Toheedi Bhai Posted December 18, 2008 Report Share Posted December 18, 2008 nad e ali Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ghulam E Mustafa Posted December 19, 2008 Report Share Posted December 19, 2008 buhat achi sharing hai. Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam Posted December 19, 2008 Report Share Posted December 19, 2008 Naad e Ali Janab Tauheedi sahib First of all, baraye meharbani is post ko again mereye sawalat wali post main paste kerdain 2- janab is kitab ka cover page khud keh raha hai ke is kitab ka ihtimam kisi Mian Aziz Ahmed and Sofi Muhhammad Farooq samon ne kia hai and lkhtye hain is ke top per with Bhat sarye alqabat jo ke khud hi aqeedah ki wazahat kartye hain ke “almasoom” (Intabah fi salasal Awliya Allah) 3- In tamam kitbon, sanad ki us waqat tak koi hesiyat nahin jab tak ye Muhaddetheen ya ulama ki nazron se na guzrye and is per unhon ne kuch na kaha ho. jubkye Aaj ke tama ulama is ke khilaf hain, ab aap ke ulama ka kuch nahin keh sakta ab aap yaqeenan atak(Stuck) jayegye ke aap (Ghair Muqallid) ke hi shaik-e-kul Nazeer sahib, Shah Wali Ullah Muhadith dehalvi etc ka is per amal hai, (jab ke sabit nahin ker saktye) Agar bilfarz in ka amal ye hi tha jesa ke aap bayan kar rahye hain to janab Allah hi un ka Hami -o- Nasir hai main kia keh sakta hon, (Allah behtar janta hai) 4- mera sawal zara ghor se perhain jo ke "Sawalat from a Ghair Muqallid" main wazahat se mojood hai ke kia is se Hazoor-e-Akram ki shan main gustakhi nahin ho rahi??? Aap ke Aala Hazra Ahmad Raza Khan sahib ne is ko riwayat kia hai……? (is Dua ke Nazool ke waqt ka khayal rakhtye hoye farmain) jab ke is Waqt-e-Nazool ke silsilye main aik Tareekhi ghalati bhi mojood hai.. Agar aap ke nazdeek Ya Ali, Ya Ali ghum-o-takleef main nida karna, musiibat ke waqt pukarna ghalat nahin hai to phir Shia Hazrat to matam sahi kertye hain, Ya Ali Ya Alu sahi pukartye hain, phir wo alag firqa kion? Kia sirf is liye ke wo Shaba-e-Ikram se nafrat kartye hai, to aik Haram kam kerye hain… kia aap ke nazdeek haram kam kernye se koi shakhs mumin nahin rehta?? We mujhye pata hai ke Shia ka Aqeedah kia hai, is liye ziyada behas main nahin perna chahta hon, Jawab is se related post per dain meharbani hogi, in other case main to kuch ker to nahin sakta Abdul Salam Link to comment Share on other sites More sharing options...
Khalil Rana Posted December 25, 2008 Report Share Posted December 25, 2008 Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai Posted December 25, 2008 Author Report Share Posted December 25, 2008 (edited) jawab Edited December 25, 2008 by toheedi bhai Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam Posted December 29, 2008 Report Share Posted December 29, 2008 jawab Janab-e-Aali Guzarish ye hai ke tafseel se perhain, phir tafseel se guftagoo hogi, Alqabat ki taraf tawajja kerwanye ki waja ye thi ke is qism ke alqabat aik ahl-e-Hadith Aalim ke liye aik Ahl-e-Hadith Aalim nahin likh sakta, is ka matlab ye hi hai ke koi Sofi Izm per yaqeen rakhnye walye sahib ne ye alqabat likhye hain, Sah Wali Ullah Muhadith Dehalvi ne logon ko Toheed ki Dawat di thi and is ke liye kisi sanad ki zaroorat nahin (Sanad ke phar denye se koi masala nahin), is ke bawjood wo Sofi Izm ko manye walon main se bhi lagtye hain (aap ke pehs ker da sabot), to humara un se taaluq sirf mohid honye ke silsilye main hain. Is ke ilawa hum un ke kisi bhi sofi Izm se related tamam aqwal and aamal se barat ka elan kertye hain and yaqeenan tamam ulama ke taraf se bhi, Kitabon ki Hasiyat ke maani (Meaning) is main mojood aqayeed ki barye main ulama ke aqwal hain. Yaani Hazrat Ali sirf Shia hazrat ke nazdeek Hazoor-e-Akram se afzal hain, lehaza isi liye unhon(Shia, Bektashi silsilye) ne Nad-e-Aliya ko riwayat kia hai, jab ke Sunni Ulama is ke sakht mukhalif hain, Appke Ualama ka nahin pata ka matlab ye hai ke aap ke chand ulama ka is per amal hai jesa ke aap ke Ala Hazrat Ahmad Raza Khan sahib ka Jahan tak shijra ke baat hai to woh tehqeeq talab hai, Doosri baat ye ke main Arabi zuban ahl-e-Zuban ki tarha na to samajh sakta hon, na hi bool sakta hon, to zara is ka Urdu tarjuma post ker dain mehar bani hogi wese meri nazar is main mojood aik nam Ibn-e-Arabi per pari, jin se related mre sawal pehlye hi mojood hain, jahan per jawab main kaha gaya hai ke wo Ahl-e-Haq hai, jab ke ye bhi likha hai ke Halool, Wahdat-ul-Wajood dono kufria aqayeed hain???? App ke aasani ke liye is sawal ko “Sawalat from a Ghair Muqalid” per dobara post ker raha hon Abdul Salam Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai Posted January 1, 2009 Author Report Share Posted January 1, 2009 Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam Posted January 5, 2009 Report Share Posted January 5, 2009 (edited) Janab Toheedi bhi sahib, sahi kahon to dill to chah raha hai ke bohat kuch likon, kion ke likhnye ko bohat kuch hai, lakin..... ye zaroor andaza ho gaya hai ke aap mera waqat zaya kerna chahtye hain and logon ka dhiyan batana chahtye hain. meri post Nad-e-Alliya ke barye main meri "Sawalat froma Ghair Muqalid" wali post per hi hai and main jawab wahin chahta hon and Now There Is No Any Other Option. secondly Quran ki ro se, Ahadith ke ro se han in tamam logon per pehlye to Shirk ka fatwa kagye ga phir Ghustakhi-e-Rasool ka aap log humesha bhool jatye ho ke HUM KAI BAR KEH CHUKYE HAIN KE HUM ULAMA KE KISI GHALAT BAAT KO NAHI MANTYE UN KO BHI USI TARHA TREAT KERTYE HAIN JIS TARHA DOOSRON KO" to phir ulama ke rat kion, Kion ulama ki baton ko hujjat bana rahye hain??? Nad-e-Aliya ke maani (Meaning), us ko riwayat kis ne kia, kab kia kon tha, us ke baad kis ne kia, and us per amal kon karta hai ye main apni post main likh chuka hon, ab is amal, wazeefa, wird per jo bhi amal pera hai wo Shirk main mubltla hai. aap ke likh denye se is ke silsilye main kahi gai batain jhoot sabit nahin ho jayengee..... agar aap sachye hain to saboot lain main ne to saboot de diya ke ye ghalat hai. ******************************************************************************** *********** Is post ke Reply ke baad main kuch batain is forum per mojood tamam logon se share karna chahta hon Dunya main is waqt bohat kuch ho raha hai, men ne jab se tehqeeq shoro ki to kuch sach samnye aaye jo main is form per mojood tamam logon se shair karna chahta hon ye mushahidat mundaraja zain hain 1) Humye Roti, Kapr, and Makan main uljha diya gaya 2) Humye sirf ye kaha gaya ke Namaz, Perho, Roza Rakho, Zakat Do, Haj karo, yahi deen hai, is ke ilawa kuch or mat socho (seculer soch, and taaleem) 3) Agar kuch mazeed socha to ye ke Quran main kia likha hai, to humye mukhtalif ghalat tafaseer ki taraf mor diya gaya, jab ke kuch ko kaha gaya ke Quran mat perho gumrah ho jaogye (Naooz-o-Billah). kuch ko kaha gya ke aik Quran ke zahiri maanye hain, and aik batni. 4) Kuch mazeed aagye berhye to nazar ye aya ke ye hi nahin pata ke sahi kia, ghaalat kia?? jo kuch molvi ne bata diya wo hi sahi 5) Kuch mazeed aagye barhye to Firqa wariyat main ulajh gaye 6) Kuch mazeed aagye barhye to ye hi sabit kernye main lag gaye ke "woh" wo naji firqa hai jo jannat main jayega 7) Hum ne Ulama ko apna Rab bana lia, Quran ko Bhoolgaye, Ahadith ko Bhool ghaye, ya sirf un Ahadith ko qoute kia jo apne aqeedye ke mutabiq thin 8) Humye in tamam baton main uljhanye ka maqsad sirf itna tha ke ye Muslim Qom jis se aik dunya darti thi, jis ka kam Toheed ki Dawat tha, Jis ka kam Tadabbur karna tha, Jis ka kaam Ilm hasil karna tha, jis kam "Amar-Bilmaaroof-w-Nahi-Anilmukir" tha us ko in tamam baton main uljhado to ye humarye samnye sar nahin utha sake gi or aik dossrye ke sath sir takra ker mar jaye gee 9) Kion ke humarye paas wo roshan chragh tha jis ke roshni se na sirf hum apna rasta talash ker saktye they, bulke is se tama dunia ko roshan bhi ker saktye thye 10) Dunia nahin chahti ke un ki Hakoomat khatam ho, logon ko un ke haqooq pata chalain, un ko pata chalye ke Hakim ke Haqooq kia hain, Allah ke kia hain, khud un ke kia hain, kion ke Badshahon ne humesha khud ko Poojwana chaha hai, (Firoon, Nimrood, Akber, Aatish parast, Yonani, Roman etc) 11) Yahood Gumrah ho chuke thye, Christians Shirk main mubtala ho chuke thye, is ke ilawa tamam mumalik, duniya mia shirk per amal ho raha tha, us waqat Allah ne Hazoor -e-Akram(SAW) ko maboos farmaya, Quran ko utara, and Apne Akhri Khutbye main Hazoor-e-Akram ne farmaya ke main tum main do cheezain chor ker jaraha ho, agar tum unhain thamye rahongye to kabhi gumrah na hogye, aik Quran, Doosri meri Sunnat. hum hain ke Quran ko chor diya, Sahi Hadith ko chor kar zaeef Ahadit ko pkar lia, Quran per Ulama ko tarjeeh denye lagye to phir hamara hashar kia hota?? wahi to ho raha hai 12) Jab koi kehta hai ke research karo to kaha jata hai nahin is se gumrahi milti hai.....?, wah kia sarab main mubtla hain log. jab kaha jata hai ke Quran asan hai sumajhnye ke liya(Quran ki Ayat) to kaha jata hai nahin ghalat matlab nikal loge to gumrah ho jaoogye, to phir kis cheez ki ittiba karain??? Meri in tama baton ko log perhnye ke baad kuch loog to zaroor sochaingye, to doosri taraf is ko kuch log jazbati post kahengye and rad kerdaingye, kion ke qoh socha nahin chahtye hain. Main ne sirf yahan aik fikar denye ko koshish ki hai ke aap tama log sochain jo ke Allah ne mujhye di and un tamam logon ko di jo kuch sahi kerna chahtye thye and hain main aik Solution bhi dena chahonga ke barahye karam Quran ko Tarjume (Translation) ke sath perhnye agar aap sahi rasta talash kerna chahtye hain, is ke liye bhi koshish kerni ho gi ke, Trajim taqreeban tamam aik jesye hian phir bhi teen mukhtalif firqon, (Hanafi, Deobandi, Ahle-e-Hadith) ke tarjumye hasil keye janye (main tafseer ke baat nahin kar raha hon), aur phir Quran ke pegham ko samjha jaye. Jahan per samajh na aaye waha per Ahadith ka sahara liya jaye (Tafseer-Ibn-e-Kathir) jo taqreeban tamaml firqon (Hanafi, Deobandi, Ahle-e-Hadith) mian yaksan maqbool ho. Yaqeenan is ke ilawa main kuch mazeed nahin keh sakta In Tamam baton ki wajha (jo main ne yahan ki, lakin jazbati nahin thi and is main haqeeqat ke ilawa kuch bhi nahin tha) is Waqt duniya-e-Islam per hunye walye Zulm-o-Sitam hain, ke hum to apnye jhagron main lagye hoye hain or wo wahan zulm ki chakki main piss rahye hain, hum tamam Islami Mumailk ke baadshah Hazrat (Wazeer Baadshah ka hi hota hai and sadar ki koi hesiyat nahin) to kuych nahin ker saktye lakin Ulama ka faraz hai ke Baadshah-e-Waqt ko is ke fraiz ki yaad dilyain, ke ye bhi Allah ke Hukm ki Paasdari hi hai. Ab main faisla aap tamam logon per chorta hon, Abdul Salam Edited January 5, 2009 by Abdulsalam Link to comment Share on other sites More sharing options...
Attari26 Posted January 5, 2009 Report Share Posted January 5, 2009 Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai Posted January 7, 2009 Author Report Share Posted January 7, 2009 Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai Posted January 7, 2009 Author Report Share Posted January 7, 2009 Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam Posted January 9, 2009 Report Share Posted January 9, 2009 (edited) Janab Toheedi sahib Baja farmaya aap ne ke main kon hota hon Shirk ya Gustakhi ka fatwa laganye wala.. Ab jo Quran and Ahadith kehtye hain us ke lihaz se jo sahi laga wo keh diya/likh diya. lakin main ab chup hi saadh lon to behtar hai, ke Ulama ne jo bhi kia wo is ke khud zimedar hain, ab kia ya nahin kia ye bhi Allah hi Janta hai. Zarori baat ye hai ke, jab aap bhi keh rahye hain ke, aik Wahabi ki kitab main is ka Ghazwa-e-Tabook ya Ahad main Taleem hona imkan hai, to kia aap ne is Wahabi per Ghustakhi ka fatwa nahin lagaya, and kion nahin lagaya ke is main Hazoor-e-Akram ko Ali se madad mangnye ko kaha gaya tha???? Doosri baat aap ka kehna hai ke hum is ko Shiaon ke Aqeeda ki waja se nahin perhtye hain bulke kuch ulama ne is ka zikr kia hai or wo is per amal pera thye, is waja se hum bhi is ka wird kertye hain, ab yahan mujhye or tamam logon ko batayengye ke is ki tehqeeq ke baghier is ko Taqleed-e-Jamid ke usool ke tehat kion bila choon-o-chara maan liya gaya. Teesri baat ye ke amin jo kuch is barye main ab tak janta tha woh main ne aap logon se share ker lia, ab aap is ki theqeeq karain ke is ka markaz kia hai and is main haqeeqat kitni hai Abdul Salam Edited January 9, 2009 by Abdulsalam Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai Posted January 9, 2009 Author Report Share Posted January 9, 2009 Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam Posted January 14, 2009 Report Share Posted January 14, 2009 (edited) Janab Toheedi sahib Main ne sawal ka jawab to diya tha apni pichli post main, lakin aap ke hi baqool "kiya Piddi or kia Piddi ka shorba" post aap perh saktye hain Doosri baat, jawab ki soorat main mujhye yaqeen hai ke yahi bataya jayega ke "han ye un ka pehlye aqeedah tha, or baad main unhon ne rojoo ker liya ya phir ye kitab ya is ke mundarijat in se ghalat mansoob kiye ja rahye hain" in donon soraton main aap ki tassalli nahin ho gi kion ke aap is ko nahin manyegye, lehaza main ne ye bhi likha ke "ab inhon ne ye amal kia bhi ya nahin, ya is per in ka aqeeda tha bhi ya nahin ye to Allah hi janta hain" aap ke nazdeek Ali se madad mangna jayez hai, lakin kia HAzoor-e-Akram ko bhi majboor karengye ke wo bhi Ali se Madad mangain (Foqol-Asbab)? kai ho gaya hai aap ki mohabbat ko?? Isi liye kaha jata hai ke Aqeedat ka Ghuloo insan ko kahin ka kahin pohncha deta hai. Aap ke Mutabiq Sheikh Abdul Haq Muhadith Dehalvi Hafai Qadri thye to, inhon ne is Dua-e-Sefi ko bila Tehqeeq kion riwayat kia? (Imkanan hi sahi). kia har cheez jo aap ka dil chahye wo aap ke liye jayez ho jati hai?? Isi ki Tehqeeq ko main ne kaha tha ke ab aap hin batain ke kia tareekh hai is Riwayat ki, warna mujhye to ye pata hai ke ye Bektashi silsilye mian nihayat hi maqbool hai, is ke ilawa tamam Shia Hazraat is Dua ko dil-o-jan se chahtye hain or is ke faizan ke silsilye main bohat si riwayatoon ko jama kar liya hai Ab aap is Riwayat ko sahi man kar Shia Aqaeed ko taqwiyat nahin ponhcha rahye to phir kia kar rahye hain?? In Tamam batoon ke baad ye bhi bata dain ke Ulama per hi itna zoor kion? Jab Quran-o-Ahadith ki Ro se Ghair Allah se (Foqul-Asbab) madad mangna jayez hi nahin to phir Quran-o-Hadith ke bajaye Ulama ke Aqwal-o-Riwayat ko muqaddam kion bana rahye hain?? Aap ke liye Shia Hazrat ka Aqeeda Nad-e-Ali ke silsilye main kia hain post kar raha hon Abdul Salam Edited January 14, 2009 by Abdulsalam Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai Posted January 26, 2009 Author Report Share Posted January 26, 2009 (edited) Edited January 26, 2009 by toheedi bhai Link to comment Share on other sites More sharing options...
hussain123 Posted January 26, 2009 Report Share Posted January 26, 2009 Im a bit confused Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam Posted January 26, 2009 Report Share Posted January 26, 2009 (edited) Janab Tohidee sahib Humarye Nazdeek to Shah Wali Ullah (RAH) ki Taqwiyat-tul-Iman se hi un ka Aqeedah and amal sabit hai Aap khud kehtye hain ke Shah Abdul Haq Muhaddith Dehalvi (RAH) Hanafi they Aap ko Shayed ye Ilm na Ho ke Nawab Siddique Hasan Khan, Pehlye Shia thye or woh unke Haq main bhi likhtye rahtye thye ab un ki kisi kitab jo ke unhon ne us dor main likhi ko aap hujjat bana rahye hain?? agar ye un ki Sahi Rastye per aajanye ke baad ki bhi kitab hai to humraye liye Hujjat nahin, Na Hi Shah Wali-Ullah (RAH) ki nahin hi Nawab Siddique Hasan Khan sahib ki. Isi liye kai martaba main aap ko ye bata chuka hon ke jo Ayat-o-Ahadith ki ro se aqeedah sabith hota hai us se ye Aqeedah rakhna or us per amal kernye wala mushrik hi kehlayega. unless ke wo khud is se rojoo ker lain, jesa ke un ke deegar tasaneef se sabit hota hai. aap un ki deegar tasaneef jis main unhon ne Shik ke beekhkani ki hai wo bhi mulahiza farmayen Naad-e-Alliya se mutaaliq dobara ye hi kahon ga ke aap kuch bhi kerlain is ko sahi nahin sabit kersaktye, tehqeeq zaroor ker lain ke ye Riwayat or Dua ki bunyad kia hai warna ye sari baat chor ker is dua ko perhna chor dain or is per amal bhi na karain Naad-e-Alliya is se mutaliq mukhtalif Riwayat (jo ke sabhi ghalat hain) main pehlye hi post kar chuka hon Ab aap baraye meharbani koi aur sawal kernye ke bajaye (mere ulama ko chorain kion ke hum akabar parasti per yaqeen nahin rakhtye hain) or Naad-e-Alliya ke Tehqeeq kerlain Wesye Shia Hazrat itni koshish nahin kertye hain is ko sahi sabit kerne ke liye (kion ke un ka is per amal hai, chahye woh Aga Khani hon, Ismaeeli hon, Bahai hon ya Asna Ashri), lakin ye humarye Sunni Ulama hi hain jo is ko sahi sabith kernye ke liye buzargon ke aqwal pehs kerna shorow ker detye hain (cha-jaeka) islawa is ke ke koi sahi Hadith pesh karain Mera Maqsad Ma-Foqul-Asbab hi tha (Meri Ghalati) to phir aap ker to yahi rahye hain or Nauooz-o-Billah Hazoor-e-Akram se bhi yahi kehalwa rahye hain agar nahin to sahi riwayat pehs karain. Yahan per sirf baat Naad-e-Alliya se related hai...agar aap is per amal kertye hain, aqeedah rakhtye hain to sabit karain ke ye aqeedah sahin, Note: Yahan per Waseela, Murdon se madad, Shaheed ki zindagi se mutaliq post karnye se koi fayeda nahin. Sirf Naad-e-Alliya se mutaliq jawab ke ya kahan se wajood main aaiee, Sahba ke zamanye main is per amal tha ya nahin, Charoon maslak ke Imam ka is per amal tha ke nahin Aik sawal Hazrat Ali se Madad Kia aap batana pasand karyengye ke Sirf Hazrat Ali hi ko Wali kion mantye hain?? Koi ur sahaba kion nahin hain kia un sab ki fazeelat kuch kam thi (Nauz-o-Billah)?? (Allah mujhye muaf karaye), ya phir aap bhi Ghadeer-e-Khum ke waqya per yaqeen rakhtye hain??, Ya phir Ali Moula ka Naarah Laganye walon main hain?????????????? Ab aap jawab dain ya nahin aap per munhasir Ijazat chahonga Abdul Salam Edited January 30, 2009 by Abdulsalam Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam Posted February 2, 2009 Report Share Posted February 2, 2009 Janab Toheedi bhai sahib Kal aik Kitab ka mutalia kar raha tha to us main likha mila ke Mulla Ali Qari (RAH) Hanafi ne apni "Mouzooat-e-Kabeer" main Naad-e-Alliya ka zikr kiya hai........... Abdul Salam Link to comment Share on other sites More sharing options...
Saeedi Posted February 4, 2009 Report Share Posted February 4, 2009 (edited) Edited February 4, 2009 by Saeedi Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai Posted February 4, 2009 Author Report Share Posted February 4, 2009 Link to comment Share on other sites More sharing options...
sunnistudent Posted February 8, 2009 Report Share Posted February 8, 2009 http://www.marifah.net/forums/index.php?sh...=2981&st=15 ( post 29 to post 38) Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam Posted February 10, 2009 Report Share Posted February 10, 2009 ( post 29 to post 38) Dear Mr. Sunni Student Can you please post only one "post" in reply instead of such a long post? its very difficult to find out the appropriate answer against the posted matter Abdul Salam Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam Posted February 10, 2009 Report Share Posted February 10, 2009 Janab Tohidi bhai Sab se pehlye apni ghalati qabool karon, main filhal Janab Shah Wali Ullah Muhaddith dehalvi, Shah Ismail or Shah Abdul Azeez ke tasaneef or un ki zindagi barye main mughaltye ka shikar hon, jo ke waqt ke saath sath behtar ho jaygi. Doosri baat ye ke agar main is waqt ghalati nahin kar raha to ye Shah Wali Ullah (RAH) Shah Abdul Azeez sahib ke walid majid hain? agar han to baremeharbani tasdeeq karain... agar nahin to bhi tasdeeq ka intizar rahye ga.... Teesri baat janab " Waseela" se related aik article main ne post kia tha, kia aap us post(Aritcle) ko perhnye ki zehmat karengye? agar ker len to behtar hoga. is ke baad yaqeenan kuch tashaffi ho jaye gi ke kon sa waseela jayez kon sa nahin. Mullah Ali Qari (Hanafi) ka is Naad-e-Alliya ko Mozoaat-e-Kabeer main naqal karnye ki wajah bayan kar saktye hian aap? Chothi or aakhri baat ye ka ab aap Shah Wali Ullah ka peecha chor dain kion ke woh to becharye Allah ko piyarye ho gaye or un se un ke amaal se mutaliq sawlat Allah khud pooch lega. Jabke hum se humarye aamaal ka hisab hoga, ye nahin kaha jayega ke tum kis aalim ko sahi mantye thye ya kis ko nahin, kis ka kia amal tha un tumhara is per yaqeen o amal tha ya nahin, to jab hum se humraye aamaal ka hisab hoga to phir humye apny barye main fikar mand hona chahiyeye na ke guzar ja chukey (Fout Shuda) afrad ke aamaal ke liye Is ko aap Rah-e-Farar bhi keh saktye hain, kion ke muhye yaqeen hai ke is jawab ke baad aap ka sab se pehla radd-e-amal ya hi hoga jab ke main samajhta hon ke agar koi sakhs dil ke bajaye damagh se sochye or meri tamam posts ka jayeza le to yaqeenan ye samajh jayega ke aap khuah ma khuah Shah Wali Ullah ke peechye perye hoye hain or main aap ko apnye amal ke barye main khabardar kar raha hon In tamam baton ke baad, janab Toheedi bhai sahib aap merye bohat se sawalon ke jawabat gol kargaye....... ya ghalat baat hai. zara Sofizm ke barye main, Hazrat Ali ke barye main, Naad-e-Alliya ka nazool ke barye main sawalat abhi tak tushna lab hain Abdul Salam Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai Posted February 13, 2009 Author Report Share Posted February 13, 2009 Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdulsalam Posted February 13, 2009 Report Share Posted February 13, 2009 Janab Toheedi Bhai Kahin aap ke kehnye ka ya matlab to nahin ke Mulla Ali Qari (RAH) ne jo is ko Mozooat-e-Kabeer main naqal kia hai us se sirf riwayat ghalat sabith hoti hai matan nahin?????????????? Kuch baat sajti nahin, na hi dil ko lagti hai............ riwayat agar ghalat hai to phir kahin or is ki koi sanad sahi hogi,,,, tabhi ye riwayat (Matan) is per amal sahi samjha jayega....? Abdul Salam Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts