Jump to content

Haq3909

Under Observation
  • کل پوسٹس

    245
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Haq3909 نے پوسٹ کیا

  1. 1. Chalo maan letay hay kay zameen sakin hay aur suraj uskay gird gumta hay. To phir kya aap log ya kehna chahtay hay kay chand (moon) ko zameen kay gird chakar lagany may 28 din lagtay aur surooj jo kay chand kay nisbatan, zameen say bohat door hay usay 24 ghantay lagtay hay zameen kay gird chakar laganay kay? 2. Saal may 365 din kyon hotay hay? 3. Bilfarz eik train 150 gaaz fee ghanta (150 miles per hour) hi raftaar say ja rahi hay aur may apni seat pay betha hu. May chaat yani roof ki taraf eik gend( ball) pehnkta hu jo kay adhay second (1/2 second) baad wapis meray hath may girta hay. Leikin hona yay chahiyay tha kay us 1/2 second may, train ki raftaar aur harqat ka sabab, us ball ko meri seat say 38 gaaz (38 yards) pichay kay taraf girna chahiyay tha. To kya is ka yay matlab hay kay train sakin hay? 4. ) Isi tarha eik jahaz 800 km/hr ki speed say ja raha hota hay. Agar may seat number 20 pay bethay huway roof ki taraf eik chota pathar (stone) pehnta hu to woh seedha ja kay wapis meri godh may girta hay. Leikin hona ya chahiyay tha kay jitnay time kay liyay woh pathar hawa may tha, utni der may jahaz ko bohat agay nikal jana chahiyay tha aur us pathar ko pecchay ja kar girna chahiyay tha leikin esa nahi huwa. To iska matlab yay hay kay Jahaz sakin tha?
  2. May nay aap say asaan sawal poocha tha 3 lines may jiska aap nay eik lamba jawab copy paste kiya jis ka koi faida nahi kyonkay baki forum members ko kuch samjh nahi ani. Barai mehrbani mujhay 3-4 lines may is pooray jawab ka khulasa likh kay day takay may samjh jao kay apko is jawab ki khud samjh ai hay warna awaam samjh jaigi kay aqal ka andha kon hay. Idhr udhr ki batay nahi. Saaf Saaf khulasa likhay is pooray jawab ka idhr.
  3. apnay khud hi title may likha " Kya Ala Hazrat say Ghalti huwi"? aur ab khud hi apnay upar fatwa laga diya
  4. Christian websites say mawad uthana band karday aur kuch apna bhi dimagh istima karay. Agar apko enlgish samjh ati hay aur jo kuch apnay copy paste kiya hay woh bhi, to zara is forum ko visit karay jaha pay in sab bato ka rad mojood hay. http://www.energeticforum.com/renewable-energy/17050-north-south-4.html Aur asaan alfaaz may iska jawab Coriolis effect hay: http://nationalgeographic.org/encyclopedia/coriolis-effect/
  5. aap to bila bawaja josh may agai. aray may to aam awaam ko samjhany kay liyay bohat asaan alfaaz may sawal kar raha tha warna agar may technical detail may jata to kisi ko kuch na samjh ati. Alhamdulillah mujhay physics par kafi aboor hasil hay. Dekhay baat asaan si hay. agar apkay Ala Hazrat ki eik bhi daleel ghalit sabit hogai to samjhay poori imarat gir gai. Filhal may apkay ala hazrat ki daleel 90 ka jawab day raha hu jokay daleel 91, 92, 93, 94 aur 95 ka jawab bhi hay. Pehlay 2 ilzaami jawab: 1. ) Bilfarz eik train 150 gaaz fee ghanta (150 miles per hour) hi raftaar say ja rahi hay aur may apni seat pay betha hu. May chaat yani roof ki taraf eik gend( ball) pehnkta hu jo kay adhay second (1/2 second) baad wapis meray hath may girta hay. Leikin hona yay chahiyay tha kay us 1/2 second may, train ki raftaar aur harqat ka sabab, us ball ko meri seat say 38 gaaz (38 yards) pichay kay taraf girna chahiyay tha. To kya is ka yay matlab hay kay train sakin hay? 2. ) Isi tarha eik jahaz 800 km/hr ki speed say ja raha hota hay. Agar may seat number 20 pay bethay huway roof ki taraf eik chota pathar (stone) pehnta hu to woh seedha ja kay wapis meri godh may girta hay. Leikin hona ya chahiyay tha kay jitnay time kay liyay woh pathar hawa may tha, utni der may jahaz ko bohat agay nikal jana chahiyay tha aur us pathar ko pecchay ja kar girna chahiyay tha leikin esa nahi huwa. To iska matlab yay hay kay Jahaz sakin tha? Azaan alfaaz may tehqeeqi jawab yay hay kay earth kay sath sath, fiza yani atmosphere bhi haqrqat may hay. To jitnay time may zameen apni jaga say sark gai , utnay hi time may haway may woh pathar bhi sark giya aur woh wapis usi jaga girta hay.
  6. To kya aap mantay hay kay apkay Ala Hazrat say ijtehadi ghalti huwi? Ha ya Na may jawab day.
  7. aap logo say guzarish kay topic par hi baat karay to acha hoga. aap logo ki baato say lagta hay shayd aap logo nay in teeno kitabo may say eik kitab bhi nahi parhi warna idhr udhr ki baatay na kartay. ao zara may aap logo ko in kitabo ki sayr karwa do. Misal kay tor par apkay Ala Hazrat eik jaga likhtay hay: Yani apkay Ala Hazrat kay nazdeeq Zameen mutlaqan saqin hay yani na to woh apnay axis pay rotate karti hay aur na hi sooraj kay gird chakar lagati hay. aap kay Ala Hazrat kay is daleel ka jawab to koi fifth class ka bacha bhi day sakta hay, filhal meray 3 sawal hay jin kay mujhay jawabat chahiyay. 1. Chalo maan letay hay kay zameen sakin hay aur suraj uskay gird gumta hay. To phir kya aap log ya kehna chahtay hay kay chand (moon) ko zameen kay gird chakar lagany may 28 din lagtay aur surooj jo kay chand kay nisbatan, zameen say bohat door hay usay 24 ghantay lagtay hay zameen kay gird chakar laganay kay? 2. apkay ala hazrat nay sari kitaab Newton aur Galileo kay rad may likhi hay. Muhammad Ali sahab kya aap hummay bata saktay hay kay Newton aur Galileo earth ki rotation ko sakin mantay thay ya nahi? 3. Saal may 365 din kyon hotay hay?
  8. Kya apko ghar walo nay baat karni ki tameez nahi sikhai? Kya aap ghar may bhi yahi zabaan istimal kartay hay?
  9. Moderator hazraat say guzarish hay kay is ghaleez aur bayhoda zabaan par foran action liya jai. Shukria.
  10. Lo jee eik barelwi forum say tasdeeq karlay: http://sunniport.com/index.php?threads/mufti-muneeb-ur-rehman-reading-namaz-behind-deobandi-molvi.12849/
  11. Mazeed moderators say guzarish hay agar aap logo nay non-barelwi members kee hi awaz dabani hay, to meray khyal may is forum par mubahisay ka koi faida nahi. Awaam dekh rahi hay kay kis kay saath imtiazi salook kiya jaraha hay. Shayd aap log bhool jatay hay kay forum rules dono tareef kay fareeqayn kay liyay hotay hay, na kay mukhalifen kay liyay sirf.Yay sari baat may eik forum memeber ke hesiyat say kar raha ho. Bura na maniyay ga.
  12. Lo jee Hawala peesha e khidmat hay. Al-Shihab al-Thaqib ‘ala al-Mustariq al-Kadhib, safa number 291 (Lahore: Dar al-Kitab, May 2004 ed).
  13. Chalo aaj Haji Sahab par hi faisla kar letay hay: Aur baqoul Mufti Muhammad Khalil Khan Qadri Barkati Sahab kay yay risala Haji Sahab nay khud likha, 1312 Hijri may chapa aur Bil-itefaq yay Wasiyat Haji Sahab ki apni hay. یعنی وصیت کوہاتھ لگاتے ہیں تو فتنہ جاگ جائے گا اور اسے نہ جگانا بہتر ہے واہ بریلویوں واہ حاجی صاحب کی وصیت جس میں قطب الارشاد حضرت گنگوہی کی تعریف و توثیق تھی جو ہم نقل کر آئے ہیں اس وصیت کا ہاتھ لگانا فتنہ سمجھتے ہو۔ تو فسادی تم ہی ہوئے نہ کہ ہم: بریلوی حضرات سے ہمارا سوال ہے کہ تم ان فیصلوں کو ماننے کے لیےتیار تیارتیار نہیں۔ تو فساد کی جڑ
  14. ہر ایک کو برسرے الزام کیوں ٹہرایں ہم اپنے سامنے بھی تو ایک آئینہ ہوتا ہے
  15. Shayd apnay poori video dekhi nahi aur hawa may wohi purani jawabat copy paste kar rahay hay. Tabassum Sahab nay video may 18:45 say aga saaf saaf Pir Sahab ko Hussam ul Haramyun waghaira ka hawala diya aur mazeed Pir Sahab ko eik 20 pages par mushtamil khat bhi bheja balkay har tarha say un par Itmam e Hujjat kardiya leikin uskay bawajood woh akhri jumla yahi kehtay hay kay may kisi musalman ko kafir nahi kehta. Mazeed yay bhi yad rakhay kay yay Pir Sahab ki wafat say 2 saal pehlay kay waqai hay jis say unkay sabika tamam nazriyat mansookh ho jati hay. Aur eik aur baat bhi yaad rakhay. Saeedi Sahab jis tarha ki taweelay aap Pir Sahab kay difa may peesh kar rahay hay,us tarha to dunya kay kisi bhi kafir par Iltezam Kufr sabit nahi hota. Akhir may har koi khata e mutalia, Adum Tawajo, na femhi, ghalat fehmi waghaira ka bahana banay ka farar ho jai ga.
  16. مولوی عبدالسمیع رامپوری کی سنیے ! رامپوری صاحب سے جب کہا گیا کہ براہین قاطعہ کاجواب لکھیں تو انہوں نے کئی عذرکیے اور یہ بھی عذر کیا کہ مؤلف براہین قاطعہ نے بہت سے مضامین ایسے لکھ دیئے ہیں جس سے اکثراہل اسلام متوحش اور نفوز ہو گئے اور آگے مختلف باتیں لکھیں مگر اس عبارت کا نام و نشان نہیں معلوم ہوتا ہے اس وقت کے اہل اسلام نے اس عبارت کو قابل گرفت نہ سمجھا۔ (دیکھیے انوار ساطعہ ص32) آگے نظر ثانی کا عنوان قائم کر کے اس میں لکھتے ہیں: ہاں جو کوئی شبہ صاحب براہین قاطعہ کا واجب الدفع سمجھاجائے گا اب نظر ثانی (انوار ساطعہ) کی کر رہا ہوں خاص اپنی (انوار ساطعہ) میں اس شبہ کو لکھ کر حل کر دیا جائے گا۔ (انوار ساطعہ 34) اگر یہ عبارت کفریہ ہوتی تو وہ ضرور اس کو بھی واجب الدفع سمجھتے مگر انہوں نے کئی مقامات پر جوابات دینے کے باوجود اس مقام پر عبارت کو رد بالکل نہیں کیا جو اس بات کی دلیل ہے کہ ہندوستان کے علماء نے بشمول رامپوری صاحب یہ عبارت قابل ردو تردید نہ سمجھی اس لیے اس کو نہ رد کیا۔ یہ صرف فاضل بریلوی صاحب کی مہربانی ہے اور عنایت ہے کہ انہوں نے تکفیر کر ڈالی۔ حسد و عناد و بعض و کینہ کی آگ میں جلتے ہوئے۔
  17. Janab aap kyon asal mozu say bhag rahay hay. Apko kyon yay baat samjh nahi arahi kay Deobandi hawaly denay kay baad bhi iteraaz baki rehta hay. Chalo eik aur Tareeqay say samjhato ho apko: 1. Bilfarz may isi forum par apna mazhab chupa kar eik naya account banata aur yehi 3 sawaalat peesha karta, to aap kya jawab detay? 2. Bilfarz, apkay Irfan Shah Mashadi Saheb aur apkay Dr. Ashraf Asif Jalali Sahab (jo pehli hi takfeer kar chuka hay Pir Sahab ki), agar yay dono hazraat aap say yahi 3 sawaalat puchay, to apkay kya jawab do gay? Aur Asif Jalai kon hay? Sunnay apno ki zubaani: 3. Bilfarz, apkay Walid Sahab ya koi rishetdar yay phir isi forum ka koi barelwi member yay video dekh kar apsay yay 3 sawaalat karay, to aap kya jawab do gay? 4. Bilfarz, Francis Robinson (inhay to aap jantay hi hongay), agar yay apsay yahi 3 sawaalat karay, to aap kya jawab do gay? Shayd aap baat ko samjh gay ho gay kay Deobandi hawal jaat denay say iteraz khatam nahi hota. Lehaza eik minute kay liyay bhool jao kay may deobandi hu aur meray in 3 sawaalo ka jawab do: 1. Kya Syed Tabasum Bukhari Sahab nay sari jhooti kahani peesh ki? Agar ha to phir iqrar karo. 2.Agar nahi, to phir Pir Sahab ka akhri jumla "kay may Kisi Musalman (Yani Molana Qasim Nanotwi Sahab) ko kafir nahi kehta" baqoul apkay apnay qaida kay Iltezam Kufr nahi? 3. Agar ha, to phir kya Pir Sahab ka difa karni ki waja say aap logo par Ahmed Raza Khan Sahab ka fatwa nahi lagta? Aur Mazeed yaad rakhay kay yay Tabassum Sahab yay saari baatay apni koi Rai ya maloomat ya Itlaa'at kay bina par nahi keh rahay.
×
×
  • Create New...