
Haqeeqqt
-
کل پوسٹس
148 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
1
پوسٹس ںے Haqeeqqt کیا
-
-
-
Sab say pehlay yeh batahen kay Kabah ko ghusul denay wali Hadith kahan per heh? Kahan per likha heh kay Kabah ko ghusul doh, yeh joh hadith aap nay pesh kee heh yeh MASJIDOON kay leyeh heh, KABAH kay leyeh nahin, aur hadith meh safai aur kushbooh ka zikr heh kay masjidoon ko khushbooh daar rakho aur saaf, kabah ko saaf aur kushbooh lagana kahan say sabit heh. Agir is hadith say masjid ko ghusul dena muraad heh toh phir Sahabah nay be ghusul deeya hoga masjidoon ko, aur kabah ko ghusul deeya hoga, is amaal ko sabit keren.
Saffaee say aap nay ghusul kesay mafoom leh leeya zera bewaqoofi kee kohi daleel pesh keren, saffaee jaarooh say be ho jaati heh ghusul zeroori nahin, agir Sahabah nay ghusul nahin deea jarooh mara toh tum ko ziyada ihtiraam heh Kabah ka? Dosra wesay be Hadith meh Kabah kee baat nahin ho rahi, muhallay meh masjidoon kee ho rahi heh.
Yeh jis tareeqeh say tum nay Ghusul e Kabah ko sabit kerna cha'ha heh, yeh ijtihadi tareeka heh, yehni BARELWIYON wala tareeka, tum Ahle Hadith ho, Ahle Ijtihaad nahin tumara mazhib kee bunyaad wazia Hadithoon aur Ijtihaad o Qiyaas per nahin, Ijtihaad Ahle Sunnat Wal Jammat ka tareeka heh. Milaad per toh tum wazia daleel doondtay ho, baray uchal uchal ker, SAHABAH NAY MILAAD KO CELEBRATE KEEYA TOH HADITH PESH KERO, WAZIA HADITH PESH KERO, abh us'see miyaar per qahim raho, aur khud be GHUSUL kee wazia daleel pesh kero kay Kabah ko ghusul dena Sunnat e RasoolAllah heh ya Sahabah weghera.
Baki Hadith say sabit kero kay Sahabah nay Masjidoon ko kesay sabit keeya, jarooh say, doh ker, ya kissi aur tareekeh say ... joh be tareeka Sahabah nay apnaya ussay sabit kero, is hadith meh saffaee ka hokam heh, yeh nahin bataya gaya kay kesay saffaee kero, agir hokam deeya toh Sahabah nay saffaee bee kee hogi, abh kis kay saath kee, kab kee, kis din kee, mard nay kee, aurat nay kee, weghera keyun kay in sab kay jawab say maslay kee wazahat hoti heh, yehni agir aurat nay saffaee kee toh agir aaj mard saffaee kerta heh toh phir khilaaf e amal e Sahabiya hoga, aur yeh Biddat heh, agir subho saffaee kee ho, aur tum Wahabi dopehar ko saffaee kero, toh Biddat hoga, Sahabah nay agir jarooh say saffaee kee aur tum paani say kero toh phir be biddat hoga keyun kay amal Sahabah say sabit nahin, aur Masjid meh kushbooh laganay ka hokam heh, magir yeh sabt kero kay kushbooh deewaar ko malni heh, ya kohi aur tareeka heh, agir Sahabah nay agar bat'ti jalahi aur tum attar kee botal rakh detay ho dakan khol ker toh Sunnat kay khilaaf amaal hoga aur Biddat hoga .... yehni is hadith per amal us waqt hoga jab puri detail sabit hoon gee warna BIDDAT ka khauf heh.
Baqi meh nay likha thah kay WHITE MARBLE per tawaf kernay say Sunnat e RasoolAllah kee khalaf warzi heh is leyeh hajj ka arqaan pura nahin hota, RasoolAllah nay saffa marwa per dor lagahi magir marble per, flat ground per dor nahin lagahi thee, pahari per dorna Sunnat thah ab yeh Sunnat kay khilaaf heh is leyeh yeh amal bee jahiz nahin. Wahabiyoon ka imam speaker lagata heh, aur speaker meh bolta heh, yeh be BIDDAT heh RasoolAllah nay speaker mic istimaal nahin keeya thah, is leyeh namaz fassad ho jaati heh, RasoolAllah nay WHITE MARBLE PER SAJDAH NAHIN DEEYA THAH BALKAY
BEGHER SAJDA DEEYA THAH, WHITE MARBLE PER SAJDAH DENA SUNNAT KAY KHILAAF HEH, RasoolAllah kabi White Marble per kharay nahin huway thay namaz kay leyeh, WAHABIYOON ka white marlbe per kharay ho ker namaz perna khilaaf e sunnat heh biddat heh, aur yeh biddati- namaz hogi is leyeh namaz nahin hogi esi namaz pernay wala juhanami heh.
ajeeb jahilana sawalaat hain? Mr. Radiating Ali aap ko humaray manhaj k pata hi naheen aur shaid aap ko apnay ka bhi naheen pata.
White marble per tawaf naheen hota. chalo hum farz ker lain k tawaf Whitel Marble per naheen hota to Nabi
nay to tawaf Sahaba
ky saath kia to huamara tawaf bhi sahaba k elawa kissi k sath naheen ho ga. Haj ka khutaba Nabi
nay diya ab Nabi
hi dain gay to ho ga warna naheen hajj naheen ho ga.
iss k baad bhi agar aap apnay mauqaf per dattay hain to pehlay aap ko sabit kerna peray ga k jo haddain aap nay lagain hain woh durust hain. phir ham sabit kerain gay k aap k jo dawa hai woh kiun ghalat hai.
-
-
-
-
-
wahabi haqeeqat tumhy kuch ilm bhi hai ki tum kis ke fatwy ka radd kar rahy ho? or kis nashy me munafiq-kharjiyo ki waqalat? qatl is liye nahin karwaya gaya ki wo sura (abas..) ki tilawat karta tha par isliye munafiq ki maout mara ki uska aqeedah tha ki is ayat me Allah
ne Huzur
ko data or jhirka hai...jaisa ki musannaf ibn abhi sheba ki hadees se bhi sabit hota hai ki kharji dhoond dhoond kar apny zam me aisi ayatein namazo me parhty thy jo unhy lagta tha ki ismy Huzur ki shan mein mazaAllah tanqees ki gayi hai...jaisa ki tum wahabis ne unki sunnat par amal karty huey apni kharjiyat ke nashy mein isi tarah quran ki ayatein is thread me quote karky ye sabit karna chaha ki ismy huzur par Allah ne pakad ki hai unko data hai...isi liye unhy qatal kiya gaya...na ki sirf tilawat par...kash aaj talwar e umar hoti to kya baat thi..fasila yahin ho jata..par wahabi tab bhi na manta or musalmano par shirk ke fatwy laga laga kar kharji hony ke mazeed suboot farah kara rehta jab tak ki azab na chakh leta...samhy? ab spoon feeding ki adat lag gayi hai tumhy barelwiyon ke froum ke paalny me jhool jhool kar...
or ye usool e kharkhi le kar kya khalat e mabhas karna shuru kar diya yahan fiqh par baat nahin ho rahi kya ye bhiyaad dilana hoga? wasiy idahr udhar ka matter le kar bas bakwas kiye jana hai ghalti tasleem kar touba karna tumhary naseeb me kahan or waisy bhi gustakh e rasool ko touba kam hi naseeb hoti hai...
Aaina dekhanay per berham ho rahay ho
yeh to tumharay aakabir ki batain hain: tumhain to khush hona chahiya
k unhon nay tumhara kaam buhat asaan kiya huwa hai. rahi baat Hadees ki to jahil main nay tumharay imaam k jo qaul paish kia us k mutabiq tumhain to Hadees say to kuch lena dena hi naheen. Tumahray Hadees paish kernay ka kiya faida
Ajab baat hai jo haq baat kehta hai aur Quran aur Hadees paish kerta hai us per itni na gawari. Hum to Al-Hamdo-Lillah Namaz main poori koshish kertain hain k woh Surah Tilawat kerain jin ki fazeelat Nabi (saww) say sabit ho.
Jis Gustakh ka tum naara lagatay ho woh iss liya k hum tumhara shirk samnay latay hain.
-
-
-
jo link diya hai wahan jawab dein to shayad apky maslak ki satar poshi ho saky..ye mahair e tehreef or bayan baazi aapki hum pehly bhi kaafi dekh chuky hain is se aapki zillat me mazeed izafa hi hota raha or kuch nahin...humny quran se sabit kiya tha ki quran me dua kitny mayeno me istemaal hua hai agar apky usool ke mutabiq dua ka mana har jagah ibadat karna shuru kar diya jaye to mazAllah kitin kharabi waqya hogi iska andaza apko bhi hai tabhi aap humara ye chellenge accept na kar saky..or inshaAllah kabhi kar bhi na sakyngy.
rahi ilm e ghyb ki baat to ye bhi bara bachkana jumla aapny likha shayad jo cheez aapki naiqs aql ke upar se guzar jaye or dusry ko wahi baat samajh aa jaye to aap usky liye ilm e ghyb sabit manty hain?
Lakin aap k maslak ka bhanda phoot chuka hai.
Main nay aap ki tarah tehreef nahee ki, main nay to issi topic k ooper Quran aur Hadees say sabit kia hai k "DUA" kia hai. Mushrikon ko nazar nahee ata yeh main pehlay likh chuka hon aur aye ga bhi nahee kiun k Quran aur Hadees quote ki hui hain.
Reh gai ussi topic ki baat to meri posts online ker di jain phir agay chaltay hain. tab tak us topic say related aap ki bhi kissi post ka jawab naheen diya jai ga.
-
Mazrat kay saath arz heh:
Kabah ko be Ghusul, itni fizool khar'chi, Africa meh musalmaan piyaas say mar rahay hen, in Wahabiyoon ko Kabah ko shampoo kay saath ghusul denay kee peri huwi heh, itnay bewaqoof logh hen kay Kabah per kohi teen man'h sona laga deeya heh, chahyeh toh yeh thah kay is pesay ko ghareeboon meh taqseem kertay takay woh roti khatay, magir Kabah ko jewlery kee ziyada zeroorat thee. Aur itnay ehmak hen kay Masjid Al Haram ko kia say kia bana deeya ... Sahabah nay Masjid Al Haram meh white marble, nahin lagaya magir in ko dekho inoon nay kia ker deeya ... Hinduwoon, Mushrikoon kee nakal ker kay us Kabah ko kia say kia bana deeya, Hindu be esa kertay hen apnay butoon ko khoobsoorat aur fizool kharchi kertay hen, in'ni kee naqal ker rahay hen, jistera woh butoon ko khoobsoorat bana rahay hen, is'see tera yeh WAHABI KABAH ko khoobsorat bana rahay hen, FIZOOL KHARCHI kee haad hee nahin. Abh toh Hajj be nahin ho sakta, RasoolAllah nay KIA WHITE MARBLE PER CHAL KER TAWAF KEEYA THAH, agir nahin toh esa kernay say hamara TAWAF HO JATA HEH KIA, tawaf us'see waqt hoga jis mat'ti per RasoolAllah nay keeya, warna TAWAF NAHIN HO SAKTA, RasoolAllah kee Sunnat heh ka mat'ti per chal ker tawaf keren, aur agir ham marble per chalen aur tawaf keren to TAWAF nahin hota, yeh biddat hoti heh, yeh Biddati-tawaf hoga.
Aaj kal bas'soon, caroon, wagonoon meh yeh logh saffar kertay hen Hajj kay doraan, halan kay RasoolAllah kee Sunnat to oonth per safar kerna thah, keyun kay safar kerna be Sunnat heh aur car per RasoolAllah nay safar nahin keeya haaj kay doraan is leyeh joh yeh amal Biddat heh, aur is leyeh HAJJ nahin hoga.
Pehli baat yeh hai k aap ka jo dawa tha uska jawab aap ko mil gaya. kia Um ul Momineen Hazarat Ayesha
ki Hadees nazar nahi aaye jo aitraz ker rahay hain k Hinduwoon aur Mushrikeen ki naqal kertay hain.
-
is Wahabi Haqeeqat ko isi Dua or ibadat ke masly par humny sawal kiya tha jiska jawab aaj tak kisi kharji se na bana or ye dekho ek dusry ki peeth thaph-thapana
...agar aapko apny bary me kuch khush fehmi hoto jawab juta layein...Kya Har Dua Ibadat hai
apnay qaul k andar say bhi matlab nkiaal latain hain, Quran aur Hadees in ko samajh naheen aatay aur kehtay hain k "Kya her dua ibadat hai". Mushrikeen ko nazar naheen aye ga k Meray Nabi (saww) nay kiss "dua" ko ibadat kaha hai. unko nazar naheen aye ga Um ul Momineen nay kiss ko afzal ibadat kaha hai.
By the way tum logon k pass to ilm-e-ghaib bhi hai us say pata lagwa lo yeh kaun si dua hai?
-
aap ko kafiroo ki mithai par aitraz hai zara aap sihaah e sittah kutub men kitab ul jihad ka mutalla farmalain ...yahan alahazrat ne maal e mozi naseeb e gazi ka jo jumla farmaya hai ahadith se is ki wazahat hojati hai, kya kuffar k male ganimat us waqt halal nahi thhe aur phir aap ye b wazhat kardain aap k nazdeek hindustan k kuffar kaun hain? harbi ya zimni dono sortoon main daleel dain... aur isi nukte par daraul harb men sood b jaiz hai jokeh hadith se sabit hai keh muslim wa kafir harbi keh darmyan sood nahi batayee, jab imam ul anbia khud farmarahe hen k in keh darmyan sood nahi tu yeh mithai kahan se agayi, kya aaj kal k kafir muslim mumalik men tax dete hen ? aur in ko kya kahte hen wazahat farmain... aur chonkeh aap tu hadith ke zahir par amal karte hen isi roshni men yeh b batain jihad e fee zamana keh bare men aap ka kya moqqaf hai? aur taliban aur al-qaida k mutaliq b wazahat karain k aap in se kis had tak ittefaq karte hen ke yeh islami tareeqa hai ya nahi? aur sawat men korre walay waqiye pr b nazar farmain.. keh ap ki kya rayee he. aur fi zamana rajm k baree men aap ka kya moqqaf hai hadith men rajm aur koro ka hukum wazih hai.......fi zamna yeh sab pakistan ya india ya degar kisi mulk me hone ko aap jaiz qarar dete hen agar haan tu phir is ki nashr o ishaat kun nahi karte hen ilm ko chupana kesa?
Mohtaram Shareef Raza Sahib, kia aap samajhatay hain k, Holi ki mithai, Maal-e-Ghanimat hai? Kia iss ko Maal-e-Mouzi Naseeb Ghazi samjhana durst hai?
-
janab toheedi sahib, aap kehtay hain k yeh mohaar ki barkat hai, pehlay to yeh sabit kerain aur daleen dain k yeh mohaar ki barkat hai?
doosri baat, Raees ul Munafiqeen ka Janaza Nabi (saww) nay perhaya, kuch rawayaat k mutabi apni qameez (shirt) bhi pehnai lakin usko kuch faida na huwa, ab aap batain jo Taweel aap ker rahain woh ghalat ha ya naheen?
teesri baat, Syedna Bilal
nay jo deen k liya itni takaleef uthain, jis ka iqrar nabi (saww) nay bhi kia, un ki deen ki khidmat aur nabi (saww) say mohabbat yeh sab batain unko is muqam per lay gain, k nabi (saww) nay farmaya k Syedna Bilal meri sawari ki Mohaar pakrain gay.
Aap ka yeh kehna k Mohaar chorain phir dekhain, kahin yeh Sahaba ki shaan main Gustakhi to naheen?
-
, sunni bhayoon ko,,
aur haqeeqat sahb,, app ko lambay choray jawab denay ka koi faida nahee, is liya aik hee fikray main jawab day raha hoon,
kah ajj lay unn
ki panah ajj madad mang unn
say , tab na manay gay qiyamat main agar mann gai,
kion kah ajj bhee ham sunni hee, Rasool
ko pukaratay hain,, aur kal bhee ham sunni heee Rasool
ko qiyamat main apnee shafat kay liya pukarayin gay,, aur thumaray jasee door kharay hoon gay.
akahar main dua hai,, kah Allah
tum ko hidiyat naseeb karya,,,Ameen
Duaon ka buhat shukariya, Allah aap per bhi apni rehman nazil farmay, Ameen.
Sag-e-Raza Sahib agar aap meray points pay baat kerain gay to ziada behtar ho ga, aur aap nay jo chand lafzon main batain kin hain, kindly unko Quran o Hadees k reference say wazeh ker dain to baat samajhanay main aur assani ho gi. Shukriya
-
-
-
-
-
Janab buht hairangi hoti hai app per ky app ne tu Wahabi Mazhab ki Basti karwa di ky app ka tu yeh Elaan hai ky WAHABI KA HAR AMAL QURAN O HADITH SAY SABIT HAI SIRF QURAN O HADITH ISS KY SIWA KUCH NAHI aur ajj app kehty ho iss ka jawab daina meray liye zarori nhi.
Jawab tu Insah'Allah app Qayamat tak nahi laa sakty laikin itne baat zaror hai ky app jaison ki hawa iss topic per hee nikal gai hai tu phir baqi topics per app ne kya baat karni hai.
Shaid issi liya kissi nay khoob kaha pehlay "Think before you leap"
Humain bhi hairangi hoti hai jab aap log waqt say pehlay fatway day detay hain.
-
Dear Tohidi Sahib, can you upload the whole book, thanks in advance?
Regards
-
-
Allah Subhana ka farman hai
Mohtaram Toheedi Sahib, aap adhi hadees chor rahay hain aur adhi hadees say apna matlab nikaal rahay hain, baqi hadees (hadees ka akhari hissa) bhi to dekhain, Nabi (saww) farma rahay hain kasrat-e-sajood say meri maddad kero. Yani nabi (saww) bhi dua kerain gay aur Hazarat Rabia (R A) ko bhi kaha k woh bhi naik amal kerain. Aur Yehi baat Hazarat Soban (R A) nay bhi Nabi (saww) say kahi to unko bhi yehi kaha k Sajood ki kasarat kia kero. Iss hadees main to nabi (saww) nay woh tareeqa bataya jis say Nabi (saww) ka sath kaisay naseeb ho sakta hai.
-
Brailviat say aik sawaal???
- فورم: مناظرہ اور ردِ بدمذہب
مراسلہ:
Jana aap ko samajh naheen aai yeh hum naheen keh rahay, Yeh aap kay (Mufti) sahib ka hukam hai. Agar aap yeh kahain k aap k mufti sahib idhar udhar ki mar rahay hain to bhi koi baat naheen.