-
کل پوسٹس
628 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
46
سب کچھ Sybarite نے پوسٹ کیا
-
Syyedi Taaj'ush Shariah ka bayan audio mein hai, hum ne ye isay video mein convert kar ke Youtube per lagaya tha tu sari Minhaji machinery harkat mein aa gai aur sara zorr lagwa kar uss video ko Youtube se remove karwa dya, lekin ab tak kisi maee ke laal ne jawab nahi diya. Khair aap ki asaani ke liye mein audio files attach kar do ga, filhaal tu najanay mere network ka masla hai ya forum ka, koi bhi file attach nahi ho rahi, InshAllah jald hi attach kar do ga. Aur agar audio sunnay mein koi masla ho tu bataiye ga mein koshish kar ke jaldhi Urdu mein tehreer kar do ga lekin Syyedi Taaj'ush Shariah ki taraf se ye jawab audio mein hi hai.
-
Koi iss bawlay Tahiri Zahid Haider ko samjhaye ke html files kya hoti hain aur unhay attach karnay se kya hota hai. Ye mousof Youtube per video dekhtay hain, aur uss webpage ko apnay pc per save kar ke yaha wohi html page upload kar kehtay hain ke ye jawab hai. Mere tu baar baar kehnay ke baad bhi iss ki mooti aqal mein baat ghus nahi rahi. Koi aur bawlo ka doctor hai yaha jo isay samjha sakay? Sach hai! ..Khuda jab deen leta hai tu aqlein bhi cheen leta hai!
-
@Zahid Haider Aap ne phir apni be'waqoofana post kar ke apna time barbaad kiya. Awwal tu aap jo ye html files attach kartay hain tu aap ko pehlay bhi bata chuka ke ye aap ke ilawa kisi se bhi open nahi hoti. Htmls files iss tarah copy nahi ki jati jis tarah aap kartay hain. So aqal ke nakhun lijiye aur agar jawab dena hi hai, tu jaisay aap ye sari bakwaas likhtay hain waisay hi jawabaat likh kar dein. Ye Dr. Padri ki websites se html pages copy karne se kuch nahi hona. Haa aap ko ijazat hai ke jo waha likha woh apni post mein copy kar dijye. Sawalaat tu aap ko yaad hain ya dobara yaad dilao? Aur rahi baat Allama Iqbal ki, tu uss per aap ka jo sawal hai usay alehda se likh kar post kar dein, woh post approve kar ke aap ke munh per thappar jald hi raseed kar diya jaye ga.
-
Janab hanfigroup sahib, Aap ka wohi ghissi pitti taweelat per mabni jawab parha, jo%
-
@Zahid Haider Mere 2 din ghair'hazir rehnay ke baad bhi aap ki taraf se na mere kisi sawal ka jawab aya hai aur na hi Saeed bhai ke kiye gaye naye sawalaat ka jawab. Aap ne post zaroor ki hai lekin unn mein woh jawabaat nahi jin ki humein zaroorat hai. Aap ke paas siwaye Dr. Padri ki fazeelatien bayan kar ke aur kuch nahi. Jis khuwaab ka aap baar baar zikr kartay hain lekin khuwaab ke mamlay mein kiye gaye sawal ka jawab dena bhi shayad aap ke bus mein nahi issi liye jawab dene ke bajaye aap sirf Khuwab ka zikr kartay hain, uss per humaray sawaal ka jawab nahi dete. Tu janab yaha per Sunni Tahiriyo ki tarah farigh nahi. Dr. Padri ke chaheetay Deobandi/Wahabi/Shia bhi yahan hain aur unhay bhi jawabaat dene hotay hain. Lihaza aap jaisay behs'baraye behs karne wale per ab aur waqt zaya karna kisi tarah munasib nahi. Haa aap ko ban nahi kar rahay hain hum, iss liye aap ke paas abhi bhi mouqa hai ke aap jawab dein. So ab jab humein aap ki jawabi post mosoul hogi, tab aap se baat hogi. Tab tak apni tabyat aur ilmiyat ki mutabiq shoor machatay rahien.
-
Agar tumhay ye iqaar hai tu phir pehlay tu apni post ko sudharo. Khair Shaykh-ul-Chughat ki mohabbat mein tum itnay deewanay ho ke machal kar post karna shuru kar di, lekin issi Dr. Padri ki mohabbat mein tumhay itni toufiq nahi hoti ke tum humaray sawalaat ka jawab do. Tum se baar baar kehnay ke baad bhi abhi tak tum ne kisi sawaal ka jawab nahi dya. Ab tu hadd ho chuki, so ab mein tu apna sawal duhrao ga nahi, haa tumhay ghairat hai tu unn sawalo ka jawab de do aur agar nahi de saktay tu maan lo ke ye Dr. Padri hi hai, aur phir bhi nahi mantay tu khamoosh raho. Humein gaaliya dene se ye Dr. Padri Qadri nahi ban jaye ga. Rahi baat mere ikhlaaq ki, tu mera ikhlaaq unhi ke liye hai jo Sahih-ul-Aqeeda hain. Aur gali tu mein abhi bhi nahi de raha. Padri keh raha hun jo ke iss ki harkato se sabit hai. Christians ke saath Christmas mananay walay ko, unhay Believers kehnay ko Padri hi kaha jaye ga. Ab tum isay gaali samajhtay ho tu ye tumharay dimaagh ka fitoor hai humara kasoor nahi.
-
Saeed bhai ne koi gali nahi di, wohi kaha hai jo Ulema-e-Kiram ka kehna hai. Christians ke saath Christians ke mazhabi tehwaar mananay wala kisi bhi tarah se Qadri nahi ho sakta, Hazrat Ameer Muawiya(ra) ki siyasat ko FITNA kehnay wala kisi bhi tarah Qadri nahi ho sakta. Inhi wajoohaat ki bina per isay Dr. Padri kaha jata hai kyu ke aisay aqaid walay ke saath Qadri ki nisbat jachti nahi. Agar tumhay Padri lafz itna na'gawar guzarta hai tu asaan sa hall hai. Christians ke saath jo iss ne Christmas manai ussay Quran-o-Hadith se sabit kardo, Christians ko jo yeh Believers kehta hai usay Quran-o-Hadith se sabit kar do, hum isay Dr. Padri kehna band kar dein gay. Agar inn baato ka tumhare paas koi jawab nahi tu phir yehi sabit hota hai ke Padriyo ke saath Christmas mananay wala ye shakhs Padri hi kehlanay ke layak hai. Rahi baat meri tu mujhay tu tum ne private messages mein dobara apni khaslat ke mutabiq gaaliya hi dein hain. Khair mujhay iss se koi farq nahi parta. Mein tumhay solution bata chuka ke Christians ke hawalay se humaray sawalo ka jawab de do lekin tum bajaye jawab dene ke ab tak sirf gaaliya hi baktay aye ho. Shayad roy-e-zameen per kisi Tahiri ke paas inn batoo ka jawab hai hi nahi warna gaaliyoo ke bajaye humein jawabaat mousool hotay.
-
Janab aap ke Ismail Dehalvi se iss ka bilkul taluqq hai. Ye Ismail Dehalvi hi thay jinho ne apni kitab mein ye ibarat likhi. Iss ki safai mein ab tak Deobandi hazrat jitni taweelaat ghar chukay sab ka mudallal jawab bhi dya jaa chuka. Aap ke paas koi naee taweel hai tu mukhtasiran yahi paish kar dijiye, agar koi naee baat huwi tu iss per alehda topic bana kar baat kar li jaye gi. Ilm-e-Ghayb ka zikr tu khud aap ne bhi apni post mein kya, ab jawab mila hai tu kehtay hain ke alehda topic bana lijiye. Ilm-e-Ghayb ki istilaah ke istimaal per bhi aap ne baat ki Itilaa-e-Ghayb ke aap qayal hain, Ilm-e-Ghayb ki nafi sabit karne ke liye hi tu aap ne Malfoozat-e-Ala Hazrat ka hawala paish kya tha, ab jawab mila hai tu bokhla kyu gaye hain janab. Chaliye Ilm-e-Ghayb per tafseeli jawab na sahi, Ittila-e-Ghayb ke zaman mein jo arz kya ussi ka jawab de dijiye. Aap ne khud hi likh mara ke Ilm-e-Ghayb sirf Allah ki sift hai, jab aap ke samnay aap ke Thanvi jee ka qoul paish kya tu jawab dene se katra rahay hain. Khuwaab ke silsilay mein aap se mein ne bhi sawal kya ke khuwab awwal tu Taqi Usmani ne khud dekha bhi nahi, phir kisi aur ke aisay khuwab ko awaam ke beech bayan karna, aur phir uss khuwaab ki tanbeeh ke nataij se bachnay ke liye iqdamaat bhi karna, kya iss bhi ye sabit nahi hota ke khuwab ko hujjat maan kar ye sab kaha gaya. Agar ye khuwab hujjat na thi tu phir isay bayan kar ke, iss se istadlaal kartay huway Ayaat-e-Kareema ki tilawat ki talqeen hi kyu ki? Aik khuwaab se ainda paish anay waqiyaat ki khabr per yaqeen karna, phir uss khabr per yaqeen kartay huway bayan karda nataij se bachne ke liye Ayaat-e-Kareema ka wird karne ki talqeen karna, ye sab agar aqaid nahi tu aur kya hain? Khuwab khud be'shak aqaid ke liye hujjat nahi, lekin khuwab per yaqeen kar ke, usay awam mein bayan karna, phir uss khuwab ki talqeen ko sach man kar uss per amal karna bhi kya hujjat nahi! Misal ke tour per koi shakhs khuwab mein dekhay ke uss ka Sheikh usay kufr ka hukm de raha hai tu uss per fatwa nahi hai, lekin woh shakhs uss khuwab ko halat-e-be'dari mein bayan bhi karay, aur uss khuwaab mein ki gai talqeen ko awaam main paish kar ke awaam ko talqeen karay tu Kufr hoga. Rahi baat aap ke Sajid Bhai ki, tu woh kya zanaani hain jo khud post kartay unhay sharm aati hai. Ye aap ko kyu kabootar bana kar messages bhijwa rahay hain? Kahi woh aap Deobandiyo ke "Qutb-e-Rabbani" aur un ke "Rafeeq-e-Jani" wala mamla tu nahi aap dono ke beech?
-
Bhai aap kyu jazbaati hotay hain. Inn jaiso ke liye mein kafi hun, aap kyu jee jalatay hain. Aur ye tu in becharo ke naseeb mein hai, Padri ko poojna aur Ulema-e-Haq per ungli uthana. Jo banda Hazrat Data Sahib ko indirectly Munkir-e-Hadith qaraar de de, woh aap ke aur mere Murshid ka kya lihaaz karay ga. Ab is Zafar Haider ne aik aur post ki hai, jo poora Gaaliyo ka encyclopedia hai. Mere saath saath ab ye aap per bhi bhoonk para hai. Mein usay approve kar nahi sakta ke yaha humari behnay bhi aur bachay bhi, moderators ke dekhne ke liye rakh chori hai. Aik baat tu confirm hai ke ye post kartay huway iss ke munh se pagal kutto ki tarah jhaag zaroor urr raha hoga. Saeed ko iss ne "Seed" likha hai, kameenay ko "kmeine" mujaddid ko "mojdid" likha hai, scientist ya sciencedaan ko "scincedan" likha hai, Christofer ko "kristo far" likha hai, matlab ke just imagine the height of frustration! Khair mein ne jawab mein isay private message kar ke batla dya hai ke ye apnay Dr. Padri aur Christians ke taluqaat ko Quran-o-Hadith se sahih sabit kar de, hum isay Padri kehna choor dein gay. Ab agar iss mein ghairat hogi tu jawab de ga, warna yehi pagalo ki tarah bakta rahay ga.
-
Mere khayal mein forum members tumharay pehlay private messages ki gaaliyo se hi tumhay pehchaan chukay. Ab ye koi Tahiriyatt ka bazar tu hai nahi jaha tum apni ghalazat dil khool ugaltay jao. So filhaal itna hi kafi hai. Waisay tumharay last private message mein tum thora sudhartay huway nazar aye, umeed hai poori tarah sudhar kar doosray topics mein jo sawalaat kiye gaye hain un ka jawab bhi de do gay jald hi.
-
Aap ka mazaak tu khair jawab dene ke layk hi nahi. Aap ke serious jawab ki taraf aatay hain. Aap ke mutabiq Maa ke pait mein kya hai ye siwaye Allah ke aur koi nahi jaanta. Tu phir ye bataiye ke Hafiz Ghulam Murtaza Majzoob Pani'patti ko aap kya Khuda mantay hain? Ab aap yaqeenan poochay gay ke ye kaun se bala hai. Tu ye woh Majzoob sahab hain jinho ne aap ke Ashraf Thanvi ki paidaish ka itna tafseeli mau'ina kya ke poochiye hi matt. Aap Maa ke pait ki baat kartay hain, inn Ghulam Murtaza sahab ne aalam-e-arwah mein pohanch kar ye tak batla dya tha ke Ashraf Ali Thanvi ki walida ke bachay Hazrat Ali(ra) aur Hazrat Umer(ra) ki "Kasha'kashi" mein girr jatay hain. Tafseeli hawala chahiye ho tu bataiye ga:P
-
Chisti Qadri bhai, Aap ki posts kaafi pehlay parh chuka mein. Dua hai ke Allah apnay Habib(saw) ke sadqay aap ko issi tarah Maslak-e-Ahle'Sunnat per qaym rakhay aur issi per mout de. Mujhay jis baat per hairat hoti hai woh ye ke Tahiriyo ke samnay Dr. Padri ki buraee ki jaye tu unhay bura lagta hai aur ye forun diffa karnay aa jatay hain. Lekin jab koi bad'mazhab Aaqa-o-Moula(saw) ki shaan mein gustakhi kare tu inn ki ghairat josh nahi maarti. Ab iss Zahid Haider ko dekh lijiye, ye kehtay hain ke ye pichlay 2 saal se is forum per hain, lekin aaj tak Deobandiyo/Wahabiyo ki gustakhiya dekh kar inki ghairat ne josh na mara. Inhay Dr. Padri ke diffa mein tehqeeq kar ke justification dene ki ghairat hai lekin Namoos-e-Risalat(saw) ki khatir Ilm hasil karne ki toufiq nahi. Yehi Deobandi/Wahabi/Shia ke sath jab Dr. Padri khushi khushi galay milta hain, inn bad'bakhto aur Sunniyo ko AIK kehta hai tab inhay ghairat nahi aati ke ye shakhs Sunniyo ko Deobandiyo/Wahabiyo/Shiyo se mila kar kya sabit karna chahta hai!
-
Need Scan Pages Of Book "Zadus Saeed" Please
Sybarite replied to Mohammed Saeed's topic in دیگر تمام درخواستیں
Janab Zaad'us Saeed mein bhi Deobandiyo ne apni fitrat ke mutabiq changes kardi hain. New edition jo mere paas hai uss mein woh hissa hi ghayab kar dya hai. Khair aap ko agar ye saboot kisi deobandi ko dhikana hai tu iss ka aik aur tareeqa hai. Aik kaafi mashoor Deobandi forum hai, waha kuch arsay pehlay aik Deobandi ki post mein Zaad'us Saeed ke issi hissay ka zikr kya tha. Uss deobandi ki post mein Nalain Mubarak ka bhi zikr hai aur poray topic mein kisi ne uss ki baat ka inkaar nahi kya. Aap thori dair rukiye, mein uss forum aur uss topic ka link aap ko private message mein de deta hun. Shayad kuch kaam aajaye. -
Abhi kuch dair pehlay iss forum per naye naye warid huway Zahid Haider ka mujhay private message mousool huwa hai. Waisay reply dene ke qabil tu nahi lekin itmaam-e-hujjat ke liye ye bhi sahi. Iss Zahir Haider ki ilmi auqaat tu aap sabhi hi dekh chukay hon gay ke isay Jaandaar ki tasweer/video aur Kaabatullah aur Rooza-e-Rasool ke tasaweer ya video ke ihkaam ka farq nahi maloom. Ab iss message mein iss ne apni "Ilmiyat" ka aur muzahira kiya hai. Meri guzarish ye hai ke iss bawlay Padri ke pujari ka message parhne se pehlay apnay zehn ko tayyar kar lijiye ga, kyu ke iss ne apni kafi ghalazat ugli hai. Mere liye tu khair ye lateefay se kam nahi, ke iss baar baar sawal kar raha hun lekin seedhay se sawalaat ka jawab dene ke bajaye ye bechara gaaliyaa de de kar apni khaffat mitanay ki na'kaam koshishein kar raha hai. Haa miya jee! Jaisa ke mein ne tumhay private message mein bhi batla dya tha ke kutto ka kaam hi bhonkna hota hai, lekin jab ye bhoonktay kuttay kaatnay per utar aye tu inhay patta daalna parta hai. Tumharay saath bhi yehi maamla hai. Pehlay tum nay idher udher ki bakwaas kar ke dhair saray topics banaye, lekin asal sawalo ka koi jawab nahi diya. Baar baar samjhanay ke baad jab tum apni asli auqaat per utar tu majbooran tumhari posts ko approval-only mode pe rakh dya ke jab tak post approve nahi hogi doosray members ko nazar nahi aye gi. Iss mein hum ne koi ziyaddti bhi nahi ki. Tum per pa'bandi ke baad tum ne 2 posts ki, jis mein se aik mei tum ne kuch sawal kiye jo hum ne approve kar di aur jawab bhi de diya. Doosri post mein siwaye bakwaas aur gali galoch ke kuch na tha iss liye ussay Padri ke dabbay mein, matlab khachray mein phaink dya gaya. Khair ab iss baar tum nay aik naya lateefa choora hai. Video aur tasweer ke mamlay per tum ne baghair tehqeeq mere murshid per ilzaam laga diya ke pehlay unho ne video/pictures per najayaz ka fatwa dya phir jayaz kar diya. Jis ke jawab mein mein ne tumhay batla dya ke Huzoor Taaj'ush Shariah ka fatwa pehlay bhi video/pictures ke khilaaf tha aur ab bhi khilaaf hai aur unho ne aaj tak tasweer ya video nahi banwai. Is ke jawab mein tum ne bakwaas ki ke mei ne Huzoor Taaj'ush Shariah per jhoota ilzaam lagaya hai, aur daleel ke tour per tum ne passport aur visa mein tasweer ki baat ki ke baghair tasweer passport aur visa waghaira ka husool ya international travel karna mumkin nahi. Tu bawlay Padri ke jahil pujari, pehlay tu jaa kar kisi alim se Shar'aee ihkaam ke ittilaaq ki tafseel poocho. Ke kin halaat mein shariat ka hukm lagta hai aur kin halaat mein nahi. Ye tu sabhi jantay hain ke jaha majboori ho, jaisa ke agar kisi Sunni ko koi Hindu galay per talwaar rakh kar poochay ke tu Muslim hai ya Hindu, aur Musalman ko jaan ka khatra ho to woh khud ko Hindu keh sakta hai. Aisi soorat per koi azaab nahi. Yehi mamla passport aur visa ka hai. Ke baghair tasweer diye passport aur visa ka husool na'mumkin aur baghair passport/visa Musalman Hajj per bhi nahi jaa sakta. Aisi soorat mein jab koi aur raasta na ho, aur Musalmaan ko majboori ke teht koi haram fayl karna paray tu uss per Shariat ki girift nahi. Mein ne jab ye kaha ke mere Murshid ne kabhi tasweer/video nahi banwai tu iss se murad yehi ke jaisay tumhara Dr. Padri apni shuhrat aur khud'numai ke liye Tasweerain banwata hai, waisay apni khushi se kabhi tasweer nahi banwai, balkay apnay chahnay walo ko bhi sakhti se apni tasweer lene se mana kartay hain lekin phir bhi koi agar chup kar tasweer le le tu iss mein Hazrat ka koi kasoor nahi. So agar mere Murshid passport/visa ke liye tasweer dete hain tu apni khushi se nahi, balkay Government ke rules ki majboori ki bina per warna tu Hajj ka fareeza bhi ada nahi kar patay. Aqal walo ke samajhnay ke liye itna hi kaafi hai. Tumhay tu mujhay maloom hai ke abhi bhi samajh nahi aye hogi baat. Tum ne Hazrat Ilyas Qadri sahib ki baat ki, aankhein khool kar parh ab. Mein apnay Murshid ke fatway ke hisaab se Tasweer aur Video banwanay ko HARAM samajhta hun, chahay koi bhi karay. Haa ye zaroor hai ke Tasweer/Video ke mamlay mein Ulema mein ikhtilaaf-e-raye hain. Kuch ka qoul apnay dalail ki bina per jayaz ka hai aur kuch ka qoul na'jayaz ka. Aur Shariat ke ihkaam ke mutabiq aisay maamlaat mein awaam ko Ulema per tanqeed ka haqq nahi. Ye Ulema ka apas ka ikhtilaaf hai. Mere Walid se purana dost Hazrat Ilyas Qadri Sahib ka shayad koi na ho aur dost matlab intihai hadd tak be'takalluf dost, iss ke ba'wajood mere Walid ka Hazrat Ilyas Qadri Sahib se kuch batoo per ikhtilaaf hai, aur aaj se nahi, taqreeban 30 saal se hai! Lekin iss ke ba'wajood mere Walid kabhi Hazrat Ilyas Qadri ke khilaaf kuch nahi kehtay kyu ke ikhtilaaf Usooli nahi hai! Hazrat Ilyas Qadri Sahib bhi ye jantay huway ke mere Walid ko un se ikhtilaaf hai, kuch arsay qabl unhay dawat per mad'oo bhi kar chukay aur dono bari izzat-o-ihtiraam se milay. Lekin khair ye baat bhi tumhari ilmi auqaat se kaafi oonchi hai iss liye mujhay yaqeen hai tumhari abhi bhi samajh nahi aya hoga ke Ikhtilaaf-e-Ulema per awaam ke liye kya hukm hai. Agay tum ne mere TV dekhnay ki baat ki. Tu bachay mei TV dekho ya na dekho, iss se farq kya parta hai? TV dekhna mere murshid ke fatwa se ghalat hai, aur mein iss fatway ko sahi manta hun. Dunya mein aisay bohut se sunni hain jo Sharab ko haram bhi jantay hain aur peetay bhi hain, lekin koi maee ka laal unhay Sunniyat se kharij nahi qaraar de sakta kyu ke Gunah aur hai aur Shar'aee hukm ko na manna aur hai. Mein TV bhi dekhta hun, gunehgaar aadmi hun, aur bohut se gunaho mein mubtila hun lekin kam'az kam isay ghalat zaroor samajhta hun. Tum jaisay Padri ke pujariyo ko abhi tak Aamaal aur Aqeeday ka farq nahi maloom aur phudak phudak kar bakwaas kar ke apna tamasha banwatay ho. Phir tum ne kaha ke tum ne 1 nahi 5 ahadith se raqs ko sabit kya. Tu bachay raqs ke mamlay mein abhi tak mein ne tumhay inkaar kya? Bilkul nahi. Raqs ke mamlay mein tumhay mein ne Hazrat Data Sahib ki Kashf'ul Mahjoob dikha di jis per tum ne mujhay Hadith ka munkir qaraar dya. Jab ke hawala Hazrat Data Sahib ka hai, so tum ne Hadith ka munkir mujhay nahi balkay Hazrat Data Sahib ko qaraar dya. Ab tum kehtay ho ke hadith moujod hai tu phir kisi buzurg ke qoul ki zaroorat nahi. Tu bachay pehlay sahi se hadith tu quote karo. Tum ne tu hadith likhi hi nahi, tum ne tu hadith ka apnay alfaaz aur apni samajh se khulasa likha hai. Hum Hadith ke munkir nahi, hum hadith se ghalat maani le kar apni be'hooda harkatoo ki safai dene walo ke khilaaf hain. Tumhay lagta hai ke tumharay Dr. Padri ko Tasawuff per Hazrat Data Sahib se zyada uboor hasil hai? Tumhay lagta hai ke Hazrat Data Sahib ne ye ahadith nahi parhi hongi? Raqs ke mamlay per mera mutaliba bara seedha sa hai. Mein ne tumhay Hazrat Data Sahib ki kitaab se hawala paish kar diya, mera wohi mouqiff hai jo Hazrat Data Sahib ka hai. Ab agar tumhay lagta hai ke mein Hadith ka munkir hun, tu jao Hazrat Data Sahib ki iss kitab ke khilaaf fatwa le aoo. Lekin mein janta hun ke poori Tahiriyatt Dr. Padri samait gharat ho jaye gi lekin Hazrat Data Sahib ke khilaaf fatwa nahi laa sakay gi, tum jaisay 2 takkay ke Tahiri ki tu phir auqaat hi kya. Ab aakhir mein tumhari post ka sab se baray lateefay per thora tabsarra kar ke khatam karta hun. Tum ne likha ke; hrami woh hota hai jo hram kam kre. Mera tum samait dunya mein moujod tamaam Padri ke pujariyo ko challenge hai ke iss baat ko sabit kardo ke Haram kaam karne wala HARAMI hota hai. Agar nahi sabit kar sakay tu iss lafz ka bara sa title bana kar apnay galay mein latka kar ghoomna:lol: Tumhari halat per aik shayr yaad aa gaya.. ناخن نہ دے خدا تجھے اے پنجہ جنوں دے گا تمام عقل کے بخیئے ادھیڑ تو
-
Awwal tu ye koi chup kar baat nahi kar raha. Baat sirf itni si hai ke debate/discussion ke naam per agar koi Tahiri bawla hokar bhoonknay lagay tu usay iss ki ijazat tu nahi di jaa sakti. Tumhari ilmi'auqaat tu issi se wazeh hai ke tumhay post karnay tak ka saleeqa nahi. Tum apnay computer per webpages open kar ke unhay save kar ke html files attach kar dete ho, jo open karne per parhnay ke kabil hi nahi, aur phir hum se jawab mangtay ho. Khair asal kitabo se hawala paish karna tumhare bus ki baat bhi nahi ke kabhi koi ilmi kitaab parhi ho tu tab na! Chalo ab tumharay bewaqafoo walay sawalo ka bhi jawab diye deta hun. Tumhare iss sawal karne se pehlay mera aik sawal hai, usska jawab dene ki tumhay toufiq nahi huwi. Khair mere display picture mein jo 2 insaan nazr arahy hain woh conceptional image hai aur iss concept ko umooman "Whirling Dervishes" kaha jata hai. Hazrat Moulana Jalaluddin Roomi ke silsilay mein logo ka ye Zikr ka tareeqa hai, jis tarah deegar salasil mein zikr ke mukhtilaf tareeqay hain. Iss "Whirling" mein aur tumharay Dr. Padri ki mahafil mein jo be'hooda bhangra hota hai uss ka difference maloom karna ho tu Hazrat Data Sahib ki Kashf'ul Mahjoob ka aakhiri hissa parh lena. Khair tumhay tu shayad sari zindagi koi ilmi kitaab haath lagana bhi naseeb na ho iss liye mein hi scan pages de deta hun. Yaha bhi wohi baat hai jo ooper Kashf'ul Mahjoob mein bayan kar di gai. Mein phir likh deta hun, dobara parh lo; Khulasa-e-Kalaam ye hai ke talib-e-haq, her haal mein ilm-o-shariyat ka farma’bardar rahay kyu ke jab WAJD se magloob ho jata hai tu iss se khitaab uth jata hai aur jab khitaab uth jata hai tu sawab-o-itaab bhi uth jata hai. Jab sawab-o-itaab uth jaye tu izzat-o-zillat bhi uth jati hai. Uss waqt us ka hukm deewano aur pagalo jaisa hota hai na ki Aulia aur Muqarribeen jaisa. Gharz ye ke Ulema-e-Ahle’Sunnat ka Wajd ya aisi kisi kaifiyat mei ana, ya jhomna Dr. Padri ki mahafil mein honay wali uchal kood aur bhangray se bohut mukhtalif hai jo dekhnay se bhi maloom ho jata hai. Tuff hai tum jaiso ki korh’maghzi per. Awwal tu tum yehi samajh nahi paye ge ke mere Peer-o-Murshid kaun hain. Ye tafseel parh lo pehlay; Silsila-e-Qadriyah mein faqeer, Ustaaz-e-Qurr'a Wali-e-Kamil Peer-e-Tareeqat Qadwat-us-Saliheen Zabdat-us-Salikeen Hazrat Allama al'Hafiz al'Qari Muhammad Muslehuddin Siddiqui Qadri Razawi (Noorullaha Marqaduhu) say Bayt hai, jo ke Khalifa-e-Mufti Azam Hind Hazrat Allama Moulana Mustafa Raza Khan (Rehmatullahe Ta'ala Allaihe), Khalifa-e-Qutb-e-Madinah Hazrat Allama Moulana Ziauddin Madni (Rehmatullahe Ta'ala Allaihe), Khalifa-e-Hazrat Moulana Amjad Ali Aazmi (Author Bahar-e-Shariat) (Rehmatullahe Ta'ala Allaihe) aur Hazrat Allama Syed Shah Turab-ul-Haq Qadri (Madda zilla`ul Aalia) ke Peer-o-Murshid hain. Banday ko Huzoor Qutb-e-Madinah Hazrat Allama Moulana Ziauddin Madni (Rehmatullahe Ta'ala Allaihe) ka mureed hone ka sharf hasil hai ke Qutb-e-Madinah ka irshad hai; "Jo Qari Sahab ka mureed woh hamara mureed, Jo hamaramureed woh Qari Sahab ka mureed!" and that makes me mureed Huzoor Qutb-e-Madinah (Rehmatullahe Ta'ala Allaihe) as well. Bakratan bayt from Nabeera-e-AalaHazrat, Janasheen-e-Mufti Azam Hind, Huzoor Taaj'ush Shariah, Hazrat Allama Moulana Mufti Muhammad Akhtar Raza Khan Sahib al'Qadri al'Azhari (MaddaZila'hul Aaliya). Mein jaanta hun ke inn mein se baishtar naam tum ne sunay bhi na hongay kyu ke tumhari pohanch sirf TV tak hi hai. Khair mere Murshid Syedi Huzoor Taaj’ush Shariah ka fatwa TV aur Video ke khilaaf hi tha aur hai.Lekin choon’kay TV aur Video ke mamlay mein Ulema mein ikhtilaaf-e-raye hai iss liye hum awaam ko haqq nahi ke iss mamlay per kisi Alim per tanqeed karein. Haa mere nazdeek mere Murshid ke fatway ke mutabiq ye sahi nahi, chahay jo bhi karay. Phir tum ne baat ki Kaabtullah aur Roza-e-Rasool(saw) ki videos ke baray mein ke woh najayaz hain ya nahi. Tu I think tumharay iss jahilana sawala per tu khud Dr. Padri bhi hans paray ga. Bachay pehlay jaa kar TV Video ya Tasweer ke Shariah ihkaam parho ke kis kism ki Tasaweer ya Videos haram hain aur kaun si jayaz. Agar tafseel parhni ho tu Huzoor Taaj’ush Shariah ki “TV aur Video Ka Operation” naami kitaab parh lena. Sari tafseel maloom ho jaye gi ke Shariah ruling ke hisaab se kya theek hai aur kya nahi. Filhaal tu tumharay iss sawal per bari mushkil se meri hansi ruki hai! Phir agay tum ne fuzool bakwaas ki hai ke mein TV dekhta hun ke nahi. Miya jee mere TV dekhnay ya na dekhnay se kya Shariat ke usoolo mein farq aa jaye ga? Aur agar mein TV dekhta bhi hun tu iss se fatway ka inkaar kaisay sabit hota hai? Fatway ka inkaar tu tab ke jab mein TV dekho bhi aur TV dekhnay ko jayaz bhi samjho. Jaisay Sharab peenay walay ke liye Haram ka hukm hai, lekin koi agar Sharab na bhi piye aur Sharab ko halaal samjhay tu uss ke liye Kufr ka Hukm hai. Chalo farz karo agar koi Mufti fatwa deta hai ke Sharab haram hai, aur phir ussi ka beta sharab piye tu kya Mufti ka fatwa ghalat hojaye ga? Dr. Padri ke beto ki darhi nahi tu kya darhi ki farziyatt khatam hojati hai? Khuda tumhay aqal de! Baki tumhari post mein siwaye bakwaas ke kuch nahi hai issliye jawab dena bhi lazim nahi. Ye tu ho gaya tumhari post ka jawab. Ab ye batao ke mere sawalaat ke jawabaat kab do gay? Tum se mein ne kuch sawal kiye tum unka jawab de do, tumhari aainda ki post sab ko nazar aa jaye gi, aur sawalo ke saath ye bhi kaha tha ke agar HALAAL ki aulaad ho tu jawab do, abhi tak tu jawab nahi dya tum ne. Ab batao kya samjho mein??? Tumhari asaani ke liye sawal dobara likh deta hun. 1. Raqs ke baray mein Kashf'ul Mahjoob ka scan page tumhe dikhaya tu tum nay mujhay Hadith ka munkir qaraar dene ki koshish ki hala ke ye alfaaz mere nahi Hazrat Data Sahib ke hain. Ab agar apnay hi baap ki aulaad hotu Data Sahib ke iss qoul ke khilaaf dunya ke kisi bhi zimay'daar authentic Sunni se fatwa le aoo. Yaad rahay, tum ne khud topic create kiya, aur pehli post ki. Mein ne jawab mein sirf Kashf'ul Mahjoob ka scan page lagaya, jisay tum ne baghair parhay Hadith ka inkaar qaraar de dya. Pehlay Kashf'ul Mahjoob ke khilaaf fatwa le aoo kyu ke radd tumhi ne kya, phir agay ki baat bhi karna. 2. Tum ne mujh per ilzaam lagaya ke mein ne Shaykh Hashim al'Badr ke khuwab ko jhoota kaha ya inkaar kya. Tumhay iss per bhi challenge hai ke agar apnay hi baap ki halaal aulaad ho tu mere woh alfaaz quote kar do jaha mein ne Shaykh Hashim al'Badr ke khuwaab ko jhoota kaha ho. 3. Phir tum ne aik post mein ye bhi bakwas ki ke Dr. Padri ke khilaaf fatwa dene walay loog woh hain jo deen ke naam per business kartay thay aur Dr. Padri ne business band karwa diya iss liye sab ne ikhtilaaf kya. Jin Ulema ne Dr. Padri ke khilaaf fatwa dya un ke naam ki list tumhay topic mein mil jaye gi. Mujhay uss list mein se aisay logo ke naam de do jo deen ke naam per business kar rahay thay ya hain. Ab thora apnay khoon ko halaal sabit karne ki koshish kar ke jawab dena!
-
To be precise, what you need is to know the reasons for disagreement of Ulema-e-Ahle'Sunnah with Dr. Tahir. You said we havnt shown you any clips or any such material then I'd say you didnt even asked for it. And yeah, if you search the forum you'll get plenty of evidences provided which proves Dr. Tahir's deviancy. I sincerely suggest you to first search for the reason of dispute, then look for their authenticity and then check the Shariah ruling, that'll help you get to a conclusion. http://www.islamimehfil.info/index.php?/forum/87-sulah-kulliyat/
-
jee janab, tu ab aap yaha roona roo rahay hain. Chaliye aap ko yaha bhi jawab diye dete hain. Aap ne meri zaat per jo ilzaam lagaye unn ka jawab dena mein zaroori nahi samajhta. Aap ne baat ki "Qadri" ko "Padri" kehnay ki. Tu ye tu hum bhi maantay aur jantay hain ke "Qadri" lafz Huzoor Syedna Ghous-ul-Azam ki nisbat se hai. Lekin aap ko ye kis bawlay Tahiri ne keh diya ke hum "Qadri" nisbat ko bigar kar "Padri" kehtay hain? Ye aap ki apni zehni ikhtiraa hai hum Alhumdulillah Nisbat-e-Qadriya ko bigaarne ki sooch bhi nahi saktay kyu ye aap ke Padri se pehlay bhi humari Nisbat thi aur InshAllah ta'qayamat rahay gi bhi. Ab aiye lafz "Padri" ki taraf. Ye bhi aik nisbat hai jo aap ke Dr. Padri ko Christians ki chamcha'giri karne badlay mein humari taraf se mili hai. Dr. Padri ko Padri kehnay walay jitnay bhi hazraat hain, mera dawa hai ke unn se Quran per haath rakh kar qasam uthwa lijiye ke woh isay Padri kis niyyat kehtay hain. InshAllah sab ka jawab yehi hoga ke iss jhootay makkar Dr. Padri ko Padri iss liye kaha jata hai ke ye Allah ki wahdaniyatt ke munkir Christians ko Believer maanta hai, unhay apni Masjido mein Shirk per mabni ibadatein karne ki ijazat deta hai, inn Christians ke saath Christmas manata hai. Gharz ye ke hum iss makkar farebi ko Dr. Padri iss ke Christians ke taluqaat ki bina per kehtay hain. Nisbat-e-Aaliya Qadriya ka iss lafz Padri se koi lena dena nahi hai. Mazeed ye ke isay Padri kehnay walo mein Ulema-e-Ahle'Sunnat ke azeem'tareen naam shamil hain jin mein Huzoor Taaj'ush Shariah Hazrat Qibla Mufti Akhtar Raza Khan Qadri Azhari bhi shamil hain. So apnay zehn se ye fitoor nikal dijiye ke hum Nisbat-e-Aaliya Qadriya ko bigar rahe hain. Iss Dr. Padri ka tu waisay bhi Nisbat-e-Aaliya Qadriya se koi lena dena nahi kyu khud Huzoor Syedna Ghous-ul-Azam nay bad'mazhabo se talluqq rakhnay se mana farmaya hai jab ke aap ka ye Dr. Padri iss ke khilaaf karta hai. Nisbat koi jageer nahi ke jis ne jee chaha apnay naam ke saath laga li, aisi aala nisbat ke liye nisbat ka ihl bhi banna parta hai, warna Qadri ki nisbat tu bawlay Deobandi bhi istimaal kartay hain lekin Dr. Padri ki tarah woh bhi sirf naam ke dikhaway ke Qadri hain. Umeed hai ab mere sunni bhaiyoo aur behno ke zehn se bhi iss Tahiri ki paida'karda confusion durr ho gai hogi. Waisay hasb-e-aadat Zafar sahib iss baar bhi aik lateefa choor gaye hain. Mousoof ne likha ke; MAIN TAQREEBEN 3SAL SE YAHA ATTA HOON KUCH PERTA HOON OUR CHLA JATA HOON. Jab ke in ke profile ko agar view karein tu inho ne ye forum join kya hai 20th January 2009 mein, aur ab tak inn ki sari posts Dr. Padri ke diffa mein hi hain. Aaj tak in mousof ne kabhi Deobandiyo/Wahabiyo ke radd mein aik post bhi nahi ki, wohi deobandi/wahabi jo Allah aur uss ke Habib(saw) ki shaan mein gustaakhi karne ka koi mouqa nahi chortay. Lekin jab baat aiee Dr. Padri ki tu mousoof forun se dead member se active-member mein tabdeel ho gaye. Ye hai Tahiriyo ki halat! Agar inn mein waqai Ishq-e-Rasool(saw) hota tu Dr. Padri ke diffa se pehlay Namoos-e-Risalat(saw) per kooshishein kartay. Khair, jo jis ka ghulam hota hai ussi ke liye larta marta hai!
-
Chaliye janab bawlay Tahiri sahib! Aap ki behes-baraye-behes ki limit poori ho chuki. Ab aap ki post tabhi approve hongi jab aap jawab dene ke qabil ho jaye kyu abhi tak tu aap se kiye gaye kisi sawal ka aap ne jawab nahi dya. So jaha itna phudak phudak kar copy+paste kar rahay hain waha thori himmat kar ke poochay gaye sawalaat ka jawab bhi dein. Mujhay maloom hai aap apnay taee yehi samjhay gay ke jawab nahi iss liye ban kar diya, lekin awwal tu aap ko ban nahi kiya gaya. Sirf aap ki post ko approve huway baghair na dhikaee dene ki pabandi hai. Baqi rahi baat humare jawab dene ki tu ye tu sara forum dekh raha hai ke kitnay jawab hum ne diye aur kitnay aap ne. Apni last kuch posts mein aap ne kaafi uchal kood macha di magar humari baat ka jawab nahi diya. Ye topic aap ne Dr. Padri ke mujray ko justify karne ke liye banaya. Jo attachements di woh aap ki jahalat ka munh bolta saboot hain kyu ke aap ne aik webpage apnay pc mein save kar ke uss ki html file utha kar attach kar di, jisay download kar ne ke baad bhi koi nahi parh sakta. Yaqeen na aye tu aik new folder bana kar uss mein apni iss file ko download kar ke khud dekh lijiye. Khair aap ki daleel jo bhi ho, mein ne uss ke reply mein aap ko Hazrat Data Sahib ki kitaab Kashf'ul Mahjoob ka scan page dikha diya. Usooli tour per tu aap ko chahiye tha ke aap Kashf'ul Mahjoob ka radd paish kartay. Lekin aap ki agli post se wazeh ho gaya ke aap ne ya tu uss scan page ko parha hi nahi, ya phir aap ki ilmi'nehaj hi itni nahi ke aap uss mein likhi baatein samajh patay. Aap ne Kashf'ul Mahjoob ke jawab mein kuch ahadith quote kien aur munh phaar kar humein Raqs ka munkir qaraar de diya, jab ke Raqs ke baray mein abhi tak mein ne apni zubaan se kuch nahi kaha, sirf aik scan page paish kiya jo ke Hazrat Data Sahib ki kitab hai, tu zahir hai ye qoul mera nahi Hazrat Data Sahib ka hai. Tu iss tarah aap ne jo ye ilzaami bakwaas ki woh meri taraf nahi balkay Hazrat Data Sahib ki taraf ki. Phir aap ne apni na'paid aqal ka istimaal kartay huway meri display picture ko bhi ghaseet lya ke uss mein bhi 2 banday raqs kartay nazar aa rahay hain. Tu iss ka jawab tu mein aap ko tab deta ke jab aap ne mera mouqiff samajhnay ki zehmat ki hoti. Mein Kashf'ul Mahjoob ka jo hawala dya uss mein tafseel moujood hai, lekin aap ne shayad parhne ki zehmat nahi ki. Kashf'ul Mahjoob mein aap ke Dr. Padri ki mahafil mein honay wali uchal kood aur Ihl-e-Dil ki iztiraabi kaifiyat ke ma'bayn farq bhi batlaya gaya hai. Aankhein khol kar poora page parhein gay tu baat samajh aa jaye gi. Jo ahadith bhi aap ne paish ki woh bhi issi kaifiyat ko sabit karti hai na ke uss be'hooda uchal kood ko jo aap ke Dr. Padri ke mahafil mein nazar aati hai. So hadith ke munkir hum nahi aap huway. Phir apni aakhiri post mein aap se aik sawal kya gaya jis ka jawab aap dena shayad aap ke bus ki baat nahi iss liye aap ne phir ahadith quote kar ke agay phir apni bakwaas shuru kar di. Ab aankhien khol kar sawal parhiye aur iss ka jawab dijiye. Jawab diye baghair iss topic per aap ko deegar post karne ki ijazat nahi di jaye gi. Kitab Kashf'ul Mahjoob Hazrat Data Sahib ki hai, aur ussi ka scan page mein ne paish kiya tha jisay aap ne Raqs ka inkaar samajhtay huway mujhay Munkir qaraar diya aur ahadith quote ki. Ab ye baat meri tu thi nahi, Kashf'ul Mahjoob ke is qoul ko agar aap ghalat samajhtay hain tu aap samait tamaam Tahiri langooro ko humara challenge hai ke dunya ke kisi bhi zimay'daar sunni se, ya phir apnay Dr. Padri se hi fatwa laa dijiye ke Kashf'ul Mahjoob ka ye qoul ghalat hai. Umeed hai jawab jald aye ga!
-
@Cynical Following are the major reasons why Ulema-e-Ahle’Sunnahdeclared Dr. Tahir as “Gumrah” 1. The denial of consensus regarding the Diyyat (Blood-money) for womens being half of the mens. 2. To consider the disputes with deviants like Shia/Deobandi etc. as Minor issues (which includes the blasphemes against Rasoolullah(saw) and Ashaab-e-Kiram) 3. To consider modern-day Christians (who even deny the most fundamental belief of Islam i.e Tauheed) as Believers. @Alteejani This cant be declared as difference of opinion as respecting the Aqa-o-Moula(saw) is the fundamental issue not a minor one. And I guess you know the diabolical beliefs Shias/Deobandis/Wahabis hold for our Aaqa(saw) and Ashaab-e-Kiram. Later you asked about Dr. Tahir’s work and why we don’t admire it. Then let me put a very simple question to you.Would you admire a person for any reason who use ill words for your respected mother? Ofcourse you wont, then how can we admire a person who loves to hang around with those who disrespects our Aaqa(saw)? Same goes for the one who considers Namoos-e-Risalat(saw) as a minor issue. Faith is superior to knowledge!
-
Mere nazdeek ki tu baat hi nahi kyu ke mein koi Mufti nahi. Haa mere Murshid Huzoor Taaj'ush Shariah ke fatwa ke mutabiq Tasweer aur Movie dono hi pehlay bhi na'jayaz thay aur aaj bhi najayaz hain aur mera issi fatwa per yaqeen hai.
-
Dr. Padri ki muhabbat mein andhay Tahiri jo scan image diya hai usay pehlay aankhein khool kar parh lo. Tafseel usi mein mojoud hai RAQS jo tumharay Padri ke mehfilo mein hota hai woh kya hai aur Ihl-e-Dil ki kaifiyat mein iztarab zahir hota hai jo ke ahadith se sabit hai aur haqq hai, woh kya hai! Tumhay tu abhi Hadith quote karne ka dhang nahi tu tumse koi baat bhi kya kare. Ye jo tumne likha ye bhi Dr. Padri ki taqreer se sun kar chaap dya, tabhi page number waghaira diye lekin Hadith number ghayab hai. Khair mein tumhari tarah zaatiyaat per nahi utarna chahta. Tumhari ilmi'auqaat tum khud sab ke samnay wazeh kar chukay so mere kuch kehnay ki tu zaroorat hi nahi rehti. Chalo tumhary munh per aakhiri thappar marta hun. Agar halaal ki aulaad ho tu iss ka jawab zaroor dena. Kashf'ul'Mahjoob, ke jisay ghalat sabit karne ke chakkar mein tum ne hadith paish kar dali, ye likhnay walay hain Data Sahib. Ab kisi aur se nahi, apnay Dr. Padri se hi saboot laa do ke ye kitaab jhooti hai ya Data Sahib ko tasawuff ki samajh nahi thi.
-
Baray fonts karne se baat bari nahi ho jati Tahiri munnay:lol: Ye jo itna phudak phudak kar ye sab kuch likha hai tu ab zara snapshot le kar sab ko dikha ke mein ne kab aur kaha Shaykh Hashim al'Badr ke khuwaab ka inkaar kya. Ab mein bhi tumhari tarah font baray kar ke likhta hun, shayad tumhay ghairat aa jaye aur jawab de do. Agar tumhari ragoo mein halaal khoon durr raha hai tu dikhao ke kab aur kaha kin alfaaz mein mein ne Shaykh Hashim al'Badr ke khuwaab ka inkaar kya hai. Tumhari bakwaas per mein mazeed sirf yehi keh sakta hun ke kya piddi aur piddi ka shoorba! Jawab dena chahta tha keh kar bohut aye aur bohut gaye, tum pehlay bhagooray nahi ho. Aainda Sunniyo ke saamnay baat karne se pehlay sooch lena warna aisay hi tamasha banwatay raho gay apna.
-
Sab se pehlay tu ye maloom kar lijiye ke kaun loog issay Dr. Padri kehtay hain. Rahi baat Pir Dewwal Sharif, tu aap khud jaa kar apnay Dr. Padri se hi maloom kar lijiye ke Shariah ruling mein Pir ka qoul chahiey hota hai ya Fatwa! Pir Dewwal ne ye kaha fala ne ye kaha fala ne woh kaha, kya in hazrat ki batein Shariah ruling ke hisaab se hujjat hain? Kya ye tamaam hazrat Shaar'ay hain? Bilkul nahi! Hum aap ko dikha chuke ke Quran-o-Hadith kya kehta hai aur Hujjat Quran-o-Hadith hai na ke kisi Pir ka qoul. In hazrat ki tazeem lazim per kisibhi tour kisi shakhsiyat per in ki zaati raye Islam mein hujjat nahi. Bus ab kuch samajh na aya tu typical Tahiri siyaasi pipoori bajana shuru! Aapko sari asliyatt maloom hai tu unn Hazraat ka naam bhi likh dijiye. Mein ne tu list post kar di hai un Ulema-e-Kiram ki jo Dr. Padri ko "Gumrah"qaraar dete hain. Ab aap apnay daway ke mutabiq unn mein nishaandahi kar dijiye ke fala fala Sunniyatt ke naam per Business kar rahay hain, aur saboot ke saath. Agar aisa nahi kar saktay tu phir aap ki baat siwaye bakwaas ke kuch nahi. Ab aap ne "Business" ki baat cher hi di hai tu thora Dr. Padri ke baray mein bhi sun lijiye. Wazeer-e-Ala Punjab Miya Muhammad Nawaz Sharif aur Idara Minhaj-ul-Quran kaysarbarah Prof. Dr. Tahir baray gehray dost hain. Prof. Sahab Miya Sahab ki khaandani masjid Jamia Itifaaq mein Juma parhatay hain aur iss se chand kilometer kay faslay per 15 kanal, 15 marlay per waqay Idara Minhaj-ul-Quran ki khoobsurat imarat ke nazim aur iss ke maamlaat ke zimaydaar hain. Iss se chand qadam ke faaslay per in ki rihaish'gaah hai, jis ki tameer mein in ke zooq ka aur nafasat ka khaas khayal rakha gaya hai. Dr. Tahir nay in (Miya Sahab) ke baaz intikhaabi jalso mein shamil ho kar in ki haqdaari ki gawahi di. Miya Sahab wazeer-e-aala hain, yari nibha rahay hain aur sawab kama rahay hain. Punjab Assembly mein bataya gaya hai ke "Idara Minhaj-ul-Quran"ko aik deeni university banane ke liye Township Civic Centre mein unho ne 126 kanal araazi inayat ki hai. Iss ka sarkari narkh 35 hazaar rupee fi kanal hai jab ke bazaari narkh iss se kahi zyada. Miya sahab ne iss atye mein mazeed atya milatay huway iss ka narkh ko aik choothai (1/4) se bhi kam kar diya. Miya sahab ke iss faislay ki wajeh se sarkari khazanay ko kam-o-baish 44 lakh kam musool huway. Agar ye araazi neelam kar ke baichit jaati tu phir baat kuch aur hoti, iss tarah hisaab lagaya jaye tu Sarkari khazanay ka "ihsaas-e-mehroomi" karooroo tak pohanchta hai. Meri maanein tu Miya Sahib nay Prof. Tahir se jo chand laakh wasool kiye hain woh bhi wapis kar dein. Hukoomat jaha 44 lakh ka sadma utha sakti hai waha mazeed chand lakh ka bojh bardasht kyu nahi kar sakti? (Nawaye Waqt, 15 Oct, 1987) Isay kehtay hain Businessman! Pehlay Nawaz Family ka chamcha ban kar paisa batoora, phir waqt anay per unhay laat maar kar Benazir Bhutto ke saath ho liye. Wohi Benazir Bhutto ke jis ki hukomat ko Aurat ki hukomat keh kar khilaaf-e-Shariat qaraar diya tha, ussi Benazir ke chamchay bane phirtay rahe. Ye hain aap ke Dr. Padri. Aap ke Dr. Padri nay apnay ooper jhootay qaatilana humlay ka darama rachaya tha jis per hukomat ki janib se tehqeeqati team tashkeel di gai aur phir tehqeeqat ke baad court mein jab Dr. Padri ko ghaseeta gaya tu aap ke Dr.Padri ne jo inkishafaat kiye woh sari dunya ne akhbaaro mein parhay. Aur aakhir’kaar High Court ne Dr. Padri ko jhoota aur makkar qaraar dya. 15 pages ki Court kitafseeli report mein Dr. Padri ko “Jhota, Dagha’baaz, Farebi, Qadr na’shanaas,Ihsaan faramoosh, Laalchi shuhrat ka bhooka, Munafiq, Mohsin’kush, Khud’gharz,Khud’parast, Doulat ka Pujari” ke alfaazo se nawaza gaya hai. Mein muskhtasirtour per likhay deta hun; Punjab ke Wazeer-e-Aala Miya Nazar Sharif se 8000 fi kanal ke hisaab se 167 kanal zameen hasil ki jab ke yehi zameen agar plotting kar ke baichi jaati tu karooro rupay ki maliyatt rakhti thi. Miya Muhammad Sharif se 10 lakh rupay lay kar Cement ki Agency li. 1981 mein bemaari ke liye Miya Shahbaaz Sharif ke kharchay per America gaye aur ilaaj ka sara kharcha bhi Shahbaz Sharif ne uthaya. Mitsibushi Pajero sirf Dr. Padri ke liye Minhaj-ul-Quran ki taraf se khareedi gai. Isay kehtay hain Businessman. Jaib se 1 rupya kharcha na huwa aur saray kaam karwa liye! Ainda bakwaas karne se pehlay yaad rakhiye gake aap Sunniyo se mukhatib hain. Ulema-e-Ahle’Sunnat ke khilaaf bakwaas karne ki ghalti dobara karein gay tu Dr. Padri ke rahay sahe kapray bhi utar diye jaye gay.
-
Jin be'hooda harkato ko aap ke Dr. Padri RAQS qaraar de kar tasawuff ka hissa bana kar paish karte hain uss ki asliyatt Tasawuff ke Azeem Imam Hazrat Data Ali Hajveri al'maroof Data Sahib ki zabani sun lijiye. Ab kya Data Sahib per bhi Sunniyat ke naam per business karne ka ilzaam lagaye gay aap?
-
Yusuf Qaradawi Join Dr. Padri Regarding Diyyat
Sybarite replied to Sybarite's topic in Debate and Refutation of Deviants
I dont know much about Yusuf Qaradawi but his views regarding Diyyat is far more than enough to make a decision. I think we'll be seeing Dr. Padri's supporters presenting him in regard of Diyyat issue. I found out something really interesting. Below is the fatwa from Islamonline.net Yusuf Qaradawi made a whole speech in favour of this website which is available on this website. Question: I have heard that the Prophet , had let some Christians use the Masjid An-Nabawi for their sunday serivces, is this true? Answer: This is not correct. The Prophet Muhammad, peace and blessings be upon him, allowed a delegation from Najran, which consisted of Christian people, to enter the mosque in Madinah and even to have their own prayer their. But he did not allow them to have their regular Sundayservices there. This was a permission for one specific occasion in a specialcase. The Mosque is the place for the worship of One God (Tawhid). It is not suitable for any service that may have Shirk in it. Also, we have to understand that at the time of the Prophet, peace and blessings be upon him,the Mosque was the only place for any gathering. Other buildings and facilities were not available. Whenever the Prophet, peace and blessings be upon him, used to meet any dignitaries, he used to meet them in the Mosque. Muslim governments can have guest houses and other halls for meeting purposes. When the Prophet,peace and blessings be upon him, allowed the group of Christians to pray in his Mosque this indeed shows his tolerance and respect for his guests, but it should not be taken as a general permission for holding Christian prayers in the Mosque. Think this reply the lame Tahiri/Minhaji justification which they present in regard of Dr. Padri celebrating Christmas and allowing them to pray in Minhajian mosques. If they'll present Yusuf Qaradawi's veiws regarding Diyyah in support of Dr. Padri, they should accept this fatwa too