Jump to content

Abdulsalam

Under Observation
  • کل پوسٹس

    284
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Abdulsalam نے پوسٹ کیا

  1. Janab Nasirb786 Yahan aik Hadith qoute kar raha hon ke Ghusl-e-Kaaba ka istadlal kahan se liya gaya hai. Wallah-o-Aalam Bissawab Or Jesa ke main pehlye hi keh chuka hon ke "Biddat ki taareef hai ke, Deen main har nai baat biddat hai or har biddat gumrahi hai" Lehaza Ghusl-e-Kaaba ka istadlal agar isi hadith se liya gaya hai to ye biddat hi nahin, or nahin to bhi chonkey Deen main Ejaad kadra nahin to biddat (jo ke gumrahi ke zimrye main aati hai) nahin Abdul Salam
  2. Janab Toheedi sahib, Aap ke pesh karda Hadith "Mishkawat al Masabih Hadeeth # 6082" ke silsilye main, Ye aik sahib ki tehqeeq peshe Khidmal hai, main ne abhi is per mazeed tehqeeq karni hai, lehaza agar koi ghalati ho to zaroor batayen, Mujhye chonke Hazoor-e-Akram ki hadith (Mafhoom) "Kisi shakhas ke jhoota honye ke liye yahi kafi hai ke woh jo sunye usye bila thqeeq aagye bayan kar dye" se dar lagta hai, lehaza agar koi ghalati mulahiza karain to zaroor batayen Abdul Salam
  3. Janab Saeedi sahib, Jawab #. 1 Aap mantye hain ke i) Hazoor e Akram ne Kaheen per bhi Niyat ke zuban se ada karnye ka hukum nahin diya ii) Apnye amal se hum ko daras diya ke hum bhi niyat dil main karain Ab aap teesri cheez "Mubah, Muaf" etc ko le ker aaye hain, well sirf itna araz hai ke Hadit ke mutabiq, Namaz us tarha ada karo jesa ke mujhye ada kartye dekhtye hon", to yahi sawal main alrady aap se kar chuka hon........? Ab aap ki marzi sirf apni baat ko sabit karnye ke liye Mubah ka sahara len. Jawab to bahar hal yahi hai ke Ahadeeth main Zuban se Niyaat karnye ka hukum nahin hain. Jawab #. 2 Gardan ka masah, to aap yahan bhi mantye hain ke i) Hazoor e Akram ne gardan Masah ka alag se koi hukm nahin diya. ii) Hazooe e Akram ne apnye amal se Sar ke masah ke saath gardan ka masah haath ki hathelion se kia. Janab saeedi sahib main apni pichli post main bata chuka hon ke Pagri ka masah kuis hadith se istadlal karkey kartye hain, lakin sar ke masah ke har giz khilaf nahin(aik or baat ke hum per to ilzam hai ke hum sar per topi, pagri, kisi qisim ka kapra jan boojh kar nahin rakhtye hain, phir pagri ke masah ka zikr yahan kesye?) Hawala (Bukhari, Al Wazo, Bab Almasah fil Khafeen 205), (Muslim AL-Taharah, Bab AlMasah Alan Nasiba wal Imama) Ab aatye hain aap ke Sar ke masah ke liye ki janye wali harat, Aap mantye hain ke Hazoor-e-Akram ne Sar ka masah kia or us main hathon ko gardan ki pusht tak le gaye, ti janab is se ya kahan sabit hota hai ke Hazoor-e-Akram ne Gardan ke Masah ki alag se harkat ka hukm diya......? ab aap khud apny maslak ke logon ka amal dekh lain Masah ke silsiye main ke "Sar ke masah ke baad (jo ke kabhi kabhi 2 or zayed martab hota hai) alag se pani ko hathon per gira kar, hath ki pusht gardan ka peechye or atraf main phertye hain, Jab ke Sar ke masah main jo gardan ki pusht ka zirk hai us main Hath ki hatheeliyan gardan ki pusht tak jati hain or phir wapis aati hain.... to alag se amal jis ko aap ne Deen(Wazoo) ka hissa bana liya is ko bidaat nahin kahengye to phir kia kahyengye????? ab ya to phir aap is amal ka wazahat karain. Jawab #. 7 Phir aap ne wahi baat ki, or apnye Aalimon ki tarha usi baat per arye hoye hain ke humarye Hanafi ualama ka kehna sirf hum manyegye...... aik taraf to kehtye hain ke Tamam Maslak Haq per hain lakin jab doosrye maslak ke log kisi hadith ke barye main kehtye hain ke Ahnaf ka istadlal ghalat hai to us waqt aap ke nazdeek woh ghalat ho jata hai........ kisi iak baat per ruk jayen...... Abdul Salam
  4. Agar aap samajhtye hain ke main ne ghair mutaliqa answer diye hain,to aap se guzarihs hai zara apnye isi forum per logon se pooch lain ke meri post perh kar kia nateeja akhaz kartye hain woh, khoah makhua apni aqal shareef ko muskil main na dalen, Dossri baat, Janab jesa ke main ne pichli post main kaha tha ke I.e 1) Jis ko ye pata na ho ke taqleed ke kia maanye hain????? 2) Jis ko ye ilm na ho ke Ahle-e-Hadith ka mazhab, un ka aqeedah kia hai..??? (Quran - Sunnat ke baad, Sahaba , phir, Salf Saleheen, Phir Tabaeen, Phir Taba Tabaeen, ) 4) Jis ko ye maloom na ho ke Talaq ke masalye main kon kon se Ahadith mojood hain???? 5) Jis ko ye ilm na ho ke Namaz kesye parhi jati hai???? to pehlye to aap ye sari batain maloom kar ke aayen phir mujh se sawal karain. agar jawab na ho ya kcuh mazeed time lag raha ho to aap aap ko ijazat hai, chahye mahiinon ke baad aayen Insha Allah main aap ko mill jaonga ya phir orkut per Abdul Salam ko dhoondh leejyega main wahn bhi mojood hon Abdul Salam
  5. Janab Asif Attari sahib Had hoti hai hat dharmi ki bhi, baat horahi thi Arsh per mojood honye ki aap aa jatye hian Ishtabah leker ke "Istawa" ko 1) Jahil hum hain ya aap dhoka de rahtye hain, logon ko asal baat ki taraf se ghuma ker apni baat per le aaye, is ka aik hi matlab hai ke jawab aap ke paass nahin Janab Humara kehna humesha se yahi hai ke Quran ke mutabiq "Allah Arsh per mustavi hai",....... pehlye isko tor lo, phir agli baat ke "Kesye mustavi hai, kia sorat hai", ye sab ishtabah main dakhil hain, Humnye yahan sorrat, postion, condition ki baat nahin ki bulkye aap to bataya hai ke Allah Arsh per hain jo ke Saat aasmano ke uooper hai, Ab aap batayen aap ko eitiraz kis baat per hai?, Arsh ke satwen(7th) aasaman per honye per ya phir us Per Allah ke mustavi honye per (khayal rahye ke istawa ke maanye, ya condition per baat nahin ho rahi hai)? Aap logon ka kia kehna hai is ayat ke tarjmye per ke "Allah Arash per mustavi hai" 2) Yahan per shoaib sahib jis Hadeeth ki baat kar rahye hain woh sirf aik hi hai or woh hai Allah ke Rasool ke qol ki, baaqi taareef ka humye bhi ilm hai (behar hal taareef ka shukriya), ab aap ka istadlal to tamam qisim ki hadeethon se nikal sakta hai bashariya ke woh aapke mowafiq ho, zaeef ho, munkir ho, shaaz ho, mursal ho aap ko sirf muwafiqat chahiye... 3) laqab, nisbat-e-moossis, nisbat-e-jaye pedaeesh, ye saab bunyadi tor per aap ke saath hi jurye hoye hain (Bareli ki jaye pedhaesh, Raza khani ya Razawi, or ab Attari,), ab aap kesye bardasht kar saktye hain ke koi in ke bajaye apnye Asli maslak ki taraf nisbat karye tabhi to aap Wahabi, Najdi keh ker khoosh hotye hain. 4) Kitab Ja-al-Haq ka zikr, shayed aap ko ilm nahin ke is ka radd "Deen-e-Haq bajawab-e-Jaa al Haq" likhi ja chuki hai, lakin yaqeenan aap ne mulahiza nahin ki hongi, zara mulahiza kar lain, to behtar hoga, kuch aap ki tashafi bhi ho jayegi filhal itna kafi hai Abdul Salam
  6. Jawab to aap ko mil hi gaya jana Shoieb sahib ki post se, lakin yaqeenan aap ko tashaffi nahin hoi hogi, kion ke shetan ne to apna pura zor lagana hai ghalat ko sahi sabit karnye main.... well ne aik Ayat Sorah Bani Israel ki 71 ayat ka diya jis ki tafseer aap ne bayan ki woh bhi dhoondh dhandh kar apni marzi wali, kion nahin aap ne Tafseer Ibn-e-Kaseer se tafseer pesh ki??? Mulahiza karain, Ab rahi baat mere sawal ki, to janab guzarish hai ke sirf sawal ka jawab de detye to behtar tha, lakin kia kia jaye "sofistism" main to hota hi yahi ke ghuma phira kar apni baat ko manwanye ki koshish karna.... Any way jawab kuch is tara ka hona tha ke "Ahadeeth ke zariye humein Sunnaton ke barye main ilm hoa" ye baat shayed aap ki samajh main na aaye. bahar hal samajhdar ke liye kabhi kabhi ishara hi kafi hota hai, lakin agar aap phor bhi bazid hon to zaroor batayen Abdul Salam
  7. Janab Asif Attari sahib, Mulahiza karain ke aap pesh karda Aayat se jo istadlal kartye hain woh sahi hai ya ghalat mulahiza karain Tafseer Ibn-e-Kaseer se is ayat ki tafseer or mukammal ayat Rahi baat toheedi bhai ki pesh karda hadith, to janab us per bhi jald hi reply karta hon (Insha Allah) Abdul Salam
  8. Janab Asif Attari sahib, Zara aap bhi dobara mulahiza karain, "Abu Mansoor Sabagh ne apni kitab jis main Mashoor qissye likhye hain" Abu Mansoor Sabagh ne apni kitab Alhikayat-al-Mashoora main likha hai" Phir maliki sahib ka tabsara "Sanad ke Etibar se ye riwayat sahi ho ya zaeef" to janab sirf is ke naqal karnye ko na jayen bulkye is ki sanad pesh karain. warna baat wahin atki rahye gi. Ya phir Hadith ki Darja Awwal, Darja doom or Darja soom ki kitabon main is ka naqal hona dikha dain. Wazeh rahye ke Darja Awwal or Darja Doom ki sahi-us-Sanad ahadith hi Deen main hujjat hain, darja soom main agar sanad sahi ho to is ko Hujjat maan bhi liya ja sakta hai warna zaeef ya kisi nuqs ki soorat main hujjat to bahar hall nahin mani ja sakti. Ab agar aap ke ulama ka is ke ilawa koi or manna hai to woh bhi sabit karain Kia Hzoor-e-Akram ke amal (Jihad ke ilye Sahaba se mall(asbab) Allah ke liye dena) sabit karain ke ye taqseem kahan mojood hai???? ya phir Quran se (Hazrat Moosa ka apni qom se poochna ke kon Allah ka madadgar(saath denye wala) hai, yani us ke nabi ka saath denye wala? Taqseem pehlye hi se mojood hai, ab aap is se koi ghalat istadlal kar bethayen to hum aap ko sirf ye bata saktye hain ke ye ghalat raasta hai is per na chalain. Abdul Salam
  9. Janab Toheedi sahib, Mere pas alhamdullilah is ka jawab hai lakin sab se pehlye aap se guzarish hai ke aap pehly woh hadith pesh karain (Sanand o Hawala jat ke saath) jis se aap Hazra Ali ka "Mola" yani madadgar hona istadlal kartye hain, wazeh rahye humye to lafz Mola (jo ke Allah ke liye khas mustamil hai) per bhi aitraz hai. Ha agar aap nahin pesh kartye hain to phir mujhye thora time lagye ga mukhtalif jaghon se is ko yakja karnye ke liye. Abdul Salam
  10. Aap ne general baat ki ke "Humarye Ulama Quran-o-Hadith se hi baat kartye hain" lehaza main ne bhi aap ko general hi kaha ke "jab aap ko ye bataya jata hai ke ye ghalat istadlal hai, ye hadith ghalat hai", to aap log taaweelain pesh karni shoroo kar detye hain, jesa ke abhi aap ke aik bhai sahib ne "Fiqh ke ye chand masayel" main kia. Jab hum kisi bhi aalim, ki ya mujtahid ki baat khilaf-e-Sunnat detkhye hain, ya ilm me aati hai to yaqeenan sirf aankhyen band kar ke yaqeen nahin kar letye bulke pehlye saboot dhoondhtye hain, phir sabit ho janye per is se barrat ka izhar kartye hain, or yahi aap se kehtye hain ke aap bhi ayesa hi karain, lakin aap hain ke ye nahin mantye ke aalim, Buzurg, Mujtahid se Khata bhi ho sakti hai, or un ka qol hojjat nahin deem ke mamlye main or taweelain pesh karni shorro kar detye hain, like "Nad-e-Aliya" ki post to isi tarha ki cheezon se barrat ka izhar karnye ko keh raha hon. han kion ke aap ke shyed nazdeek Quran to nauzubillah perhnye ke liye nahin, bulke sirf qote larnye ke liye woh bhi sirf ayat to ayat, pura quran kon parhye, ab aap bhangnye ki koshish na karain, Wapis jayen or Sorah Inam ki Tafseer Az Ibn-e-Kaseer ko mulahiza karrain, merye likhnye ya na likhnye se koi farq nahin parnye wala agar Aap khud hi na chahyen. Ye aap ke liye hi tha ke jab aao ke Wahdat-ul-Wajood" ke nazarye (jo ke aap log Sheikh-e-Akbar Ibn-e-Arabi ne bayan ki) or aap logon ka is per eeman hai, ke mutabiq Sirf Allah ko maan lenye wala or phir sirf us ki zaat ke ilawa tamam ko Fareb maanye wala Mohid hai to phir Shirk ki gunjayesh hi na rahi.......... ab agar main is ko apnye alfaz main likhta to aap ko takleef shoroo ho jati ke hum ye kab kehtye hain....lehaza aap ko un sahib ki tasneef ka page scan kia..... isi ke mutabiq Hazrat Mosa ki qom ne Pachrye ko nahin bulkye us main mojood Allah ke Zahoor ko poja lehaza unhon ne shirk nahin kia (Lahol-Wala-Qouata-illa-Billah) Ab yaqeenan ye nahin lagye ga ke "Sawal Gandum, Jawab Chana" Mujhye qatai koi sharam nahin ye kehtye hoye ke "aap zara dobara apnye sawal ko dohra dain" Abdul Salam
  11. Janab Toheedi sahib, Wahi saboot to hum maang rahye hain, baraye meharbani pesh kar dain, Siyya, Hasana ki taareef ka shukriya lakin is waqt dalayel pesh kar dain, zaeef ahadeeth ka majmooa, ya Zaeef, munkir, waaze, shakhs ki riwayaton ka majmooa nahin pehs karian........ kion ke aap ke nazdeek zaeef ahadith agar bohat se hon to woh hasan ke darjye main pohanch jati hain...... or agar pesh hi karni hai to atleast tamam sandadon ke saath, Agar sahi ahadith hon to sirf kitab ka hawala hi kafi hoga.. Abdul Salam
  12. Janab, aik sawal tamam Barelvi bhaion se Janab Asif Attari ki post perh kar (Mukkamal nahin sirf aik Hadith ka Hawal or us se istadlal dekh kar) Ke Sunnat-e-Nabvi ka humye kesi ilm hoa.........? Mukhtalif Logon ne Ahl-e-Hadith se kia muraad liya hai or un ke hi Mutabiq Ahl-e-Hadit ka kia aqeedah hai.......? Abdul Salam
  13. Janab Yasir Attari, Agar nahin to taweelon ki zaroorat nahin pehs aati aap ko (is tarha kaha, ye matlab tha, ye matlab hai, zaeef ahadith ka sahara, Nabi e Akram ke bajaye, Sahabah ke bajaye, doosrye logon ke amal ka sahara waghera), in ki zaroorat kion hai.........? Yahan per dobara aap taweel pesh kar rahye hain na ke is amal se barrat ka izhar karain....... Jab hum barrat ka Elan karain to Fatwa mango,..........? Jab ke fatwa sirf raye hoti hai kisi aalim, mufti ki apne ilm ke mutabiq or is main ghalati ki gunjayesh bahar haal rehti hai jab ke hum jis bina per Barat ka Elan kartye hain woh Qurani Aayat, Hadith e Pak , or sahab Iktram ke aqwal o Aamaal ki roshni main kartye hain.... Pehlye to aap ne Shirk ki taareef mangi thi ab aap ne jawab or is main mojood hawalye ka mutaliya kiye baghair shoroo ho gaye aap..... Abdul Salam
  14. Asif Attari, zara Sora Inam ki tafseer, or mazeed ye ke Quran ki tafseer ibn-e-Kaseer mulahiza karain (apnye hi aalim ka tarjuma parhain) lakin Ibn-e-Kaseer (RAH) ki ibaraton ko mulahiza karlain, yaqeenan aap ke tamam shakook-e-shubhat ka radd aap ko wahin se mill jayega, Is ke ilawa tafseer ibn-e-kaseer main mojood aik "Aerabi ka waqia ke Hazoore Akram ke qabr per aa kar waseela se dua ki" ko dobara mulahiza farma lain ke wahan per muffasir kehtye hain ke ye aik aysi kitab main likha hai jis main qissye kahaniyan likhi hoi hain....... mazeed aap ke Liye Dua Hai Ke Allah ( ) aap ko Hidayat dye Abdul Salam
  15. Janab Ahle Sunnat sahib Ye is liye ke Mushrekeen-e-Makka ka bhi yahi aqeedah tha ke Haqeeqi fail Allah hi hai, Jesa ke Quran man hi hai (Sora Inam ki Tafseer Ibn-e-Kaseer) Baraye meharbani Sora Inam ki Tafseer Ibn-e-Kaseer mulahiza karain. To phir us Hadith ka kia jis main Qabron ke Qubbye or Unchi Qabr ke giradenye ka zikr hai jo ke Allah ke Rasool ke hukm se Sahabi ne ye kam kia, jis ke baad Hazoor ne is ki na karnye ko kaha (Yaqeenan aap ko ilm ho ga) hawala filhal nahin hai agar zaroorat ho to baad main zaroor de donga Syed Ameer Ali (Shia) ki kitab parh ker batain kar rahye hain aap, zara apni tehqeeq to ki hoti...... phir baat zara dhang se hoti, well main is baryen main ziyadah kuch nahin kehsakta..... agar hai bhi to iss sye aqeedeh ka bigar kahan nazar aata hai wazeh karain. Abdul Salam
  16. Janab "Toheedi bhai" sahib Ab aap wapis aagaye apnye khud sakhta fatwon ki janib, yani ke jab aap ne kaha ke "Shah Wali Ullah ka amal bhi yahi tha" to mera jawab bohat details main tha ke un ka jo bhi aqeeda amal tha woh un ke saath ja(khatam) ho chuka.... , or aap ko or hum ko apny amal ko dekhna hai na ke un ke, kion ke Qayamat main sawal hum se humarye amaal ka hoga na ke unka... lakin aap ne kaha ke nahin "humye un ke alfaz main is se inkar sabit kar ke dain" phir jab bohat siu koshishon ke baad aap ko un hi ki kitab se un ke "har" quran o hadith se takranye walye amaal ke khilaf baraat ka izhar pesh kia to aap kehtye hain ke nahin "khososan is amal se baraat ka izha dikhayen".....!!! aap ko chahiye tha ke "sirf reply post ke bajaye" pehlye apnye ulama se is masalaye ke barye main maloom kar laytye ke is "Elaan" ke baad kia fatwa lagaya jata hai????? lakin problem to ye thi ke aap ka khud hi is per amal hai to aap kahan se manyengye... aisa amal Jis ke aap ke bhi nazdeek koi asar (riwayat) nahin milti aap taqleed main kartye rahna chahtye hain......(ISI KO TO KEHTYE HAIN ANDHI TAQLEED) warna daleel layen..... Ab aap ko Aaima Arba ke Aqwal dekhata hon, Aima Arba (Abu Hanifa (RAH), MAlik (RAH), Shafai (RAH), Hambal (RAH)) ke kehna tha and hai ke "jo Qol humara Quran o Hadith se takra jaye us ko deewar per de maro" to kia is waqt bhi aap Un hi ki Zuban main is makhsoos hadith ka radd mangye gye????? Bahia sahib (ab aap mujhye bhai mano ya na mano) Barahye Karam Andhi or Shakhsi Taqleed se bahir niklian or Quran o Hadith ko daton se Pakar lain, Allah tamam Hidayat denye wala hai Abdul Salam
  17. Janab AhleSunnat sahib, bohat bohat shukriya ke aap ne is page ko scan kiya. ab zara aankhyen kholain or dekhyen ke jin logon ke mal-o-jan ke mubah honye ka zikr hai un ka kia aqeeda bataya ja raha hai, "wun umoor main madad talab karna ya aqeedah rakhna jo ke Khas Allah ke siwa kisi or ke ikhtiyar main nahin" yani saf zahir hai Shirk main mubtala logon ka zikr hai, yaani ke Musrekeen-e-makkah ke liye jo hukm tha woh hi yahan per lagaya gaya hai...... ab agar aap is main mubtala hon to hi aap ko takleef hogi...... Doosri baat ye ke, isi page main Qabron ke Qubbye or Gambadon ka bhi zikr hai jis ke barye main faisla Hanafi Sheikh Abdul Malik Qaliee, and Shafai Sheikh Husain Maghribi ke samnye hoa, yaani ke un bhi nazdeek ye ghalat tha and hai, tabhi unhon ne koi Ehtajaj na kiya.......? donon bateyn sahi hoin na ke ghalat.......? Abdul Salam
  18. Janab Ghulam-e-Mustafa sahib guzarish hai ke aap tamam log Muwahid sahib ke sawalon se to nazreain chura rahye hain or sawalat ka jawab ke tor per sawal dagh rahye hain.. Munasib hota ke aap log sirf Muwahid sahib ke post ke jawab main koi hadith pesh kartye ke Eid Meelad, Qul, Teeja, Chaleeswan, buland awaz ke saath zikr ki mehfil, ghuma phira ker aap apna mouqif sabit nahin kar saktye hain. biddaton ki taareef ki un he logon ko zaroorat parti hai jo ke apnye amal ko sahi sabit karnye ki koshish kartye rehtye hain. Jawab to Hazrat umer , Hazrat Abu Bakar and Hazrat Usman ke amal ka bhi mojood hai lakin aap ko nazar nahin aayega, kion ke jab aap sirf un ahadith ka mutalia karyengye jo ke aap ke muwafiq hai (chahye sahi ya zaeef, ya mozoo) to phir mazeed kisi or cheez ka nazar aana mohal hai. barah-e-karam psot ke mutabiq jawab dain, Rahi Hadith ke "Islam main jo shakhs achye tareeqye ko rayej karega" to janab again wahi baat jo aap ke baqool Sheikh Abdul Haq muhadith dehalvi ke mutabiq (Usool or Qwaed-e-Sunnat or os se Qayas ki hoi) ho to woh Biddat-e-Hasana hai, to janab "aap ye sabit karyen ke aap ke Qul, Chaleeshwan, Teeja, Meelad, Zikr Quran-o-Sunnat se nahin takratye hain" warna aap khud hi biddat ko maan lain. Taraveeh Hazoor se sabit hai lehaza sirf alfaz (us waqt ke Arabi adab o Zuban) ki wajah se is ko biddat nahin maan lengye. Hazrat Usman ka doosri azan shoroo karana logon ko ziyada se ziyada Juma main shamil karnye ki gharz se tha jo ke un ke hukm ke mutabiq masjid se bahir bazar main di jati thi. Quran ke jama karnye ko aap biddat keh rahye hain ??? jab ke istadlal ke liye ye hi kafi hai ke Hazoor-e-Akram ke zamanye main hi Hazoor-e-Pak ne is ki khitabat shoroo kara di thi jis ke liye kuch sahab makhsoos thye Ab in teeno mas-alon ke hawalye aap ko chahiyen to janab zara mehnat karin ur kutub ahadith main mulahiza kar lain. Han agar na milye to phir mujhye zaroor kahen ke main ne ghalat kaha hai. (Alfaz ke tarteeb ghalat honye per Allah ( ) mujhye muafi karaye, woh beshak bara Ghafoor-o-Raheem hai) Abdul Salam
  19. Main apni research ki janib dobara mutwajjah ho raha hon, to ho sakta hai ke bohat se sawalon ka waqt per jawab na de sakon, behar hal main posts waqtan fa waqtan (time to time) dekhta rahonga Abdul Salam
  20. Sab se pehlye apna mazhab bato Mr. Ali Rizvi??????? phir baat karingye Note: Main apni research ki janib dobara mutwajjah ho raha hon, to ho sakta hai ke bohat se sawalon ka waqt per jawab na de sakon, behar hal main posts waqtan fa waqtan (time to time) dekhta rahonga Abdul Salam
  21. Main apni research ki janib dobara mutwajjah ho raha hon, to ho sakta hai ke bohat se sawalon ka waqt per jawab na de sakon, behar hal main posts waqtan fa waqtan (time to time) dekhta rahonga Abdul Salam
  22. Janab Asif Attari sahib Aap ke mutalibye ke jawab main hazir -e- Khidmat hai Quran se Shirk ki taareef, or Janab Ibn-e-Kathir ki tafseer Baraye Meharbani Tafseer Ibn-e-Kathir se Sorah Inam ki tafseer mulahiza karain.. chonke ye sorah koi chooti sorat nahin hai lihaza sirf is ka bata raha hon, Aap ke tamam mughalton ka jawab mojood hai is ki tafseer main. Is ke Barkhilaf agar aap ke hi aik bhai Janab Ahmed Saeed Kazmi ki kitab "Wahdat-ul-Wajood kia hai" ka hawal don to ye maloom hota hai ke to jawab bahar haal aap ko mil jayega Sorra Inam ki tafseer main Note: main apni research ki janib dobara mutwajjah ho raha hon, to ho sakta hai ke bohat se sawalon ka waqt per jawab na de sakon, behar hal main posts waqtan fa waqtan (time to time) dekhta rahonga Abdul Salam
  23. Janab Asim sahib khayal rahye ke Nazul Abrar (aik Hanafi sahib ke tehqeeq ke mutabiq) (hawala pichli post per mojood hai) Allama Waheed-uz-Zaman ki tasneef hi nahin, Behar Hall, Ahl-e-Hadith ke maslak main to kisi bhi shakhs ki baat hujjat ke tor per pesh nahin ki jaa sakti.... Abdul Salam
  24. Ye aap ko batanye ke liye ke main ne Taqleed ke mozoo per kia kaha tha. Mera ya humara aqeedah Taqleed ke silsilye main, main ne pehlye hi reply main wazeh ker dia hai, lakin aap hai ke bas.... ......... Abdul Salam
  25. Jab aap ko ye ilm hi naihin ke Ahl-e-Hadith ka kia mazhab hai, or Aalim se poochnye per aqeedah per kia zarab parti hai woh kia janye ke Ahl-e-Hadith kon hai???? yahan sirf Aalim ki hi nahin manni hai bulke us ki tehqeeq bhi maqsood hai...... warna jin doost ka main ne zikr kia tha unhon ne bhi aalim se hi poocha tha....... Lakin aap ko to bahana chahiye, ab woh aap ke haq main ho ya na hon, us ki koi haisiyat ho ya na ho...... Zara pehlye Ahle-e-Hadith ke silsilye main pehlye forum per mojood details perh lain, behtar hoga ke kisi ahl-e-Hadith ke details hi parnhen, kam az kam aap us ka hawala de kar hi kuch sabit kar sakyengye warna (ghalat honye ki soorat main )to wo sirf ilzam hi hoga Abdul Salam
×
×
  • Create New...