
alSaifiya
اراکین-
کل پوسٹس
300 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
10
سب کچھ alSaifiya نے پوسٹ کیا
-
Need Reference Of Hadees..
alSaifiya replied to I Am Attari's topic in حوالہ جات کے اسکین صفحات کی درخواست
Hadith عن زيد بن أرقم رضي الله عنه، قال: لما رجع رسول الله صلى الله عليه وآله وسلم من حجة الوداع، ونزل غدير خم، أمر بدوحات فقمن، فقال: كأني قد دعيت فأجبت، إني قد تركت فيكم الثقلين، أحدهما أكبر من الآخر: كتاب الله تعالى، وعترتي، فانظروا كيف تخلفوني فيهما، فإنهما لن يتفرقا حتى يردا علي الحوض. ثم قال: إن الله عز وجل مولاي، وأنا مولى كل مؤمن. ثم أخذ بيد علي رضي الله عنه، فقال: من كنت مولاه فهذا وليه، اللهم! وال من والاه، وعاد من عاداه Translation:“It is narrated by Zayd bin Arqam : When Allāh’s Messenger (sal-lal-lahu alai hi wa sallam) was returning after the Hajjat-ul-wadā‘, he stayed at Ghadīr Khum. He commanded that a canopy should be put up and so it was done. Then he said: It seems as if I am about to breathe my last which I shall accept. Indeed, I am leaving two important things in your midst which exceed each other in importance:One (is) Allāh’s Book and the other (is) my progeny. Now it is to be seen how do you treat both of them after me and they will not be separated from each other, and they will appear before me at the Fountain of kawthar. Then added: Surely Allāh Subhana Wa Taala is my Master and I am the master of every believer. Then, holding ‘Alī’s hand, he said: One who has me as his master has this (‘Alī) as his guardian. O Allāh! Befriend him who befriends him (‘Alī) and be the enemy of one who is his enemy.” References: ►Nasā’ī, as-Sunan-ul-kubrā (5:45, 130 # 8148, 8464) ►Hākim narrated it in al-Mustadrak (3:109 # 4576) ►Tabarānī, al-Mu‘jam-ul-kabīr (5:166 # 4969) ►Nasā’ī related it with a sound chain of authorities in Khasā’is amīr-il-mu’minīn ‘Alī bin Abī Tālib (pp.84, 85 # 76) Yeh ek aur forum pe dekhi hai waisay aisi bohot si Ahadith hain lekin apko chunkeh reference chahiye toh dekh lijiye -
waisay kya yeh book online bhi hai ? agar hai toh koi link de sakta hai ??
-
Bhai mujhay english mein kafi acha aur Detailed Article mila hai jis se pata chala ke yeh sari shaitani Albani aur uskay chailon ki hai jis ne Wasilay wali Ahadith ko Zaif qarar denay ki sazish ki magar uska bharpoor Radd mujhay mila lekin mein chunkeh Urdu mein chahta tha is liye agar urdu mein ho jata toh behtar thay anyways . agar ap ke paas itna waqat nahin toh koi baat nahin main English walay se kaam chala loonga .
-
Aray bhai kam se kam koi tasali hi de day kya iska koi jawab mil sakta hai ?? US Article mein toh us Wahabi ne Sabhi Ahadith aur Tafasir mein bayan kiye jane walay Hikayat ko Zaif bana diya kya iska koi jawab nahin mil sakta ?? kam se kam koi itna hi bata de agar jawab mil sakta hai toh main sabar karoon .
-
aur yeh request bhi hai keh wasilay pe kuch aisay dalail dein jin ka inkaar koi na kar sakay . kuch waziyah Waseelay pe Saboot bhi Muhaiya kar dein .
-
میری ایک وہابی سے وسیلے کے موضوع پی بحث ہو رہی تھی تو میں نے اسکو چند آیات اور کچھ احادیث دکھائی تو اس نے مجھے کہا یہ تمام احادیث ضعیف ہیں ان میں میں نے حضرت مالک بن داررضي الله عنه والی حدیث جس میں ایک صحابی رضي الله عنه حضور نبی اکرم صلی اﷲ علیھ وسلم کی قبر انور پی حاضر ہو کے بارش کے لئے گزارش کرتے ہیں .اور ایک وہ جو حضرت عمررضي الله عنه نے روایت کی جس میں حضرت آدم علیھ سلام نے نبی اکرم صلی اﷲ علیھ وسلم کے وسیلے سے مغفرت طلب کی اور ایک وہ حدیث جس میں صحابی رضي الله عنه کی بینائی کے لئے وسیلے کا ثبوت ہے . اب یہ تمام احادیث چونکہ مشہور ہیں اور ان کے سہی ہونے پی اقوال بھی موجود ہیں لہذا یہ میں نے پیش کی تو اس نے مجھے آگے سے ویڈیو اپلوڈ کر کے دے دی جس میں یہ آرٹیکل ہے براے مہربانی اس کا جواب دیجئے تاکہ میں اسکو بھی دوں اور اپلوڈ بھی کروں تاکہ دوسروں کو بھی اس سے بچایا جائے کیونکہ مجھے یقین ہے کے یہ ارٹیکل اور بھی وہابیوں کے پاس ہو گا اگر اس کا جواب لکھ کے اس آرٹیکل کا رد کیا جائے توہ یہ کافی فائدہ مند ہو گا ہمارے لئے - نہیں تو کم سے کم ان ٣ احادیث کا جواب دے دیا جائے . اور اگر اسکا کوئی جواب پہلے سے ہی موجود ہے توہ مجھے دے دیجئے - شکریہ
-
Zair-E-Muay-E-Naaf Saaf Karnay K Mutaliq Tafseel
alSaifiya replied to Eccedentesiast's topic in فتاوی اور شرعی مسائل کا حل
Gee bhai main ne chek ki hai woh website aur unka fatwa wala software bhi download kiya hai . bohot shukriaya apka -
Zair-E-Muay-E-Naaf Saaf Karnay K Mutaliq Tafseel
alSaifiya replied to Eccedentesiast's topic in فتاوی اور شرعی مسائل کا حل
Bhai bohot bohot shukriya apka , apke kehnay pe us din main ne dawet islami pe poocha tha unhon ne mujhay bataya tha lekin is fatway mein kafi Tafseelan bataya gaya hai . Bohot Shukriya Allah apko khush rakhay -
Mukhalifeen Ka Radd Posters Ki Soorat Main
alSaifiya replied to Mughal...'s topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Balke main toh kehta hoon keh Tamam Posters jo members banatay hain is ek thread mein post kar ke is thread ko pin kiya jaye toh zayada behtar hai bajye iskay ke har member apnay posters Alehda post karay . -
Mashallah Bhai apne bohot acha kiya yeh article pesh kar keh . hum logon ke mulq mein yeh badtareen fail bohot zaida phel raha hai aur yahan bhi Europe mein yeh fail humaray bachon mein phel raha hai . Inshallah Taala doosron ko is se rokain ge aur Allah Paak humain bhi aisi behayai se mehfooz farmaye ..
-
Mukhalifeen Ka Radd Posters Ki Soorat Main
alSaifiya replied to Mughal...'s topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Mashallah bhai bohot khub . aap ne in posters ko banana mein kafi mehnat ki hogi . -
@ Sybarite Bhai main ne apki behas dekhi doosray forum pe bhai Mashallah main khushamad nahin karta lekin Achi cheez ki tareef zaroor karta hoon aap ne bohot Achi aur umdah ilmi behas ki aur Batil ki bolti band kar di aur apki baton se hi dikhai deta hai ke Allah ne apko kafi Ilam diya hai . Allah Paak apke Ilam mein aur Izafa Farmaye aur Hamesha Haq ki tableegh karnay ki tofeeq aat farmaye .
-
Ya Rasoolallah Kehna Najaiz Hai Iska Jawab Chahiye
alSaifiya replied to Rizwan Q's topic in اہلسنت پر اعتراضات کے جوابات
Agar Barelvi Ulema ke fatwon ko itna hi mantay ho toh jo Hazron Barelvi Muftiyon ne isko Jaiz kaha hai uspe nazar kiyun nahin jati ? -
(ja) Bhai Waqiya hi apne bohot Aala kaam kiya Allah Ta'ala apko iska ajar Aata farmaye ..
-
Abhi abhi mujhay The Ahle Haq ki taraf se mere message ka jawab mila unhon ne farmaya : " walykum salam bhai, me ny video daikhle hy. ye tu wahabion ke porani munafqat hy,jab public me jaty hai tu kuch kehty hai aor kitabon me kuch.Aisa Zakir Naik ky ilawa digar AhleHadis ghair muqalid bhe kerty hy.Jaisy Talib ur Rehman,Meraj Rabbani etc Meire video my aek sunni student ny Zakir Naik ki kitab dikhae jis me vo keh raha hy ky Allah can Lie(Ma'azAllah) but jo vid apney bheje us me keh raha hy ky "Allah can't Lie". Kitab me jo aqeda Zakir naik ka hay wo Ismail Dehlvi ke book YakRozi ky kufriya aqqedy ke taed hy jis me vo ye kehta hy Allah can Lie. Ab sachi baat aor Haqq to ye hy ky Zakir Naik apne Kitab ky mundarijat aor Ismail Dehlvi ky aqeday se barat ka izhar karay aor agar munafiq nahi tu keh de ky Ismail Dehlvi ka aqeeda Gustakhana hy. Ap yaqen karain ke ye tu kiya koi wahabi aisa nahi karay ga kio ky Ismail Dehlvi ko tu Imam samjhty hay...wajha Munafqat. ap jis zakir naik ky chamchy se baat ker rahy the,,,us se kahay ke Zakir Naik se above mutalba pora kerva dai. Me vo video delete ker don ga. " Allah Paak se dua hai ke unhain Batil ke khilaaf ladnay ki tofeeq aata Farmaye . aur hum sabko is Moozi Dr. se bachnay ki tofeeq aata farmaye .
-
kya molana Iltaaf Husain Hali wahabi thay ??
-
Haan bohot achi batain kartay hain yeh . Yeh mujhay toh baton se Sahi ul Aqidah Sunni hi lagtay hain . In ke baray mein kafi kuch sunna log inke baray mein bohot batain kartay han koi kehta hai keh yeh yussuf kazzab ke saath the lekin yeh is ka inkaar kartay hain aur baton se toh in ke Nabi Paak ka Ishaq hi jhalkta hai baki Allah behtar jantay hain .
-
Fitna-e-Najad wali Hadees ka Misdaq kon?
alSaifiya replied to Talinenoor's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Yeh log mar jayain ge zalil o khawar ho jayain ge lekin haq kabhi tasleem nahin karain ge kyunkeh bachpan hi se in ke gharon mein inko brain wash kiya jata hai yeh log waqaiye hi Badtareen log hain . aap dekhain ke usko itna waziyah aur thos dlail diye gaye magar woh apni hi ek baat pe jis ka jawab kitni baar le chuka hai usi par arka hua hai . Yeh nahin manain ge chahay jo bhi ho jaye . baki Allah azzwajal hi hidayat denay wala hai - -
Baraye meharbani agar kisi ko ilam hai toh meri help kijiye is muamlay mein zara jaldi -- plz
-
Dono tareeqon se Link pesh kar di hai . ab humain mozu pe aana chahiye .
-
Done ! Lekin abhi bhi videos show ho rahi hain !!
-
Asalam o Alaikum . Ke baad Arz hai ke chand roz pehlay TheAhleHaq jin ka account youtube pe hai ne ek video upload ki zakir naik ka ek lecture kitaab ki soorat mein chapa jin mein unhon ne Dikhaya ke Zakir Naik ne Gustakhana batain ki hain . Main ne woh video dekhi jis tarikay se Bhai AhleHaq ne dikhai us se toh aisa saaf zahir tha ke Zakir Naik Mal'oon ne gustakhi ki hai aur us ne Allah paak ko Jhoot Zulam jaisay aibon pe Mazzallah Qadir kaha Jabke Allah har aib se Paak hai aur aisay aibon ka Allah Paak ki zaat mein hona Muhal hai . aur main ne is video pe comments bhi diye aur zahir hai ke jaisay AhleHaq bhai bata rahay thay toh lag raha tha ke saaf Gustakhi hai lekin ek Zakir ka Supporter lagatar behas akr raha tha keh us ne yeh baat farziya ki hai samjhanay ke liye aur us ka matlab ghalat andaz se pesh kiya jaa raha hai lekin main ne uski na suni kiyunke zakir naik ki pehli gustakhiyon ki wajah se mujhay yakeen tha ke yeh bhi us ne ki hogi lekin us larkay ne mujhay is lecture ki video send ki jis mein muamla kuch aur tarah ka lag raha hai . Dono Videos dekhen ( Poori dekhiye ga take Pata chal sake ) [ Yeh Video Ahle Haq ne upload ki hai ] http : // www . youtube . com/watch?v=BZrLm7H7Oxc OR Video By Ahle Haq [ Yeh Video us lecture ki hai ji pe kitab chapi ] http : // www . youtube . com/watch?v=X6Ycq73ddvM OR Ab masla yeh hai ke lecture mein toh waqiya hi baat kuch alag dikh rahi hai . aur main ne toh Ahle Haq ki video ki comments mein un Ibarat ki wajah se Kafir bhi keh diya Maloon Naik ko . lekin mujhay is baat k dar hai keh kahin mujh se koi ghalti na ho gayi ho . Main is Nalaik ki doosri Gustakhiyon ke bais is se shadid nafrat karta hoon lekin is muamlay mein mujhay kuch samjh nahin aa rahi baraye meharbani meri Islah kijiye aur agar hum ghalti pe hain toh mujhay bataiye take main ne jo kuch kaha woh ilfaaz wapis le loon aur agar in dono video ko dekh kar aap ko koi Gustakhi nazar aye toh mujhay us se bhi Agah kijiye . Aur agar kahin miss type ho gayi ho ya kam Ilam ki wajah se koi baat ghalat ho gayi ho toh aap sab se bhi Mufai Talab karta hoon aur Allah se bhi Maffi Mangata hoon .Aur agar koi baat main ne ghalat ki ho toh baraye meharbani mujhay correct kijiye .
-
Hazrat Isa Ki Wapsi Nabi Ki Hasiyat Se Ya Wali Allah ?
alSaifiya replied to alSaifiya's topic in شرعی سوال پوچھیں
Jazakallah Bhai . apka bohot bohot Shukriya Allah paak apko khush rakhay aur deen mein Istiqamat aata farmaye -
Hazrat Isa Ki Wapsi Nabi Ki Hasiyat Se Ya Wali Allah ?
alSaifiya replied to alSaifiya's topic in شرعی سوال پوچھیں
*Bump -
Hazrat Isa Ki Wapsi Nabi Ki Hasiyat Se Ya Wali Allah ?
اس ٹاپک میں نے alSaifiya میں پوسٹ کیا شرعی سوال پوچھیں
Asalam o Alaikum Bhaion. Main kal se aik Muamlay mein thora sa confuse hoon . Bachpan se hi yehi Sunna hai ke Hazrat Isa Alyehi Salam jab doobara Duniya mein ayen ge Jaisa ke Qur'an aur Hadith se sabit hai toh tab woh Nabi Paak Salalaho Alyehi wasalam ke Umati ki Hasiyat se ayenge aur Shariyat e Muhamadi Salalaho Alyehi Wasalm ke Tabeh hon ge aur Jaisa ke ek Hadith mein Nabi Paak Salalaho alyehi wasalm ne farmaya : ( Tibrani ) " Khabardar ! Mere aur Isa ibne Mariyam Alyehi Salam ke mabain na koi Nabi hai na koi Rasool Magar yeh keh woh Mere baad Meri ummat mein Mere Khalifa hon ge " toh main kal se is muamlay mein thoda confuse hoon ke kya jab Hazrat Isa Alyehisalam wapis ayen ge toh us waqat woh Wali Allah hon ge ya us waqat bhi Nabi hi hon ge ? Is baray mein Ulema kya farmatay hain ? Meri Rehnumayi farmaiye is muamle mein Allah paak apko Jaza de ga . Edit : Sorry ghalti se jaldi mein ghalat section mein post kar diya yeh toh behno ka section hai . Mods plz move it to appropriate section