Jump to content

Kilk-e-Raza

اراکین
  • کل پوسٹس

    435
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    44

سب کچھ Kilk-e-Raza نے پوسٹ کیا

  1. bhai, asal men jo kam kerta hay woh nazer aata hay. or jo nazer men ata hai, wahan pr muhabbat or nafrat kerne wale dono paida ho jate hain. or Maulana Ilyas Qadri sahab ke lye muhabbat kerne wale itne zyada hain ke jinka shumaar bhi mumkin nahi. aub yahi bat masla-kun banti ja rahi hay. bhai, apki post perh kr mujhe samajh nahi aarahi aik bat ki. hum sunni tu bari muhabbat wale loug hain. chahey woh muhabbat apne Aaqa se ho ya us ke Sahaba wa Ahlebait se ho, ya Aulya e Karam se ho ya Ulema se ho. Yeh hamare mindset ko kya hota ja raha hay? kya hum wahabiana soch ki taraf tu nahi ja rahe hain? wohi shirk o biddat wali, ya rutba berhane or ghatane wali? ya time muqarar kerne wali bidat ya mehfil sajane wali bidat waghera.. or phir kisi chez se ya andaz se ikhtilaf ho bhi jata hay tu uski nishandehi ki jaye behter tareqa se. mager jo andaz apnaya ja raha hay woh tu bilkul hi ghalat hay. dawateislami wale ya attari hazraat apne peer ko Allah ka wali mante hain. Ager Mureed apne Peer ko wali mane or uske qaseede gaye or bohot tareef kere. Is main koi burayi hay? Kisi wahabi ko tu nazer aa sakti hay. Sunni ko nahi. kya apko aadab e murshid e kamil pata hain? kya apne kabhi fatawa razwiya sharif se apne peer ke adab ko perh ker dekha hay? Kya apne auliya e karam ka adab e murshid e kamil suna hay kabhi? yeh perhye. jo batain ap ne likhi hain, woh dawateislami wale ager kerte hain tu thori hain. adab e murshid e kamil tu bohot hi zyada hain. jese Alahazrat ne likha ke Akabir ne tu is se bhi zyada adab likhe hain. ab zara ye 2 waqyat bhi perh len. yeh taleemat e ahlesunnat hain, mager mojodah kuch sunni kehte hain ke apne peer ka rutba na berhao, balke us men kami kero. or apne peer ki bajaye deger ki taraf dekho. لاحول ولا قوۃ الا باللہ
  2. kitab ka mujhe ilm nahi. nafseislam.com site per check keren. Muhayi ka mana hay "sunnat ko zindah kerne wala'. tu jo aik ya kuch sunnaton ko zindah kere tu bator laqab is main kya ghalat hay. muhayi e sunnat ka laqab main ne bohot se ulema ke sath posters waghera men dekha hay.. kabhi phir mila tu yahan picture post keron ga. abhi main ne search ki tu Silsila Naqshbandiya ke mashhor bazurg Khuwaja Saif ud din alehrahma ke lye ye laqab istimal howa hay. محی السنت حضرت خواجہ سیف الدین عروۃ الوثقیٰ حضرت خواجہ محمد معصوم قدس اللہ سرہ العزیز کے صاحبزادے اور خلیفہ ارشد ہیں http://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%AE%D9%88%D8%A7%D8%AC%DB%81_%D8%B3%DB%8C%D9%81_%D8%A7%D9%84%D8%AF%DB%8C%D9%86 Aap Khuwaja Muahammad Masoom alehrahma ke bete or Hazrat Mujaddid Alfesani alehrama ke pote hain.. Tu kya silsila naqshbandiya walon ne pote ka rutba dada se berha dya or ghous e aazam ke barabar ker dya hay? jab ke Khuwaja Saif ud din alehrahma khud apne dada aur walid ke liye ye kehte hain. من کیستم کہ باتو دمِ دوستی زنم چندیں سگانِ کوئے تو یک سگ منم ترجمہ: میری کیا مجال کہ آپ سے دوستی کا دعویٰ کروں؟ میں تو بس آپ کے دربار کے کتوں میں سے ایک کتا ہوں۔
  3. bhai lag kuch yon raha hai ke jinko perhna bilkul nahi ata ya urdu alfaaz ko perhna nahi ata, unko bewakof banaya ja raha hay or bilkul aise beytuke etarazat kye ja rahe hain jese akser wahabi kerte hain or yahan bhi mamla kuch lag aisa hi raha hay. ye naam nihad sunni ander se wese hi kale hain, pait ka dhanda or sunni awam ko gumrah kerna. Maulana abul atas shahjahan puri sahab apna conversation bata rahe hain kisi ke sath. roman urdu translation ye hay. "hazrat ameer e ahlesunnat ne kayi sunnato ko zinda fermaya, tu meri is bat ko unho ne maan lya ke ap 'muhayi alsunnat' hain.. jabke aik sharii masla hay ke 'muhayi' jo hota hay woh 'mujadid' se bara hota hay. muhayi ka kam hay zinda kerne wala jabke mujadid ka kam hay ke aik chez pr gard o ghubar aagayi hay tu usko saaf ker ke chez ka asali chehra dikhaye. Huzoor ghous e aazam radi allah anhu ko Allah ne 'muhayi ud din' bana ker bheja na ke mujadid, kyonke 'muhayi' ka kam 'mujadid' se bara hota hay. main ne kaha ke ap 'muhayi alsunnat' manne ke lye tayyar hain tu mujadid manne se kyon inkar kerte hain. jahan apne murda sunnaton ko zinda kya wahan apne deen o sunnat pr pari gard o ghubar ko saaf kya or asali chehra bhi numaya kya hay tu woh dost koi jawab na de sake" Is men konsi bat ghalat hay? kya "muhayi" kehne per aitaraz hay? yani lafz muhayi ya muhayi alsunnat sirf ghous e aazam ke sath makhsoos hay. kisi or ko muhayi yani sunnat ko zinda kerne wala kaha tu ghous e aazam ki barabari ho gayi? Astaghfirullah.. yeh tu bilkul andhe ho gaye hain.. wahabi bhi bilkul aise etaraz kerte hain ke Alahazrat kyon kaha jab ke Hazrat Muhammad e Mustafa ke sath sirf Hazrat lagate ho tu tum ne rutba berha dya (Muaz'Allah) .. or Imam e Aazam kyon kehte ho jabke imam e aazam tu hamare Nabi hain. Deger kayi bare bare sunni ulema ke naam ke sath lafz "muhayi alsunnat, qata'e biddat, sher e raza waghera" alfaz lagaye jate hain tu kya un sab ki bhi ghous e pak se barabai ho gayi? ab aise bhonde aitarazat ka kya jawab dya ja sakta hay. ilmi o amali maidan men maar kha kr aisa hi haal hota hay.. dawateislami or ahlesunnat ki dunya bhar men taraqi in logon se dekhi nahi ja rahi. kal baroz e qayamat ye loug in baton ke jawab zaror den ge. aik insaf ka bara din jab aaye ga.
  4. Kisi bat per yaqeen rakhna, usko dil se manna aqeeda ya faith hay. Yani Allah aik hay. Isko ap dil se mante hain or is pr pakka yaqeen hay. Kisi shak ki gunjaish hi nahi tu ye apka aqeeda hay. Mufti haneef qureshi sahib ke alfaz naqal kerta hoon. "Aqeeda lafz uqda se hay jis ke mana hain Girah (gaanth).. Girah ko aage ya peche jahan se bhi khencho tu woh zyada mazboot hoti hay. Aqeeda aisi chez hay jis se koi chera chaari kere tu woh toot na jaye".. Mufti sahib ki is video speech men 5:00 se 12:00 tak aqeeda ka tazkira hay. www.youtube.com/watch?v=qcb8IeT9ggo
  5. Post ke nechay Report ka link mojod hay us se report kr dya keren or reason likhen. forum pr koi ghalat post ya topic nazer aaye, usko bhi report kya keren.
  6. bhai ap apni aqal ke mutabiq qayas ya quran ki aayat se apni merze ke masail akhz kr rahe hain jabke yahan open forum pr aik masle ka hal aisa nhi hona chahye. apko sahi daleel ulema e ahlesunnat ke fatawa, sahi aahadith or fiqah ki roo se deni hogi. ager her kisi ko qayas or masail akhz kerne ki ijazat ho tu phir tu kulya hi khair hay or dosra hum muqallid kis bat ke hain? yahi kam tu ghair muqallid kr rahe hain. ap ne dars e nizami or phir mufti course kya hay? or agr kya bhi hay tu aik new masla bayan kerne se pehle ap ne dosre muftiyan e karam se mashwara kya or unki tasdeq li, ho sakta hai unko aahadith ya fiqah ki roo se masle ka sahi hal maloom ho? kya fatwa dena or masail ka hal batana itna aasan hay ke ap aik aayat quote kr den or likh den ke qatal saza hogi? Ulema e karam aik aayat ya hadees ke kayi maani or kayi masail akhaz kerte hain or phir beesyon chezen dekhni hoti hain ke is aayat ka shan e nazool kya hay. "war" or "mischeif" se yahan kaun se awamil muraad hain jinki saza itni shadeed yani qatal or exiled hay. chor ki saza hath kaatna hay, is se ye akhaz kerna ke aghwa ki saza mout hogi (gender or age ka taaluq nhi hona chahye) yeh tu qazi ka kam hay jo quran o hadith or masail se pori tarha aagah ho or phir dono taraf ke dalail sune or aghwa ka zulm sabit ho jaye tu shariat ke ahkam ke mutabiq saza de. qasas tu tab banta hay jab aghwa shuda ko qatal kr dya gaya ho. ager aurat ke sath zinna howa hay tu uski saza 80 kore hain or ager ziyadti bhi nahi hoyi or aurath aghwa ke bad bilkul sahi salamat bagahir kisi jinsi ya jismani takleef ke mili ho tu mout ki saza kese hogi? ap ne jo aayat pesh ki hain ager un men "wronged", "war" or "mischeif" ka ye matlab lya jaye tu phir tu her dosre jurm pr mout ki saza hogi. islam men baz sakht sazain zaror hain ke jurm dobara na ho mager itna bhi sakht na banain ke her dosri bat pr death penality lag jaye. or woh bhi apne qayas se. meri baton ka bura na manaye ga mager mojoda muftiyan e karam bhi naqil hain. masla ke sath hawala likhen ge or apne qayyas se koi jadeed masla bayan keren ge tu apne waqt ke naamwar ulema se tasdeeq len ge. or yeh masla koi jadeed masla nhi hay. iski saza zaror fiqah ki kutub men mojod hogi.
  7. وہابیوں دیوبندیوں کے کئی اعتراضات کا جواب اس ٹاپک میں موجود ہے۔ http://www.islamimehfil.com/topic/3932-malfozat-ya-junaid-ya-junaid-hazrat-junaid-baghdadi-ka-waqia/
  8. kya oper pehli post wala elan kafi nhi hai? Ap ne zara usko perhne ki zahmat ki hai? Ameer-e-Ahlesunnat qasam kha ker keh rahe hain ke na unho ne kabhi namaz perhi or na ijazat talab ki. jis ne ye ijazat talab kerne wala ilzam lagaya hai saboot us ke zime hain. jinko urdu perhna nhi aati or roman urdu perh sakte hain. unke lye main kuch aasan roman urdu men oper wala maktoob translate ker deta hoon. "Alhamdulilah dawateislami ke qayam se saliha saal pehle jab se Sayidi Alahazrat rehmatullah aleh ke fatawa badmazhabon ke bare mein perhe hain, tab se badmazhabon ki iqtida haram samajhta hoon aur ta dam e tehreer Wallah Billah (qasam) deedah o danista main ne kisi badmazhab ki iqtada men jaiz samajh kr aik bar bhi namaz nahi perhi. Main apne oper badmazhabon ki iqtida ki ijazat talab kerne ke ilzam per sakht dil garifta (ghamgeen) hoon. Ilzam lagane wale ko sharii gawah pesh kerna lazim hai werna main qasam utha ker aid kerdah ilzam se bari ho chuka. Dushmano ki bhi nazer mein phool sitam Doston ki bhi nazer mein khaar hum (hadaiq e bakhshish) Ya Rab e Mustafa Maslak e Alahazrat ka bol bala ferma, kisi sunni ke khilaf suni sunayi baton per bila tahqeeq andha aetamad kerne se bacha, ager koi sunni khata ker bethe tu uski tafheem ke taqaze pore kerne ki sa'adat inayat ferma aur bila ijazat e sharii usko badnaam kerne se bacha. Ameen bijahin Nabiyil Ameen Sallo Alalhabib - " Ameer-e-AhleSunnat ko Mohaddith e kabeer se ijazat talab kerne ki zarorat hi nahi.. yahi sab se bara jhoot hai. Awwal tu kya pore Pakistan men koi aik mufti bhi nahi tha ke Hindustan se aaye howe Mohaddith e kabeer se ijazat talab kerne ki zarorat peri? or phir dawa kerne wala sharii saboot bhi nahi de sakta, or qayamat tak nhi de sake ga. Dosra Ameer-e-AhleSunnat khud Aalim hain (balke ulema ki ustad bhi hain) or Mufti Waqar ud din qadri alehrahma ke shagird or unke dunya men wahid khalifa. Fatawa razwiya dekho. Aalim banne ke lye sanad ki zarorat nahi or Aalim hona Khalifa banne ki shart hai. Mufti Waqar ud Din Qadri alehrahma Huzoor Zia ud Din Madani alehrahma ke khalifa hain.. Huzoor Zia ud Din Madani alehrahma Alahazrat alehrahma ke khalifa hain.. Zara nisbat dekho. Ameer-e-AhleSunnat ko or bhi bohot bare ulema ki khilafat hasil hai including Shareh Bukhari Mufti Shareef ul haq amjadi alehrahma. Khud Ameer-e-AhleSunnat ne Dawateislami banne se pehle Huzoor Zia ud Din Madani alehrahma ki bayt ki Madinah shareef ja ker ki.. Ameer-e-AhleSunnat ke dil mein Ishq-e-Alahazrat shurow se bhara howa hai or aap kaseer mutalaa kerte they Alahazrat ki kutub or fatawon ka.. Dawateislami se pehle aap ne kayi saal karachi ke sunni masajid men imamat ke faraiz bhi sir anjaam dye or bare bare ulema ki sohbat men waqt guzara. Allama Arshad ul Qadri aur Allama Shafi Okarvi ne khud Ameer-e-AhleSunnat ko tajveez kya ke yeh behtreen shakhsiyat hain Tableegh e Deen ki tehreek ko chalane ke lye.. Is sari bat ko batane ka maqsad ye hai ke Ameer e Ahlesunnat shuro se hi badmazhabon ke khilaf hain or kabhi namaz nhi peri or Mohaddith e kabeer se ijazat talab kerne ka koi tuk nahi banta, ye bohot bara jhoota ilzam hai baghair kisi sharee saboot ke. Allah humen muaaf kerey.. Koi bhi Iman dar oper wale maktob ko perhe tu usko paka yaqeen aajana chahye ke Ameer-e-AhleSunnat ne ba qasam yeh kaha hai ke dawate islami banne se kayi saal pehle se unho ne badmazhabo wale fatawa perhe howe hain aur unho ne kabhi bhi badmazhab ke pechay namaz nahi perhi or na kabhi ijazat talab ki hai.. ilzam lagane wale ka farz banta hai ke woh sharee saboot de. Mager qayamat tak nhin de sake ga. or jhoota hone ke lye itna kafi hai ke woh suni sunayi baton pr bila tahqeq yaqen ker le. jese aaj kal facebook waghera pr ho raha hay.
  9. jesa RazaviTiger bhai ne kaha hay, scribd pr khud koi choti se file upload kr ke phir download kr sakte hain ya phir scribd wala link yahan post keren tu yahan koi member download kr ke post kr de ga.
  10. سعودی عالم کی "چین خود جہاز تک آتا" والی دالیل سمجھ نہیں آئی۔ کیا اس پر سائنسدان یہ نہیں کہہ سکتے کہ دبئی اور دبئی ایئرپورٹ بھی ساتھ گھوم رہے ہوتے ہیں۔ اس لئے فاصلہ وہی رہتا ہے؟
  11. Un se kahain ke koi bat bhi sabit kerni ho woh mustanad ulema se sabit keren. ager peer nasir sahib deobandion ya sipah khoon kharaba ki tareef kerte hain tu woh dosri taraf shia ki bhi tareef kerte hain. Hamara masla bilkul clear hai. Alahazrat ne shia ki takfeer pr kutub likhi hain or deobandion ki takfeer pr bhi kutub mojod hain, jis per over 100 ulema ki tasdeeq hai. Jo gustakhi kere woh kafir or gustakhi ko jan kr gustakhi na mane woh bhi kafir. it's that simple. Is ke bar aqs kehne wala mustanad kese ho sakta hai? chahe woh bari shakhsyat ho ya choti.
  12. Intihayi ahmqana etaraz hai.. Yahi bat pehle bhi aik topic men pochi ke ager tv pr quran ki tilawat or gunbad e khazra ya khana kaba ke manazir hoon tu sawab nhi miley ga tu kaha gaya ke woh tasaweer beyjaan hain is lye gunah nhi or tilawat ka sawab bhi mile ga, bilkul jese radio ya internet per yeh sunne se ye sawab mile ga.. tu sabit howa ke tv per bhi mile ga. mutariz jawab de ke baghair kisi aale ke, kisi Aashiq e Rasool ko ager awaz sunayi de tu jaiz hoga? or ager radio pr sunayi de ya internet se computer ki screen per gunbad e khazra ke munazir dekhte howe sunayi de tab jaiz hoga? ager nhi hoga tu waja? ager hoga tu phir tv per bhi sunehri jaaliyon ke manazir they, na ke koi tasveer waghera nazer aayi. or isko bila daleel jhoota kehna khud jhoota hone ki daleel hai jab kehne wala bat halfan keh raha hai. tv ki beyja mukhalifat ne baz logon ki aqal hi chen li. khalil rana sahb ne bilkul sahi kaha. dawateislami ki taraqi ko dekh kr mukhalifeen jal gaye hain.
  13. Jazak Allah. Mera shak sahi nikla. kafi arsa pehla ye topic dekha tha or socha ke ager barelvi nhi or ahlesunnat ka jawab nhi dya tu aqeeda konsa hoga. Shia nhi ho sakta ke woh 4 imamo ke qail nhi hain.. Google images per ihsanehmed ke avatar ko search keren tu Qadyinon ki sites, twitter pages aur sab kuch mil raha hai.
  14. Peer Nasir sahib hamare mustanad ulema men se nhi hain. Khalil Rana or Saeedi sahb ki posts men bhi iska zikr mojod hai is forum pr. Peer sahib confuse they hukm e kufr waghera ke masle per. Or tafeezlyat ke bhi qail they. Shia ke kufir kehne per bhi unko etaraz hai. Unki videos mojod hain issi forum pr jis men woh Sulah e kulliyat ko firough de rahe hain or deobandi ulema ke sath rehmatullah aleh use kerte hain. Iss video men peer sahib jo keh rahe hain ke her deobandi kafir nhi hai. yahi hamara aqeeda hai or haq ul mubeen ya deger kayi mustanad ahlesunnat ulema ki kutub men iska zikr mojod hai. Hum bhi yahi kehte hain ke jo gustakhi kare woh kafir hai or jo gustakhi ko jaan ker usko gustakhi na mane woh bhi kafir hai. Peer sahib ke nazdeek Anwar Shah Kashmiri shayed aisa aalim tha jisko deobandi ulema ki gustakhiyon ka pata nhi tha, Ab is se zyada kis daleel ki zarorat hai ke peer sahib intihayi confuse hain is masle per or deger masail per?
  15. yeh kuch online tools try keren. http://www.zamzar.com/convert/doc-to-jpg/ http://www.pdfaid.com/doc-to-jpg-conversion.aspx http://www.wikihow.com/Change-a-Word-Document-to-JPEG-Format
  16. yeh tu buland awaz se zikr or azan se pehle durood o salam ke jawaz pr video hay. etaraz kis bat pr hay? etaraz wali bat topic men likhen take jisko ilm ho woh jawab de sake.
  17. وہابی اور عقل دو متعضاد الفاظ ہیں۔ عقل سلیم والا کوئی بندہ کیسے قبول کر سکتا ہے۔ مولانا عبدالستار ہمدانی صاحب کا یہ کلپ سنئے۔ Deobandi X-RATED-Bahesti Zaivar.mp3 Videos with scans 1) www.youtube.com/watch?v=ra7PFKTIntk 2) www.youtube.com/watch?v=BUzSy7YgFgc
  18. دیوبندی صاحب نے اصلیت دکھا دی۔ پہلے صرف حوالہ لینے کا چکر تھا۔ ابھی کچھ اور بات کر رہے ہیں۔ سارا معاملہ یہ تھا کہ بات ایک مصری نے کہی۔ نقل آپکی کتاب میں ہے ۔ اب ایک طرف کہتے ہو کہ دیوبندی عالم نے یہ بات نہیں کہی اسلئے ہماری ذمہ داری نہیں۔ دوسری طرف کہتے ہو کہ یہ گستاخی نہیں ۔تو پھر مان کیوں نہیں لیتے کہ دیوبندیوں کا یہی عقیدہ ہے؟حسین احمد ٹانڈوی کہ بارے میں تو کچھ اس سے بھی بڑی باتیں ان کے ایک دیوبندی عالم نے کہی تھیں۔ ایک دیوبندی بلاگ کے مطابق اس شیخ السلام کا پہلا ایڈیشن ۱۹۵۷ میں پبلش ہوا اور دوسرا ایڈیشن ۱۹۹۸ میں پبلش ہوا ہے۔ اور نجدی صاحب۔ پہلے حوالے کا کیا ہوا؟
  19. Ameer e ahlesunnat or dawateislami ne kabhi bhi mutlaqan tv ko haram nahi kaha balke hamesha or abhi bhi tv pr najaiz kamon ko najaiz kaha hai. agerche woh sirf news ka channel hi kyon na ho. jis per sirf orat bethi news de rahi ho or kuch bhi ghalat na ho tab bhi channel dekhna mana hay Mukhalifeen se kahain ke koi aik tehreer ya bayan dikhain jis me video ko jaiz kehne wale ulema ko ghalat kaha gaya ho ya unki mukhalifat ki gayi ho. dawateislami ulema ki izzat o tazem ka dars deti hai or ulema e ahlesunnat ko apne sir ka taaj kehti hay. Dawateislami ke pehle ijtima men taqreer ka sharf bakhshne wale Ghazali e Zamaan Allama Sayid Ahmed Saeed Kazmi bhi video ke jawaz ke qail they or unke video bayanat mojod hain. Issi terha khateeb e aazam pakistan Maulana Shafi Okarvi rehmatullah alaih, jinho ne dawateislami banane ki bunyaad rakhi, woh bhi video banwate they. Issi terha Ameer e ahlesunnat ke ustaz e mohtaram, jin se aapko khilafat bhi hasil hay. mufti e aazam pakistan mufti waqar ud din qadri alaih rahma ne bhi bhi waqar ul fatawa men jaiz video ko jaiz kaha hay. tu dawateislami ne kabhi bhi jaiz video ko haram nhi kaha. Farq sirf itna hay ke pehle policy video banane ki na thi mager halaat or ulema e ahlesunnat ke jawaz ke fatwe ko pesh e nazer rakh ker policy tabdel ker di gayi. dawateislami pehle bhi ulema e ahlesunnat ke bayanat ki videos ko jaiz samjhti thi. abhi aa ker kuch halal nhi kya.
  20. وسیم رضا بھائی۔بدمذہبوں کی کھل کر ٹی وی پر تبلیغ جاری ہے۔ کتنے لوگ ہونگے جو آج کے دور میں ٹی وی کی بجائے ریڈیو یا ٹیپ کیسٹ کا رخ کرتے ہیں؟ انٹرنیٹ سے بھی یہاں اکثریت محروم ہے۔ جو استعمال کرتی ہے۔ اس میں بھی اکثریت یا تو غلط کاموں کے لئے استعمال کرتی ہے یا پھر ای میل وغیرہ چیک کرنے کیلئے۔ اب میں یہاں زمانے کے ساتھ انداز بدلنے کی بات کروں تو بات لمبی ہوجائے گی۔ ویڈیو کی طرح کئی اور بھی مسائل ہیں جیسے اسپیکر وغیرہ۔ برائے کرم ایسے مسائل کو علماء میں رہنے دیں۔اور جیسا کہ پہلے عرض کی۔ تصویر کو مطلقاً جائزنہیں کہا جا رہا۔ جو علماء ویڈیو کو جائز کہتے ہیں وہ تصویرکو حرام کہتے ہیں۔اسکرین پر امیج کو تصویرنہیں مانتے، چاہے وہ ساقط امیج ہی کیوں نہ ہو۔ وہ وہاں پر پرنٹ شدہ نہیں ہے۔ بلکہ پکسلز کا مجموعہ ہے۔ آئنہ و پانی وغیرہ پر عکس کی مثل مانتے ہیں۔ بہرحال مسئلہ اختلافی ہے۔ وسیم رضا بھائی۔ آپ تصویر کا صرف ایک رخ دیکھ رہے ہیں۔ کبھی دوسرے رخ پر بھی نظر کیجئے۔اول تو اس دور میں سنیوں کا عقیدہ بچانا بھی بڑی بات ہے۔سنیوں میں شاذ و نادر لوگ ہی یہ کام سر انجام دے رہے ہیں۔ دوسرا۔ نام لئے بغیر بھی رد کیا جا سکتا ہے۔ اگر میں دیوبندی وہابی کہہ کر میلاد یا علم غیب وغیرہ پر بات کروں گا تو لوگوں کو بات سمجھ میں آئے گی؟ اگر میں صرف یہ کہوں کہ میلاد یا علم غیب کو نا ماننے والے گمراہ ہیں اور میلاد و علم غیب وغیرہ پر دلائل کے انبار لگا دوں۔ کروڑوں لوگ ٹی وی پر سن رہے ہوں۔ تو خراب عقیدے والے اپنا عقیدہ صحیح نہیں کر سکتے ہیں؟ یہ اگر مگر اورمفروضوں تک کی بات تو ہے ہی نہیں۔ کئی لوگ جو اپنا دماغ خراب کرکے وہابی عقیدے پر چلے گئے تھے۔ ان کو واپس آتے اپنی نظروں سے دیکھا ہے۔ دیوبندیوں کے گھر پیدا ہونے والے نوجوانوں کو سنی بنتے دیکھا ہے۔ یقین نہ آئے تو کبھی کراچی کا چکر لگا کر دیکھیں۔ لگتا ہے آپ نے کبھی دعوت اسلامی کا عملی کام نہیں دیکھا؟ مدنی قافلوں،عام محفل وغیرہ میں تو کھل کر رد ہوتا ہے۔ کتب میں کھل کر بھی رد ہوتا ہے۔ مزید آپ کو کیا چاہیے؟ مفتی جلال الدین امجدی علیہ الرحمہ کا فتوی پڑہئے۔ آپ ویڈیو کو جائز نہ کہئے۔ مگر۔ ہمیں اہلسنت سے خارج نہ کیجئے۔اہلسنت سواد اعظم جماعت ہے۔یہ کچھ لنک دے رہا ہوں۔ برائے مہربانی یہ کتابیں ضرور پڑھ لیجئے۔ اس میں دعوت اسلامی پر کئے جانے والے اکثر اعتراضات کے جوابات موجود ہیں۔ http://library.faizaneattar.net/Books/index.php?id=61 http://library.faizaneattar.net/Books/index.php?id=86 http://www.ja-alhaq.com/dawat-e-islami-ke-khilaf-propagandey-ka-jaiza/
  21. وسیم رضا بھائی۔ اوپر ٹی وی کو مطلقاْ شیطان کہا گیا ہے۔ اس اصول سے تو ٹی وی پر آنے والی ہرچیز شیطان ہے۔ چاہے جاندار ہو یا بے جان۔ ٹی وی کی تباہ کاریوں کا مجھے علم ہے۔ مگر ٹی وی پر جائز چیز جائز ہے۔ جیسے بے جان چیز کی ویڈیو کو آپ بھی جائز مان رہے ہیں۔ اگرچہ ٹی وی پر ہی ہو۔ اب بات ہے تصویر کے مسئلہ کی۔ یہ کوئی آج سے مسئلہ ہے؟ یا دعوت اسلامی سے شروع ہوا؟ نہیں۔ یہ تو کئی دہائیوں سے جاری ہے جبکہ مدنی چینل کو بنے چھ سات سال ہوئے ہیں۔ اس پر بحث کا فائدہ نہیں۔ صرف اتنا جان لیجئے کہ جو علماء ویڈیو کو جائز کہتے ہیں وہ تصویر کو حرام سمجھتے ہیں اور پردہ اسکرین پر آنے والے امیج کو تصویر نہیں مانتے۔ اب یہ ایک تحقیقی مسئلہ ہے۔ بڑے بڑے علماء نے اس پر کتب لکھی ہیں۔ حق میں بھی اور خلاف بھی۔ بات رہی نام لے کر کھلے رد کی۔۔ جناب،مصلحت کہ تحت اگر کھلا رد نہ کیا جائے اور لوگوں کو سنی بنایا جائے اور ان کا عقیدہ ٹھیک کیا جائے تو کیا یہ بات غلط ہے؟ تصویر کے مسئلے کو ایک طرف رکھ کر کسی مستند عالم کا فتوی لائیے۔ جس میں لکھا ہو کہ کھلے رد کے بغیر عقیدے و اعمال کی اصلاح کرنا ناجائز و حرام ہے۔ دعوت اسلامی یہ کام پچھلے تقریبا ۳۵ سال سے کر رہی ہے۔اور اہلسنت کے نامور علماء کی اسپورٹ حاصل ہے۔ کچھ باتیں غلط ضرور ہوں گی۔ لیکن ان کی اصلاح کا بہتر طریقہ اختیار کیا جا سکتا ہے۔اوپن فورم یا فیس بک اس کا حل نہیں۔ سنیوں کو اختلافی مسائل پر گمراہ کہنا آسان ہے۔ وہابیوں کو سنی بنا نا مشکل ہے۔
  22. گستاخی کا تو میں کچھ نہیں کہہ سکتا۔ علماء ہی بتا سکتے ہیں۔ البتہ ٹی وی ایک ٹیکنالوجی کا آلہ ہے جو کہ بذات خود شیطان کیسے ہے؟ اعتراض کرنے والے کی جہالت کا اندازہ یہاں سے لگایا جا سکتا ہے۔ تصویر کا اختلاف ہی سہی، مگرقرآنی صفحات یا کوئی تحریر یا خانہ کعبہ گنبد خضرہ وغیرہ کی ویڈیو بنا کر اللہ اور رسول صلی اللہ علیہ وسلم کا نام لیا جائے تو کیا اب بھی ٹی وی شیطان پر یہ کام ہوگا؟ اس اصول سے تو معترض خود فیس بک پر پوسٹنگ کرکے ہرلمحہ گناہگار ہو رہا ہے۔ اللہ ان کو ہدایت دے۔ اتنی انرجی یہ کوئی تعمیری کام یا کسی خارجی رافضی کے خلاف سرف کرتے تو آج اہلسنت کو اتنی مظلومی کے دن نہ دیکھنے پڑتے۔ جب وہابی دیوبندی اپنا نام اہلسنت والجماعت رکھ کر ، دہشت گردی کرکے ہمیں جگہ جگہ بدنام کررہے ہیں۔ دنیا وہابی فتنےکو دیکھ کر مسلمانوں پر سوال اٹھا رہی ہے۔ مسلمان ملک جگہ جگہ تباہی کا شکار ہوتے جارہے ہیں۔ اور ہمارے فیس بک کے ترم خانوں کو ٹی وی کے شیطان ہونے کی فکر پڑی ہے۔ لگتا ہے وہابی ہمارے گھر پہنچیں گے تو ہم کہیں گے کہ ہمیں تو خبر نہ تھی کیونکہ ٹی وی شیطان ہے۔
×
×
  • Create New...