Jump to content

Ubaid-e-Raza

اراکین
  • کل پوسٹس

    745
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Ubaid-e-Raza نے پوسٹ کیا

  1. (sa) madani channel se jise bhi walihana pyar hay do jahan main insha Allah uska beda par hay madani channel k sabab se neki ki dawat aam ho aam dunya bhar men ya rab deen ka pegham ho ameen
  2. itni munafiqana policy hay dr. tahir ul ......... ki. ke pehle apne apko hanafi muqalid keh keh kar nahi thakta phir dosri bar main imam e aazam ki or aima e karam ki tareefain or teesri bar main kehta hay ke hadees se aurat ki diyyat full sabit hay yani imam e aazam or sahaba e karam tak ko woh hadees nazar nahi aayi isko mili. phir aurat ki nisf diyyat ko sarkar ki aamad se qabal kuffar ki jahalat dor se mila dya k kuffar aisa karte the quran ne aakar diyyat ka farq khatam kya. (muaz Allah) ye bat kahan tak jati hay. goya sahaba e karam ka iss bat par ijma k aurat ki diyyat nisf hay kuffar ki jahalat matlab nikalta hay. pehle tu sahaba aayen ge phir baad main baqi ko is jahalat main shumar karain ge. muaz Allah. DIYYAT_1.MPG DIYYAT_2__1_.mpg
  3. main ne pehle 1 post ki hadees e aadam se related ap ne jawab nahi dya. * apne jo surah muhammad (47.19) key lye tarajim post kye woh kis ka tarjama hay? urdu main koi aisa tarjma post karain jo sab ke nazdek authentic ho. * kisi motabar tafseer se ye sabit karain ke is aayat main Allah ke pyare habib ko apne gunaho ki maafi mangne ka hukm dya gaya hay?
  4. Haqeqqt sahib se kuch suwal un ke reply hadees e hazrat Aadam se related. 1) Aik ghalat riwayat jo ke quran ki sahi aayat k against ho. aisi hadees ko agar koi sahi or asnad ko jayid kahey tu aise shakhs par kya hukm hay? 2) Yeh hadees mukhtalif kutub main mukhtalif rawiyon se kuch different matan ke sath bhi naqal hay. agar kisi hadees ka aik rawi zaeef ho tu ulema farmate hain hadees ko zaeef na kaha jaye balke sannad ko zaeef kaha jaye. ho sakta hay us hadees ki koi or sannad sahi mil jaye. aisi kayi aahadees jinki baaz asnaad zaeef hain tu baaz hassan tu baaz jayid tak pohnchi hoyi. suwal ye hay k jo image apne post kya ghaliban hadees aadam k jawab main us main imam hakim ne hadees ko sahi kaha halanke woh abdul rahman bin zaid bin asalam ka zaaf jante they. tu aise main imam hakim par kya hukm hoga? or imam bulqeni, imam taqi ud din subki waghera par bhi hukm waziha farma den k quran ki aayat k sareeh against hadees ko sahi fermaya. 3) apne jis hadees ko quote kar k jo image post kya hay asif bhai ki post se. us hadees ko bhi ap ne pedhne ki zehmat ki? us main abdul rahman bin zaid bin aslam ka naam hi nahi hay. .. is lye ab ap zara mazeed tehqeeq kar k is sannad par kuch tabsara farmain. or pehla kam tu apke zimey hadees ko zaeef sabit karna hay. dosra kam pehle suwal ka jawab de kar hukm bayan karain imam ibn al jozi wa imam muhammad ibn yousuf al saleh par.
  5. . pakkey yahodi agent k aqaid post karne ka shukrya.
  6. Ye kitab Ahlesunnat k aik mustanad aalim alahazrat alaihrahma k bhai jan molana hassan raza khan alaihrahma ki hay. jinho ne post ki hay unki tehreer nahi. lafz Oliya Allah quran e pak main istimal howa hay. wali ullah ka matlab kya hay? Shayan e shan nahi se kya muraad hoyi? lafz dost main koi toheen be adabi ka pehlo mojod hay tu bara e karam wazahat farmain.
  7. apke mufti sahib ne tu asal ibarat post hi nahi ki? chalen ap post kar dain fatawa alamgeri main kya ibarat hay? al behr ul raiq main kya ibarat hay? jab is pecheda sorat e haal ka koi hal nazar nahi aata deobandion ko tu wo aq aq karte hain. magar hazrat gangohi sahib kawwey k itne shoqeen the kaha maroof desi kawwa jo bastion main paya jata hay ye khana sawab hay. ab koi batlaye ya hum batlayen kya? pak o hind main aq aq wala desi kawwa kahan paya jata hay? sunny prince sahib zara us jaga ka pata batain. chalen chorain sab baton ko. gangohi sahib kehte hain maroof desi kawwa khana sawab hay. ap mante hain k fiqah ki ro se jaiz hay. ye batlayen ap din main kitne kawwe kha jate hain? or kawwa baryani kesi lagti hay apko? or ramzan sharif main tu deobandion ki aftaari or sehri ki khas dish hogi kawwa baryani, kawwa fry, kawwe ka shorba.. apki konsi pasandedah kawwa dish hay? jawab zaror dejye ga.
  8. he is a legend may Allah bless upon him. ameen
  9. inna lilahi wa inna alaihi rajeon isey tawajo se pedhye. is main fidya dene ka aasan tareeqa likha hay sharee heeley k sath. pora fidya shar e heeley k sath ba aasani ada ho sakta hay. sharee faqeer ki defination tawajo se pedhye ga. bazaron main ghomney wale sharee faqeer nahi hain. agar kuch samajhne main problem ho tu yahan reply kar dejye ga tu koi na koi bata de ga.
  10. jad dul mukhtar bhai. thx 4 sharing. Allah humain aise gustakhon se mahfoz rakhe. ameen
  11. mazrat. main ne samjha tha ap reply pedhte nahi hain. ab pata chala k apki nazar kamzor hay. agar mujhe pehle pata hota tu main apne post karda imgs main hawale underline kar deta. khair abhi apke lye ye kam karta hon. kuch time wait kejye k kon kon si hadees hay rada yadain na karne par. or jin hadees ko apke molvi sahb ne zaeef kaha hay unka kya jawab hay.
  12. apki bat pedh kar apke ilmi status ka ilm ho gaya. yani tarimzi, nisayi, abu dawood, ibn e abi shaiba, tahawi, hakim lil mustadrak, behaqi sharif waghra. ye sab kitabain apke nazdeek mustanad nahi hain. sirf bukhari sharif mustanad hay. jab ye mustanad hi nahi hain tu ap ne apne article main in kitabon ki naqal karda aahades ko zaeef sabit karne k lye itni behs kis lye ki hay? simply jawab dete k ye kitabain hi mustanad nahi hain. hadees kese mustanad ho sakti hay. bukhari lao.. apke article nigar tu badey ajeeb hain. or na sir na darh wali bat tu in sab aahades ki toheen hay. mukhlisana mashwra hay toba karain. or ap kehte hain k hum apne molvi ki taqleed nahi choden ge. molvi g ne likh dya hadees zaeef hay tu kisi ki majal nahi usse sahi sabit kar de. molvi g ki bat mani jaye gi. apke molvi g ne jo etarazat k jawabat dye hain or aahadees ko zaeef sabit karne ki koshish ki hai. oper mere reply main bab 2 main uska jawab pedhen. or daleel k sath unka jawab den. apke nazdeek bukhari k ilawah konsi kitabain mustanad hain. unki list provide kejye. hassan hi nahi kaha balke kayi sahaba or tabeen ka amal bhi bataya. tarihdi sharif se apke jawab ka intezar rahe ga.
  13. apke etarazat ka jawab bhi mere reply k dosre chaptor main aagaya hay. abhi apke jawaab ka muntazirr...!!!
  14. kafeel ahmad oper jo aahadees apko di gayi thi.. ap sirf uska jawab de dete tu behs ba aasani chal sakti thi. magar apne pori book copy paste kar di tu kion na hum bhi yahi aasani wala kam karen.
  15. kafeel ahmad oper jo aahadees apne post ki hain iska jawab tu apko khalil bhai pehle de chuke hain. chonkey ap wahabi riwayat ke mutabiq post pedhte nahi hain or jo bat apke khilaf ho usse foran zaeef keh dete hain. is lye main khalil bhai ki post ko quote karta hoon. ab ap hazrat abdullah ibn e masood wali hadees ka jawab den. jinho ne kaseer sahaba k samne huzoor ki namaz pedhi or rafa yadain na kya siwaye takbeer e tehrema k. or imam tarimzi ne likha k kaseer sahaba or tabeen ka is par amal hay. ab ye tu apki bat k against bat kar di imam tarimzi alehrahma ne.
  16. 2 topics par nazar padi hay rafa yadein se related. dono topic kafeel ahmad ki posts par hain. main ne merge kar dye. takey sabko aasani ho.. kafeel ahmad ap pedhtey bhi hain ya baghair pedhey post karte hain? ap kehte hain hadees zaeef hay. konsi hadees zaeef hay? wahabion k khilaf jo hadees ho wo zaeef hay? sab sey pehli post main khalil rana bhai ne 1 hades pesh ki hazrat abdullah ibn e masood wali. jis ko wahabi zaeef kehte hain. or us post zaeef kehney par sab objections ka answer dya gaya hay. or apki ye bat pedh kar tu yaqeen ho gaya k ap baghair pedhey post karte hain. ap is topic ki pehli post read karain or phir apni is bat ko dobara pedhen. or phir daleel ho tu reply karain.
  17. syabrite bhai ne tehreer farmaya hay ke munazra nahi howa tha. or bilkul kuch aisa hi muhadith e kaber ne bayan main irshad farmaya.
×
×
  • Create New...