Jump to content

Bismillah

اراکین
  • کل پوسٹس

    500
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Bismillah نے پوسٹ کیا

  1. Salaam! Kya kafir Kay hath ka bana hua khana jaiz hai? Koi dawateislmi ki chappi hui kitaab share kar dein y'a kitaab ka naam. Shukrya
  2. Kissi ko kuch nahi pata? Hamaray yahan koi mistanand mufti Saab nahi hain Kay koi kissi achy alime deen say pooch Kay yahan pe share kar sakta hai?
  3. question number 10 ka aap ka sure hai keh sahi hai?
  4. Asalamou alekum! Mujhey kam az kam 2 saal say zaban/tongue ka masla hai. Iss problem ko Geographic Tongue boltay hain. Meri zaban/jeeb pe hamesha kahin na kahin jalney kay jaissay nishan rehtay hain jo waqat kay saath bhartay aur gatay rehtay hain, jaissay kay jab koi insaan garm garm tea peeta hai aur zaban pe janley ka nishan par jata hai aissay meri zaban par bhi hai lekin koi garm cheez khanay ki wajah say nahi. Pata nahi kiss wajah say. Abhi ramzan shareef bhi poura hogaya lekin tongue theek nahi hui. Doctor ko bhi dikhaya tha uski medecin say bilkul kuch nahi hua aur iss kay ilawa beesson medecin use ki lekin problem wahi hai, mainay even sugar bhi reduce ki aur main taqreebann ek saal say Honey tea main mila kar bhi peeta hon lekin problem wahin ki wahin hai. Hadees main hai keh Honey main shifa hai. Meri tongue pain kar rahi hai jalan si mehsoos hoti rehti hai, aur woh bhi lagataar aur main iski wajah say bohat uncomfortable aur preshan rehta hoon. Din kya raat kya. Please kuch kijiey, Bohat shukrya!
  5. Shukrya! Lekin iss ghussal say namaz nahi par saktay kyon kay shower l'au neechay nahatay waqat insaan chota peshaab bhi kar raha hai to iss say wuzu tootata hai lekin ghussal utar jaey ga. Sahi samjha hoon main?
  6. کہ غسل کے دوران اگر چھوٹا پیشاب بھی کرتا جاے اور نھاتا بھی جاے تو تو بھی غسل ادا ھو جاے گا کیوکے پیشاب سے تو غسل نھی ٹوٹتا۔سھئی؟
  7. سلام وہ تو تٹھیک ھے لیکن میرے دوسرے سوال کا جواب تو ابھی ادھورا ھے۔ کروانا چاہتا ھوں Confirm میرے خیال سے ایسے بھی ھو جاتا ھے لیکن مجھے تسلی نہی اس لیے
  8. بھت اچھا سمجھایا آپ نےبھت شکریا لیکن مجھے مزید جاننے کی زرورت ھے کیوکے میے ھمیشا سے یھی سمجتا آیا ھوں کے ُُعْسل کا ایک یا دو فرض پورا کر کے انسان اگر کوی ایسا عمل کرے جس سے وضو ٹوٹ جاتا ھے تو تیسرا عُُسل کا فرض پورا کرنے سے عُُسل مکمل نھیں ھوتاجب تک کے پھلے والے دو فرائض دوبارہ نۂ پورے کیے جاے کیوکے پھلے والے دو تو ٹوٹ گئے۔ يہ ميرے لیے ایک نئ بات ھے جو آپ نے بتای ورنہ میں تو آج تک یھی سمجتا آیا ھوں 31 سال کی عمر ھو گئ۔ کیوں کے وضو کے اندر تو ایک یا دو فرائض ادا کرنے کے بعد اگر سو لیا جاے تو بقیا فرائض ادا کرنے سے وضو مکمل نھیں ھوتا جب تک کے پھلے والے دو فرائض دوبارہ ادا نا ھوں تو میں نے سوچا غسل کے اندر بھی ایسا ھی ھو گا۔ تو اس کا متلب تو پھر یہ ھوا کہ غسل کے دوران اگر چھوٹا پیشاب بھی کرتا جاے اور نھاتا بھی جاے تو تو بھی غسل ادا ھو جاے گا کیوکے پیشاب سے تو غسل نھی ٹوٹتا۔ سھئی؟
  9. Salam, Mera ghusal Kay baray main sawal hai, jab ghusal cars ho gaya aur insan nay kuli ki aur naak main pani daal liya aur phir so Gaya. Subha ko utha aur peshab kar liya. Kya Jo kuli ki thi aur naak main pani dala tha wo dono toot gaey aur dobara say karnay hongay ya phir sirf baqiya jism per pani daal lena kafi hai?
  10. Wo to theek hai scientis ki apni apni tehqeeq hai, lekin Hamara Islam is baray main kya kehta hai? Asal sawal to yeh hai
  11. Bismillah

    Ahram-E-Misr Ki Kya Haqeeqat Hai?

    salam! sunna hai keh ahram e misr ek ajooba hai. yeh kab bana, kyon banaya gaya aur kiss nay banaya? aur yeh itna mashoor kyon hai? shukrya
  12. Bismillah

    Kokaaf Kya Hai?

    Salaam, Kokaaf ka lafz kafi sunanay main ata hai, kya koi mustanand tehreeron say bata sakta hai keh yeh kya hai? Iski kya haqeeqat hai? Shukrya.
  13. Kuch Zayada detail nahi hain wahan par
  14. Bismillah

    Ibn Khaldoun Kaun Thay?

    ibn khaldoun Kaun thay aur kahan Kay rehnay walay thay?
  15. shukah hai kissi nay to reply kya! main yeh nahi kehta keh asman ki taraf munh kar kay sona guna hai, lekin aissa mujhay kuch yaad parta hai keh kahin mainey suna tha keh asman ki taraf munh kar kay nahi sona chahiey, pata nahi kahan aur kiss say, agar ap kisi mufti saab ko jantay hai to kya aap mera sawal print karkay unko dekha saktay hai? kyon keh faizan-e-attar pe askimam departement temporarly close hai.
  16. Asalamou Alekum ! Baaz auqat main raat ko jab sota hoon, to mera chehra asman ki taraf hojata hai ya jan bhooj kay bhi agar main asman ki taraf chehra kar kay sau jaaon to mujhay bohat darawanay khawab atay hain. Aur jab ankh khulti hai to main kuch deer kay liey apna jism paralysed mehsoos karta hoon. Halki si Ankh to khuli hoti hai lekin haath ki ungli tak hilana bhi mumkin nahi hota. Yahan tak kay main apna chehra bhi hila nahi sakta. Aissa lagta hai jaissay kay ander say mukamal meray jism pe kaboo pa liya ho. Aur main itna gabra jata hoon keh aissa lagta hai keh maut ho jaey gi. Yani keh bohat zayada khauff hota hai. . Yeh kabi kabar hi hota hai jaissay keh mahenay do maheenay main 1 bar. Aissa kyon hota hai? Asman ki taraf chehra kar kay kyon nahi sona chahiey? Main to aksar apna chehra right side par karkay hi sota hoon lekin raat ko need main chehra asman ki taraf to hi jata hain na. neend main to pata nahi chalta na keh chehra kiss taraf hai. Jawab kay liey shukrya!
  17. bohat shukrya! lekin iss say Safed libaas ki sunnat sabit nahi hoti hai, aur jahan tak mujhay yaad parta hai mainay ameer-e-ahlesunnat damat barkatumul alia say bhi sunna tha keh Safed imama aur Safed libas sunnat nahi hai. lekin mujhay poori baat yaad nahi to confirm karna tha bas
  18. Asalamou Alaikum! 1- kya white kapray, tehband aur imama pehnana nabi paak alehi salam ki sunnat hai? 2- larkay aur larki kay baligh honay ki Umar kya hai? bohat shukrya!
  19. jaissa keh title say wazia hogaya hoga keh suwal yeh hai keh yeh jo kaha jata hai keh Quran 7 Qiraaton main nazal hua iss ka kya matlab hai?
  20. kya yeh waqiey un sahabiey rasool salalahou alehi wasalam ki tasweer hai?
  21. bohat shukrya! kya koi urdu main translate kar sakta hai iss tarah mazeed behtar samjh aey gi
×
×
  • Create New...