Raza ka ghulam Posted September 6, 2008 Report Share Posted September 6, 2008 mujeh ye puchna tha ke Anbiya ikraam , Shahaba-e- ikraam , Shuda-e-izaam , Siddeqeen , Saleheen aur auliya allah ke saat kiya laga na chahiye jaise ke Radi allahu tala anhu , rahmatullahi tala alai aur rizwaan ullahi tala alai ye kis ke saat lagate hain. Aur agar us main male(Man) ho tu kiya use kar na chahiye aur agar female(woman) ho tu kiya use kar na chahiye. Ye Maloom hona chahiye sab ko isliye main ye sawaal kar na chahta ho agar hum galt lafz use karein tu ho sakta hai us ka gunah ho. Isi liye mujeh jald se jald jawaab dein. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Barkaati Posted September 7, 2008 Report Share Posted September 7, 2008 bahut achcha sawaal kiya aap ne . Anbhiya Ikraam ka naam zikr kar ne ke baad agar ek ho tu alai hissalaam aur agar do houn to Alaihummas salaam aur agar do se zayed ho Alaihimus salaam. Anbhiya Ikraam main sirf male (Man) hote hain Female (woman ) nahi hote. Sahaba Ikraam ka naam zikr kar ne ke baad agar ek sahabi ( male) ho tu Radhi allahutala anhu do houn tu Radhi allahutala anhuma aur do se zayada houn tu radhi allahutala anhum. Agar ek sahabiya (Female) hotu Radhi alllahutala anha agar do ho tu radhi allahutala anhuma aur agar do se zayeda hotu radhi allahutala anhunna. Radhi allahutala anhu wagaira ka zikr aam taur se sahaba Ikraam hi ke saat istemaal kiya jata hai. Aur ye Quraan-e-Mubaraka se sabit hai. Aulia Izaam (male) ka naam zikr kar ne ke baad agar ek ho tu rahematullahi tala alaihi do hu tu Rahematullahi tala alaihima aur agar do se zayeda hai tu Rahematullahi tala alaihim. Agar Aurlia Izaam (Female) hotu Rahematullahi tala alaiha do hu tu Rahematullahi Tala alaihima aur do se zayeda hotu Rahematullahi tala alaihunna. Aulia Izaam ke saat Radhi allahu an wagaira ka istemaal bhi kiya ja sakta hai. Siddiqeen, Shuda aur saleheen agar sahabaye Ikraam main se hotu Upper bataya gaya hai ke sahaba ikraam ke saat kiya istemaal kiya jata hai. Aur agar Siddiqeen, Shuda aur saleheen agar aulia izaam main se hotu Us ka bhi Uppar zikr ho chuka hai ke Aulia allah ke saat kiya istemaal kiya jata hai. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Faizan-e-Mustafa Posted September 7, 2008 Report Share Posted September 7, 2008 MashaAllah buhut acha question aur answer. JazakAllah! Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Raza ka ghulam Posted September 8, 2008 Author Report Share Posted September 8, 2008 Barkaati bhai main aap ka bahut bahut shukr guzaar houn. Aap ka ye tafseeli jawab pada bahut achcha laga jazakallahu khaira. Main samajta houn ke kisi ko yahan par is ka ilm nahi tha isliye ek din baad Barkaati bhai ne jawaab diya aur bahut achcha jawaab diya tu is seye sabit hota hai ke mere is sawaal se kai logoun ke ilm main izafa howa hoga. Kiya main sahi kehra ha houn. Jazakallahu khaira. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdur Rehman Posted September 8, 2008 Report Share Posted September 8, 2008 JazakAllah Barkati sahab; Thora sa Mazeed yei kay; jin Auliya kiram, Murshid, Sheikh, Ulama Kiram ka abhee Intiqal nahee howa hai un ka zikar kartay waqt , waghaira istamal kia jata hai. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You can post now and register later. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.