first of all yaar tum baat ko ghuma phira kar waha hi le ate hoo ALhumdulilah ma bhi sunni hanafi hi hoon lakin mera maqsad tum se munazra karna nahi dekho mushrik or kafir aik he cheez ha har koi hazoor pak SAW ki aik hadees ko suna kar kehta ha k hum hi wo hi firka hain jo jannat ma jain ge ye kaam to shia bhi kar sakte hain ore ap ye fatwa kahan se nikal kar de rahe ho iss ka hawala bhi do k jo kisi kafir k khufar ma shak kare wo bhi kafir ha acha chalo iss bat ko man liya iss tarha to deaobandi or wahabi bhi kehte hain k ya rasollah kehne wale mushrik hain to agar ma ya rasollah kahoon to kia ma mushrik hoon dekhoo yaar hum muslims 1000 saloon se apas ma hi9 lar rahe hain aj humari duty thi k hum gair muslimoon ko ja kar batain islam k bare ma deobandiyoon k moulana mufti ameen owkarwi ko kisi na aik esi jaga jahan par qadiyani rehte the wahan qadiyaniyoon se munazra karne k liye bulaya or wahan par bhi kuch loog a gaye k ameen par munazra karoon ye kia bat hoi abi gair muslimon se to wo nimat lain agar muslim wahan apas ma munazra karte to wo loog kia samajhte to aaj hum sirf apas ki laraiyoon ma par gaye hain ma 100 iss tarha ki sites dekhi hain jin ma barliviyoon ko bura bhala kaha ja raha ha wahabiyoon ko kaha ja raha ha deobandiyoon ko kaha ja raha ha garzk har aik dosre ko bura keh raha ha kia ye msulim ki shaan k khilaf nahi ummat ma iss tarha ka ikhtalaf har waqat raha ha lakin kabi hamari tarha unhoon na laraiyaan nahi kin even k hazrat umar or hazrat ali k darmayaan bhi ikhtalaf tha kafi masloon ma wo to apas ma nahi lare to ye kaam karne k nahi hain ma ap ko ye nahi kehta k ap galat hain or ma sahi or ma galat hoon ya ap sahi hum loogoon ko pehle apne ap ko islam par paka karna ha inn behas mubahisoon se koi faida nahi ma na bhi kafi arsa ye kaam kiye hain lakin koi faida nahi howa na wo shaks jis se ma na behas ki wo hanafi nahi howa or us ne muje wahabi nahi kiya bas behas hi hoi to ma ap ko nasihat nahi kar raha har aik ki apni search ha islam or quran hadees k bare ma imaam ka'ba bhi to rafay dain karta ha ALLAH na un ko us post par kiun bithaya kabi socha ha hum na ab loog haj karne jate hain to us hi k peche namaz parhte hain to mere baat man lijye apan zayada time loogoon ko namazi banae ma lagaye nigahain jhukane ki taraf bulaiyee umeed ha ap meri iss baat ka bura nahi manain ge