
MuhammedAli
Members-
Content Count
1,530 -
Joined
-
Last visited
-
Days Won
109
Everything posted by MuhammedAli
-
Introduction: In Kitab at-Tawheed Muhammad bin Abdul Wahhab argued; Muslims [of Arabian Peninsula] have fallen into major Shirk [for one or another reason] as a result killing and taking their property is lawful according to Islam. The main objective of this booklet titled Qawaid Al Arba[1] was to serve as an apologetic response to Ulamah of Ahle Sunnat who had refuted his teachings presented in Kitab at-Tawheed. In this small booklet Muhammad bin Abdul Wahhab explains the concise justification of takfir as well as murder of Muslims. This booklet is studied by his followers along side Kitab
-
Ilm E Gaib Pr Itraz
MuhammedAli replied to Hanfi-Barelvi's topic in AhleSunnat Per Aetarazat Ke Jawabat
Salam alayqum wa rahmatullah wa barakaat, Baee aap yahan per video upload nahin ker saktya, aap youtube ya dailymotion per upload ker saktay hen. Jab aap nay upload keeya toh yahan per aap link paste keren gay toh woh display hoga. Bata saktay hen kay munazir kon kon thay? -
Baee sahib bazahir baat Sher kee heh magar asal joh maghz mari heh woh aap kay asool o zawabat per heh. Aap kay asooloon kay mutabiq agar kissi meh Allah kee khoobi mani jahay aur phir us khoobi kay saath pukara jahay toh SHIRK heh. Aap denay wala Allah ko mantay hen is waja say DATA yehni denay wala aur aap mushkil kusha yehni mushkil door kernay wala Allah ko mantay hen, Awliyah ko kaha jahay toh aap Shirk ka fatwah detay hen. Yahi baat heh ya nahin? Meh jhoot toh nahin bol raha nah? Chalen aap mujjay daleel nah denh meh daleel nahin mangta aap sirf halfan keh denh kay essi kohi baat nahin
-
BAee mera aap ko number dena faida mand nahin meh UK meh rehta hoon aur call kerna nah aap kay leyeh munasib hoga aur nah meray leyeh.
-
Salam alayqum wa rahmatullah wa barakaat. Baee sahib agar meh hasad kee aag meh jal raha hoon toh aap aur aap kay maulvi hasad kee sab say nichli jahanum meh sakht kaali aag meh jal rahay hen. Keun kay yeh logh esay hasid hen kay yeh har kissi kay Islam aur eman say jallay aur is jallan ka nateeja yeh nikla kay aap ki jammat ka kaam hee musalmanoon ko Mushrik banana heh. Logoon ko qabr per chadar charnay kay jurm meh Musrhik, milaad bananay kay jurm meh Mushrik. Taqiwyatul eman kee ek ibarat joh char panch lines kee heh us meh 17 wajoohat hen jin kee waja say musalman mushrik tehra-hay gah
-
salam alayqum wa rahmatullah wa barakaat, baee aap ka yeh per kar meray chehray per muskarahat aa gaee. Wesay sar goshi meh batata hoon kissi ko batayeh ga mat [janaza kay ihkamat nazil nahin huway thay]. Jistera janaza kay ihkam nahin thay is'see tera Abu Talib nay jab Nikkah perwaya toh kalma perwanay aur Quran Khawani joh Nikah meh hoti heh woh be nahin thee. Phir Abu Talib ka Islam aur musalman hona kesay sabat huwa? SyedAli baee yeh sawal aap say nahin Shia hazrat say heh.
-
Salam alayqum wa rahmatullah wa barkaat, Hazrat aap hamaray Sunni baee hen aur mujjay pata heh aap hamaray Sunni baee hen. Aap ko ghalt fehmi huwi kay meh aap ko Sunni nahin manta. Mujjay yeh be maloom heh kay aap kissi Sunni madrassay meh Arabi kee taleem bee detay hen. Aap kay meri kissi baat ko ghalt samja heh. Ghaliban aap nay: "Baee meray ek Sunni baee hen joh Karachi ..." is ko ghalat mafoom meh leeya heh, meri muraad yeh thee kay: "Meray ek [dost] sunni baee hen joh karachi ..." Shahid aap kay dil meh weham peda huwa kay meh nay 'meray' likh ker aap kay Sunni honay ka inqar keeya h
-
Salam alayqum wa rahmatullah wa barakaat. Hazrat, aap nay joh likha sach aur darust likha magar aap kay likhay huway meh joh shaytaan nay ghalti daal deeh heh us ko point out kerna zeroori heh. Hamaray Nabi e kareem (sallallahu alayhi was'sallam) pedaish say pehlay be Nabi thay, peda huway toh be Nabi thay, ilaan e nabuwat kay baad be Nabi thay aur dunya say rukhsat ho janay kay baad be aap Nabi hen. Farq yeh heh kay pedaish kay baad aap nay ilaan e nabuwat nahin keeya thah keun kay hokam e illahi nahin thah. Ahadith meh ata heh kay hamaray Nabi us waqt Nabi thay jab Nabi Adam alayhis sala
-
Introduction: Earlier a explanation of the phrase; “O My Lord They Are My Companions.” was given in order to refute the Rawafiz. It was alleged this phrase indicates; companions of Prophet (sallallahu alayhi was’sallam) will be prevented from meeting Prophet (sallallahu alayhi was’sallam) by the angels and when Prophet (sallallahu alayhi was’sallam) learns the apostasy of his companions he will disown them. In response it was argued and established with evidence the word ‘companions’ was used in linguistic meaning and not in technical meaning. Implication of which is; those who are being refe
-
Salam alaqyum wa rahmatullah wa barakaat, Baee meray ek Sunni baee hen joh Karachi say hen jahan taq mujjay yaad ata heh woh Sindhi boltay hen meh un say aaj rabta kerta hoon aur aap kay forum per janay ka mashwara deta hoon. Woh Sindhi jawab be denh gay aur us kay saath joh dalail chahyeh woh ham say talb ker lenh gay.
-
Almeen ba mana khalaik, aur murabbi ba bmana rab. murabbi khalaik aur rabbil alameen ka mafoom ek hee heh. Sher kay sayaq o sabaq meh khalaik meh kon say makhlooq dakhal kertay hen? Jin, insaan, farishtay, parinday, chopahay, in meh say doh ya teen agar aap dakhal keren toh khalaik toh phir khalaik ka istimal darust heh. Aap sher kay context meh, apnay abba hazoor ko aur ammi hazoor ko khalaik meh dakhal ker in per khalaik ka ittlaq nahin ker saktay. Keun kay sher meh likha heh: Khuda un ka murabbi thah woh murabbi thay khalaik kay, yahan per Allah subhanahu wa ta'ala ka Gangohi sahib ka murab
-
Kia Ye Biddat Hasana Nahi Hain?
MuhammedAli replied to ibn e hakeem's topic in Munazra & Radd-e-Badmazhab
salam alayqum wa rahmatullah wa barkaat, Meray English articles meh joh biddat kay mozoo per hen Biddat ka har pehloo wazia ker deeya gaya heh. Biddat kee Sunni aur Wahhabi tareef aur us meh joh farq heh woh be wazia kr deeya heh. Sirf lafzi farq heh, jissay ek group lughvi biddat kehta heh dosra biddat e hasana kee kism janta heh, jissay wahhabi biddat kehta heh woh ahle Sunnat kee tareef meh biddat e zalala heh. -
Hadith meh lafz sab istimal huwa heh ... sab ka mana TANQEED, CRITICISE, kerna ata heh. Ek hadith meh RasoolAllah (sallallahu alayhi was-sallam) kee mojdgi meh ghaliban Hazrat Hafsa radiallah ta'ala anha Hazrat Aysha radiallah ta'ala anha kee tanqeed ker raheen theen toh RasoolAlllah nay Hazrat Aysha radiallah ta'ala anha ko ijazat deeh kay woh be sab yehni Hazrat Hafsa kee tanqeed keray. Meray pass dalahil sab mojood thay magar hard drive format ho janay kee waja say pesh nahin ker sakta, talash ker kay yahan per pesh ker doon
-
Salam alayqum wa rahmatullah wa barakaat, Meray baee janab say kissi aur nay sawal keeya aur janab ko jawab maloom nahin is leyeh ham say jawab talab keeya is meh aap ko hansi kis baat per aahi. Ghor say per leeya keren baee aur logoon ka lehaz keeya keren har kissi kay saath munazrana salook nah keeya keren. Ham sunniyoon kay kohi ek Wahhabi, Shia, Deobandi, kabi Sunni nahin huwa hoga keun kay ham say agar kohi sawaal keray ilm hasil kernay kay leyeh toh ham us ko khoob zaleel kertay hen taqay woh dil barkhasta ho ker chala jahay. Deen ko bachana aur pehlana heh toh; sawali aur munazir, a
-
Kia Ye Biddat Hasana Nahi Hain?
MuhammedAli replied to ibn e hakeem's topic in Munazra & Radd-e-Badmazhab
Ibn Kaseer keh raha heh kay Hazrat Umar ka biddat kehna lughvi mafoom meh heh shar'ri nahin. Yehni woh jammat meh parnay ko Sunnat manta heh aur Hazrat Umar kay qawl ko lughvi mafoom meh leh raha heh. Agar Shar'ri leh toh phir mafoom yeh banta heh kay jammat meh parna Sunnat nahin balkay baad ki ijaad heh. Halan kay agar hadith ko pera jahay toh sabat hota heh kay masjid meh mukhtalaf jammateh ek ek imaam kay peechay per rahay thay aur Hazrat Umar nay un ko ek imam kay peechay jama keeya aur phir jab aahay toh dekha toh farmaya naimatul biddah. Is context meh dekha jahay toh Hazrat Umar ka ye -
Baee aap ko kis maslay meh kia madad darkar heh? Meh Azaad Kashmir say hoon is leyeh Sindhi nahin bol sakta aur Urdu likh nahin sakta. Yeh Roman tareekay say likh sakta hoon. Joh aap ko udhar tang kerta heh ussay kahen hammeh is forum per aa ker tableegh keray. Dosra aap Wahhabiyoon, Deobandiyoon, Shiyoon ko ban maren aur taqeed ker kay meri taraf behij denh. Baee aap kay joh issue hoon idhar paste ker denh, balkay mujjay private message meh behij deeya keren inshallah ek do din meh tafseelan jawab roman urdu meh likha pesh ker deeya keroon ga.
-
Nikah perwaya nahin jata. Nikah contract heh, gawahoon kee moojoodgi meh ek larka larki ka iqrar kerna kay woh dosray ko bashiyat e khawand/biwi qabool kerta hoon. Jis ka zeroori hissa haq mahr heh. Nikah perwanay ka tasawur joh aaj kal mojood heh yehni kalmay perwana yeh baad kee ijaad heh. Nah RasoolAllah (sallallahu alayhi was;sallam) nay aur nah Sahabah nay yeh kalmay perwahay. Us zamanay meh gawahoon kee mojoodgi meh sirf dosray ko qabool kerna nikkah thah. Is leyeh Abu Talib ka musalman hona zeroori nahin keun kay us nay kab kalmah perwana thah, sirf Allah kay Nabi (sallallahu alayhi was
-
Joh aap ko matlooba theen un meh say Taqwiyatul Iman meray pass thee woh nuskhay thay upload aur link behij deeya heh. Is kay ilawa Tazhir aur hifzul iman be heh upload meh link private meh behij deeya heh. Mazrat chahta hoon meray pass bot see books theen mera saray mawad zaya ho gaya. jitnay article likhay thay woh be gahay, joh article likh raha thah woh be delete ho gahay ... shaytaan nay apni karastani ker dekhahi. Dua keren meh a[nay memory stick say saray mawad reover ker sakoon. Bhot parshan hoon. maheenoon kee tehqeeq aur mehnat waste ho jahay gee. Muhammad bin Abdul Wahhab kee joh ki
-
Kohi harj nahin, behan ka bahi ko bosa dena, aur bahi ka behan ko bosa dena bilqul jaiz heh aur nah hee gallay milnay per harj heh.
-
salam alayqum wa rahmatullah wa barakaat, Baee, taqwiyat, tahzir, ghaliban sirat hen ... meh abhi check ker kay joh hen upload ker deta hoon aur un ka link aap ko private meh behij deta hoon.
-
Baee Quran kay batini mafoom ka hona toh sabat heh magar qawl ka pata nahin. Batini mafoom ka toh Hazrat Abbas wala mashoor waqia joh ghaliban sahih bukhari kee kissi hadith meh heh jin meh unoon nay akmaliat e deen wali ayaat say RasoolAllah (sallallahu alayhi was'sallam) kee dunya say rukhsati ka mafoom leeya thah, kesay leeya meh aaj taq samaj nahin paya.