Jump to content

Gulzar

اراکین
  • کل پوسٹس

    204
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Gulzar نے پوسٹ کیا

  1. maine to sunna tha ke hazrat imam mehdi razi allah tallah unho is duniya mein ayengey aur sirf 9 saal tak rahengey, aur in 9 saal mein dajaal ka khatma karengey aur phir hazrat issa alehe-e-salaam ah kar unhe qatal karengey aur wo 40 bars tak rahengey. agar yeh batein such nahi hain to phir such kya hai?
  2. Gulzar

    Imam Mehdi

    Imam Mehndi kon hain aur Hazrat Issa aleh-e-salaam unhen kyon qatal karenge?
  3. ek aur baat, maine ek hadees pardi thee Reekh ke barey mein ke agar reekh nikaltey waqat us ki awaaz aye to us ke baad wuzu kar leney se wuzu nahi hota ya phir kuch aissi baat likhi thee mujhe theek se yaad nahi, agar kissi bhai ko kuch reekh ke barey mein maloom ho to apne ilm ka ek qatra yahan par bhi share kar dein, shukriya!
  4. wuzu karne ke baad kangi kar ke masjad ki taraf jana namaz pardney ke liey, kya ye jaiz hai? kahin pe parda tha shaaeed ke aisa karna theek nahi hai, koi confirm kar sakta hai kya?
  5. shukriya janab! isi section mein merey kuch aur bhi sawaal they, agar aap un par bhi kuch roshni daal dein to, ain nawazish ho gi,
  6. Saif al salaam saab, maloom hota hai ke allah tallah ne aapko bohat ilm se nawaaz rakha hai, subhanallah. maine sunna tha ke, pakistan, india aur bangladesh mein hazarat imam-e-azam Abu hanifa ko mana jata hai, to phir hum sab ko un ki mureedy karni chahiey, leikin bohat sare log hazrat ghauss al Azam Razi allah tallah ki mureedy karte hain. aissa kyon?
  7. maaf kijiey ga meri urdu kamzor hai, yeh Sunni Saheh ul aqida aur badaqida se kya murad hai?
  8. Gulzar

    Istanja

    Istanja karne ke baad use sukhana zaroori hota hai kya, malsa'n kissi towel wagaira se sukha liya, aur agar istanja karte waqat gilley haat jo kapron se lagtey hain, is wazoo ko to nahi koi nuksaan pohanchta?jaissey ke aap istanja kar rahe hain aur haat gilley hain aur aap ki kameez ya banen neeche agai to kya use unhi gilley haton se idher udher kar saktey hain?
  9. bohat achi naat hai, aissi koi aur naatein hongi aapke paas?
  10. bohat achi info di aapne, mureed banaey ke liey kya requirement hain agar koi qadri banana chahta hai?
  11. Asalamo Elekum! Allah azzawjal aap ki walida sahiaba ko Nabi pak alaislam kay sadqay anbiya kiram rizwanullah ajmaeen ahlebait e athar , sahaba kiram, auliya kiram rizwanullah ajmaeen kay sadqay shifaiay kaamila aajila naafia naseeb farmaaiy aur un ka saya aap sab kay saro pay ta dair qayam rakkhay Allah azzawajal har musalman kay haq mai yei dua qabool farmaiay amin bi jail Nabi'il amin alaihi afzalus Slato watTasleem
  12. shukrya janab, lekin mujhe koi CD se chahiey jis ki qualtiy achi ho, jaissey ke kissey ke paas naat ki CD ho aur wo apne computer mein use copy kare aur kissi host site par upload kare,
  13. Gulzar

    naat need

    mujhe owais qadri saab ki yeh naat chahiey, ''Hazir Hai Dar-e-Daulat Pe Gada Sarkar Tawajjuh Farmayein'', aur Tauba Qabool ho meri tauba qabool ho'' waisey to yeh doney naatein internet se download ho sakti hain lekin un ki quality achi nahi hoti CD par burn karne keliey, agar kissi ke paas yeh do ya ek naat bhi CD par ho to please use upload kar ke mujhe link bhejh dijiey, shukrya?
  14. Gulzar

    naat need

    mujhe owais qadri saab ki yeh naat chahiey, ''Hazir Hai Dar-e-Daulat Pe Gada Sarkar Tawajjuh Farmayein'', aur Tauba Qabool ho meri tauba qabool ho'' waisey to yeh doney naatein internet se download ho sakti hain lekin un ki quality achi nahi hoti CD par burn karne keliey, agar kissi ke paas yeh do ya ek naat bhi CD par ho to please use upload kar ke mujhe link bhejh dijiey, shukrya?
  15. bohat shukrya jawab keliey, yeh akri line ki kuch khaas theek se samajh nahi ai. ''Huzoor Ghose Aazam Radi Allah Anho ki ta'aleemat pr bhe amaal karte hein is silsale mein bait bhe karte hein.Or jo bait karta hai wo "Qadri" kahlata hai."
  16. Gulzar

    Makrooh auqaat ka masla

    mujhe in 3 auqaat Makrooh ki samajh nahi aati, koi thordi tafseel se bata sakta hai ke yeh kab shuru hotey hain? Makrooh auqaat ki link: http://i35.tinypic.com/2a50tb8.jpg jaisey ke likha hai ke Garoob-e-Aftaab, yeh Garoob-e-Aftaab kab shuru hota hai?(yani ke jab suraj nazar a raha ho aur doobna shuru ho raha ya adah doob gya ho ya sara doob gya ho aur kuch hisa baqi reh gya ho ya mukamal doob gya ho). meri urdu itni achi nahi hai warna aap logon ko takleef nahi deta,
  17. merey khial se hazrat abu hanifa razi allah tallah un ho ahle sunnat se hain, sahi? aur wo kaun se country se they? kin kin mumalik mein Fiqah-e-Hanafi par Amal kiya jata hai? aur jo log hazrat Ghauss al azam razi allah tallah un ho ke mananey waley hain un ke fiqa ko kya kaha jata hai? jawab keliye shukrya!
  18. Gulzar

    Fiqah-e-Hanafi

    Fiqah-e-Hanafi se kya murad hai?
  19. Asalamo elekum! is mein likha hai ke kagaz par jo tasweer hoti hai, aissi tasweer theek hai, to kya ghar mein jo hum log ek dooserey ki tasveerein khiench kar aur frame karwa kar dewaaron par lagatey hai, to kya yeh sahi hai?
  20. Gulzar

    credit card ka online use

    kuch log aissey hotey hain ke kissi ke credit card ka number internet par share kar detey hain, aur jab wo credit card ka number aur us ke owner ke information internet pe phel jati hai to kuch log us credit card ka internet ke zariey istimaal karte hain. maslan kuch cheezein khareed latein hain aur ghar mein istimaal karte hain. jaisey ke koi apne compute ke liey memory stick khareed laita hai ya kuch online programme jo free nahi hotey wagaira wagaira... aur agar hum ne koi aissey tareeqey se koi cheez khareedy ho to usey agey kissi aur ko bech sakte hain kya? maqsad yeh hai jo paissey wasool hongey pechney se wo kahin haram categorie mein to nahin ayenge? kyon ki hum ne to kissi ka credit card internet par nahi phelaya,
  21. yani ke agar sunset 20 h 30 se hota to 20 h 50 tak yeh waqat makroo hai ya 20 h 10 tak? http://www.timeanddate.com/worldclock/astronomy.html?n=165
  22. maine kuch maheeney pehle qazaa namaaz pardni shuru ki thi aur maine bohat sari namaazein makroo waqat mein pard lee hain, abhi ek do din pehle hi is baat ka pata chala hai, mujhe ye janana hai ke jo qazaa namaazein makroo waqat mein pardi thien wo kya dobara pardni pardein gi? islaam kya kehta hai is barey mein? jawab keliey shukria!
×
×
  • Create New...