Jump to content

Gulzar

اراکین
  • کل پوسٹس

    204
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Gulzar نے پوسٹ کیا

  1. Ok shukrya! agar mujhe koi topic remove karna hua to main report kar doon ga, inshallah,
  2. How to remove a topic from this section?
  3. bohat acha topic share kya hai aapne Umm-e-Anwaar Raza saab, jazakallah, wazoo k waqat jab Kuli karte hain to kya finger se daant saaf karne chahiey ya khali moun main 3 baar pani daal kar bahir phenk denna chahiey? kyon k agar khali kuli bhi karen to pani ka yaqeeqan koi na koi qatra zaroor merey khial se andher reh jata hai, aur mumkin hai k wo pani ka koi qatra La'ab ke saath halq mein utar jaey, mujhe kuli karne k baad yeh waswassa ata hai k koi na koi qatra thook k saath andher chala jaey ga aur mujhe wazoo k baad kai baar thookna parta hai, halan k shaitaan bhi nahi hai phir bhi waswasa ata hai,
  4. sahi kaha aap ne maine mukamal tor par ghor nahi kiya tha, shukrya! iftar ka jo website pe +2Minut hai, is ka kya matlib?
  5. yeh to bilkul match nahi raha na, aap ki link k liahaaz se aaj ki sehri ka waqat 4:34AM hai, hamarey calender ke hisaab se 4:37 Am hai aur uper wali trick k liaaz se sehri ka waqat 4:50 AM hai, aur issi tarah iftaari mein bhi difference hai, beherhaal , aap ki effort k liey shukrya!
  6. maine kissi se poocha ke sehri ka waqat kab khatam hota hai to unhon ne mujhe yeh trick batai, merey paas jo calender hai us par sehri k khatam honey ka waqat kuch aur hai aur iss trick k hisaab se waqat calender ke waqat se match nahi hota, hamarey qareebi masal'ay main koi ramzaan ka calender bhi nahi hai aur internet par maine ramazaan ke schedule ke barey mein dekha to wahan par bhi mujhe different auqaat miley, to main confus houn, ramzaan bhi hai, aur mujhe theek se pata nahi k sehri ka waqat kab khatam hota hai,
  7. kya yeh sahi keh, sehri ka waqat sunrise se 1h30 minut khatam hota hai, jaissey ke farz karen k, sunrise 7h00 baje hota hai, aur hum is mein se 1h30 minut nikalein to sehri ka waqat 5h30 baje khatam hota hai, kya aissa hi hai?
  8. bohat acha topic share kya hai aapne Umm-e-Anwaar Raza saab, jazakallah, wazoo k waqat jab Kuli karte hain to kya finger se daant saaf karne chahiey ya khali moun main 3 baar pani daal kar bahir phenk denna chahiey? kyon k agar khali kuli bhi karen to pani ka yaqeeqan koi na koi qatra zaroor merey khial se andher reh jata hai, aur mumkin hai k wo pani ka koi qatra La'ab ke saath halq mein utar jaey, mujhe kuli karne k baad yeh waswassa ata hai k koi na koi qatra thook k saath andher chala jaey ga aur mujhe wazoo k baad kai baar thookna parta hai, halan k shaitaan bhi nahi hai phir bhi waswasa ata hai,
  9. bohat shukrya saif-ul-islam saab, aap ne bohat ache jawab dieye, ek choti si confusion peda ho rahi hai, subah ka waqat to din mein shumar hota hai jaissa k aap ne uper jawab mein farmaya'' Yani Subha, Doophar, Saiphar aur Sham yei Sab asal mai Din ka Hissa hai'' aur fajar k waqat to acha khassa andhera hota hota hai, aur Shaam kis waqat se lekar kiss waqat tak hoti hai, magrib ki namaaz ko sham ki namaz bhi kaha jata hai aur yeh yaqeeqan is liye kyon k shaam ka waqat gya hai merey khial se,
  10. 1-) agar main aapki baat sahi samja hoon to phele wali link k wazaif ko suraj k poora nikalne ke baad pardna hai aur doosri martaba suraj jab mukamal tor par gharoob ho jaye, na k fajar aur magrib pardney k baad, kya main sahi samja hoon? 2-) aur doosri link k wazaif ko subha ka suraj nikalne k baad aur doosri martaba suraj gharoob honey se phele phele, kya main yeh bhi sahi samja hoon? 3-) aur teesri link k wazaif ko subha ka suraj nikalne k baad pardna hai na k fajar ki namaaz pard kar, kya yeh bhi main sahi samja hoon? agar nahi to meri islah kara dijiey please!
  11. Gulzar

    Din aur Raat ki Tareef

    maine yeh sawal phele bhi is section mein kya tha lekin mujhe wo topic nahi mila aur us ka jawab de diya gya tha, beherhaal, dobara karta hoon Din aur raat ki kya tareef hai? in hadees mein kuch wazaif hai jo k din aur raat ko pardney chahiey, lekin mein to Din raat k masley mein hi phassa hua hoon. -) http://i36.tinypic.com/jshvt0.jpg merey liey din wo hota hai jab suraj nazar aaney lagta hai to wo din hai, aur fajar ke waqat se lekar suraj k poora nikalney tak Subah hai. aur shaam wo hai, jab Magrib ki namaaz ka waqat shuru ho jata hai ya us se kuch minut pheley. aur raat wo hai jab isha ka waqat shuru ho jata hai, kya aissa hi hai? bataiey ke, jo in link men likha hu hai wo kiss waqat pardna chahiey! filhaal mein in ko fajar ki namaaz pard kar inhey pardta hoon aur baqi magrib ki namaaz pard kar,
  12. Petrol ya loook jo k constrution mein istimaal hoti hain, us ki smell se roza toot jata hai kya?
  13. Farz namaazon ka waqat kiss waqat se lekar kiss waqat tak hota hai? hamarey han sehri aur iftaari ke waqat ka thoda masla hai, kaissey pata chaley k sehri ka waqat khatam ho gya? aur iftaari ka waqat ho gya? iftaari ka waqat to merey khial se namaz-e-magrib ke saath hota, yani k jaissey hi magrib ka waqat hota aap iftaari kar saktey hain, kya sahi hai? namaaz ke calender par jo likha hota hai(Asar ki namaaz k liey) Shadow1 and shadow2, iss se kya murad hai?
  14. aur agar aap bina tauz aur bismillah ke sanna aur surah fatiha pard kar namaaz ada karen to koi harj to nahi?(jab aap akele namaaz pard rahe hon, sunnat, witar, farz ya nafal). jab aap sunnatein padtey hain to niyat mein yeh kehna zaroori hota ke sunnat mo'kada ya gair mo'akda?
  15. bohat shukriya Sail-ul-Islam saab! bohat umda jawab diye aap ne, allah tallah aapko jazaey khair de aur mujhe sahi amal karne ki tofeeq ata farmaey, ameen. bas ek aur baat, aap beth kar athahiyaat pard rahey hain darood sharif karte hi imam salaam pher de aur har bar aissa hi hota ho keh aap darood ke baad dua na pard payen, no kya karen?
  16. magrib ki namaaz keliey jab qiraat shuru ho gai aur main sana nahi pad saka, to allah akbar keh kar khamosh raha aur jab rakoo se farigh ho kar kharda hua to ''sameallah' ke baad maine sanna pad li, phir imam ke peeche sajada kiya, kya maine sahi kya ya nahi? jaldi jawab mil jaye to ... shukrya\
  17. kissi ki baat par parda dala jaye to allah tallah qayamat ke din hamarey gunahoon par parda daley ga, aissa maine kahin pada ya sunna tha, lekin parda dalney ke liey to jhoot bolna padta hai, to jhoot bol kar kissi ko bachana jaissey ke, kissi ko dant na pardey aur hum ne jhoot bol diya ke yeh kaam maine kiya hai aur wo bach gya, aissa karna jaiz hai? meri taraf se aap sab ko Ramzaan ka maheena mubark ho!
  18. kaissey pata chaley jo drawna khawab hum ne raat ko dekha tha wo koi allah ki taraf se signe tha ya koi shaitannai waswassa,
  19. hamarey han 2, 2 kar de padtey hain. niyat mein sunnat kehna hai ya poura sunnat-e-moakada kehna hai? doosri rakat mein jab hum bethey hotey hain to ATTAHIYAAT ke baad Darood aur jo DUA hai yeh sab padni hoti hai? ek aur khaas baat poochna chahta hoon, aap ne kaha ke Sanna abhi shuru hi ki thi aur qiraat shuru hogi to ruk jana chahiey, lekin maine to pada tha ke Sanna ke bagair sajda lago nahi hota, is par thodi see khaas roshni daal dijiey ga please! bohat bohat shukrya aur aap sab ko Ramzaan ka maheena mubarak ho!
  20. Gulzar

    Travee ki namaaz kaisey padi jati hai?

    Travee kaisey padi jati hai? Travee ki niyat kaissey kartey hain? Travee mein abhi aap ne Sanna na khatm ki ho aur imam qiraat shuru karde to kya aap ruk jayenge jahan aap the ya phir aap ko mukamal Sanna padni padey gi? maine kahin pe pada tha ke Sanna ke bagair Sajda laho (lazam) nahi nahi hota, Daga bazi kya hoti hai? http://i34.tinypic.com/2ut681k.gif
  21. internet par aissey kuch program hotey hain jo ke free nahi hotey, un ke mukamal istimaal keliey aap ko pay karna padta hai, maine dekha hai ke kuch website par se aap ko un program ke serial number ya keymaker mufth mein hi mil jate hain aur aap in serial number ya keymaker ke zariey us shareware program ka istimaal bilkul mufth mein kar saktey hain, poochna yeh tha ke kya aissa karna sahi hai? kyon ke merey paas bohat sari naatein hain jo ke video mein hain main unhen cd par burn karna chahata aur kuch aissi hain jiney convert bhi karna chahta hoon, aur aissa karne ke liey mujhe kuch program khareedaney padey gey jo k main nahi karna chahta. to maine socha ke agar yeh natein ya phir koi islamic video kissi aissey program ke zariey kissi ko burn kar k doon jo k maine kharida hi nahi, pata nahi aissey karne se sawaab miley ga ya nahi.
  22. 1-) roze ki halat mein jab wazu karte hain to kuli karna zaroori hai kya,kyon ke kuli karne se zaban gilli ho jati hai aur wo pani ahista ahista andher chala jata hai, is roza nahi toota kya? 2-) roza ho to agar aap ne koi film ya drama dekha to us se roza toot jata hai kya? 3-) kin kin cheezon se roza toot jata hai? 4-) fajar ki azaan honey ke baad aur phele aap kitne nafal pard saktey hain? aur jab aap ne farz pard liey to phir kitne nafal padney ki ijaazat hai?
  23. fatwa? kya yeh video aap nahin dekh paye? agar nahin to, is website par jaiey http://www.dawateislami.net/test/VcdService/default.aspx aur ALLah tallah ki khufia tadbeer ki video ko download kijiey phir asani se apne Windows media player ke play kar sakte hain, nahin to VLC download kijiey ga! agar mein aap ki baat ko galith samja hoon to clear kar dijiey ga!
×
×
  • Create New...