
SitaraGroup
Under Observation-
کل پوسٹس
90 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
سب کچھ SitaraGroup نے پوسٹ کیا
-
Yazeed Ney Qatl e Hussain Per Matam Kiya
SitaraGroup replied to Jad Dul Mukhtar's topic in فتنہ شیعہ
Moderator Sahib/Sahiba!! Ye to aap ki bohat bari ziadati hai. Shiyya hona ya na hona alaihda baat hai. Main sharat laga ke kahta hoon. wo Shiyya nahi Soor ki Aulaad hai jo Yazeem soor ko Masoom samjhta hai. Ab baat age barhayen. Yahi aqida sunniyon ka bhi hai. -
why moderators deleting our topics & posts ??
SitaraGroup replied to mufti-e-azam's topic in فتنہ شیعہ
Dear Moderator!! Kisi bhi post ka dhung se jawab nahi diya ja raha ulta aapis main gali baazi ho rahi hai. Yeh kaisa islam hai ke jawab na aye to gali de do. Har post ka bharpoor jawaab hona chahiye. Aap khud hi dekh lo wuzu main massah wali posts main sub khamosh ho kar baith gaye hain. Regards -
why moderators deleting our topics & posts ??
SitaraGroup replied to mufti-e-azam's topic in فتنہ شیعہ
Topics should not be deleted. Its for discussion and not to be avoided by any member. Regards -
Yazeed Ney Qatl e Hussain Per Matam Kiya
SitaraGroup replied to Jad Dul Mukhtar's topic in فتنہ شیعہ
Koi Shiyaa ho ya Sunni kya wo Quran sar par rakh kar apnay dono haath utha kar ye dua kar sakta hai ke "Ya Allah mera anjaam baroz-e-kiamat Yazeem ke sath ho??" Koi bhi nahi kare ga. Koi jurrat hi nahi kare ga. Phir ye fazool behas kis kaam ki. Aik beghairat paleed ke liye aap apas main kyon lar rehe hain. Shiya bhi osay laanti kah rehe hain Sunni bhi osay laanti mantay hain phir issue kya rah gaya? Please comments -
Mufti bhai aap baten hi negative karte ho. Kyon ke Bibi Ayesha kah rahi hain ke Rasoolallah (PBUH) bhi aisa hi karte the. Yeh aik masnoon amal hai roza rakho ya na rakho. Nahi yakeen ata to neechay parh lo:-
-
Yazeed Ney Qatl e Hussain Per Matam Kiya
SitaraGroup replied to Jad Dul Mukhtar's topic in فتنہ شیعہ
Friends!! Yazeed ke baray main to bees ke kareeb brailvi hazraat futwa de rehe hain ke wo Sharabi, Zaani, Budkaar sub kuch tha or zamany bhar ki Burai thi magar os ko Kafir na kahain balkay laanti kahain. Bilkul theek hai magar objection ye hai ke beta acha ho ya bura baap ko to pata hi hota hai. Naik baap ko pata hi nahi ke mera beta budkaar, sharabi, juwari or zaani hai phir bhi osay khalifa bana diya or masoom ummat-e-musilma ko os beghairat ke reham-o-karam pe chhor diya. Ye kahaan ki akalmandi hai. Jis ne ghalti ki agar os ghalti ko ghalti na kahain to aisa na karnay wala munafiq ho jata hai or munafiq or kafir jhannami hain. Please comments!! -
Mufti Bhai!! aadmi kisi majboori se roza chhor hi deta hai. Ab aap baat ka butanggar na banayen. Ummul Momineen Bibi Ayesha hamaray liye Aalima ki hasiyyat rakhti hain akhir wo bhi to majboori ki halat main rozay chhor diya karti theen or aik saal baad bhi rozay ki kaza chalti rahti thi. To majboori main roza chhor dena kaunsi ghalat baat hai?? Please see the attachment
-
Mufti bhai.... Mera khayaal hai topic ko restart karen. Main sirf Quran se hawala deta hoon Ali ki azmat ka aap hadison se den. Or Duniya ko bata den ke Ali se nafrat laanti hi kar sakta hai
-
Mustafa Bhai. Meri asliyyat yahi hai jo pehlay din thi. Main Mufti ko samjhay ke liye os ka email address maang raha tha magar mujhe warnings de di gayen. Main nay kaunsa kabira gunnah kar diya. Ajeeb rules hain yahaan ke
-
Mere sath bhi yahi masla hai na main aap ko PM kar sakta hoon or na contact. Sub kuch ban hai yahaan.
-
O Chaa Gaye Mufti Sahib. Dil Khush kar diya aap ne. Ab isi khushi main call kar daliye.
-
Haq Bhai!! Main ab kya karoon yahaan koi Quran ki baat sunanay ki liye tayyar hi nahi hai. Main ne wuzu Quran se sabit karna chaha koi tayyar hi nahi. Ab kya karen
-
Mufti Bhai. Mera Khayaal hai es forum main sirf Hadis ko tarjeeh di ja rahi hai ke jo kuch hadis main hai sub sahi hai or baki koi hasiyyat nahi rakhta!! Mera khayaal hai yahaan kuch or kahna fazool hai. Agar mazeed references diye to hum topics parhnay se hi jayen ge. Aap ko aik request ki thi?. Quran paak to Ali ka sehra parh raha hai agar main ne wo ayat yahaan quote kar di phir ye laug naraaz ho jayen ge. Ab main kya karoon. Yahaan sirf hadis ko preference di ja rahi hai.
-
Mufti Bhai!! Kis baat ka jawaab don??
-
Bhaiyo!! Kya "Ali" ya doosray koi Ashaab Allah ke wali nahi hain?
-
Par mujhe kyon under observation kya gaya. Main to shiya nahi
-
Qadri Bhai!! Wuzu ke baray main aik or topic bhi chal raha hai. Mera khayaal hai os topic ko bhi aap saath saath dekhte jayen: http://www.islamimehfil.info/index.php?showtopic=6092&st=0&gopid=39471entry39471 Mufti Bhai!! aap sub laug please aik doosray ko abuse karnay se parhaiz karen. References hain to baat karen agar references nahi to khamosh ho kar dekhen. Sorry dont mind. Fi Amaanillah
-
Mohtaram Islami Bhai!! Mujhe aik sawaal ka Quran o Hadis ki roshni main jawab/Futwa chahiye. Ye ke Zakawaat, Khairaat or Sadkaat sirf Ghair Sadaat/Ghair Syyed (Non-Syyed) lnsanon ke liye hain or ye sub Syyed par Haraam hain, Syyed Sadaat kisi bhi haalat main ye kabool nahi kar sakta, or agar karta hai to haraam hai. To agar ye sub kuch haraam hai to ummat-e-muslima (non syyed) ka Sadaat par kya hak hai. Kya Quran-o-Hadis main aisa kuch hai ke Syyed ko kya diya jaye. Main ne kuch logon se poocha bhi hai un ka kehna hai ke Syyed ko Tohfa/Hadiya diya ja sakta hai, magar baat "Farz" ki hai, kya hum par kuch Allah o Rasoolallah (PBUH) ne "Farz" bhi kya hai ke Rasoolallah (PBUH) ke sadaat ko kye den. Aap ke futwa/jawaab ka bohat shiddat ke saath intizaar rehe ga. Wasaalm
-
Nice efforts. Thank you
-
Pyare Islami Bhai Meri aik baat ghaur se sunn lo. Aap sub ko saboot chahiye ke Janab Abu Talib Kafir nahi the balkay musalmaan they. Kya aap ko yaad hai ke "Bukhari Sharif" ke preface "Dibachay" main likha hai ke main ne 600,000 (six lacs) ke kareeb hadis jama keen magar (around six thousands) combine kar ke os ki books bana leen. Main aap ko aik ishara deta hoon or aqalamand ke liye ishara hi kaafi hota hai. Bibi Khadija tul Kubra jo Arab ki Arabpati mastoor hain. Aap bibi ki omar 40 saal thi or Rasoolallah (PBUH) ki omar 25 saal ke aap dono ka nikaah ho gaya. Nikaah kis ne parhaya ye alag issue hai. Rasoolallah 53 saal ke the jub ye paak bibi duniya se rehlat kar gayen. Aap bibi or Rasoolallah (PBUH) ki zindagi 28 saal ikhthay guzri. Afsos ki baat yeh hai Bukhari Sharif se le kar Muslim tak, Abudawood, Nisai, Tirmizi, Mashkaat se le kar Maja Sharif tak aap ko es paak bibi ke rivayat karda aik bhi Hadis nahi mile gi. Chiragh le kar bhi dhoondo phir bhi na mile gi. Kya ye tareekh ke historian ki zulam o ziadati nahi hai ke jis paak bibi ne aap Rasoolallah ki 28 saal khidmat os ka hadis main kuch bhi contribution nahi. Kabhi aap friends ne socha ke ye kya waja hai. Hum imaan-e-abu talib ki baat kar rehe hain ke on ke islam laanay ka saboot nahi. Bhaiyo kuch to hosh ke nakhun lo. Baat shiya or sunni ki nahi hai. Hum sub par ahtraam waisay hi wajib hai jaisay ke doosray par. Agar ab tareekh ka moarrikh historian hum se baat chhupa jaye to hum ilam ke beghair kisi ko kyon kaafir banayen. Main ne apni pichli post main Sura Zuha ki aik ayat ke baray main bataya. Aap zara thanday dil se os ko bhi parh lijiye ga. Or apnay imaan se faisala kijiye ga. Shiya ka achha hona ya bura hona alaihda baat hai. Magar en paak hastiyon ko to bura na kaheen. Aap sub ke comments ka intizaar rahe ga. Fi Amaanillah
-
Great effort!! Ahle-e-sunnat ki to site maloom nahi, magar Deobundiyon ne Shiyon par khasa time lagaya hai aap on ki articles or book ************* par parh sakte hain. Fi Amaanillah
-
Bhaiyo aap naraaz no ho!! Main ne kuch ghalat kah diya to I am very sorry. Agar aap Shiyyat ki hakikat nahi jaanaa chhatay to aap ki marzi es main khafa hone ki kya baat hai. Aap jis andaaz se chal rehe hain ye issue woheen ka woheen khara rehe ge or resolve nahi ho ga. Main aap ko pehle hi bata chuka ke jis tarha aap laug Deobundion, Qadiyaniyon (jin ka mazhab bhi Hanfi hai) ko bura jaantay ho osi tarha Shiya jo asal shiya hain wo bhi on ko bura jaantay hain jin ka aqeeda hai ke Quran-e-Paak tahreef shuda hai. Magar aap beghair haqiqat ko samjhe aik hi baat par arr chukay hain. Suchh ko nahi jaanan chahte. Agar aap main se koi succh ko jaanan chhahta hai wo bhi (Saha-e-Sitta or Quran-e-Paak) se to baat kare. Aik alihda topic main shooro kar deta hoon. Aap sirf sawalaat poochiye ga, es tarha aik doosray ko bura bhala na kahiye ga. Agar aap (Quran or Saha-e-Sitta) se satisfy na hon to phir Allah ka hukam. Magar suchh to aap ko pata chal jaye ga na. Kahiyee agar moderators or aap sahibaan ki ijazat ho to doodh ka doodh pani ka pani kar den?? Fi Amaanillah
-
Dear friends, Aap meri post ka to kuch jawaab den. Aik doosray se gaali galooch kar rehe hain. Es masla ko conclude karen. Thanks, Fi Amaanillah
-
"Aashiq Kaun" Bhai aap ne ye stuff aik ghair Shiya website*******se hasil kya hai jo ke Shiya nahi hain balke shiyyat ko budnaam kar rehe hain. Jis tarha hum sub Imam Abu Hanifa ke perokaar hain jis main Deobundi or Brailvi dono aate hain or es ke ilawa wahabi, maalki, hunbli or shaafi hain. Hum khud ko doosron se afzal samjhte hain. Isi tarha shiyon ke bhi koi 10 ke kareeb firkay hain jis main se baaz aisay hain jin ka Quran pe imaan nahi, koi Janab-e-Sarkar Ali ko Allah (Naoozobillah) kahtay hain. Magar ye firkay sub se hut kar hain. Jo asal Shiya Imamia firka hai wo en sub ki tardeed karta hai. Main ne Shiyyat ko imaandari se parha hai. En logon ka shiyyat se koi talluq nahi jo Akhbari, Ismaeelia, Zaidia etc hon. Behtar hai ke aap zara (for the sake of knowledge) Shiya Imamia (Usooli) ko study karen aap insha Allah en ko kafir etc kahna bund kar den ge. Kyon ke ye bhi hamari tarha Rasoolallah (PBUH) ke deewanay hain. Hum sirf Rasoolallah (PBUH) ki baten karna or sunana pasand karte hain ye zara aagay nikal kar Ahal-e-Bait ki bhi tareef karte hain jo hum zara en se kam karte hain. To es main naraazgi ki baat nahi hai. Agar en ke Sahaba ke baray main ikhtilafaat hain to wo to sadiyon se hain aaj se nahi hain, magar in ikhtilafaat ko hawa Deobundiyon/Wahabiyon ne di or aik naya Firka "Sipah Sahaba" la khara kya. Aaj apni charon taraf dekhen yeh Firka kaheen nazar nahi aata, bawajood es Firka ne bohat katal-o-ghaarat ki. To bhai, baat yeh hai ko haqiqat ko samjhne ki koshish karen. Jahaan main ghalat hoon mujhe bhi nishaandahi karen. Thanks, Fi Amaanillah