Janab Hadith ka aik hissa pesh keeya dosra nahin. Hadith ka sayaq o sabaq heh ... hijrat aur shadi ... aur phir kaha gaya kay amaal ka talluq niyatoon par heh ... yehni woh amaal joh ibadat hoon ... ya joh amaal Shariat mein jaiz hoon ... in sab ka daro madaar niyat par heh. Agar niyat raza illahi wasteh kee toh sawab paya aur nah keeh toh kuch nahin ... joh juraim hoon, chori, zina, qatal, gustakh e Ambiyah, waghayra ... in ka talluq niyat say nahin balkay amal say heh. Abh menh tummen kutteh ka bacha kahoon aur kahoon meri niyat yeh thi kay tum wafadar insan kay bachay ho toh kia tum maan loh gay? Joh masail shar'ah mein jaiz hen aur sabat hen aur achay hen in ka talluq niyat say heh ... agar namaz pari aur niyat ibadat nah keeh balkay is wasteh keeh kay Abba dekh raha heh ... chalo dramahi tor par Sajdeh deh loh ... yeh Ibadat nahin hogi ... ibadat ussee waqt hogi jab Allah ki ibadat ki niyat say ibadat karo gay toh. Joh Allamah Kazmi Sahib rahimullah nay likha heh ... aap ki samaj say bahir heh ... woh bilqul tumaray Deobandiat ka radd karti heh ... likha kia heh aur samja kia heh ... Urdu bi parnay aur samajnay say pedal lagtay ho.