions jin kay honay ka zikr hadith meh heh, woh Iraq meh Hazrat Ali {RA} kay saath larnay kay leyeh gahay thay. Qarn e Shaytaan Najd say nikla magir march ker kay IRAAQ CHALA GAYA, AUR WAHAN PER JAA KER HAZRAT ALI {ra} SAY JANG KEE AUR QATAL HUWAY.

 

Hadith meh Zul Khawaisirah kay Tamimi honay ka zikr be heh, aur HAZRAT ALI {ra} KEE FOJH KAY HATHOON QATAL HONAY KA ZIKR BE HEH, sabit huwa kay YEH KHARIJI GROUP NAJD {RIYADH} SAY NIKLA AUR IRAQ LARNAY KAY LEYEH GAYA.

 

IS leyeh donoon hadith darust hen, keyun kay bunyaad NAJD thee, magir larnay kay leyeh IRAQ GAHAY KEYUN KAY WAHAN PER HAZRAT ALI {ra} KEE KHILAFAT THEE.

 

Wama Alayna Ilal Balagh Ul Mubeen.

 

Ali

Link to comment
Share on other sites

telenor sahib... hadees ka jwab tu itni detail se mil gaya hay. magar ap ne yahi iraq iraq ki rat tu lagani hi hay.

 

madine k tajdar (saw) ka ilm e ghaib tu maan lu aub?

Link to comment
Share on other sites

Janab Talinoor! Mein aap ki tarah koi siyaasi aur jazbaati taqreer tu nahi karo ga albatta kuch seedhay saadhay se sawal zaroor karo ga aur umeed karta hon iss baar aap jawab dein gay.

 

Aap ne pehli hadith paish ki Muslim #2905, jis mein Ihl-e-Iraq ko mukhatib kar ke Fitna-e-Najd ke baray mein Qoul-e-Rasool (saw) bayan kya gaya hai. Lekin kahi bhi iss hadith mein Iraq ko "Qurn-ush-Shaitan" nahi kaha gaya. Ishara "Mashriq" ki taraf hi hai aur Iraq shumaal ki taraf.

 

Doosri hadith aap ne paish ki Bukhari #5994, tu iss hadith mein bhi kisi andaaz mein "Iraq" ke liye "Qurn-ush-Shaitan" ke alfaaz istimaal nahi howay.

 

Lekin in ahadith ko paish kar ke ab aap khud phans chukay. Dono ahadith se saaf zahir ho raha hai ke Zamana-e-Risalat (saw) mein bhi "IRAQ" ko "IRAQ" hi kaha jata tha. Tou phir Hadith-e-Najd mein "Qurn-ush-Shaitan" jaisa naam dete waqt Huzoor-e-Akram (saw) ne "NAJD" kyu kaha? Agar "Qurn-ush-Shaitan" se "Iraq" hi muraad hota to doosri ahadith ki tarah yaha bhi "Iraq" hi kaha jata ke issi naam se Iraq uss zamanay mein bhi jana pehchana jata tha!

 

Mein ne pichli post mein bhi iss mouzo' per likha tha lekin najanay kyu aap ne uss ke jawab mein aik line bhi na likhi. Aap ki asaani ke liye phir dobara qadr-e-tafseel se samjhaye deta hon. Mumkin hai iss baar aap ko samajh aa jaye.

 

Sahih Bukhari mein "Qurn-ush-Shaitan" ke zahoor ke baray mein jis hadith ka hum zikr kar rahay hain uss mein "Qurn-ush-Shaitan" ke zahir honay ki jageh ko "Najd" ke naam se pukara gaya hai. Aap iss hadith mein "Najd" ke lughwi maani ke istimaal per zoor dete hain. Lekin agar lughwi maani se bhi dekha jaye tu "Najd" se muraad kuch ho na ho magar "Iraq" hergizz nahi ho sakta. "Najd" ke maani hain "Oonchi Zameen". Lafz "Iraq" nikla hai Arabic lafz "Areeq" se jis ke maani hain "Gehra" ya "Gehrai". Matlab ke "Najd" ke lughwi maani bhi "Iraq" se qadre bar'aks hain.

 

So iss lehaaz se bhi "Najd" se "Iraq" muraad lena sirf aur sirf hat'dharmi aur sareeh daroogh’goi hai.

 

Ye tu pehla nuqta howa. Ab doosray nuqtay ki taraf aaiye. Jaisa ke hadith se pata chalta hai ke pehlay Huzoor-e-Pur Noor (saw) nay dua ki Yemen ke liye, aur Yemen keh kar hi dua ki, issi tarah Shaam ke liye bhi dua ki aur “Shaam” keh kar hi ki. Dono jagho ke liye dua unn ke naam le kar ki. Tou phir Iraq ke liye fitnoo ki nishaandahi karni hi maqsood thi tau “Iraq” kyu na irshaad farmaya jab ke aap hi ki paish karda ahadith se pata chalta hai ke Iraq ko uss zamanay mein Iraq hi kaha jata tha.

 

Dunya ke tamaam qaido ke mutabiq qareen qiyaas yehi hoga ke jis tarah pehli 2 jagho ke naam le kar dua ki issi tarah teesri jageh ka bhi naam le kar hi dua ki jaati. Aur teesra naam jo liya gaya woh hai “NAJD” ka jaha se fitno ke zahoor ki nishaandahi ki gai. Ab ye raag alaapna ke pehli 2 jagho ka tu naam lya aur teesri jageh ko geographical term mein samjhaya to ye bilkul illogical si baat hogi. Koi aik qabil-e-qubool aur mantaki wajeh bata dijiye ke jis per ye qiyaas kiya jaye ke iss hadith mein “Najd” se muraad mulk-e-Najd nahi hai.

 

“wa fi Najdina” ke alfaaz sirf aik hadith hi tak mehdood nahi! Sahih Bukhari, Baab-ul-Istisqaa #976 mein bhi yeh hadith moujod hai. Mazeed ke ye aik hadith mein Hujra-e-Ayesha Siddiqua (Radi Allahu Anha) ke darwazay per kharay ho kar farmaya ke fitnay mashriq ki taraf hain. Mein ne pehlay bhi kaha tha, ab bhi keh raha hon, Atlas utha kar Hujra-e-Mubarak se Mashriq ki taraf aik seedhi lakeer khainchiye… bilkul “NAJD” ke beech se guzarti hai! Iraq tu aas paas bhi nahi kahi!

 

Aur sirf yehi nahi balkay aur bohut si doosri ahadith aur un ka mafhoom “Najd” ke “Qurn-ush-Shaitan” honay per dalalat karti hain. Huzoor-e-Akram (saw) ki hayat-e-zahiri ke baad sab se pehla aur bara fitna utha Najd se jisay dunya “Musaylma Kazzab” ke naam se jaanti hai. Phir Zul`Khuwaisra, jis ke mutaliqq Huzoor-e-Pur Noor ne paishan’goi farmai ke iss ki peeth say aik qoum paida hogi ke tum loog apni namazoo ko inn ki namazoo se aur apnay roozo ko inn ke roozo se haqeer janoo gay. Quran parhay gay magar halaq se agay na barhay ga. Deen say aisay nikal jaye gay jaisay teer nishanay se nikal jata hai. Aur yehi nishaaniya Mashriq se uthnay walay fitnay ke liye bhi irshaad farmai. Phir mazeed ye ke aap khud’sakhta musleh (reformer) Ibn Abdul Wahab bhi Banu Tamim se thay aur ussi jageh se namoodar howay jaha se Musaylma Kazzab namoodar howa tha. Phir “Sarr mundanay” ki alaamat ka bayan jo Ibn Abdul Wahab Nadji ke paishwaoo mein hi sab se pehlay paii gai. Al'gharz tamaam Aqwaal-e-Nabawi (saw) ko samnay rakha jaye tu aakhiri nateeja yehi niklay ga ke "Qurn-ush-Shaitan" wali hadith mein jo "Najd" hai woh wohi "Najd" jo Hurja-e-Ayesha Siddiqa (Radi Allahu Anha) se bilkul mashriq per hai, jaha Banu Tamim abaad thay aur hain, jaha Rabi'a aur Midr ke qabeelay thay, jaha se Musalyma Kazzab aur Ibn Abdul Wahab jaisay fitnay namoodar howay!

 

Agay aap ne bari bay’sharmi se ghair’muqallidiyat ke minhaaj se bilkul mukhtalif baat kartay howay Bukhari-o-Muslim ko choor kar Masnad Imam Ahmed ki riwayato ke zariye rah-e-faraar dhoondnay ki koshish ki aur iss koshish mein khud apnay hi hatho apnay maslak ka gala ghoont dya!

 

Khair aaj ke liye itna kaafi hai. Umeed karta hon iss baar aap mere sawalaat ke jawabaat denay per zaroor ghour karein gay.

Edited by Sybarite
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...